Nafs e zakia 32

(Kishwer Baqar, Karachi)

Dilavar K Ghar K Qareeb Parking Nahi Mil Rahi Thi. Magar Kuch Faslay Par Mil Gai. Mai Nai Vohi Car Park Kar Di Or Paidal Hi Us K Ghar Ki Taraf Barhnay Laga. Ajeeb Sa Lagta Tha Us K Is Ghar May Aa K. Bachpun Say Vo Log Hamaray Parhosi Rahay Thay. Or Phir Hamari Ankho K Samnay Us Ka Ghar Bikhar Gaya. Khair, Dilavar K Sath To Jo Kuch Hoa Us Ka Poora Zimadar Vo Khud Tha. Aisa B Ghair Zimadar Nahi Hona Chahiye. Har Kam Ki Aik Umer Hoti Ai… Vo To Aisa Laubali Tha Jaisa Koi 22 23 Sal Ka Larhka Ho. Ayashiyo Ki B Lat Younhi Hoti Hai Jaisay Kisi B Nashay Ki Lut… Banday Ko Ayashiyo Ka Chuska Parh Jaye To Is Ka Nasha Utarta Nahi…

Baharhal Ius Say Mujhy Aik Qurbat To Thi Hi… Beshak Hamari Tabiyato Mai Zameen Aasman Ka Farq Tha . Mai Bohut Hasas Or Vo Bilkul Careless Tha Magar Itna Arsa Aik Dosray K Sath Guzara Tha, Aik History Ban Jati Hai. Yadain Ban Jati Hai… Vaisay B Psychology Kehti Hai K Jo Dosti 7 Saal Tak Qaim Rahay Vo Phir Sari Zindagi Qaim Rehti Hai…

“Dilavar Sahib Hain” Mai Nai Us Banglay K Bahir Baithay Chaukidar Say Poocha. Vo Is Banglay K Aik Chootay Say Portion May Rehta Tha, Aik Bedroom Mai.

“ Ammm Nahi Bhai Jan Vo To Abhi Bahir Gaya Tha!” Chaukidar Nay Jawab Dia
“ Bahir!!! O Hooo…” Mai Nai Mo Ban Alia. Vaisay To Mai Kisi Ki Taraf Bin Bataye Jata Nahi Tha. Magar Dilavar Phone Hi Nahi Utha Raha Tha. Kitni Bar Koshish Kar Chukka Tha K Koi Rabta Ho Sakay Magar…
Or Phir Usay Mangni Mai B To Bulana Tha. Vaisay B Aisay Mooqay Pay Khud Ja Kar Hi Invitation Dena Chahiye.
“Thorha Ruk Jao Sahib… Abi Aa Jaye Ga” Khan Sahib Nai Apnay Rivaiti Andaz Mai Kaha.
“Acha!” Mai Halka Sa Keh Kar Aik Taraf Kharha Ho Gaya…

“ Ye Lo… Baitho” Chaukidar Nai Aik Kursi Meray Samnay Kar Di. Mai B “Thank U” Keh Kar Us Par Baith Gaya. Socha K Das Pandra Minute Wait Kar Leta Hon Phir Chala Jao Ga.

Das Minute Guzray Thay K Mujhay Dilavar Jaisa Koi Hamari Taraf Aata Hoa Nazar Aya. Chaukidar Ka Dhiyan Kahi Or Tha… Meray Mathay Par Bal Path Gaye… Dilavar Aik Ajeeb Badhal C Halat Mai Mari Mari C Chal Chalta Hamari Taraf Aa Raha Tha. Us Ka Sir Jhuka Hoa Tha . Bal Bikhray Thay. Vo Aik Purple Color Ki Deli C T Shirt Pehnay Hoaye Tha Jo Shyad Us Nay Hafta Bhar Say Pehen Rakhi Thi. Jeans B Dheeli C Maili C Lag Rahi Thi. Aik Lamhay Ko To Mujhy Apni Aankho Par Yaqeen Hi Nahi Aya K Ye Dilavar Hai. Mai Apni Kursi Par Kharha Ho Gaya. Dilavar Ab Ghar K Gate K Pass Hi Aa Gaya Tha. Magar Us Nai Kahi Nazar Utha Kar Tak Na Daikha. Yaha Tak K Meray Qareeb Pohunchnay Par Mujhy Usay Pukarna Parha.

