Mein Salman Hun(Episode 65)

(HuKhaN, Karachi)

Salman Ko Jaraay Ki Iss Sard Raat Mein 440 Volt Ka Jhatka Sa Lagaa,,,,,,Samnay Tesree Raat Ka Nazuk Saa Chaand Khara Tha Magar Uss Ki Chandni Chudhveen Ki Raat Say Kam Na Thee,,,,,,,Wo Ainay Mein Dekh Kay Kia Tyaar Huay,,,,,Hum Dil Kay Hathun Nazarein Jamanay Par Majhboor Huay.Salman Kay Samnay Asa Masoom Husan Tha,,,,Ju Kainaat Ka Asa Tuhfaa Tha Ju Har Ankh Ko Naseeb Nahi Huta,,,,,Rozi Nay Apni Hansi Dabatay Huay Kahaa,,,,,,,,,,,,,,Bahut Sardee Hay Salman,,,,,,,Please Let Me In,,,,,,Salman Kay Kahein Dourrr Andar Se ,,,,,,,,,,,,Sure,,,,,,Ki Ghutee See Awaaz Ayee,,,,,,,,,,Iss Kay Liye Ap Ko Samnay Say Hutna Hu Ga,,,,,Rozi Ki Awaaaz Mein Na Khatam Hunay Wali Sharaarat See Thee,,,,,,,,,,,,,,Salman Ka Chahra Sharm Aur Sharmindeghi Se Laal Surkh Hu Gia,,,,,,Rozi Ko Salman Ki Halat Par Reham Aa Gia,,,,,Salman Kici Machine Ki Tra Uss Kay Samnay Say Hut Gia,,,,,,Uss Ka Etemaad Uss Ka Wajood Kici Gas Kay Ghubaray Ki Tra Hawa Mein Tehleel Hu Gia Tha,,,,,,Rozi Nay Amjad Driver Kay Kamray Par Nazar Douraee,,,,,,Apni Khubsorat Baree Baree Ankhun Par Ainak Ko Theek Kia,,,,,,Heater Nahi Hay Salman,,,,,Salman Chonk Kay Bola,,Jee,,,,,,Rozi Ko Tafree Anay Lagi ,,,,Wo Ekk Asay Insaan Ko Mutasir Kar Rahee Thee,,,,,,Ju Insaan Kam Aur Pathar Zayda Tha,,,,,,,,Magar Ye Pathar Ban Janay Ki Salahiyat Uss Ki Apni Zaat Ki Had Tak Mehdood Thee,,,,,Werna,,,,,,,Kici Ki Dukh Aur Pareshani Uss Kay Dil Ko Bechein Kar Dia Kartee Thee,,,,,,Rozi Nay Salman Ki Taraf Dekh Kay,,,,,,,,,,Serf Itna Kahaa,,,,,,,,,,,,,Kia Jee,,,,,Hay ,,,,,,,,,,Ya,,,,,,,Nahi,,,Salman Jasay Khabh Dikh Kar Farigh Hua Hu,,,,,,,Jee Jee Hay,,,,,Magar Purana Hay,,,,,,Bas,,,,,No Problem ............Salman Ki Sharmindeghi,,,,,,,,Uss Ki Masomiat Ka Bata Rahee Thee,,,,,,,,,,,,,,,Rozi Nay Bahut Hee Naram Lahjhay Mein Kaha,,,,,,,Salman,,,,(Jaree Hay)

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1254136 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.