!السلام و علیکم و رحمتھ اللہ و
برکا تھ
اندازِ بیاں گرچہ میرا شوق نہیں ہے
شاید کہ اتر جائے تیرے دل میں میری بات
Quran Voh Kitab Hay Jis May Shuk Ki Koi Gunjaish Nahi.
Quran Wajeh Daleel Or Noor Hay, Quran Shifa Hay, Quran Pichli Kitabo Ki Tasdeeq
Karta Hay, Quran-E-Pak Nay Hamesha Ghor O Fikr Karnay Ki Dawat Di Or Isay
Hamesha ALLAH Ki Taraf Rujo Lanay Ki Targheeb Dilai Laikin Her Parhnay Wala Or
Quran-E-Pak May Sat Hai Nazar Karnay Wala Ye Na Samjhay Kay Quran-E-Pak Ki
Tilawat Karnay Walay Tamam Hi Afrad Maqsad Ko Palain Gay. Nahi Hergiz Nahi
Bulkay Quran-E-Pak Nay Khud Is Ki Tardeed Ki
Bohat Say Log Is Quran Say Gumrah Ho Jatay Hain Or Bohat Say Is Say Hidayat
Paatay Hain.(Surah Baqra:26)
Sawal Ye Paida Hota Hay Bohat Say Log Quran Parh Kar Gumrah Kiyo Hojatay Hian?
Is Ka Jawab Mufassareen Nay Ye Biyan Kiya Kay Who Quran-E-Kareem Parhtay To Hain
Per Unka Dil Quran Kay Noor Say Munawwar Nahi Hota Voh Quran Ki AAYAT Ka Ghalt
Tarjama Or Ghalat Mafhoom Samjh Laitay Hain, Ghalat Maanay Or Ghalat Mafhoom
Samjhnay Ki Waja Say Who Gumrah Ho Jatay Hain. Chnachay Aisa Hi Aik Groh Guzra
Jis Nay Quran-E-Kareem Ki Aik Aayat Per Nzar Kartay Hoay Dosri Aayat Ka Inkar
Kar Diya, Is Groh Kay Tafseeli Halaat BUKHARI, MUSLIM Or IBN-E-MAJAH Or Deegar
Ahadees Ki Kitabon May Mojood Hay Or Iskay Ilawa Allama Imam Abdul Rehman Bin
Jozi Al-Baghdadi Al-Rehman Jinka Wisal 597 Hijri May Hoa Unho Nay 800 Saal
Pehlay Apni Kitab TALBEES-E-IBLEES May Bhi In Khaarjiyon Kay Baray May Tafseelun
Likha Hay. Khaarji Who Log Thay Jo Kalma Bhi Parhtay Thay, Quraan Ki Bhi Tilawat
Kartay Thay, Ibadat Bhi Kartay Thay Bulk Ay Isqadar Shiddat Kay Saath Allah Ki
Ibadat Kartay Thay Kay ABDULLAH BIN ABBAS Nay Farmaya May Nay In Say Barh Kar
Ibadat May Koshish Karnay Wali Koi Qoam Nahi Dekhi, Sajdon Ki Kasrat Ki Waja Say
In Ki Peshaniyo Per Zakham Parh Gayethay Laikin Quaran-E-Majeed Furqan-E-Hameed
Ghalat Samjhnay Ki Waja Say Ye Aisay Gumrah Hoaye Kay Inho Nay Hazrat Ali (Radiallaho
Tala Anho) Or Tamam Sahaba-E-Karam Per SHIRK Ka Ilzaam Laga Diya Or Who Kehnay
Lagay Kay Hazrat Ali (Radiallaho Tala Anho) Islam Say Kharij Hain (Naaoozobillaheminzalik)
Voh Jis Aayat Ko Bunyaad Bana Rahay Thay Who Quaran-E-Majeed Furqan-E-Hameed Ki
Aayat Ye Hay “Faisla Karnay Wala To Sirf ALLAH Hay”, Hazrat Ali (Radiallaho Tala
Anho) Nay Aik Jhagray Ko Khatam Karnay Kay Liye Faisla Karnay Kay Liye Kisi Ko
Faisla Karnay Wala Muqarrar Kiya To Ye Khaarji Kehnay Lagay “Faisla Karnay Wala
