Mushkil Rastay episode 2
(farah ejaz, dearborn,mi USA)
Do Mahinay Kisterha Beeth Gai
Kuch Pata Hi Nahin Chala Haan Bus Itna Yaad Hay Amma Bi Ki Mayath Multaan Say
Karachi Anay May Do Huftay Lug Gay Lakin Unkay Cheray Per Jo Noor Tha Wo Kuch Or
Barh Gaya Tha..Karachi Airport Per May Apnay Mamoo Kay Saath Unki Dead Body
Receive Kernay Khud Gayee Thi..Baqi Ka Bhi Merhala Unki Aqri Aram Gah Unhain
Pohnchanay Tuk May Nay Khud Ko Mazbooth Banai Rakha ...Pata Nahin Itna Hosla
Kahan Say Meray Andar Paida Hogaya Tha May Phir Royee Nahin...Amma Bi Ko Baba
Jani Kay Pehloo May Jaga Milli...Baba Jani To Hummaray Bachpan May Hi Heart
Attack Say Inteqal Kergai Thay...Or Amma Bi Nay Jis Himmath Or Hoslay Say
Hummari Perwarish Ki Thi Woqabil-E-Tehseen Tha....Baba Jani Ki Texttile Mil Ko
Unho Nay Khud Hi Sunmbhala Tha ....Lakin Hummari Perwarish Say Ghafil Aik Lamhay
Ko Nahin Huin....Wo Parhi Likhi Khoobsoorath Khatoon Thin....Textile N Fashion
Industry Say Taluq Hotay Huay Bhi Wo Kahin Say Fashion Ki Maari Aik Arab Pati
Khatoon Nahin Lagtin Thin...Unho Nay Hummari Perwarish Bhi Unhi Khatooth Per Ki
Hum Dono Ko Sir Per Nahin Charhaya ....Her Kaam Haath Say Kernay Ki Adad Dali
...Hummara Ghar Kahin Say Bhi Aik Arab Pati Ka Ghar Nahin Lugta Tha Bulkay Kissi
Sufaid Posh Ka Aik Chota Sa 400 Guz Per Bana Ashiyana Tha...Qanaath Pasand Khud
Bhi Thin Or Hum Bhi Qanath Wa Sabir Ka Sabaq Parhtay Huay Jawan Huin...May
Saniya Say Teen Saal Barhi Thi....Meri Behtereen Dosth Meri Amma Bi Or Saniya Hi
Theen...May Nay Graduation Apna Complete Kernay Kay Baad Fashion N Textile
Designing May Four Years Ki Bachelor Degree Li ...Ab Amma Bi Kay Saath 6 Mahinay
Say Mil Janay Lugi Thi..Sania Medical Kay Fifthyear May Thi...Hum Dono Hi
Behnain Bohoth Khoobsoorath Thin....Sania Bilkul Amma Bi Ki Terha Gori Chatti Or
Unki Terha Haseen Naqsh-O-Nigar Rakhti Thi....Us Ki Muskurahat Bhi Bilkul Amma
Bi Jaisi Thi.......Or Baba Jani Ki Jaisi Bari Bari Ankhain Thin Sania Ki...Or
May Na Baba Jani Jaisi Thi Or Na Amma Bi Jaisi...Sunehri Rungath Or Aikdum Siyah
Kaali Bari Bari Chamakdaar Badami Ankhain....Firaaq Peshani...Or Lambi Khari
Naak...Surq Gulab Jaisay Hont Or Nichlay Hont Kay Dahnay Katao Kay Paas Aik
Chota Sa Til Or Lamba Qad Meri Shakhsiyath Ko Bohoth Khoobsoorath Banata Tha....Amma
Bi Laad Say Mujhay Chotti Si Apsara Kehti Thin...Baba Jani Bhi Sania Say Ziyada
Mujhay Chatay Thay....Baba Jani Kay Inteqal Kay Baad May Bilkul Gum Sum Si
Hogayee Thi Mujhay Kafi Arsa Laga Tha Sunmbhalnay May Or Abamma Bi Kay Isterha
Baydardi Say Qatal Hojanay Nay Mujhay Andar Say Tore Dala Tha ...Lakin Bahir Say
May Aik Dum Mazbooth Chatan Si Dikhnay Lagi Thi.....
Us Din Bhi May Mill Say Wapissi Per Ghar Ki Chotti Si Library May Baithi Amma Bi
Ki Likhi Un Chotti Chotti Nazmon Ko Parh Nay May Mahav Thi Kay Kako Jo Hummari
Mulazima Kum Ghar Ki Fard Hi Terha Hay Nay Akar Uncle Wajahath Kay Anay Ki Itla
Di......"Unhain Bithao Drawing Room May ....Or Haan Chai Bhijwadaina May Arahi
Hun..May Apni Jagah Say Uthtay Huay Kako Ko Hidayath Dainay Lagi...Or Shelf May
Kitab Rakh Ker Bahir Nikal Ayee.......................................................
