Mein Salman Hun (Episode 98)

(hukhan, karachi)

Bano Ki Ankhein Kheera See Hu Gein ,,,,,,,,,Uss Nay Bhut Hee Kaam Itnay Qimtee Laibaas Aur Zewar Dekhay Thay Usay Apni Nida Ki Kismat Par Rashk Saa Aa Raha Tha ,,,,,,,,,Akhir Uss Ki Betee Ko Ek ,,,,,,Qadardaan Mil Hee Giya Tha,,,,,,,Betiaan Bojh Tu Lghtee Hein Magar Uss Mein Soch Say Zayda Ghurbat Ka Qasoor Huta Hay......Magar ,,,,,Ye Bojh Apnay Ghar Bas Jaye Aur Harbhary Darkkhat Ki Tra Lahlhalta Rahay Tu Maa Baap Kay Liye Ek Rahat Ka Baies Ban Jata Hay ,,,Wesay Tu Zendeghi Bhar Khushi Gham Ki Dhoop Chaown Lagee Rehtee Hay ,,,,,,,,,,,Magar,,,,,,,,Betee,,,,Bhut Hee Nazuk Sa Pouda Huta Hay,,,Jis Ki Afzaiesh Koi Betee Wala Hee Samajh Pata Hay,,,,,,,,,Nida Tu Pher Bee Sabir Larki Thee,,,Umar Ki 30 Say Zaied Baharein Dekhnay Kay Bawajoudh Uss Nay Koi Asa Kaam Na Kiya Tha Kay Uss Kay Maa Baap Ka Sar Jhuk Jaye,,,,,Jsay,,,Nida Ko Ilm Hu,,,,,Kay Jin Ki Betian Sar Utha Kay Chaltee Hein Un Kay Maa Baap Ka Sar Jhuk Jata Hay,,,,,,,Jin Ki Betiaan Sar Jhuka Kay Chaltee Hein Un Ka Maa Baap Umar Bhar Sar Utha Kay Chaltay Hein,,,,Muhbat Bee Uss Kay Seenay Mein Asay Pal Rahee Thee Kay Kabi Bee Us Nay ,,,,,,Khudsar Nahi Hunay Diya Tha,,,,,,,,Zendeghi Ko Wo Uss Ki Asal Tasveer Mein Hee Dekhtee Thee,,Kabi Bee Ounchay Khabh Apni Ankhun Ko Dekhnay Ki Ijazat Naa Dee Thee Uss Say Kahein Chotee Uss Ki Reshtadaar Larkian Kai Kai Bachun Ki Maa Ban Chuckee Thee ,Magar,,Uss Nay Apnay Waqt Ko Kabi Bee Bura Nahi Kaha Tha Na Hee Kabi Koi Naam Uss Kay Dil Kay Rastay Zubaan Par Aya Tha ,,,Bas,,Wo Apnay Dil Ki Sargoshi Ko Hee Sun Liya Kartee Thee,,,,Usay Bee Surmaee Shaam,,,,Gungunatee Hawa ,,,,,Barastee Barish Bhut Achee Laghtee Thee,,,,Magar ,,,,,Dil Ko Samjha Laita Hun,,,,,Han Usay Khud Mein,,,Pukaar Laita Hun,,,,,,,,,,,,Wala Mamlaa Tha,,,,,Chai Kay Bartan Samaiet Kay ,,,Wo Saans Lainay Ko Zara See Ruk Gaee,,,,,Wo Khud Mein Iljhee Huee Thee,,,,Salman Say Koi Umeed Na Thee,,,,,,,,Uss Ki Nazar Mein Jabh Say Salman Beemar Hua Tha ,,,,,,,Khud Say Aur Sab Say Uktaya Hua Sa Rehta Tha,,,,,Jasay Uss Kay Andar Koi Jang Chal Rahee Hu,,,Maa Nay Nida Ko Sochun Mein Gumm Dekha Tu,,,,,Piaar See Boli,,,,,,,,Nida Thak Gaee Hu,,,,,Pher ,,,Bano Ki Ankhun Mein Ek Chamak See Paida Huee,,,,Chahak Kay Boli,,,,,,,Baitaa Kapray Aur Sab Samaan Bhut Acha Aur Qimtee Hay,,,,,,,Bhut Achay Dil Ki Larki Hay,,,,Allah,,,Uss Ki Har Muraad Pori Kray,,,,,,,,Nida Nay Apni Maa Ko Khali See Nazrun Say Dekha,,,,,,,,Jasay Wo Uss Kay Aur Salman Kay Beech Qun Aa Gei Hu,,,,,,,,Nida Faisla Kun Lahjhay Mein Boli,,,,,,,,Nahi,,,,,,,,,,Maa ,,,,,,,,Rozi Ki Sab,,,,Pori Hun,,,,,,,,,Magar Salman Wali Na Murad Hee Rhay,,,,,,,,,,Maa Nay Hairat Say Betee Ko Dekha,,,,,,,,,(Jaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254134 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.