Mein Salman Hun(Episode 75)

(HuKhaN, Karachi)

Naye Reshtay Bana Laina Bahut Asaan Hay Magar Un Kay Bhaaram Ko Qaim Rkhna Puranay Reshtun Sey Bee Mushkil Huta Hay,,,,,Azmaishun Ko Mushkilaat Samajhna Serf Aur Serf Nadaani Hay,,,,,Purany Ki Qimat Par Naye Reshtay Nahi Bnaye Ja Saktay,,Insani Reshtay Zanjeer Ki Tra Hutay Hein,,,,Ek Karee Bee Tot Jaye ,,,,,Miss Hu Jaye,,,,,Tu,,,,Pher In Ko Qaim Rkhna Pori Emaandaar Kay Sath Bahut Mushkil Huta Hay,,,Meri Maniye Tu Faraz Aur Uss Ki Maa Ko Khali Hath Lota Dena Na Serf Ap Loghun Ko Zaib Nahi Deta,Pher Wo ,,,,,Wo Ap Ko,,,,, Bahut Chahta Hay,Us Se Ye Haq Na Cheeno,,,,,,Zarori Nahi,,,Ju Apa Kay Sath Hua ,,,,,,Uss Mushkil Say Ap Ko Bee Guzarna Hu,,,,Wesay Bee Aap Mein Aur Apa Mein ,,Bhut Farq Hay,,,,Ap Zamanay Ko,,,,Uss Kay Lamhun Mein Jeetee Hu,,,,,Ap Ki Ankh Ka Pani Serf Apni Zaat Kay Liye Makhsoos Nahi....Har Dard Ap Ko Mehsoos Huta Hay,,,,,Us Dard Ka Taluq Ap Se Hu Ya Na Hu,,,,,Ap Ki Soch Khud Tak Mehdood Nahi,,,,,Ap Ki Soch Ka Maidaan Bahut Wasee Hay,,,,Rozi Salman Ki Baat Is Tra Sun Rahee Thee Jasay Ajh Kay Baad Salman Ki Awaaz Uss Kay Kanu Mein Kabi Bee Nahi Aye Gee,,,Usay,,,Apna Aap Isss Kamzoor Se Insaan Se Bee Chotee Lagh Rahee Thee,,,,Rozi Nay Salman Ko Dekha Aur,,,,Apnay Andar Pori Taqat Jama Karnay Lagee,,,,Wo Iss Say Kasay Jawab De ,,,Jisay Wo Chah Kar Usay Naee Zendeghi Dena Chahtee Thee,,,,Jis Kay Liye Wo Zamnay Se Duniya Se Khud Se Khandaan Se Larna Chahtee Thee Jis Zaat Kay Liye Wo Baghawat Par Amaada Thee Wohi Uss Ko Samjhnay Sey Qasir Tha,,,,Rozi Nay Apnay Andar Lahulahan Hutee Rozi Ko Qabu Kar Liya,,,,Dukhi Se Lahjhay Mein Boli,,,,,Salman ,,,,,Faraz Ko Meree Zarorat Nahi,,,,Mein Kici Asay Shakhs Kay Sath Jeena Chahtee Hun,,,,,Jisay Meri Zarorat Hu,,,,Mein Jis Kay Liye Kuch Kar Sakun,,,,Mein Thakay Huay Qadmoun Ki Taqat Ban Jana Chahtee Hun,,,,,Kici Ek Pal Bee Mein Nay Faraz Se Muhbat Nahi Ki.....Mein Kasay Uss Sey Insaaf Kar Paon Gee,,,,,Jabh,,,,,Koi Aa Jaye,,,,,Tu,,,Pher Fasila Bahut Mushkil Hu Jata Hay,,,,,Mein Apni Zendeghi Kici Shakhs Kay Sath Ajnabi Ban Kay Nahi Guzaar Saktee,,,Rozi Ka Lahjha Aur Bee Dukhi Hu Gia,,,,,,Mein Bee Kis Kay Samnay Apnay Aap Ko Biaan Kar Rahee Hun,,,Jisay Shaied,,,,Kici Kay Jazbaat Ki Qadar Hee Nahi,,,,,Ju Jhoot Likhta Hay,,,,Serf,,,,Wah Wah Parnay Kay Liye,,,,Lafzun Se Khelta Hay,,,,Salman ,,,,Insaan Lafz Nahi Hutay,,,,,In Say Na Khela Karo,,,,,Ya,,Tu Khud Ko Kici Asay Naqaab Mein Samaiet Lo,,,Kay Har Koi Tum Sey Nafrat Karna Shuro Kar De,,,,,,Salman,,Nay Kuch Kehna Chahaa,,,,Rozi Nay Agay Bahr Kay Uss Kay Chahray Par Hath Rakh Diya,,,,Rozi,,,,,(Jaree Hay)

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1194843 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.