To Sirf ALLAH Hay” Halan Kay Is Aayat Ka Ye Matlab Nahi, Is Aayat Ka Ye Matlab
Hay Kay “Haqeeqi Tor Per Faisla Karnay Wala ALLAH TALA Ha, Haqeeqi Hakam Wahi
Hay Or Jo Shakhs Faisla Karay Insano May Say Usay Chahiye Kay Quran-O-Hadees Kay
Mutabiq Faisla Karay, Haqeeqi Faisla Karnay Ka Ikhtiyar ALLAH Ko Ha” Liakin Who
Na Samjh Sakay To Hazrat Ali Nay Abdullah Bin Abbas Ko Bhaija To Hazrat Abdullah
Bin Abbas Nay Un Khaarjiyo Say Kaha Jo Bazahir Kalma Bhi Parhtay Thay Or Quran
Ki Tilawat Bhi Kartay Thay, Fermaya “Agar May Tumhay Quran Say Sabit Kar Doon
Kay Insano May Say Faisla Karnay Wala Muqarrar Kiya Ja Sakta Hay To Kiya Tum
Apni Baat Say Rujoo Kar Lo Gay?” To Kehnay Lagay “ Han Hum Kar Laingay” To
Hazrat Abudllah Bin Abbas Nay Surah Nisa: Ayat #35 Ki Tilawat Farmai “ Jab Mian
Bewi Kay Darmiyan Jhagra Ho Jaye Or Tum In Kay Darmiyan Sulah Karna Chaho To Aik
Hakam Faisla Karnay Wala Shohar Ki Taraf Say Muqarrar Ho Or Doosra Hakam Faisla
Karnay Wala Bewi Ki Taraf Say Muqarrar Ho” Hazrat Abdullah Bin Abbas Nay Farmaya
“Aye Kharjiyo Zara Socho Kay Rabul Alemeen 2 Faisala Karnay Walay Muqarrar Farma
Raha Hay, To Agar Allah Kay Siwa Kisi Or Ko Faisla Karnay Wala Muqarrar Karna
Shirk Hota To Kabhi Quran Shirk Ki Dawat Na Deta, Or Waha Muraad Hay Kay Haqeeqi
Faisla Karnay Wala Sirf Allah Hay”, Kitna Piyara Andaz Tha Magar Afsos Kharjioy
Ki Aksaryat Apni Zid Per Qaim Rahi Sirf Chand Kharji Aisay Thay Jinho Nay Toba
Ki (Wama Tofiqi Illah Billah – Tofeeq To Denay Wala Sirf Allah Hay).
In Tamam Bato Sya Ye Pata Chala Kay Agar Quran-E-Pak Ka Ghalat Mafhoom Lay Liya
Jaye To Basa Oqaat Kitni Ghalat Rah Per Voh Chala Jata Hay, Kay Voh Qoam Ibadat
Bhi Kar Rahi Hay Magar Hazrat Ali Or Sahaba Ko Mushrik Samjh Kar Khud Daira-E-Islam
Say Kharij Ho Rahi Hay, Unki Ibadatain Zaya Horahi Hayn, Aisi Quran-E-Majeed
Furqan-E-Hameed May Kai Misalain Hain Bazahir Aik Aayat Ka Ghalat Matlab Samjh
Liya Jaye To Dosri Aayat Takrati Hoi Mehsoos Hotai Hay Or Haqeeqat Ye Hay Kay
Quran Ki Aaytain Aapas May Takrati Nahi Hain, Agar Mafhoom Ghalat Liya Jaye To
Iski Waja Say Insan Ghalat Fehmi Ka Shikaar Ho Jata Hay Maslan Quran-E-Majeed
Furqan-E-Hameed May Irshad Farmaya Gaya (Surah Toba:129) “Farmadijye Meray Liye
Allah Kaafi Hay” Ab Agar Koi Is Ka Ye Mafhoom Lay Kay Allah Kafi Hay Or Iskay
Siwa Kisi Or Ko Kafi Kehna Shirk Hay To Quran-E-Majeed Furqan-E-Hameed Per
Aitraaz Waaqe Hota Hay (Surah Anfal:64) “A Nabi Aapko Allah Bhi Kafi Hay Or
