Zarurten Insaan Se Barhi Hoti Hain. . .

(Shohaib Haneef, Karachi)

Aik Dafaa Ka Zikar Hai Ke Aik Darbaar Mein Is Baat Par Behas Chirr Gayi Ke Zarurten Insaan Se Bohat Kuch Krwati Hain. Aur Kabhi Kabhi Insaan Woh Bhi Kar Jata Hai Jis Ke Baare Mein Insaan Soch Bhi Naahi Sakta. Yaha Tak Kay Khud Ki Zindagi Ko Bhi Khatray Mein Daal Deta Hai. Yeh Behas Darbaar Kay Alasalhakar Jis Ka Naam Zahir Tha Or Waha Kay Wazeer Mein Ho Rahi Thi Jis Ka Naam Qasim Tha. Qasim Wazeer Bhi Tha Aur Badshah Is Ki Baat Ko Manta Bhi Tha .Qasim Ki Aadat Thi Behas Ki Aur Bana Soochey Samjhay Boltaa Tha Aur Log Is Liya Sun Bhi Letay Thay Ky Yeh Wazeer Bhi Hai Or Badshah Is Ki Bohat Suntay Hain. Is Ke Bar-Aks Zaher Zahien Aur Taiz Dimag Or Dheema Insaan Tha .Chonacha….. Qasim Ny Zaher Se Kaha Ke Aisa Ho Hi Naahi Sakta Ke Koi Insaan Apni Zindagi Ko Khatray Mein Daal Day Sirf Aik Zaroorat Ky Liya. Mein Naahi Manaata Agar Asa Hai To Is Baat Ko Saabit Kar Ke Dikhaen , Is Par Zahir Ny Kaha Theek Hai Mein Ap Ko Yeh Baat Saabit Kar Ke Dekhata Hon Or Phir Zaher Ny Badshah Ko Yeh Baat Batayi Aur Kaha Ke Mujhe Yeh Baat Saabit Karne Ka Aik Mauqa Den Badshah Ny Kaha Theek Hai Kahiya Kya Kehna Hai Zaher Ny Kaha Badshah Salamat Mein Jaissa Kehta Hon Wasay Aap Aik Elan Karwa Den Ke Jo Koi Bhi Is Saltanat Ke Kinare Jo Neher Hai Is Mein Jo Koi Bhi Poori Raat Khara Rahay Ga Mein ( Badshah ) Is Ko So(100) Sonay (Gold) Kay Sakay Doonga ( Yha Mein Batata Chaloon Ke Jis Nehar Ki Baat Ki Jarahi Hai Yeh Bohat Hi Thandi Nehar Hai Kyun Ke Is Nehar Kay Andar Pani Aik Pahar Se Ata Hai Jo Barf Se Dhaka Hoa Ha Ab Zahir Hai Ke Pani Bohat Hi Thanda Hoga Yahi Wajah Hai Jo Yeh Shrt Rakhi Gayi Hai ). Chonacha Elan Darbaar Ke Qareeb Aik Bazaar Mein Kya Gaya Ke Ziyada Afraad Is Elan Ko Sun Saken.Elan Bohat Se Logon Ny Suna Or Aapas Mein Baatein Honay Lagi Ke Kon Pagal Hai Jo Is Nehar Mein Poori Raat Aik Hi Jagah Khara Rahay .Is Douran Waha Par Sagheer Nami Aik Pachaas Pachpan (50 55) Sala Aik Aadmi Waha Kuch Samaan Utha Raha Tha Or Yeh Elan Is Nay Bohat Ghoor Se Suna Or Wah Se Chala Gaya Is Elan Ke Baad Sab Darbaar Mein Tabsarah Kar Rahay Thy Ky Dikha Badsha Salamat Yaha Koi Naahi Aeyga Aur Zaheer Bohat Par Umeed Tha Ky Aisa Ho Naahi Sakta Ke Koi Insaan Nahi Aaye. Kher Waha Abhi Behas Hi Chal Rahi Thi Ke Koi Naahi Aeayga Ke Achanak Sagheer Agaya Wohi Sagheer Jo Bazaar Mein Samaan Utha Raha Tha Or Is Ni Elan Bohat Ghoor Se Suna Tha Sagheer Ki Umar Dekh Kar Koi Samjha Hi Naahi Ke Yeh Yaha Kis Kaam Se Aaya