Complied By:
Prof. Mohammad Abdulla Qazi (Phd Isl. Std., Phd Linguistics)
Principal, Govt College, Bahawalnagar,
PAKISTAN
Ustad Drs. Dr. Urdu Mr. Syed Maqsood Hasni Kisi Iak Midan Tak Mahdood Nahain
Hain. Rasael-O-Jaraed Akhbaraat Ke Ilawa Inter-Net Par Bhi Oon Ka Kaam Samnay
Aata Rehta Hai. Woh Zindagi Ko Os Ke Tamam'tar Hawaloon Ke Sath Daikhnay Ke Qael
Hain. Yahi Waja Hai Kah Oon Ke Haan Insan Se Gehri Mohabat Aur Ta'alaq Paya Jata
Hai. Woh Insani Taqsim Ke Sakht Khalaf Hain Aur Insan Ko Kisi Bhi Toor Par
Taqseem Karne Waloon Ko Pasand Nahain Karte. Donyan Ka Koi Bhi Fard Dukh Dard
Takhlef Ya Mosibat Main Mobtala Hota Hai To Woh Dukhi Ho Jate Hain Ya Koi Bhi
Insan Ko Bai'hurmat Karta Hai To Woh Dard Ki Tasveer Ban Jatay Hain.
Ustad Drs. Dr. Urdu Mr. Syed Maqsood Hasni Chahte Hain, Insan Ka Her Haal Main
Ihtaram Hona Chahiay. Mein Ne Oon Ke Kuch Article Inter-Net Se Le Kar Iak Jaga
Jama Kiay Hain. In Articles Ke Madarjaat Se Kisi Ko Itafaq Ho Ya Na'ho Likin Yah
Baat Zaroor Teh Ho Jati Hai Kah Ustad Sahib Ke Sine Main Her Kisi Ke Liay
Mohabat Aur Os Ki Pira Ke Hawala Se Dard Chopa Howa Hai Woh Chahte Hain, Insan
Her Surat Main Iak Dosre Kay Qareeb Aa'ay Aur Os Ke Dukh Sukh Main Shamil Ho.
Omeed Hai Mairi Yah Na’cheez Koshesh Ahbaab Ko Zaroor Pasand Aa'ae Gi.
Prof. Mohammad Abdullah Qazi (Phd Isl Std., Phd Linguistics)
Contents
1- Aaqa Karim Ki Aamad
2- Insan Jab Paida Hota Hai
3- Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
4- Insan Kotta Nahain
5- Jabr Zindagi Aur Taqazay
6- Dr. Mohammad Nur Ul Alam (1)
7- Dr. Mohammad Nur Ul Alam (2)
8- Musalman Koon Hain?!
9- Mashraqi Punjab Aur Sikh Bradri
10- Janab G Singh-Ji Say Eak Mokalma
11- Dehshat Gardi Ka Khatma Kayon'kar Ho?! (1)
12- Dehshat Gardi Ka Khatma Kayon'kar Ho?! (2)
13- Jo Larae Ka Sabab Banta Ho Wo Mazhab Hi Nahain
14- Eak Karwa Sach
15- Shrik Eak Mohlak Aur Khatar'nak Bimari
16- Lut Janay Kay Baad Hosh Aaya To Kiya Aaya?!
17- Eak Jinsi Khilona
18- Hum'jinsi Insaniat Ki Kholi Dushman
19- Aaj Orat Ko Orat Hi Bacha Sakti Hai
20-Takht Taj Aur Waqt Kisi Ke Sagay Nahain
Aaqa Karim Ki Aamad
Kiya Aaqa Karim Ki Aamad Kisi Hadsay Ya Kisi Waqti Zarorat Ka Nateja Thi?
Nahain,
Bilkul Nahain.
Aap Ki Tashreef Aavri Bohat Pehlay Say Teh Thi Aur Es Amar Say Motalaq Qadeem
Ambbiya Karam Kay Haan Paish’goeaan Mojood Hain. Ba’toor Hawala Chand Eak Ka
Tazkira Kiay Deta Hoon:
Jama’sap Hazrat Zartusht Kay Khalifa-E-Azam Thay. Onhoon Nay Qaiamat Tak Kay
Paish Aanay Walay Hadsoon Ki Paish’goeaan Kein. Oon Main Hazoor (Oon Par
Dhairoon Darood Ho) Ka Bhi Zikar Baray Wazay Alfaaz Main Mojood Hai, Malahza
Farmaein:
"Aaftaab Ka Kitabi Hath Ba’janab Zohra Aur Zohra Ka Gohar Wala
Hath Aatarad Ki Taraf Aur Aatarad Ka Rukh Janab-E-Zohal
Mah-O-Mushtari Yak’ja. Jab Aisa Ho To Samjh Lo Kah Sab Kaam
Thek Ho Gay. Zamana (Moashra, Halaat) Darust Ho Ja’ay Ga.