Aapki Pairvi Karnay Walay Naik Salah Momeneen Bhi Aapko Kafi Hain”. Sawal Ye Hay
Kay Jab Allah Kafi Hay To Kisi Or Ki Kiya Hajat, To Iska Jawab Mufassareen Nay
Bara Piyar Diya Hay Kay Jab Ye Kaha Jaye Kay Allah Kafi Hay To Is Say Muraad Ye
Liya Jaye Ga Kay Haqeeqi Tor Per Sub Kuch Denay Wala Allah Hi Hay Or Jahan Ye
Kaha Jaye Ga Kay Naik Momeneen Kafi Hain To Us Say Muraad Ye Hay Kay WHO ALLAH
KI ATA SAY KAFI HAIN. Isi Tarha Aisi Or Bhi Mislain Hain, Missal Kay Tor Per
Allah Tala Say Sub Kuch Honay Ka Yaqeen Or GHAIRULLAH Say Kuch Na Honay Ka
Yaqeen Hona Chahiye, Basa Oqaat Ye Jumla Kaha Jata Hay, Yaqeenun Bila Shubah
Tamam Kaam Ko Bananay Wali Zaat To ALLAH Hi Ki Hay , Uski Mashiyat Kay Baghair
To Aik Zarrah Bhi Harkat Nahi Kar Sakta Laikin In Sari Ghufatago Say Agar Ye
Koshish Ki Jaye Kay 2 Jahan Kay Sardar صلی اللہ علیہ وسلم Ko Be-Ikhtiyar Sabit
Karnay Ki Koshish Ho Or Ye Taswoor Dainay Ki Koshish Ho Kay Huzoor Na Kuch Kar
Saktay Hain Na Kuch Day Saktay Hain Allah Ki Aata Say Bhi Nahi Day Saktay, Agar
Ye Nazarya Ho To Mazallah Summa Mazallah To Quran Ki Kai Aayaton Or
Hadees-E-Tayabba Ka Inkar O Jaye, Aik Choti Si Missal Paish Karnay Ki Ijazat
Chahoonga Kay BUKHARI, MUSLIM Or Deegar Ahadees Ki Kitabo May Tafseelun Mojood
Hay Kay "Maidan-E-Mehshar May Log Nijaat Kay Liye Ambiya Kay Paas Jain Gay To
Ambiya Farmaingay JAO KISI OR KAY PAAS Or Phir Jab Log Huzoor Ki Khidmat May
Aaingay To Pyaray Aqa Farmain Gay MAY HI TUMHARI SHIFAYAT KARON GA” To Agar Ye
Aqeda Rakh Liya Jaye Kay Allah Ki Di Hoi Taqat Say Bhi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ
وسلم Kuch Nahi Kar Saktay To Ye Quraan Ki Kai Aayto Ka Bhi Inkaar Hay Or Ahadees
Ka Bhi Inkar Hay. Kharji Qoam Jis Ghalatfehmi Ka Shikaar Hoi Voh Ye Thi Kay Unho
Nay Ye Samajh Liya Kay Hazrat Ali Or Sahaba-E-Karam Mushrik Hain Or Haqeeqat Ye
Hay Kay Unho Nay SHIRK Ko Samjha Nahi Kay Shirk Kisay Kehtay Hain? Asal May
Shirk Ki 3 Qismain Hoti Hain SHIRK FIL IBADAT, SHIRK FIZ ZAT Or SHIRK FIS SIFAAT.
Shirk Fil Ibadat Ye Hay Kay Allah Kay Ilawa Kisi Or Ko Ibadat Kay Laaiq Samjha
Jaye Jaisay Mushrikeen-E-Makkah Jinho Nay Khana-E-Kaba May 360 But Rakhay Thay
Or Unki Voh Pooja Kartay Thay Jabkay ALLAH KAY SIWA KOI IBADAT KAY LAAIQ HI NAHI
HAY.
Shirk Fiz Zaat Ye Hay Kay Ye Tasawwor Kiya Jaye Kay Khaliq-E-Kainaat Rabbul
Alemeen Ki 2 Zaat Hay Aisa Tasawwor Shirk Fiz Zaat Hay.
Alhamdolillah Muslmaan Na Shirk Fil Ibadat May Mubtila Hain Or Na Hi Shirk Fiz
Zaat May Mubtila Hain.
