Mushkil Rastay episode 9

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Wo Hairath Say Ussay Daikh Raha Tha..Ussay Yaqeen Nahin Araha Tha......Kay Wo Bachi Jo Sirf Aik Dafa Jamal Shah Kay Ghar May Purisraar Andaaz Say Us Kay Samnay Ayee Thi ...Or Phir Kabhi Un Das Salon May Salahudin Nay Ussay Nahin Daikha Tha...Jis Larki Say Us Ka Baath Kerna Jamal Shah Ko Gawara Na Tha.....Un Ka Rawaiya Is Mamlay May Nihayath Khurdura Or Suqth Tha.....Bhoolay Say Bhi Kabhi Us Kay Samnay Apni Beti Ka Unho Nay Naam Tuk Laina Gawara Nahin Kiya Tha.....Salahudin Unhay Is Mamlay May Nihayath Conservative Sonch Ka Malik Samujhta Tha.....Lakin Ab Us Larki Ko Itnay Salon Baath Daikh Ker ......Or Wo Bhi Apni Biwi Kay Roop May Apnay Kamray May Mojood Pa Ker Us Ka Hairan Hona Or Achumbay May Parh Jana Bilkul Baja Tha.....Wo Ussay Daikhay Ja Raha Tha..........Wo Aik Ajeeb Si Kaifiyath Ka Shikar Hogaya Tha.....Or Fatima Phir Say Sir Jhuka Ker Ghutery May Tubdeel Hogayee Thi.........Hulki Si Siskiyon Ki Awaaz Per Wo Chonk Utha......Wo Ro Rahi Thi...Wo Khamooshi Say Us Kay Qareeb Agaya.......

Yai Lijiayai.......
Tissue Paper Us Ki Taraf Barhatay Huay Bola..............To Wo Pari Paiker Wajood Nay Apni Surahee Jaisi Gurdun Uthakar Ussay Daikha.......
Wo Rotay Huay Bay Inteha Haseen Lug Rahi Thi.................Ansoo Us Ki Pulkon Per Shubnum Kay Qatron Ki Terha Lug Rahay Thay...................Cheray Per Masoomiyath.....Or Ankhon May Aik Ajeeb Si Bebasi Saaf Mehsoos Horahi Thi..............Wo Us Kay Bin Kahay Hi Samujh Gaya Tha Kay Wo Kaisa Mehsoos Ker Rahi Hay....Shaid Wo Bhi Us Ki Terha Is Shadi Kay Liyai Raazi Na Thi.....Magar Apnay Walid Kay Faislay Kay Agay Us Nay Bhi Sir Jhuka Diya Tha..............................................................
Khamooshi Say Tissue Us Kay Haath Say Laiker Apni Khoobsoorath Bari Bari Kali Siyah Ankhon Kay Behtay Moti Jaisay Ansoo Ponchnay Lagi.....Wo Robaay Husun Kay Agay Kuch Na Bol Paraha Tha....Daikhiyai Aap Relax Hoker Lait Jaiyai Please...Or Ap Pareshan Na Hon....Sub Theek Hojai Ga.............
Fatima Nay Ghubra Ker Sir Utha Ker Ussay Daikha ....
May Sofay Per Sojaooun Ga...
Wo Juldi Say Bolta Hua Bed Kay Doosri Taraf Ka Takiya Utha Ker Bed Ki Side Per Qadray Faslay Par Paray Fawn Rung Kay Sofay Ki Taraf Barh Gaya...........................................................................
Fatima Nay Ghari Saans Li Or Lait Ker Chadar Say Achi Terha Apnay Aap Ko Dhuk Liya....................
.....
...
Shah Baba Yai Sub Kiya Hay...
Wo Na Chatay Huay Bhi Baap Say Sawal Pooch Raha Tha.....
Kiya Meray Bachay....
Kiya Aap Fatima Ko Jantay Thay......
Haan ........
Phir Aap Nay Mujhay Bataya Kiyun Nahin Shah Baba.....
Kiya Tujhay Wo Pasand Nahin Hay....
Pasand Na Pasand Ki Baath May Nahin Ker Raha Shah Baba...............Aap Kiya Jantay Thay Pehlay Say Kay Jamal Uncle Ki Aik Beti Bhi Hay....Jo Kabhi Kissi Kay Samnay Nahin Ati Thi...........................
Haan Salahudin May Us Ki Paidaish Say Hi Ussay Janta Hun......
Phir Mujhay Aap Nay Bataya Kiyun Nahin.......
Is Baath Ka Jawab Daina May Zaroori Nahin Samujh Ta.................................................................