Badshah Adal Karay Ga.(1)
Pher Eak Qeran* Paray Ga Jis Main Olad-E-Hasham
Say Eak Mard-E-Bazurg Paida Ho Ga Jo Qad Main Maiana Hai Rang Main
Gora Na Kala (Saanvla/Gandmi), Khoob’surat, Khush Kalaam,
Sehar Biyan Dawa-E-Nabovat Karay Ga.
Talwaar Os Ki Burhan Ho Gi. Apnay Mazhab Ki Zanjir Bohat Say Logoon Kay Galoon
Main
Dalay Ga. Os Ka Mazhab Sathoon Walaet Main Ja’ay Ga.
-------Os Ki Olad-E-Narena Na Rahay Gi Albata Larki Say Naam Chalay Ga.
Os Ka Deen Den Ba’den Taraqi Karay Ga." (2)
Doo Teen Hawalay Bible Say Dararj Karta Hoon:
1- "Kiya Tum Nay Kitab-E-Moqadas Main Kabhi Nahain Parha Kah
Jis Pathar Ko Mimaroon Nay Rad Kiya**
Wohi Konay Kay Seray Ka Pathar Ho Giya(3)
Yah Khuda'wand Ki Taraf Say Howa
Aur Hamari Nazar Main Ajeeb Hai?
Es Liay Mein Tum Say Kehta Hoon Kah Khuda Ki Badshahi Tum
Say Lay Li Ja’ay Gi Aur Os Qoom Ko Jo Os Kay Phal La’ay Gi, Day De
Ja’ay Gi" (4)
2- "Pher Mein Nay Aasman Ko Khola Howa Dekha Aur Kiya
Dekhta Hoon Kah Eak Safaid Ghora Hai Aur Os Par Eak
Sawar Hai (5) Jo Sach Aur Ba’haq Kehlat Hai Aur Woh Rasti Kay
Sath Ensaaf Aur Larae Karta Hai. Os Ki Aankhain Aag Kay Sholay
Hain Aur Os Kay Sar Par Bohat Say Taj Hain (6) Aur Os Ka Naam
Likha Howea Hai."(7)
3- "Mein Nay Yah Batain Tumharay Sath Reh Kar Tum Say Kein.
Likin Madad’gar Yaeni Rooh-Ul-Qodas Jisay Baap Mairay
Naam Say Bhijhay Ga*** Wohhi Tumhain Sab Batain Sikhay Ga
Aur Jo Kuch Mein Nay Tum Say Kaha Hai Wo Sab Tumhain
Yaad Dala’ay Ga.(8)
"The Gospel Of Barnabas" Kay Bhi Doo Teen Hawalay Daikh Lain:
1- " As For Me,
I Am Now Come To The World To Prepare The Way For
The Messanger Of God, Who Shall Bring Salvation To The World." (9)
2- " I Tell You That Thither Shall Come {Even}The Messanger Of God,
To Behold The Justice Of God. There Upon Hell Shall Tremble At
His Presence." (10)
3- "He Is Mohammad, Messanger Of God, And When He Comth Into
The World, Even As The Rain Maketh The Earth To Bear Fruit When
For Along Time It Hath Not Rained, Even So Shall He Be Occasion
Of Good Works Among Men, Though The Abundant Mercy Which
He Shall Bring. For He Is A White Cloud Full Of The Mercy Of God,
Which Marcy God Shall Sprinkle Upon The Faithful Like Rain." (11)
Sawal Paida Hota Hai Kah Aap Arab Main Aur Kisi Makhsus Ehad Main Hi Kaioon
Tashreef La’ay?
"Khabeer" Aur "Baseer",
Allah Kay Doo Sefati Naam Hain. Allah Say Ziyada Koon Jany Ga:
1. Kab Kiya Hona Hai
2. Kab Kiya Karna Hai Ya
3. Kab Kiya Hona Chahiay
En Omoor Ki Allah Kay Say Basarat Aur Baserat Kisay Ho Gi. Zara Bible Moqadas
Kay Es Jumlay Par Ghoor Karain:
"Es Liay Mein Tum Say Kehta Hoon Kah Khoda Ki Badshahi Tum Say Lay
Li Ja’ay Gi Aur Os Qoom Ko Jo Os Kah Phal La’ay Ga, Dai De Ja’ay Gi."
