Salman Nida Ka Samnaa Nahi
Karna Chahta Tha,,,,,Uss Kay Andar Kaa Insaan Bahut Darpok Tha Qun Kay Wo Loghun
Ko Samjhta Tha Janta Tha,,,,Wo Un Sawalon Say Darta Tha ,,,,Ju Uss Ki Zaaat Se
Wabista Hutay Thay,,,Usay Hamesha Say Ye Yaqeen Tha ,,,,,Jitna Wo Loghun Ko Par
Pata Tha Samajh Pata Tha,,,,,Uss Kay Jawab Mein Koi Usay Nahi Samjah Pata Tha
,,,,,Samajh Ka Ye Farq Baht See Ghalt Fehmiaan Paida Kar Deta Tha,,,,,Wo
,,,Adhuray,,,Sawalun ,,,,,Unkahay Undekhay Khabun Say Bahut Darta
Tha,,,,,Zindegi Uss Kay Liye Sahil Ki Tofani Mojhun Ki Tra
Thee,,,,,Wo,,,,,Bas....Ek Tinka Tha,,,,,Usay Tofaani Mojhun Ki Marzi Se Jeena
Tha,,,,,Magar Jabh Tak Uss Ki Niyat Saaf Thee Uss Kay Andar Ka Insaan Bahut
Mutmain Tha,,,,,Zindeghi Nay Usay Saaf Lafzun Mein Bhut Kuch Samjha Diya
Tha,,,,,Ju Kuch Us Kay Liye Nahi Tha Wo Uss Ki Khahish Se Dastbardaar Hu Gia
Tha,,,,,Magar Kamzoor Lamhun Ki Nazar Hu Janay Say Ubh Bee Wo Darta
Tha,,,,,Magar,,,Shaied Ubh Bee Waqt Uss Kay Emtehanu Say Farigh Nahi Hua
Tha,,,,,Samnay Nida ,,,,,Bahut Say Sawalun Ka Majmoa Ban Kay Uss Kay Samnay
Khuree Thee,,,,,Wo,,,,Uss Say Nazrein Nahi Milana Chahta Tha,,,,,Magar Nida Ki
Nazrein Teer Ki Tra Uss Kay Chahray Kaa Tawaaf Kar Rahee Thein,,,,,,,,Amma Say
Baree Batein Hu Rahee Thein,,,,,Karaye Daar Aur Malik ,,,,Mein
Itni,,,,,Muhabat,,,,,,,,Mein Nay Bahut Kam Dekhee Hay,,,,,Nida Nay ,,,,,Manikhez
Lahjhay Mein Kahaa,,,,,Salman Nay Bazahir ,,Pursakoon Nazar Atay Huay,,,,,Khud
Ko Kursee Say Bed Par Shift Kar Diya,,,,,Nida Kursee Par Baith Gai,,,,,,,Salman
Nay ,,,,,Nida Ki Taraf Dekhay Bagher Kahaa,,,,,,,,,,Bas Kuch Khaas Baat Nahi
Thee,,,,Tum Tu Jantee Hu Jabh Se Mein Nay Advance Rent De Diya Hay,,,,,Ubh Aap
Ki Walida Sahiba Mujhay Aloo Kaa Paratha Bee Bana Detee Hay,,,,,Mein Bahut Lucky
Hun,,,,,,Salman ,,,,,,,,,,Nida Nay Usay Tok Diya,,,,,Tum Itnay Hushiyaar Hu Nahi
Jitna Khud Ko Samajhtay Hu,,,,,Salman Nay ,,,Asbaat Mein Sar Hila Kay
Bola,,,,,,,,,Is Mein Koi Shaq Nahi Hay,,,,Meri Life Bata Rahee Hay,,,,,,,Mein Na
Serf Kam Aqal Hun ,,,Balkay Ek Nakaam Insaan Bee Hun,,,,,,Ju,,,,,Sab Se Pechay
Reh Gia...Magar,,,,Ubh Jabh Koi Mujhay Ye Ehsaas Delata Hay Tu,,,,,Mujhay Kuch
Zayda ,,Dukh ,,,,Nahi Huta,,,,Nida ,,,Nay Faisla Kun Lahjhay
Mein,,,,Kahaa,,,,Serf Ye Bata Du,,,,Meta Kia Qasoor Hay ,,,Meri Shadi Ki Umar
Nikli Jaa Rahee,,,,Ya,,,Mein Khubsorat Nahi,,,,,,Mein....Ek Bachay Kay Baap Se
Shadi Qun Krun,,,,Tum,,,,,Qun Nahi Kar Laitay Apnay Se Kuch Saal Baree Ek Aam
See Shakal Sorat Wali Larki Say,,,,,,,,,Salman Hairaan Pareshaan Se Nida Ko
Dekhnay Laga,,,Wo Baat Khatam Karnay Kay Mood Mein Nahi Thee(Jaree Hay)