Itna Bolna Ussay Ata Nahin Tha Baap Kay Samnay Magar Aaj Fajar Ki Namaz Kay Baad Wo Reh Na Paya Or Itna Sub Kuch Bolgaya Tha....Wo Un Auladon May Say Tha Jo Walaidain Ki Her Baath Per Sir Jhuka Daitay Hain...........Magar Aaj Wo Bohoth Kuch Bol Gaya Tha Unsay.......Lakin Un Kay Aqri Jumlay Nay Ussay Khamoosh Ker Diya Tha...Jamal Shah Jis Din Nikah Hua Tha Us Ka Ussi Raath Karachi Wapis Chalay Gai Thay..........Amma Jani Ussay Apnay Nikah Kay Baad Say Chup Chup Si Lagin Thin ..Magar Dadoo Bohoth Khush Thin............Idhar Fatima Or Us Ka Taluq Bhi Ajeeb Sa Tha...Fatima Zyadatar Khud May Khoyee Khoyee Si Rehti Thi Aik Ajeeb Say Ahsas-E-Jurm Ka Shikaar Rehti Thi Na Janay Kiyun...Dono Aik Kamray May Rehtay Huay Bhi Aik Doosray Kay Liyai Ajnabi Thay....Dadoo Fatima Ko Bohoth Chanay Lagin Thin Us Ka Bay Tehasha Qayal Rakhti Thin Magar Amma Jani Ka Rawaiya Ussay Samujh Nahin Araha Tha...Ussay Lugta Tha Jaisay Unho Nay Baray Bujhay Dil Say Fatima Ko Bahoo Kay Tore Per Apnaya Hay...Us Din Bhi Wo Hawaili Kay Baray Say Baramday May Pari Charpayee Per Baithi Amma Jani Ko Daikh Ker Unkay Paas Chala Aya..............................

Assalam-O-Alaikum Amma Jani Aap Kiya Ker Rahihain Akaili Yahan Baith Ker....
Walaikum Assalam....Kuch Nahin Beta Bus Yun Hi.........
Aap Kuch Pareshaan Si Lug Rahihain.....Kiya Baath Hay......
Array Bhala May Kiyun Pareshan Honay Lagi....Tera Waham Hay Meray Bachay....
May To Khush Hun Kay Itnay Arsay Baad Tu Ghar Agaya Hay......
Kiya Ap Ko Aap Ki Bahoo Pasand Nahin Ayee.....
Nahin Bachay Itni Payari Bahoo Hay Meri May Kiyun Ussay Na Pasand Kernay Lugi..........................
Wo Baghor Apni Maa Ka Chera Daikhtay Huay Bola To Wo Aik Dum Nazrain Chura Tay Huay Bol Uthin..
Idhar Daikhain Meri Taraf .........
Wo Unkay Kandhon Per Nurmi Say Haath Rakh Ta Hua Unka Ruq Apni Taraf Kerta Hua Bola...............
Baath Kiya Hay Amma Jani.......Aap Log Mujhay Apnay Gaooun Bhi Laiker Nahin Gai Or Shahar Ki Hawaili Lay Ai....Or Ab Is Terha Say Nikah Kerdaina.....May Pooray Yaqeen Say Keh Sakta Hun Kay Meri Piyari Amma Jani Khush Nahin Hain.......Batayee Yai Kiya Baath Hay........
Salahudin Beta Darasal Baath.....
Zuleqa Zara Idhar Aoo ................
Shah Ji Ki Krak Daar Awaaz Per Kuch Kehtay Kehtay Ruk Gayeen Or Uth Ker Betay Say Kuch Kahay Baghair Hi Shah Ji Kay Bulanay Per Chalay Gayeen.............Shah Ji Kuch Faslay Per Kharay Thay Or Biwi Ko Tunmbihi Nazron Say Ghoor Rahay Thay...........................................................................
............................
 

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 233167 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More