Allah Sar’kashi Pasand Nahain Karta. Tawazan Ki Kharabi Os Kay Takhleeq Kiay
Howay Kaenati Nazam Ko Darham Barham Karti Hai. Es Liay Her Seh Omoor Ki
Zaroorat Kay Tehat Aap Ka Tashreef Lana Lazam Qarar Pata Hai.
Qiamat Barpa Karnay Kay Liay Koe Daleel Aur Hujat Bhi To Hona Chahiay Thi Ta’kah
Insan Kay Paas Shakaet Ki Gonjaesh Hi Na Rahay.
Soo Gaz Rassa Seray Pay Ghanth, Aap To Hamesha Say Aur Hamesha Kay Liay Hain.
Zara Ghoor Karain; Kalma Taeba Jo Musalmi Ki Ebtada Aur Jar Hai, Yoon Hai:
La : Nahain
Ela : Mabood(12)
Ella : Seva
Allah : Allah (13)
Allah Kay Siwa Koe (Bhi) Mabood Nahaim
Mohammad : Hamad Kiya Giya, Jiss Ki Hamd Ki Gae Ho (14)
Rasool : Tarseel Karnay Wala
Allah : Allah
Mohammad Allah Kay Rasool
Allah Aur Mohammad (Oon Par Daroodho) ) Kay Liay Koe Tha, Hai Ya Ga Ka Segha
Mojood Hi Nahain. Goya Oon (Donoon) Ka Hamaisha Say Hona Sabat Hai.
Woh Kab Nahain Thay Aur Kab Nahain Hoon Gay?!
Woh To "Assr" (Zamana) Hain.
Hum "Assr" Ko Kiya Janain. Hum To Essay Denoon, Mahenoon, Saloon Aur Sadioon
Wala Waqt Samjhtay Hain Jab’kah "Assr" En Say Bala Aur Alag Cheez Hai. (15)
Tasleem Ki Baat Dusri Hai. Assr Ko Tasleem Na Karnay Say Os Par Kiya Faraq Paray
Ga?!
Kuch Bhi To Nahain,
Haan Tasleem Karnay Ya Na Karnay Walay Par Zaroor Assar Moratab Ho Ga.
Hum Asar (Allah) Kay Liay Hain.
Kitaab Parho Gay To Aaghi Milay Gi Nahain Parho Gay To Kitaab Ka Kiya Bigray Ga.
Jotay Jahar Kar Pehno Gay To Noqsan Say Bach Jao Gay Warna Jotoon Ki Sehhat Par
Kiya Assar Paray Ga.
Chori Nahaion Karo Gay To Pols Kay Jotay Nahain Khao Gay, Bai’izzati Nahain Ho
Gi, Ghar Walay Dar Ba’dar Nahahin Hoon Gay, Moashray Ka Tawazan Kharab Nahain Ho
Ga.
Zana Na Karnay Say:
1- La’shaoor Ko Noqsan Nahain Ho Ga
2- Damagh Khoof Aur Dar Say Kamzoor Honay Say Bachay Ga
3- Viraj Zaya Nahain Ho Ga Jis Kay Sabab Jisam Mutwazan Rahay Ga
4- Gher Kay Ghar Tumhara Bacha Na Honay Ki Surat Main "Mama" Kehlanay Say
Mehfooz Raho Gay
Ab Yah Sab Kartay Ho To Asar Ko Kiya Faeda Ho Ga, Nahain Kartay Ho To Os Ka
Ossay Kiya Noqsan Ho Ga, Kuch Bhi Nahain. Wo To Waisa Hi Rahay Ga Jaisa Kah Wo
Hai.
Tasleem To Yah Hai:
1- Zoban Say Eqrar Karo
2- Dil Say Mano Kah Jo Eqrar Kar Rahay Ho Wo Ossi Tara Say Hai Aur Bar’haq Hai
3- Amal Her Doo Amoor Kay Motabaq Ho
Asar Ko,
Waqt Yah Phir Khita-E-Arz Say Makhsus Nahain Kiya Ja Sakta Kaioon’kah Es Ka
Ta’alaq Hameshgi Say Hai. Kalaam Malahza Farma Lain Es Ka Mokhtab Insan Hai
Na’kah Koe Makhsus Qoom Ya Khita-E-Arz Kay Log. Goya Asar**** Kay Jitna Qareeb
Jao Gay Otna Hi Nikhro Gay, Phalo Gay, Pholo Gay, Taraqi Karo Gay. Asar***** Ki
Mohabat Jab Eshq Ka Roop Ekhtayar Karti Hai To Iqbal Ka Yah Kaha Samjh Main Aa
Jata Hai:
Ki Mohammad Say Wafa To Nay To Hum(16) Teray Hain
Yah Jahan Cheez Hai Kiya, Loh-O-Qalam Teray Hain
...........................
