Asslam O Alaikum Respected
Members....
Allah Talah Ka Irshaad Hai
Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pohench Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh Dono ,
Toh Unn Se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath
Baat Cheet Karna Aur Kehte Rehna Ke Aaye Mere Parwardigaar ! Inn Par Reham Farma
Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala...
Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta, Waldain Hi
Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne
Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha
Takleefein Uthai, Humari Neend Keliye Khud Apni Neend Qurbaan Kardi....
Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone
Tak Doud Dhoop Karta Raha, Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke
Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The, Isi Liye Allah Subhana Talah Ne
Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn Suluk Aur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai, Hum
Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qwali Aur Amli
Taur Par, Mall Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo, Unn Ka Kaha
Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unnse Qandapeshani Se Paish Aao, Unnke
Shayan-E-Shaan Unnki Qidmat Karo, Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse
Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo, Baad Mein Hum
Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain, Agar Zindagi
Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge ,
Jis Tarah Aaj Woh Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain Isi Tarah Hum Bhi Apni
Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge.
Agar Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh Allah Se Azeem Ajr Wo Sawab
Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle Ki Khushi Lenge {Insha Allah }
Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Usski Aulaad Bhi Usski Qidmat Karti
Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Naa Farmani Karta Hai, Usski Aulaad Bhi Usski Naa
Farmani Karti Hai, Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge
.........