Hai… Darbaar Mein Andar Badshah Ke Qareeb Aa Kar Sagheer Ny Kaha Ky Badshah Salamat Ko Mera Salam … Badshah Ny Kaha Ke Kaho Kya Baat Hai Or Kon Hain Aap Sagheer Ny Kaha Mein Yaha Aap Ki Saltanat Mein Hi Rehta Hon Samaan Waghera Utha Taa Hon. Mein Yeh Elan Sun Kar Yaha Aaya Hon Or Mein Yeh Kaam Karne Ko Tayyar Hon Yeh Alfaaz Suneney They Ke Waha Ke Log Haka Bakka Reh Gayee… Badshah Kay Kuch Kehnay Se Pehlay Hi Qasim Bola Kya

Aap Pagal Hain. Ya Dimagi Tawazun Kharab Hai. Ap Ko Pata Bhi Hai Wo Nehar Kis Qader Yakhbasta Ha Thandi Hai Subha Sooraj Niklny Ke Baad Hamari Is Saltanat Ke Sipahiyon Ke Sath Jo Hannti (Elephant) Hain Wo Bhi Is Pani Mein Jany Se Ghabrate Hain Or Aap To Aik Pal Naahi Reh Payenge Aap Kya Poori Raat Rahaingy Aik Pal Bhi Naahi Reh Satke Is Nehar Mein. Saghir Ny Kaha Mein Yeh Apni Marzi Se Kar Raha Hon Mujhe Yeh Kaam Karne Diya Jaey. Qasim Phir Bola Ke Isi Kya Zaroorat Hai Jo Aap Ko Yeh Kaam Karna Hi Hai Saghir Ni Kaha Meri Aik Beti Hai Is Ki Shadi Teh Ho Chuki Hai Or Main Ni Is Ki Shadi Karni Hai Mera Koi Beta Naahi Hai Meri Biwi Bohat Bemaar Hai Is Ka Ilaaj Karwana Hai Qasim Phir Bola Ke Aap Ki Yeh Saari Zarurten Badshah Salamat Poori Kar Satke Hain Aap Badshah Salamat Se Madad Le Satke Hain Is Par Badshah Ny Kaha Ke Haan Aap Kahain To Mein Yeh Sab Zarurten Poori Karwa Deta Hon. Is Sagheer Bola Naahi Janab Mujhe Bheek Naahi Chaeya Main Bheek Nhi Longa . Mein Yeh Kaam Kar Ky Hi Inaam Ki Rakam Lunga. Qasim Phir Bola Yeh Kya Pagal Pan Hain Aap Ko Badshah Salamat Day Rahay Hain Bas Aap Le Len Lekin Sagheer Phir Bola Naahi Is Bheek Se Acha Hai Mein Mar Jaon Jo Insaan Kaam Ky Kabil Ho Or Wo Kaam Naahi Kere Or Bheek Mangay Is Se Behtar Hai Mar Jaey Wo. Yeh Baat Sun Kar Zaheer Ki Aankhon Mein Aik Chamak Se Aagai Or Wo Agay Barha Or Kaha Sagheer Chacha Mein Aap Ky Jazbaat Ki Qader Karta Hon Bohat Izzat Karta Hon Aap Ky Hosalay Ki Bhi Lekin Aap Aik Baar Or Soch Len Nehar Ka Pani Be Had Thanda Hai Aur Raat Ke Waqt Or Bhi Thanda Hota Hoga Sagheer Ny Kaha Naahi Janab Mein Ye Kaam Kar Lunga Or Koi Chara Bhi To Naahi Hai Phir Aik Raat Ki Hi Baat Hai Agar Mein Mar Bhi Gaya To Dukh Naahi Hoga Mujhe Yeh Kaam Karne Diya Jaey . Kher Qasim Phir Bola Ke Yaha Baatein Karna Bohat Asaan Hai Lekin Ye Kaam Karna Bohat Mushkil Is Par Sagheer Ni Kaha Ke Mein Sirf Dawa Hi Naahi Kar Raha Hon Qasim Sahib Mein Ye Kaam Kar K Dikhoga Khair Raat Hogi Or Phir Sub Log Waha Nehar Ky Kinare Chal Diya Badshah Bhi Qasim Bhi Zaheer Bhi Or Sagheer Bhi Or Baqi