Teesri Qisim Hay Shirk Fis Sifaat Jisay Samjhna Behad Zaroori Hay Iski Tareef
Yon Beyaan Hoi Hay Kay Jo Allah Tala Ki Sifaat Hain Unkay Barabar Kisi Or Ki
Sifaat Tasawwor Karna Ye Shirk Fis Sifaat Hay. Shirk Fis Sifaat Ko Na Samjhnay
Ki Waja Say Kai Log Allah Ki Ibadat Karnay Kay Bawajood Gumrah Ho Gaye.
(Surah Baqra:143) “Beshuk Allah Tala Logon Per Rauf Or Raheem Hai” Allah Rauf
Bhi Hay Or Raheem Bhi Hay. Quran-E-Majeed Furqan-E-Hameed May Dosray Muqaam Per
Fermaya (Surah Toba:128) “Beshak Tumharay Paas Tumhi May Say Voh Rasool Tashreef
Laye, Jin Per Tumhara Mushaqqat May Parna Bhaari Hay, Tumhari Bhalai Ko Bohat
Chahnay Walay Hain, Momino Per Rauf Or Raheem Hain” Aik Taraf Farmaya Jaraha Hay
Kay Allah Taala Rouf-Ur-Raheem Hain Or Dosri Taraf Farmaya Ja Raha Hay Kay
Rasool-E-Kareem Rouf-Ur-Raheem Hain To Zehan May Ye Sawal Paida Ho Ga Kay Shirk
Fis Sifaat Naam Hay Baraberi Ka To Phir Ye To Sifaat Aik Jais Hoagie. Or Dono
Quran Ki Aayatain Hain Or Quran To Shirk Say Door Karta Hay. Dilon Ko Shirk Say
Pak Karta Hay, Mufassareen Any Bari Piyar Baat Irshad Farmai, Fermaya Kay
Rauf-Ur-Raheem Allah Bhi Hain Or Huzoor Bhi Hain Laikin Barabri Nahi Hay Allah
Ka Rauf-Ur-Raheem Hona Zaati Hay, Huzoor Ka Rauf-Ur-Raheem Hona Allah Ki Aata
Say Hay, Allah Tala Hamesha Hamesha Say Rauf-Ur-Raheem Hay Or Huzoor
Rauf-Ur-Raheem Hain Jab Say Allah Nay Unhain Ye Muqaam O Martaba Diya, Jab Ye
Farq Ho Gaya To Barabri Na Rahi Or Shirk Lazim Na Aaya.
Aik Or Misal Hazir-E-Khidmat Hay Quran-E-Majeed Furqan-E-Hameed May Irshad Hoa
Hay : (Surah Namal:65) “Tum Farmado Jo Koi Aasman O Zameen May Hain Allah Kay
Siwa Koi Ghaib Nahi Janta” Aik Taraf Farmaya Gaya K Allah Hi Ghaib Ka Ilm Janta
Hay, Dosri Taraf Irshad Hoa: (Surah Jin:26-27) “Ghaib Ka Jannay Wala Rabul
Alemeen Ghaib Ka Ilm Kisi Ko Nahi Daita Magar Apnay Rasoolon Ko Pasand Fermata
Hay Or Unhain Ghaib Ka Ilm Ata Fermata Hay” Dono Aayatain Quran Ki Hain In Dono
Aayaton Ka Mafhoom Mufassareen Nay Ye Bayan Kiya K “Haqeeqi Tor Per Ghaib Ka Ilm
Jannay Wala Sirf Or Sirf Allah Hay, Allah Ki Ata Kay Baghair Koi Kuch Nahi Janta
Or Jab Allah Tala Ata Farmaye To Mehboob-E-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Allah Ki
Ata Say Ilm-E-Ghaib Jantay Hain, Allah Bhi Ghaib Ka Ilm Janta Hay Or Rasoolullah
Bhi Ghaib Ka Ilm Jantay Hain Laikin Barabari Nahi Hay Allah Tala Ka Ilm Zaati
Hay, Huzoor Ka Ilm Allah Ki Ata Say Hay” Jab Farq Ho Gaya To Barabri Na Hoi.
