Soraj Talu Ho Chukka Tha. Us Ki
Narm O Nazuk Kirno Mai Ab Halki Halki Chubhan Paida Ho Rahi Lagi Thi. Neelay
Neelay Samandar Par Aashkar Aaftaab, Chamkta Damakta, Aik Roohani Manzar Paish
Kar Raha Tha. Vaisay B Jab Ta-Had-E-Nigah Paani Hi Pani Ho, La Mehdood Aasman Ho
Or Aankhain Chundhiya Denay Vala Sooraj, To Manzah Seher Angaiz Ho Hi Jata Hai.
Saray Jahan K Adeeb O Musavir Zindagi Bhar Yehi Manzar Kai Kai Tarha Say Paish
Kartay Jatay Hain… Magar Is Manzar Ka Jadoo Maand Nahi Parhta… Fitrat Say
Mohabbat Karnay Valay Har Shakhs K Liye Ye Aik Mehv Ho Janay Vala, Doob Janay
Vala Manzar Hota Hai…
Sahil E Samandar Par Lehrain Barh Barh Kar Majdi K Jism Ko Choo Rahi Thi… Vo
Vahin Sahil Kinaray Raat K Kisi Pehr Say Parha Tha. Un Shaitaan K Pojariyo Nai
Koi Kimiyai Mada Us Ki Ki Rago Mai Dakhil Kar K Usay Baihoosh Yaha La Phaika…
“Majdi Ander Aao”
“Majdi Andar Aao”
Majdi Ka Dil Zor Zor Say Dhadhaknay Laga. Vo Khaab Mai Hai? Ya Jaagta? Ye Farq
Karna Na Mumkin Ho Raha Tha. Us K Liye Aisa Hi Manzar Us Ki Ankhon K Samnay Tha
Jaisa Pichli Raat Ko Us Nai Mushahida Kia Tha…
Khoon K Piyalay Mai Ungliya Dobo Dobo K Us Chadar Par Dali Ja Rahi Hai…
Phir Vo Chadar Aik Jhatkay Say Utaar Phaiki Jati Hai…
Or Vohi Baphomet Ka Mujasima… Vo Aadha Insane Or Aadhay Bakay Ki C Shakal Ka Aik
Shaitaaan…
Jis Ki Ankho Mai Aik Jaan Parh Gayi... Or
“Majdi Andar Aao”
“Hah! Aik Jhatkay K Sath Majdi Ki Aanjhain Khul Gai…
“Haye! Ye Mai Kaha Ho… Kia Karaha Ho… Ye Sab Kon Hai? Kia Mai Maar Chukka Hon?
Kia Mai Zinda Hon? Ye Pani? Ye Lehron Ka Shoor? Ye Konsi Jagah Hai? Mai Yaha
Kaisai Aaya? Kia Ye Duniya Hi Hai? Kia Is Jahan May Meray Siwa B Koi Hai…” Majdi
Apnay Hatho Ko Samandar Ki Surmai Rait Par Dhunsaye Apna Chehra Jhukaye Pareshan
Khayalaat Mai Doooba Hoa Tha…
Vo Kuch B Samajhnay Say Qasir Tha…
Ye Sab Kia Hoa… Kis Nay Kia? Vo Yaha Kaisay Pohuncha… Kal Us Nai Kaisa Bhayanak
Manzar Daikha… Vo Hawas Bakhta Tha… Kisi Majzoob Insane Ki Tarha… Kisi Aisay
Shakhs Ki Tarha Jisay Shaitan Nay Choo Kar Khabt May Mubtala Kar Dia Ho!!!
Majdi K Bazo Us K Dharh Ko Mazeed Sahara Na Day Paye… Vo Phir Chit Rait Par Gir
Gaya. Us Ka Sara Badan Geela Tha Sab Kaprhay Pani Say Bheegay Hoaye Thay… Us Nai
Aakhain Band Ki Or Apna Aik Hath Apnay Seenay Par Rakh Kar Apni Beqabo Dharhkano
Ko Sahara Denay Ki Koshish Ki… Us Ka Hath Us Ki Dil Ki Dharhkan Mehsoos Kar K
Halki Halki Jumbish Lay Raha Tha…
“Astaghfiruallah” Ya Allah Meri Madad Kar… Majdi Nai Aakhain Kholi Or Rootay
Hoaye Aasman Ki Taraf Daikh Kar Aik Sada Lagai… Vo Siskiya Lenay Laga… “Haye… Ye
Meray Sath Kia Hoa Gaya…” Majdi Deewana Var Aah Va Zari Kar Raha Tha… “ Ya
Allah!!!!” Bus Aik Yehi Naam Tha Jis Ki Sada Laga Laga Kar Usay Sakoon Mil Raha
Tha… “ Aye Allah”… Majdi K Sir Mai Dard Ki Aik Tees Uthi… Us Nai Apna Vohi Hath
Seena Say Uthaya Or Usay Aponay Mathay Par Rakh K Usay Zoor Say Dabaya…
“Haye…” Vo Youn Gehray Gehray Sans Lena Laga Jaisay Us Ko Sans Lenay May
Dishvari Ho Rahi Ho…
“Haye” Vo Utha Or Phir Beqabo Ho Kar Gir Parha. Magar Ab Ki Bar Us Ka Sir Sajday
May Parha Tha…Vo Apna Matha Samandar Ki Rait Par Ragharh Raghar K Roo Raha Tha.