Sepahi Bhi Waha Pooch Kar Qasim Ny Kaha Ke Raat Mein Koi Chalaki Naahi Kejiya Ga Or Aap Koi Chalaki Naahi Karen Is Liya Hum Ni Yaha –Apne Sepahi Kharay Kar Diya Hain Ab Sagheer Apny Kapray Utar Kar Sirf Aik Dhoti Mein Pani Mein Uthar Gaya Aur Sagheer Ky Paas Zaheer Betha Raha Or Badshah Ko Kaha Mein Yaha Hi Rahoonga Zaheer Or Sepahi Wahein Rahay Baqi Sab Chalay Gay Or Raat Ka Waqt Shuru Hogaya Or Neher Or Bhi Thandi( یخبستہ ) Hogayi Zaheer Baar Baar Aawaz Deta Ke Bus Kuch Waqt Or Sagheer Chacha Aap Hosla Rakhen Allah Pak Ko Yaad Karen Sagheer Kampta Raha Or Pani Mein Khara Raha Or Dikhtay Dikhtay Zaheer Sogya ….Wahein Baithy Baithy Sepahi Nazar Rakh Rahay They Ke Kahin Sagheer Pani Se Bahar Naahi Ajae Or Phir Dikthe Dikhtay Subha Ka Sooraj Niklny Laga Aur Sagheer Aik Hi Jaga Khara Raha Poooray Raat Or Subha Hotay Hi Zaheer Ki Aankhh Khol Gayi Is Ni Sagheer Chacha Ko Dikha To Bohat Khush Hoa Or Kaha Aap Ny Kar Dekhaya. . …..Aankhon Mein Ansoo Thy Dono Ky. Itnay Mein Badshah Salamat Or Qasim Aagaye Aur Dekh Kar Heran Reh Gay Ke Yeh Hoa Kaisay Or Qasim Bola Yeh Na Mumkin Hai Aap Ny Raat Mein Koi Chalaki Ki Hogi Sagheer Ko Pani Se Nkalni Ke Liya Zaheer Ny Kaha Or Sepahi Jaldi Se Gay Pani Mein Aur Saghir Ko Bhar Nikal Liya Aur Sagheer Betahasha Khush Tha Or Bohat Ro Bhi Raha Tha Kkhuda Ka Shukar Ada Kya Or Zaheer Ny Saghir Chacha Ko Chadar Di Aur Kapray Bhi Diya Or Sagheer Se Qasim Ny Poocha Ke Yeh Hoa Kaisay Sagheer Ny Kaha Mein Raat Bhar Allah Pak Ko Yaad Karta Raha Or Apna Dihan Btane Ke Liya Duoor Aik Jhompari Mein Jaltay Diye Par Dihaan Diya Or Ye Mehsoos Kya Ke Yeh Roshni Mujhe Energy Day Rahi Hai Or Is Tarha Meri Raat Kat Gayi. Qasim Foran Bola Yahi To Badshah Salamat Is Ny Aik Dour Jaltay Dyie Ki Roshni Se Taaqat Haasil Ki Hai Is Liya Is (Thandi یخبستہ )Nehar Mein Zinda Bach Gaya. . Is Ko So (100) Sonay Ky Sekay To Kya Aik Bhuti Kori Bhi Naahi Milni Chaiye Sagheer Bohat Ronay Laga Or Zaheer Ny Kaha Ke Yeh Kya Bachon Wali Baat Kar Rahay Hain Janab Unho Ni Sirf Usay Mehsoos Kya Apni Soch Ko Is Thand Se Bahhar Niklny Ke Liya Or Aap Hain Ky. .. .. Qasim Bola Mujhe Yeh Bitayen Ke Yeh Baat Teh Hui Thi Ky Naahi Ky Kisi Bhi Cheez Ka Sahara Naahi Liya Jaaiga Zahir Bola Haan Par. .. .. . Qasim Bola Bus Badshah Salamat Is Ny Sahara Hi Naahi Balky Poori Ki Poori Energy Li Hai Dyie Ki. Zaheer Bolnay Ki Koshish Karta Raha Lakin Is Ki Aik Nahi Maani Gayi Or Badshah Or Qasim Sub Logon Ke Sath Wapas Drbar Main Chaly Gaye.. Ab Sagheer Chacha Or Zaheer Hi