Quaran-E-Majeed Furqan-E-Hameed May Iski Aik Or Misal Bhi Di Ja Sakti Hay:
(Surah Muhammad:11) “Muslmano Ka Mola Madadgar Allah Hay” Phir Dosri Jaga
Farmaya (Surah Tahreem:4) “Beshuk Allah Unka Mola Hay Madadgar Hay, Or Jibreel
Bhi Mola Madadgar Hain, Or Salah Momeneen Madadgar Hain Or Farishtay Bhi Mola
Madadgar Hain” Sawal Ye Paida Hota Hay K Aik Taraf Irshad Ho Raha Hay Kay Allah
Mola Madadgar Hay Or Dosri Taraf Farmaya Jar Aha Hay Kay Allah Bhi Madadgar Hay,
Jibreel Bhi Madadgar Hain Or Naik Momeneen Bhi Madadgar Hain Or Farishtay Bhi
Madadgar Hain, Jabkay Dono Aayatain Quran Ki Hain Koi Takrao Nahi, Samjhna Ye
Hay K Allah Tala Mola Hay Madadgar Hay Haqeeqi Tor Pay Or Zaati Tor Per, Or
Jibreel Or Naik Momeneen Madadgar Hain Allah Ki Ata Say, Allah Nay Apni Madad Ka
Unhain Zarya Or Waseela Banaya. Quaran-E-Majeed Furqan-E-Hameed Ki Aik Or
Aayat-E-Kareema Is Mafhoom Ko Wazahe Karti Hay, (Surah Maaida:55) “Tumharay
Madadgar Hain Allah Or Uskay Rasool Or Eeman Walay” Allah Bhi Madadgar Hain,
Rasool Bhi Madagar Hain Or Eeman Walay Bhi Madadgar Hain, Wahi Farq Hay Allah
Haqeeqi Or Zaati Tor Per Madadgar Hay Or Huzoor Or Naik Saleh Momeneen Ki Madad
Beiznillah Hay Allah Ki Ata Say, Allah Ki Inayat Say Or Allah Kay Karam Say,
Haqeeqi Madadgar Sirf Allah Hay, Or Allah Kay Rasool Or Naik Momeneen Allah Ki
Madad Kay Husool Ka Aik Zarya Hain Aik Waseela Hain. Yahan Per Aik Sawal Or
Paida Hota Hay Kay Jab Ye Keh Diya Gaya K ALLAH TUMHARA MADADGAR HAY Or Isi
Tarha Pichli Aayat May Ye Keh Diya Gaya Kay ALLAH HI UNKA MOLA HAY MADADGAR HAY
To Jab Allah Ki Madad Ka Zikr Kar Diya Gaya To Phir Rasoolullah, Jibreel Or Naik
Saleh Momeneen Ki Madad Ka Zikr Kiyo Kiya Gaya??? Kiya Allah Tala Ki Madad
Nakafi Hay? Hergiz Ye Baat Nahi Asal Baat Ye Hay K Quran Ye Aqeeda Bayan Kar
Raha Hay K Allah Tala Hi Madad Farmaye Ga Laikin Allah Tala Apnay Naik Bandon Ko
Muqam, Martaba Or Bulandi Ata Fermata Hay Or Un Say Wabasta Rahain Gay Or Unki
Bargah May Hazir Hongay To Allah Tala Karam Farmaye Ga Or Unkay Waseelay Say
Hamara Bera Paar Farma Day Ga. Quran Ki Aaytain Pesh Ki Jarahi Hain Or In Aayaat
Ka Maqsad Kiya Hay Kay Agar Aik Aayat Say Ghalat Mafhoom Lay Liya Jaye To Quran
Ki Dosri Aayat Us Say Takra Jaye Halankay Quran May Koi Takrao Nahi Hay. (Surah
Shoora:49) “Allah Jisay Chahay Betiyan Ata Farmaye Or Jisay Chahay Baitay Day”
Or Dosray Muqam Per (Surah Maryam:19) Hazrat-E-Jibreel-E-Ameen Hazrat Maryam Kay
Pass Aaye Or Jibreel-E-Ameen Nay Kiya Kaha? “Jibreel-E-Ameen Bolay: May To Sirf
Teray Rub Ka Bhaija Hoa Qasid Hoon, May Is Liye Aaya Hoon Kay Tujhay Suthra Or
Pakeeza Beta Ata Karoon” Aik Taraf Farmaya Gaya Kay Betay Or Betiyan Allah Hi
Daita Hay Or Dosri Taraf Jibreel-E-Ameen Keh Rahay Hain May Tujhay Naik, Saleh
Beta Ata Karoon. Haqeeqi Tor Per Ata Karnay Wala Allah Hi Hay Or Jibreel Jo Ata
Kar Rahay Hain Voh Allah Ki Ata Say Kar Rahay Hain.
