Sehri ki Dua
Youn to Sehri ki Dua parhna lazmi nhe he blke dil me niyat karne se roza hojata he lekin Sehri ki dua parhna Sunnat e Nabwi he. Dil me niyat karlena se apka roza qaim hojaega lekin Sehri ki dua parhne se zuban se irada ki tasdeeq hojati he or shak ki koi gunjaish baki nhe rehte. Roza rakhne k lye Sehri ki dua ye he “Wa bisawmi ghadinn nawaiytu min shahri ramadan” jis k maene hain “ or mene mah e Ramzan k kal k roze ki niyat ki.” Dua parhne k bad ap aftari k waaqt tk Kuch kha or pe nhe sakte.
Sehri khaana Sunnat e Nabwi or wese bhe Sehri karlene se insan doran e Roza kamzori mehsos nhe karta he. Sahi Bukhari Shareef se Riwayat hai k Rasool-e-Pak sallallahu alaihi wa alaihi wasallam ka Farmaan he kai “Sehri khaya karo,kunke Sehri khane me barkat he”.
Sehri ki Dua:
وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ
"or mene mah e Ramzan k kal k Roze ki niyat ki”

Sehri karne k bad Sehri ki dua parh lene mustahib he lekin agar nhe parhi or dil me irada karliya to bhe Roza Qaim hojaega. Sehri ki dua khane k foran bad ya Sehri ka Waqt Khatam hone se phle parhni chahye.