Hawashi
1- Nosherwaan Aadal Badshah1ka Ehad
2- Jama’sap Nama, P.15
Asal Kitab Yand Main Hai Issay Eak Fazal Irani Nay, Naam
Daraj Nahain, Farsi Main Tarjama Kiya Jabkah Urdu Tarjama Mohammad-Ul-Wahdi
Nay Kiya Aur Yah Kita Daftar Nazam-Ul-Mashaekh Dehli Nay Motalia-E-Aam-O-Khas
Kay Liay 1912 Main Pesh Ki.
3- Aakhri Nabi
4- Anjeel Mati Baab No. 21 V. No. 43, 44, Yah Baat Anjeel Murqas Kay Baab No. 12
V. No. 10,11 Main Bhi Daraj Hai. Kitab-E-Moqadas, Bible Society Anarkali Lahore,
1972
5- Maraj Shareef
6- Aap Ki Shareat Kisi Eak Qoom, Khita-E-Arz Ya Kisi Eak Ehad Tak Mahdood Nahain.
Aap Ka Peghaam Her Ba’shaoor Makhlooq Kay Liay Hai Aur Os Ki Aata’at Oon Sab Par
Wajab Hai.
7- Makashfa Baab 19 V. No. 11, 12 13 . Kitab-E-Moqadas, Bible Society Anarkali
Lahore, 1972
8- Yohanna, Baab No. 14 V. 25, 26, 27 Kitab-E-Moqadas, Baebal Society Anarkali
Lahore, 1972
9- The Gospel Of Barnabas Chp.72 P.91 Oxford At Clearendon Press 1907
10- The Gospel Of Barnabas Chp.136 P.175 Oxford At Clearendon Press 1907
11- The Gospel Of Barnabas Chp.163 P.212 Oxford At Clearendon Press 1907
12- Jis Ki Ebadat Ki Ja’ay
13- Esm-E-Zaat
14- Already Hamd Wala, Yaeni Aaj Hi Nahain
15- Es Ko Ashab-E-Kaf, Hazrat Ozer (Pbh)Aur Hazoor Ki Meraj Kay Tanazar
Main Dekhain Gay To Moamla Wazay Ho Ja’ay Ga
16- Allah
* 20 Saal
** Hazrat Hajra Aur Hazrat Ismaeel (Pbuh)
*** Aap Nay Jumla Ambia Karam Ki Tasdeeq Ki Aur Oon Ki Talemaat Ko Bar’haq Kaha.
Meem Mase Aur Mahammad Donoon Kay Sath Hai. M+ASE, Mo+Hammad. Sura Fateya Main
Hamd Kay Sath Al Ka Sabqa Hai Jo Ossay Makhsus Banata Hai Essi Tara Hamd Kay
Sath Meem Ki Jurt Ossay Mukhus Suft Kay Darjay Par Faez Karti Hai.
**** Allah Aur Mohammad
*****Jo Sab Kay Liay Aur Sab Oon Kay Liay Hain
Insan Jab Paida Hota Hai
Insan Jab Paida Hota Hai Os Ka Dil Golab Ki Pati Ki Tara Naram Nazok Komal Aur
Khush'bu Say Labraiz Hota Hai Jab'kah Damagh Koray Kaghaz Ki Tara Sofaid Ojla
Shafaaf Aur Baidagh Hota Hata. Os Ki Moskarahatain Her Qisam Ki
Tameez-O-Imtayaaz Say Bala'tar Hoti Hain. Woh Sab Ka Aur Sab Kay Liay Hota Hai.
Salamti Aur Dosti Os Ki Fitrat/Saresht Main Dakhal Hoti Hai. Os Kay Dil Aur
Damgh Main Kisi Kay Liay Nafrat Boghaz Hasad Ya Janib'dari Nahain Hoti. Woh Ossi
Tara Say Hota Hai Jaisay Insan Ko Hona Chaheay.