Bachay Waha. Sagheer Bohat Ro Raha Tha Ke Mein Ny Poori Iman Dari Se Yeh Kaam Kya Hai Or Puri Raat Mein Is Pani Thanday Pani Mein Khara Raha Mujhe Is Ka Inaam Bhi Naahi Mila Main Ny Apni Zindagi Khatrah Mein Daal Di Or Mujhe Kya Mela Zaheer Bhi Bohat Uffsurdaha Tha Or Zaheer Ny Bhi Thaan Li Ke Main Unhay Inaam Ki Rakam Dilwa Kar Hi Rahon Ga. . Khair Agla Din Charha Or Zaheer Ghar Main Pareshan Betha Tha Kuch Kha Pi Naahi Raha Tha Darbaar Bhi Naahi Gaya Tha Zaheer Ki Biwi Boli Kya Baat Hai Aap Itnay Gum Summ Kyun Hain Kya Baat Hai Zaheer Bola Mein Chacha Sagheer Ko Le Kar Pareshan Hon Or Main Un Ko Inaam Dilwa Kar Hi Rahoonga. . Sagheer Chacha Ke Sath Bohat Ghalat Hoa Hai. Zaheer Ki Biwi Boli Haan Jee Aap Theak Bol Rahay Hain.Lakin Kia. Keya Ja Sakta Hai Ab Jaissa Un Ka Naseeb Kher Aap Chorain .Allah Pak Sub Theak Kar Dega. . Zahir Bola Naahi Mein Naahi Khaoga Dil Naahi Hai Zaheer Ki Biwi Gussa Hui. Is Ki Aawaz Sun Kar Maa Boli Kya Baat Hai Zaheer Ki Biwi Boli Dekhen Na Ye Khana Naahi Kha Rahay Kab Se Wase Hi Rakha Hoa Hai Khana. Ab Sirf Plate Dekhnay Se Hi Pait To Naahi Bhar Jaaiga Na. .. . Yeh Sun Kar Zaheer Kay Kaan Kharray Hogye. . Aur Zahir Bola Ke Kya Kaha Tum Ny Zahir Ki Biwi Boli Sahi To Kaha Hai. . Sirf Khanay Ki Plate Ko Dikhtay Rehne Se Pait Naahi Bharta. . Zahieer Ke Dimagh Mein Aik Tarkeeb Aayi Or Is Ni Kaha Ke Mein Aata Hon. . Or Khana Wase Hi Chore Kar Seedha Darbaar Gaya Or Badshah Ko Salam Keya Or Badshah Ny Kaha Ke Tum To Aaj Chhutti Par Ho Aaj Kaisay Aagaye. Zaheer Bola Main Yaha Is Liya Aaya Hon Ka Main Aap Logon Ko Khanay Ki Dawat Day Sakun. .Or Ye Dawat Kyun Di Hai Yeh Dawat Ky Aakhir Main Baatoon Ga Khair …..Aap Ko Or Aap Ki Doono Biwion Ko Or Qasim Sahib Ko Or Kuch Or Logon Ko Meri Taraf Se Bulawah Hai Badshah Ny Or Qasim Ny Kaha Theak Hai Hum Zaroor Aaye Ge Aur Phir Zaheer –Apne Ghar Chala Jata Hai. Hai Or Ghar Ja Kar Apni Biwi Or Maa Ko Sub Batata Hai. Or Wo Kya Karne Ja Raha Hai Yeh Bhi Batata Hai. .. .. Chonacha…..Ghar Mein Khana Wagera Banaya Jata Hai Or Methayan Bhi Or Sath Hi Sath Koi Bhook Lagani Wali Lassi Ya Chachh…... Bhi Tayyar Hui Jis Se Bhook Mein Mazeed Izafah Ho. Khair Lassi Sub Ko Di Jati Hai Or Qasim Do Glass Pi Laita Hai Ky Ab Dawat Mein Sahi Se Khana Khaoga. .. .Or Phir Sub Khanay Ka Intzaar Karte Hain Ke Kab Aayega Khana. Khanay Ki Khusbhoo Bhi Aa Rahi Hoti Hai Bohat. . Or Is Khusbhoo Se Bhook Mein Or Bhi Izafah Hojata Hai. Behar Haal Khana Ajata Hai Or Sub Shuru Karte Hain Sewaey Qasim Ky. Ab