“Dilavaaaaar!” Mai Nai Hairani Say Us Ka Naam Lia…. Dilavar Apna Naam Sun Kar Thathak Kar Reh Gaya Ho. Jaisay Kisi Ki Choori Pakrhi Gai Ho.
“Aham… Zulqar!” Dilavar K Moo Say To Awaz Hi Nahi Nikal Rahi Thi.

“Sab Khair Hai Na… Kia Hoa Meray Dost!” Zindagi Mai Ye Pehli Bar Thi K Mujhy Dilavar Ko Daikh Kar Taras Sa Aya. Varna Ya To Rashk Ata Tha Ya Ghussa. Magar Us Nai Apni Halat Hi Aisi Bana Rakhi Thi Jaisay Koi Lachar Bechara Sa Hota Hai. Or Us Ka Andaz E Guftago B Aisa Hi Mayoos Kun Tha…

“Ammm Han… Zulqar… Tum…” Dilavar Nay Zara Kuch Baat Karnay Ki Koshish Ki.

“Ye Kia Halat Bana Rakhi Hai Yar??? Kia Hoa ? Tum Phone Kio Nahi Utha Rahay Itnay Dino Say? Msg B Parhtay Ho Jawab Nahi Detay? Ye Kia Hoa Hai? Aisay Murjhaye Hoaye Say Kio Ho…? Mai Nai Aik Hazar Sawal Vahi Kharhay Kharhay Dilavar Say Pooch Dalay. Magar Khamooshi K Siwa Mujhy Koi Jawab Nahi Mila.

“Ammmm Kuch Nahi… Han Aao … “ Dilavar Nai Apnay Aap Ko Kuch Sambhal Kar Kaha. Vo Ajeeb Gum Sum Sa Lag Raha Tha.
Mai Dilavar K Sath Sath Ander Ki Taraf Chala Gaya.

“Ye Bhai Say Pooch Kia Hoa Hai… Aaj Kal Bilkul Bahir Andar Nahi Jata… Kamray Mai Hi Ghusa Rehta Hai…” Chaukidar Nai Peechay Say Azrah E Mazaaq Aik Jumla Kasa. Mai Nai Us Ki Baat Suni Or Ignore Kartay Hoaye Dilavar K Room Mai Chala Gaya.

“Dilavar!” “ Kia Hoa Hai Yaar? Kuch Bolo To Sahi? Tum To Dubai Ja Rahay Thay Na… Modeling Contract Sign Ho Gaya Tha Na? Kia Hoa? U Were Really Happy? Ye Kaisi Halat Bana Rakhi Hai?” Dilavar K Seenay Mai Aik Toofan Utha Hoa Tha. Vo Kia Kahai Kia Na Kahai. Mujhy To Sab Pata Hi Tha. Hum Dono Sath Hi Us Ka Passport Banvanay Or Medical Karvanay Gaye Thay. Phir Dilavar Bilkul Ghaib Ho Gaya Tha…

“Dilavar!” “ Yar Plz Kuch Bolo To Sahi? Saaf Pata Chal Raha Hai K Kuch Hoa Hai Magar Tum Chupa Rahay Ho” Dilavar Nai To Jaisay Chup Ka Rooza Rakh Lia Tha. Ya Us Ki Himat Hi Jawab Day Gait Hi K Vo Kuch Kehta.

“Dilavar!” Mai Or Vo Aik Hi Bed Par Baithay Thay. Mai Nai Aik Hath Say Us K Chehray Ko Jo Neechay Jhuka Hoa Tha Apni Taraf Moorha. Dilavar Nai Aik Nazar Mujhy Daikha Phir Aankhain Nazrain Jhuka Li.

“Yaar Plz Kuch Bolo To Sahi…?” Dilavar Apnay Aik Hath Ko Dosray Say Pakarh Kar Aik Bechaini Ki Kaifiat Mai Apni Ungliyo Ko Masalnay Laga…
“Dilavar! Bolo Meray Dost… Mai Nai Dilavar K Kandhay Par Apna Shafqat Bhara Bazo Rakh Dia… Ta K Usay Kuch Hosla Ho… “ Batao Plz…!”
“Ahm..” Dilvar Nai Apnay Ghalay Ki Kharash Saaf Ki. “Han Han Bolo… Kia Hoa Hai? Tabiyat Theek Nahi Hai Kia?” Mai Nai Usay Mazeeb Sahara Dia.
“Ahm… Zulqar…!” Dilavar Nai Pehla Lafz Kaha…
“Han Meray Bhai!”