Usay Is Tarha Say Sakoon Mil Raha Tha… Pani Ki Aik Lehr Aai Or Us K Sajday May
Parhay Sir Ko Choom Lia…
Door Gehray Samandar Say… Sooraj Ki Aab O Tab Sath Liye… Koi Ahista Ahista Sahil
Ki Janib Barhnay Laga…
Majdi Ka Sir Youn Hi Sajday May Parha Tha…
Youn Lag Raha Tha Jaisay Us Behr E Betab Mai Us Hasti K Wajood Nai Aasman O
Zameen O Aaftab O Aab Sab Ko Apni Lapait May Lia Hoa Hai… Janay Vo Samndar Say
Ubhra Tha K Aasman Say Nazil Hoa Tha… Ya Aaftab Ki Rooshni Say Takhleeq Tha… Us
Ki Aik Kiran Samndar Ki Gehraiyoo Say Jorhi Thi To Doosri Aasman Ki Bulandiyo
Mai Ghaib Ho Rahi Thi… Kahi Vo Zameen Shaq Kar Rahin Thi To Kahi Aaftaab Ko Maat
Day Rahi Thi… Phir Vo Khud Ko Samait-Ta Hoa Lahrata Jhomta Pani Ko Cheerta Agay
Anay Laga… Phir Or Agay Aaya… Or Qareeb… Phir Us K Qadam Sahil Par Phailay Pani
Say Takrai Or Aik Uchaal K Sath Pani Nay Charon Oor Aik Favvara Bana Dala… Phir
Doosra Qadam … Or Pani Phir Uchal Gaya… Majdi Ko Kuch Anhoona Sa Ihsas Hoanay
Laga… Jaisay Kuch Ho Raha Ho… Us Nay Aik Tawanai C Apnay Aas Pass Mehsoos Ki...
Akhir Kar Us Nay Apna Rait Mai Ata Chehra Uthaya… Or Samnay Daikha… Or Vo
Daikhta Hi Reh Gaya…
Koi Samandar Say Nikal Kar Us K Qareeb Aa Raha Tha… Vo Kon Tha…??? Majdi Satpata
Kar Reh Gaya.. Us Ki Aankhain Palak Jhapakna Bhool Gayen…Ab Vo Roohani Wajood Us
K Aain Samnay Aa Gaya Tha… Chehray Par Kuch Anhoonay Taasorat Liye… Jaisay Koi
Dil Hi Dil Mai Muskura Raha Ho… Us K Hoothon Par Chup Ho Magar Aankhain
Muskurati Hon… Us K Hath Mai Aik Asaa B Tha… Or Sir Pay Aik Barhi C Safaid Rang
Ki Chadar Jo Har Taraf Say Pani Mai Tair Rahi Thi.Un Ki Bohut Baarhi Darhi Thi.
Taqreeban Seenay Tak. Vo Achay Dail Dool Ki Malik Shakhsiat Thin… Majdi Ka Moo
Khula Ka Khula Reh Gaya Jaisay Vo Koi But Ban Gaya Ho…!
Unhon Nay Aik Akhri Qadam Majdi Ki Taraf Barhaya Or Phir Sakit Kharay Ho Gaye…
Majdi Apnay Ghutno K Bal Hatho Ki Ungliyo Ko Aik Dosray May Dalay Youn Taktaki
Bandhay Unhay Daikh Raha Tha Jaisay Vo Apni Ibadat K Dooran Church Mai Kiya
Karta Tha. Unho Nai Apna Daya Hath Uthaya Or Majdi K Sir Par Shafqat Say Rakh
Dia Phir Usi Hath Ko Us K Galoo Say Phairtay Hoaye Us Ki Thoorhi Tak La K
Neechay Chorh Dia… Phir Vo Halka Sa Muskuraye.
“Salaamun Qaulum Mir Rabir-Rahim” Aisa Laga K Un Ki Awaz Sari Kainaat Mai Goonj
Gai Ho.
“Salamun Qaulumir Rab Ir Rahim”
هیچ دیدی نمیتواند او را درک کند
او می تواند تمام دیدگاه را درک کند
“Nazrain Usay Pa Nahi Sakti Magar Vo Nazron Ko Pa Jata Hai!”
“Tab E Bashr Nahi Deedar E Rehman
Tehqeeq Kia Tu Nai Mushahida E Shaitan”
“Salamun Qaulum Ir Rab Ir Rahim”
“Salamun Qaulum Ir Rab Ir Rahim”
“Salamun Qaulum Ir Rab Ir Rahim” Yehi Vird Parhtay Parhtay Vo Husti Majdi Say
Fasla Karnay Lagi. Or Youn Mehsoos Hoa Jaisay Vo Samandar K Pani Mai Ghultay Ja
Rahay Hon… Daikhtay Hi Daikhtay Vo Mehz Aik Aks Reh Gaye Jo Pani Par Tair Raha
Tha Or Phir Youn Hi Halki Halki Jumbish Leta Door Daraz Samandar K Andar Chala
Gaya…Jaha Kahi Aasman O Zameen Miltay Hoaye Dikhai Detay Hain…