Janghjuu (Warrior) Sultaan Episode 8

(HuKhaN, Karachi)

HuKhaN

Dushman Ko Apnay Khas Loghun Kay Qatal Ki Khabar Nay Agh Baghoola Sa Kar Diya Tha,,,,Wo Samjhay Thay Sultaan E Mosa Ko Hum Nay Zameen Mein Dhansaa Diya Hay Magar Iss Khabar Nay Jeet Aur Barbariyat Kay Nashay Ko Qadray Kam Kar Diya Tha Wahan Kuch Deir Kay Liye Mathoun Par Lakeerein Paree Magar Pher Sultaan Ko Karaa Peghaam Denay Ki Tyaree Kar Lee Gai,,,,Unhein Ubh Tak Ye Pata Na Chal Saka Kay Un Kay Loghun Ko Aghwaa Kiya Gia Ya Wo Ghaltee Say Wahan Dakhil Huay Thay,,,,Baaj Khan Ghusay Se Lot Pot Hu Raha Tha ,,,Us Nay Soch Lia Thaek Kay Badlay 10 Sar Utaray Jaein Gay ,,,,,,,,,,Jeet Zulm Aur Sharabh Kay Nashay Nay Usay Bad Mast Hathee Bana Diya Tha Magr Wo Ye Bhool Gia Tha Kay Hathion Kay Juthay Ko Palta Diya Jaye Tu Wo Apni Foujh Ko Rondh Jata Hein Us Nay 30 Kay Juthay Par Mushtamil Shabh Khoon Dastay Ko Tyaree Ka Hukam De Diya Uss Nay Un Ko Hukam Diya Raat Kay Akhree Pehar Whan Asa Humla Krna Hay Ju Samnay Aye Uss Ki Sansein Khtam Kar Dee Jaien Aur Ju Hath Zinda Lagay Qaidee Bana Kay Lay Aya Jaye,,,,,Humlay Kab Aur Kasay Karna Hay Ye Ain Usi Time Btanay Ka Keh Diya Taqay Sultan Mosa Ko Koi Mukhbaree Naa Kar De.Sultaan Mosa Bay Khabar Na Tha Uss Ki Unghi Ka Zakham Theek Hu Gia Tha Uss Ki Rooh Kay Har Zakham Say Ubh Khoon Russ Raha Tha,,,,,Uss Nay Ahmed Aur Farooq Kay Sath Mil Kay Plan Tarteeb De Liya Tha Sultaan Nay Sab Raat Ki Post Ki Jgah Tabdeel Kar Dee Thee,,,,Aur,,,Jis Jgah Ko Chore Diya Tha Wahan Har Raat Agh Ka Aloaow Roshan Rakhnay Ka Keh Diya Tha Zila Se Keh Diya Tha Wo Zakhmion Kay Liye Munasib Intezamaat Kar Lay,,,,,Sultaan Soch Mein Gum Baitha Hua Tha ,Ahmed Nay Sultaan Kay Samnay Rakhay Kahway Kay Cup Utha Kay Patkha Tu Sultaan Nay Chonk Kay Ahmed Ko Dekha,,,,,,,,,,Ahmed Muskara Kay Bola ,,,,,,,,,Kahwa Kab Say Araam Farma Raha Hay Isay Maiday Ki Nazar Kijiye,,,,,Wesay Bee Jabh Aap Ko Kahway Ki Talab Hu Tu Suna Hay Zila Khud Apnay Hath Say Kahwaa Tyaar Kartee Hay,,,,,Ahmed Nay Farooq Ko Dekh Kay Ankh Maari,,,,,,,,,Sultaan Zara Sa Muskarya ,,,,,Hairat Say Kahaa,,,,,,,Ahmed Tum Itna Zinda Dil Kasay Hu ,,,,In Halaath Mein Bee Hanstay Hu Hansatay Hu,,,,,,,,,,Kamaal Hay Dost Kaha Say Laye Hu Asa Jighar,,,,,,,,,,,Akalay Hu Magar Kici Foujh Se Kia Kam Hu,,,,,Ahmed Ek Wada Karo,,,,,,,,,,Mujh Se Pehlay Maru Gay Nahi,,,,,,,,,,Ahmed Ki Hansi Ko Break Lagh Gai,,,,,,,,,,Sultaan Bolta Chala Gia,,,,,Mein Tum Dono Kay Bina Asa Hun Jasay Dushman Meray Dono Bazoo Kaat Dein,,,,,,,Farooq Sultaan Kay Samnay Us Kay Chahray Kay Qareeb Aa Gia,,,,Sultaan Ap Ko Humaree Nahi Hum Sab Ko Aap Ki Zarorat Hay,,,,Ye Zameen Ek Baar Pher Laal Hu Gee,Magar Bajhi Khan Aur Uss Kay Kuttoun Kay Lahu Say,,,,,Iss Say Pehlay Agar Hum Maray Tu Mn Samjhun Ga Haraam Mout Maroun Ga,,,,Sultaan Nay Agay Bahr Kay Dono Ko Seenay Say Laga Liya( Jaree Hay)

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1193020 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.