Assalam Oalaikum Uncle...Walaikum Assalam Baiti Kaisi Ho .....Alhumdulillah
Theek Hun ..Aap Kaisay Hain ...May Bhi Allah Ka Shukar Hay Betay Theek Hun...Kuch
Important Documents Thay Begum Sahiba Kay Or Kuch Amanatain Tum Tuk Pohchanay Ki
Hidayat Ki Thi Unho Nay...Aik Baray Say Khaki Lfafay Say Wo Papers Nikaltay Huay
Bolay Thay...May Unkay Barabar Walay Sofay Per Baith Ker Unkay Haath Say Papers
Layker Daikhnay Lagi........Jaidad Ki Taqseem Say Mutaliq Khanooni Dastawizaath
Thin.....Jis Ko Tafseel Say Wajahath Uncle Mujhay Sumjhanay Lagay.....Baba Jani
Ka Koyee Azeez Is Duniya May Nahin Tha Is Liyai Yai Saari Property Sirf Hum Dono
Kay Naam Hi Thi.....Sania Ko Bhi Unhi Nay Wahin Bula Liya Tha....."Ayesha Hi Sub
Kuch Sunmbhal Laigi Uncle Mujhay Business May Kissi Terha Ka Koyee Tajurba Or
Interest Nahin Hay ....Meri To Field Hi Alag Hay "...Sania Meri Taraf Daikh Ker
Wajahath Uncle Say Boli .....To Wo Muskuradiyai "Haan Madam Nay Is Ka Zikar Kiya
Tha Or Uhno Nay Aap Kay Clinic Kay Liyai Zameen Bhi Khareed Li Thi Or Us Per
Construction Ka Kaam Bhi Shuroo Kar Wa Diya Tha...Wo Aap Ko Surprise Daina Chati
Thin Lakin Zindagi Nay Un Kay Saath Wafa Nahin Ki....Khair Yai Rahay Us Kay
Kaghazaath Wo Uski Taraf Chund Ka Ghazaath Barhatay Huay Bolay Thay...Sania
Kapkapatay Hathon Say Wo Kaghazaath Lay Ker Khamooshi Say Uth Gayee Shaid Wo
Zabth Ker Rahi Thi Uncle Kay Samnay Werna May Jaanti Thi Kay Is Waqth Us Kay
Mehsoosath Kiya Horahay Hungay... Uncle Ko Khuda Hafiz Kehkar Wo Drawing Room
Say Bahir Nikal Gayee...Yai Tumhari Ammanath Hay Beti .....Uskay Janay Kay Baad
Uncle Meri Taraf Aik Dermiyani Size Ka Khaki Lifafa Jo Kay Ceiled Pack Tha
Barhatay Huay Kehnay Lagay...Yai Kiya Hay Uncle...May Unsay Laitay Huay Poochnay
Lagi....Beti Yai Jub Zakira Madam Nay Meray Paas Amanath Kay Tore Per Rakhwaya
Tha Tub Takeed Ki Thi Kay Issay Sirf Tumharay Hawalay Hi Karoon Or Kissi Kay
Nahin......Acha Ab May Chalta Hun...Uncle Chai Ka Aqri Ghoont Lay Ker Uth Kharay
Huay......Allah Tum Dono Ko Apnay Hifz-O-Aman May Rakhay.....Allah Hafiz....Yai
Kehtay Huay Ashkbaar Ankhon Kay Saath Bahir Nikal Gai......May Bhojal Khadmon
Say Andar Lounge May Agayee....Kamray Say Ronay Ki Awaz Arahi Thi...May Juldi
Say Kamray May Gayee To Sania Apnay Bed Per Ondhi Laiti Ro Rahi Thi....Sania
Meri Jaan Kiya Hua...May Us Kay Paas Bed Per Baith Gayee...Or Us Kay
Khoobsoorath Reshmi Brown Balon May Ungliyan Phairtay Huay Us Say Poochnay
Lagi....Wo Sir Utha Ker Mujhay Thori Dair Daikhti Rahi Phir Meri God May Sir
Rakh Ker Phir Say Ronay Lagi....Amma Bi Mujhay Bohoth Yaad Arahi Hainayesha May
Kiya Karoon...Kissi Pal Chain Nahin Mil Raha Please Mujhay Amma Bi Lado..Us Kay
Isterha Ronay Or Amma Bi Ko Yaad Kernay Per Mera Bhi Dil Bhar Aya ...Aisay Nahin
Kehtay Gurya..Janay Walay Wapis Thori Asaktay Hain Pagli Or Daikho Apni Studies
Per Dhayan Do Tumhara Last Year Hay Medical May..Chand Mahinay Rah Gay Hain Dear
Sis...Nahi Hoti Mujh Say Parhayeee Ayesha Jub Bhi Parhnay Baith Ti Hun To Amma
Bi Ka Chera Meray Samnay Ajata Hay May Miya Karoon .....Wo God May Ser Rakhay
Mujh Say Bebassy Say Kehnay Lagi ...Kiya Tum Chati Ho Jo Khwab Amma Bi Nay
Tumharay Hawalay Say Daikha Tha Wo Adhoora Reh Jai ....Amma Bi Nay Baba Jani Kay
Inteqaal Per Kitna Saber Kiya Tha Khud Ko Bhikarnay Tootnay Nahin Diya Tha .