(Surah Zumar:42) “Allah Hi Jano Ko Mot Daita Hay” Zindagi Mot Dainay Wala Allah
Hi Hay, (Surah Sajda:11) “Aap Fermaiy K Mot Kay Farishtay Hazrat Malakul Mot
Tumhain Mot Dain Gay” Sawal Ye Hay K Hazrat Izraeel Alehassalam Mot Dain Gay
Quran Ye Bayan Kar Raha Hay Or Aik Tarf Ye Kay Mot Denay Wala Allah Hay, Dono
Aayaton May Koi Takrao Nahi, Samajhna Ye Hay Kay Haqeeqi Tor Per Mot Dainay Wala
Allah Hi Hay Or Hazrat Izraeel Alehassalam Allah Ki Ata Say Ye Kaam Seranjam
Daitay Hain.
Zara Bataye Beemaro Ko Shifa Dainay Wala Kon? Allah. Murdon Ko Zinda Kon Karta
Hay? Allah Karta Hay Laikin Hazrat Eesa Alehassalam Ailaan Ferma Rahay Hain (Surah
Al-E-Imran:49) “May Beemaro Ko Shifa Daita Hoon, Maadarzaad Andho Ko Aankhain
Daita Hoon, Bars Kay Mareezon Ko Shifa Daita Hoon, Or May Murdon Ko Zinda Karta
Hoon, (Laikin Aap Khud Wazahat Farmarahy Hain) Beiznillah, Karta May Hon Per
Allah Kay Hukum Say” To Jab Atai Or Zaati Ka Farq Ho Gaya To Barabri Na Hoi Or
Jab Barabri Na Hoi To Shirk Na Hoa.
Rasool-E-Pak صلی اللہ علیہ وسلم Kay Zamanay May Munafiqeen Thay Munafiqeen Bhi
In Cheezo Ko Na Samajh Sakay Or Unho Nay Itni Bari Jurrat Ki Kay Is Farq Ko Na
Samjhnay Ki Waja Say Unho Nay Rasool-E-Pak Per Shirk Ka Ilzam Laga Diya Iski
Tafseel Ka Mutala Karain Hazrta Allama Fakhruddin Raazi Ale Rehma Jinka Wisal
606 Hijri My Hoa Alam-E-Islam Kay Mashhoor Tareen Tafseer-E-Kabeer Jild#4,
Page#150 Beroot Kay Nukhsay May Aap Nay Mufassil Bayan Fermaya Hay. Or Yeahi
Tafseel Tafsser-E-Khazin, Jild#1, Page#405 May Bhi Mojood Hay.
Yahan Per Ye Arz Karon Kay Allah Tala Apnay Naik Bando Ko Muqam Or Martabay Ki
Bulandi Daita Hay, Unhain Taqat O Qudrat Daita Hay Iska Ye Matlab Hay Kay Beshuk
Allah Her Chahat Per Qadir Hay. Voh Jisay Jo Muqam Or Martaba Dena Chahay Voh
Day Sakta Hay. Allah Ki Qudrat Ko Mahdood Na Samjha Jaye. Allah Tala Nay Hazrat
Suleman Alehissalam Ko Kaisi Hukoomat Di, Jinnaat Aapkay Taabay, Hawain Aapkay
Taabay, Parindo Ki Boliyan Aap Suntay Or Samandar May Mojood Machliyon Say Aap
Guftagoo Kartay, Ye Jo Aapko Muqam O Martaba Diya Gaya, Poori Dunya Ki Hukoomat
Di Gai, Aap Hawaon May Urtay, Hawa Aapkay Taabay Thi, Ye Muqaam O Martaba Kis
Nay Diya? Allah Nay Diya. Allah Apnay Bando Ko Jo Muqam O Martaba Day Banday Ko
Chahiye Kay Allah Ki Qudrat Per Yaqeen Rakhay Or Voh Ye Kahay Kay Allah Tala Jo
Chahay Kar Sakta Hay.