Qasim Ny Lassi Chchh Ky Do Glass Piye Hotay Hain Or Bhook Se Jaan Nikal Rahi Hoti Hai Woh Kehta Hai Mujhe Kyun Naahi Diya Khana Zaheer Kehta Hai Aap Ke Liya Aik Khaas Kism Ka Khana Banaya Hai Khaas Aap Ke Liya. Bas Abhi Ajaega Zara Sa Sabr Kiijiye. Khair Kuch Der Guzar Jati Hai Or Khana Naahi Aata Qasim Bohat Aag Bagola Hota Hai Ke Ye Kya Mazaq Hai Sub Kha Rahay Hain Or Main Bhuka Betha Hon Zaheer Pher Kehta Hi Bus Agaya Khana Or Phir Samnay Door Aik Pateela Rakh Diya Jata Hai Or Kaha Jata Hai Ky Janab Qasim Sahib Khanay Ki Khusbhoo Aa Rahi Hai Qasim Kehta Hai Haan Haan Aa Rahi Hai Or Sath Gussa Bhi Hota Hai Ke Yeh Kya Mazaq Hai Hamein Khana Day Do Bhook Se Hamari Jaan Nikal Rahi Hai Baar Baar Khusbhoo Aa Rahi Hai. Khusbhoo Aa Rahi Hai. .. Ke Rahay Hain. ..Lakin Khana Naahi Day Rahay Hain. .. Is Par Zaheer Bola Janab Mauf Kijiya Ga .Khana. .. .. .. Lijaya Agaya. .. .. .. .. Shuru Kijiye…... Qasim Kehta Hai Khana Doge To Khaengy Na. .. . Zaheer Kehta Hai Mauf Kijiyaga Khana Samnay Rakha Hoa Hai Shuru Karen. .. Qasim Kehta Hai Ye Keya Mazaq Hai Dour Rakha Hoa Khana Main Kaisay Kha Sakta Hon Khana Hamein Plate Main Deingay Phir Hi Khaengy Na. .. .. .. . Zaheer Bola. . Arrey Qasim Sahib Ye Kaise Baat Kar Rahay Hain. . Wase Hi Jis Terhan Sagheer Chacha Ny Dour Rakhay Dyie Se Energy Li Thi. .. . Is Par Qasim Chup Or Sharmsaar Hoa .. Or Phir Zaheer Ny Qasim Se Poocha Ke Janab Mujhe Ab Ye Bta Den Ke Agar Dour Rakhi Hui Thaali Ko Dekhnay Se Pait Naahi Bharta To Phir Daur Rakhay Huve Dyie Se Koi Kaisay Energy Le Sakta Hai. .. .. .. .. .. .. Ab Sagheer Chacha Inaam Ky Haqdaar Hain Ya Naahi? Or Anho Ny Koi Chalaki Ya Be Imani Naahi Ki. Qasim Bola Haan Mein Maanta Hon Ke Sagheer Chacha Enaam Kay Haqdaar Hain Or Unho Ni Koi Chalaki Naahi Ki Or Un Ko Un Ki Zaroraton Ny Ye Sub Karne Par Majaboor Kya. ..Or Wo Haqdaar Bhi Hain Unhein Inaam Bhi Milna Chaeya. Khair Is Tarha Sagheer Chacha Ko Un Ka Inaam Mela Or Qasim Ko Khana. .. .. .. .. Phir Ja Kar Kahin Zaheer Ny Sakoon Ka Saans Liya. .. .. .. .. Doston Zarurten Insaan Ko Itna Majaboor Kardeti Hain Hain Ke Insaan Woh Bhi Kar Jata Hai Jo Kabhi Kaise Nay Socha Naahi Hota.Lakin Kisi Bhi Haal Main Mehnat Or Khudari Ko Naahi Chodain Allah Pak Sub Ke Liye Aasanyan Peda Farmaiye Or Aasaniyan Agay Bhi Taqseem Karni Ki Tofeeq Bhi Ataa Farmae Ameen ….

Shohaib haneef
About the Author: Shohaib haneef Read More Articles by Shohaib haneef: 17 Articles with 45861 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.