...Agar Wo Bhi Himmath Haar Ker Baith Jatin To Na Hummari Behtar Perwarish Ker
Patin Or Na Hi Baba Jani Ki Property Or Business Ko Handle Ker Patin....Hummay
Amma Bi Ko Apna Ideal Bana Ker Apnay Qadam Zameen Per Mazbooti Say Jamanay
Hungay Sania Kay Koyee Andhi Ya Toofan Unhay Ukhar Na Pai...Jo Khwab Hummaray
Mutaliq Unho Nay Daikha Hay Sania Jaan May Chati Hun Hum Dono Mil Ker Wo Poora
Karain....Unkay Kwabon Ki Zinda Tabeer Bun Jain.....Piyar Say Us Kay Moti Jaisay
Ansoon Saaf Kertay Huay May Ussay Sumjhanay Lagi...Wo Chup Chap Khamoosh
Pursonch Nazron Say Mujhay Daikh Rahi Thi....Tum Sahi Kehti Ho Ayesha May Wo
Sabuq Bhool Nay Lagi Thi Jo Amma Bi Hum Say Kehtin Thin.... Lakin Abaisi Batain
Nahin Karoongi Aisi Batain...Shabash Meri Bahan Mujhay Tum Say Yahi Umeed Hay
Meri Jaan ...Daikho Hum Unhain Wapis To Nahin La Saktay Lakin Unki Yadon Ko Unki
Mohabath Ko Dil May Hamesha Abad Rakh Saktay Hain....Meri Baath Per Wo Muskura
Ker Apni Bahainmeray Galay May Dal Din...May Amma Bi Jaisi Lugti Hun Ayesha
Lakin Tum Nay Unki Tamam Khosoosiyath Lay Li Hain.....Wohi Azam Wa Himmath Jo
Amma Bi Ki Khosoosyath Thin Wo Tumharay Andar Bhi Hain....Acha Ab Chalo So Jao
Tum....Raath Kay Giyara Buj Rahay Hain........May Ussay Bed Per Lita Ker Uski
Peshani Per Bossa Day Ker Apnay Bed Per Akar Lait Gayee Lakin Neend
Nadarad...Sania To Sogayee Adhay Ghantay May Lakin May Sona Payee...Amma Bi Kay
Saath Guzray Pal Aik Film Ki Terha Meray Zahen Ki Screen Per Chal Rahay Thay To
Phir Soti Kaisay....Achanak Kerwat Badalnay Per Us Khaki Lifafay Per Nazar Parh
Gayee To Ussay Utha Ker Kamray Say Bahir Agayee...Lounge Ki Doosri Taraf Amma Bi
Kay Kamray Kay Bazoo May Choti Si Khoobsoorath Library Hay...Library Ki Lights
On Ker Kay May Amma Bi Ki Maqsoos Rocking Chair Per Baith Gayee....Or Us Khaki
Lifafay Ko Khola To Aik Khoobsoorath Silver Diary Meray Haath May
Agayee...Lifafay May Or Kuch Nahin Tha...Dairy Ko Khola To Pehlay Hi Pannay Per
Amma Bi Ki Khoobsoorath Likhayee May Chota Sa Jumla Likha Tha "Piyari Beti
Ayesha Kay Naa"...May Kitni Hi Dair Us Aik Jumlay Per Haath Phair Ti Rahi..Ussay
Choomti Rahi..Mujhay Aisa Lug Raha Tha Kay Amma Bi Meray Aas Paas Hi Hain Bohoth
Qareeb...Ankhon May Umand Ai Pani Ko Baydardy Say Hataili Say Ponch Dala Or
Dairy Parh Nay Lagi..........................May Amma Bi Ko Parh Rahi Thi Unki
Zindagi Ki Kahani Ko Parh Rahi Thii......