“Zulqar… !!” Dilavar Ki Awaz Phir Dab Gai… “Zulqar!” “Zulqar…” Dilavar Ki Awaz Mai Aik Ahista Ahista Sistiyo Mai Tabdeel Honay Lagay “ Zulqar!” …
“Zulqar …! Main… “ Dilvar Mai Murh Kar Mujhy Kandhay Say Pakarh Lia… “ Mai … Mujhy… Mujhy… Zulqanain… Mujhy AIDS Hai”… Meray Pairoo Tallay Zameen Nikal Gai… Aik Hool Sa Meray Dil Mai Utha… Mai Phati Phati Aankho Say Dilavar Ko Takta Reh Gaya…

Ye Mai Nai Kia Suna? Dilavar Nai Kia Kaha? Aisa Kaisay Hoa? Ye Kia Hoa? Kio? Youn Laga Jaisay Mujhy Koi Bijli Ka Jhutka Lag Gaya Ho. Mera Zehen Aik Shash O Panj Mai Mubtala Ho Gaya.

Mujhy Apnay Kano Par Yaqeeen Nahi Aa Raha Tha. Dilavar Meray Galay Lag Kar Roonay Laga. Mai Khud B Kisi But Ki Tarha Sakat Jama Ka Jama Reh Gaya Tha.

Meray To Vehm O Guman Mai B Nahi Tha K Kabhi Meray Kisi Dost Ko Or Vo B Itnay Qareebi Dost Ko Aisi Jan Leva Beemari B Ho Sakti Hai…
Mai Satpata Kar Reh Gaya Tha. Kuch Dair To Mai Younhi But Bana Baitha Raha. Jo Kuch Suna Tha Usay Hazam Karnay Ki Koshish Karnay Laga. Phir Himat Kar K Dilavar Ko Aik Taraf Kia. Or Usay Lafzi Sa Dilasa Dia. Vo Bilkul Toot Gaya Tha. Intihai Mayoos… Jaisay Apna Sab Kuch Har Chukka Ho. Sab Kuch Luta Chukka Ho. Vo Mal O Dolat. Vo Husn O Jawani. Vo Nakhray Vo Aasaishain Vo Taivar… Sab Kuch Dhara Ka Dhara Reh Gaya Tha… Meri Aankho K Samnay Aik Adh Moa Insane Tha.

Mai Or Dilavar Bohut Dair Tak Vahi Baithay Rahay. Mai Nai Us Say Tamam Tar Mamlaat Tafseel Say Pooch Liye. Vo Apnay Ilaaj K Liye Bedaraigh Apna Bacha Kucha Maal Kharch Kar Raha Tha. Ab Bacha Hi Kia Tha Sab Kuch To Vo Pani Ki Tarha Baha Chukka Tha. Us Ki Beemari Lailaj To Hai Hi Magar Us K Case Mai Vo Aik Khatarnaak Had Ko Cho Gai Thi. Phir B Kisi Umeed Par Doctor Usay HIV Control Karnay Ki Dawaiya Day Rahay Thay.
Doobtay Ko Tinkay Ka Sahara Chahiye. Dilavar K Pass Jo Kuch Tha Vo Apni Beemari K Ilaaj Par Laga Raha Tha. Magar Ye To Sab Hi Ko Maloom Hai K Doao K Siwa Is Bimari Ka Ab Tak Koi Ilaaz Nahi!

Mai Nai Usay Apni Mangni Pai Anay Ki Dawat B Na Di. Or Chup Chap O Udaas Vaha Say Vapis Laut Aya.

Kishwer Baqar
About the Author: Kishwer Baqar Read More Articles by Kishwer Baqar: 70 Articles with 85335 views I am a Control Systems Engineer, working in Saudi Arabia.

Apart from work, I am interested in religion, society, history and politics.

I am an
.. View More