(Bukhari: Jild#2, Page#963, Kitab-Ur-Riqaq, Baab Tawado, Hadees#6021)
Hadees-E-Qudsi: Abu Huraira Say Merwi Hay Kay Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Nay
Irshad Fermaya: “Beshuk Allah Tala Fermata Hay Jo Mairay Wali Say Dushmani
Rakhay Ga, Jo Meray Mehboob Banday Say Dusmani Rakhay Ga Us Kay Liye Mera Ailaan-E-Jung
Hay” Mehboob Banday Say Dushmani Kay Kiya Maanay Hay?Mahboob Banday Kay Maqam Or
Martabay Ko Ghatanay Ki Koshish Karna, Allah Nay Unhain Jo Maqam Diya Us Maqam
Ko Tasleem Na Karna, Unki Izzat-O-Tazeem-O-Toqeer Musalmano Kay Dilon Say
Nikalnay Ki Koshish Karna Ye Dushmani Hay. Or Farmaya “Mera Banda Qurb Hasil
Karta Rehta Hay Yahan Tak Kay Voh Faraiz Kay Zarye Meri Baargah May Qurb Hasil
Karta Hay Or Mera Banda Faraiz Kay Baad Nawafil Kay Zarye Mera Qurb Hasil Karta
Hay Yahan Tak Kay May Usay Apna Mahboob Bana Laita Hoon, Or Jab May Usay Apna
Mahboob Bana Laita Hoon To May Uskay Voh Kaan Ban Jata Hoon Jis Say Voh Sunta
Hay, May Uski Voh Aankh Ban Jata Hoo Jis Say Voh Dekhta Hay, Or May Uskay Voh
Haath Ban Jata Hoon Jis Say Voh Pakarta Hay, Or May Uskay Voh Paaon Ban Jata
Hoon Jis Say Voh Chalta Hay Or Agar Mera Ye Maqbool Banda Mujh Say Koi Cheez
Mangay, Sawal Karay, Dua Mangay To May Zaroor Ba Zaroor Uski Duaon Ko Qabool
Fermata Hoon"
Muafassir-E-Kabeer, Hazrta Allama Fakhruddin Raazi Ale Rehma Is Hadees-E-Qudsi
Ki Tashreeh Farmatay Hain (Tafseer-E-Kabeer, Jild#7, Page# 436) “Jab Allah Ka
Naik Banda Musalsal Ibadat Karta Rehta Hay Or Allah Ka Maqbool Ban Jata Hay Or
Phir Voh Us Maqam Per Pohanch Jata Hay Kay Allah Fermata Hay May Uskay Kaan Ban
Jata Hoon, May Uski Aankh Ban Jata Hoon, Iska Matlab Hay Kay Jab Allah Kay Jalal
Ka Noor Uskay Kaan Ban Jata Hay To Voh Qareeb Ki Batain Bhi Sunta Hay Or Door Ki
Batain Bhi Sunta Hay, Jab Allah Kay Jalal Ka Noor Uski Aankhain Ban Jata Hay To
Voh Qareeb Ko Bhi Dekh Laita Hay Or Door Ko Bhi Dekhta Hay Or Jab Allah Kay
Jalal Ka Noor Uskay Haath Ban Jata Hay To Allah Tala Usay Voh Taqat Daita Hay
Kay Voh Qareeb Or Door, Asan Or Mushkil Voh Tamam Kamo Per Qudrat Rakhta Hay Or
Voh Voh Karamatain Dikhata Hay Kay Aqalain Dung Reh Jati Hain" Imam Jalaluddin
Saiyooti Nay Bhi Isi Qisim Ki Tashreeh Bayan Fermai Hay.
Quaran-E-Majeed Furqan-E-Hameed May Bhi Allah Kay Naik Bando Ki Taqat Ka Zikr
Hay, Mulka-E-Bilqees, Mulk-E-Saba Ki Malka Uska Voh Takht Jo 80 Gaz Lamba 40 Gaz
Chora, Sonay Chandi Or Heeray Jawaheraat Say Saja Hoa, 2 Maheenay Ki Masafat Per
Tha, 2 Maheenay Tak Ghora Dorta Rahy Tab Jakar Uskay Faslay Ko Teh Karay, Sakht
Pehray May, 7 Kamron Kay Saath Taalon May Band Tha, Is Per Pehredaar Muqarrar
Kiye Gaye, Hazrat Suleman Alehassalam Nay Apnay Darbariyon Say Farmaya,
Malka-E-Bilqees Meray Pass Aarahi Hain, Unkay Aanay Say Pehlay Tum May Say Hay
Koi Jo Meray Pass Unka Takhat Lay Kar Aaye? Quran Bayan Farma Raha Hay Kay Aik
Taqatwar Jin Nay Kaha K May Lay Kar Aaon Ga. Aap Nay Fermaya Kab Lay Kar Aao
Gay? Kehnay Laga Shaam Honay Say Pehlay Pehlay Lay Aaonga. Aap Nay Fermaya Ye To
Takheer Ho Jaye Gi, Mujhay Is Say Bhi Pehlay Chahiye.(Surah Namal:40) “Kaha Us
Banday (Asif Bin Barkhiya) Nay Jis Kay Paas Kitaab (Zaboor) Ka Ilm Tha, Kaha May
Is Takht Ko Lay Kar Aaonga Aap Ki Palak Jhapaknay Say Pehlay” Hazrat Suleman Nay
Kaha Lay Aao To Asif Bin Barkhiya Nay Forum Hi Takhat Ko Aapkay Samnay Hazir
Kardiya.
Ghor Talab Baat Ye Hay Kay Jab Hazrat Sulemaan Alehissalam Ka Ummati Jis Kay
Pass Zaboor Ka Ilm Hay Uskay Pass Itni Taqat Hay To Allah Kay Mehboob Kay Kamil
Waliyon May Kitni Taqat Hogi Jo Quran Ka Ilm Jantay Hoon Or Phir Sardarul Ambiya
Ka To Kiya Hi Kehna.
Hazrat Abu Bakar Siddiq Radi Allah O Tala Anhu Kay Dor-E-Khilafat May Naboowat
Ka Jhoota Dawa Karnay Wala Musailma Kazzab Us Nay Sir Uthaya Iskay Saath 60
Hazar Foji Thay, Is Jung-E-Yamama May Muslmano Ki Tadad Bohat Kam Thi, Aik Mor
Voh Aaya Kay Muslmaan Sakht Mushkil May Mubtila Hoaye Is Pareshani May Muslmano
Kay Sipah Salaar Hazrat Khalid Bin Waleed Radi Allah O Tala Anhu Nay Huzoor صلی
اللہ علیہ وسلم Ko Madad Kay Liye Pukara, Ibn-E-Kaseer Jinhain Dunya Muhaqqiq
Tasleem Karti Hay Al-Bidaya Wan-Nihaya, Jild#6, Page#24, Voh Likhtay Hain “Us
Waqt In Sahab-E-Karam Ka Ye Shiaar Tha Kay Voh Huzoor Ko Madad Kay Liye Pukar
Rahay Thay” Ab Mujhay Ye Bataye Kay Sahaba-E-Karaam Say Barh Kar Toheed Ko
Samjhnay Wala Or Kon Ho Sakta Hay? Agar Kisi Ko Madad Kay Liye Pukarna Shirk
Hota To Sahaba-E-Karam Hergiz Na Pukartay, Han Itna Arz Kardoon Kay Jab Hum Kisi
Say Madad Mangtay Hain To Ye Aqeeda Honay Chahiye Unhain Jo Taqatain Hain Voh
Allah Ki Ata Say Hain, Allah Ki Ijazat Say Madad Kartay Hain.
Baat Bohat Lambi Hogai Hay Bus Itna Samjh Lain Kay Shirk Jab Ho Ga Kay Jab Hum
Kisi Ki Sift Ko Ye Samjhain Kay Ye Uski Zaati Hay Allah Ki Ata Karda Nahi To
Shirk Hay. (WALLAH ALAM BIS SAWAB)
Allah Say Dua Hay Kay Allah Hamay Quran Ko Sahi Tor Per Samajhny Ki Tofeeq Ata
Farmaye Or Is Mail May Koi Ghalti Ho Gai Hay To Mujhay Maaf Farmaye. (Ameen)