Jab Insan Paida Hota Hai Ahsan Aur Khlipha Kay Darjay Par Faez Hota Hai. Tafreeq
Aur Dehshat Gardi Qisam Ki Chizoon Say Na'aashna Hota Hai. Waqt Halaat Society
Mahool Mafadaat Madi Bhook Aur Os Kay So Called Apnay Ossay Insan Nahain Rehnay
Daitay. Woh Soni Wahabi Shiya Barailvi Mashraqi Maghrabi Sikh Esae Hindu Kala
Gora Mochi Nae Raja Malk Kambu Rajpoot Molvi Pandat Padri Ghreeb Ameer
Aman'pasand Dehshat'gard Qatil Maqtool Khoda Na'janay Kiya Kuch, Ho Jata Hai. Os
Ki Zindagi En Daeroon Main Ta'dam-E-Marg Moqaied Rehti Hai. Sar Othata Hai Ya
Samajio-Mazhabi Nazriyaat Waghera Daeroon Say Nikalnay Ki Koshesh Karta Hai To
Baghi Tehrata Hai. Log Os Kay Zahir Ko Malahza Kartay Hain Aur Yah Daikhnay Ki
Zahmat Nahain Otatay Kah Os Kay Mun/Andar/Batan Main Kiya Chal Rahai. Woh Zinagi
Bhar Til Til Qatal Hota Hai Aur Auroon Ko Mukhtalif Hawaloon Say Masloob Karta
Rehta Hai. Eak Waqt Aata Hai Jab Os Kay Liay Yah Sab Zindagi Ka Roop Ekhtayar
Kar Jata Hai. Os Kay Nazdeek Yahhi Zindagi Hoti Hai.
Kamzoroon Ki Gardan Marotay Waqt Os Kay Andar Say Koe Aawaz Boland Nahain Hoti.*
Os Kay Insan Kay Darjay Say Gir Kar Seraf Aur Seraf Wahabi Shiya Barailvi
Mashraqi Maghrabi Sikh Esae Hindu Kala Gora Raja Malak Kabo Rajpoot Mochi Nae
Darzi Molvi Pandat Padri Ghreeb Ameer Dehshat'gard Qatil Maqtool Ban Janay Ki
Zima'dari Kis Kay Sar Par Rakhi Ja'ay?!
1- Os Kay Ghar Waloon Par?
2- Samaj Society Mahool Ya Insan Kay Tabeer Yafta Mazhab Par?
3- Amir-E-Shihar Par Jo Saray Wasael Samait Kar Ossay Gholami Ki Zindagi Karnay
Par Majboor Karta Hai?
4- Boray Halaat-O-Waqiyaat Kay Rad-E-Amal Par?
5- Aaghi Kay Darwazay Band Kar Dainay Waloon Par?
6- Ustaad/Guru Kay Moashi-O-Samaji Aur Os Ki Self Respect Kay Qataloon Par?
7- Khud Os Par Kah Os Nay Rasta Ekhtayar Kartay Waqt Apni Samjh Bojh Say Kaam Na
Liaya?
8- Ya Phir Hasab-E-Ravaet Taqdeer Par?
9- Ya Phir Samaji Aur Riyasti Zulm-O-Jabr Kay Nazam Par?
Aakhar Insan Kay Andar Kay Insan Ka Bai'dardi Say Khoon Bahanay Aur Tafreeq Kay
Darwazay Kholnay Ka Alzaam Kis Ko Diya Ja'ay. Jis Ki Taraf Ongli Othein Gay
Kobray Saanp Ki Tara Dasnay Ko Aa'ay Ga. Jis Say Sawal Karo Gay Khod Ko Sacha
Socha Bata'ay Ga. Agar Apnay Apnay Hawalay Say Sab Sachay Aur Naji Hain To Phir
Ghalt Koon Hai.
Kiya Qatil Mujram Hai Ya Maqtool Ya Phir Donoon?
Insan, Insan Kayoon Nahain Raha. Jis Say Sawal Karo Gay Barmala Kahay Ga Mein
Pehlay Falaan Hoon Os Kay Baad Insan Hoon. Hazrat Sufi Sheik Baba Ustad Goru
Nanak Sahib Ka Yah Kaha Kisi Tara Ghalt Nahain Ho Sakta:
There Is No Shortage Of Those Who Preach And Teach.
Kathnaa Kathee Na Aavai Tot.
Batan Ki Taharat Kay Sabab Aur Es Hawla Say Mota'alaq Log Mojood Hain Aur Woh
Soni Wahabi Shiya Barailvi Mashraqi Maghrabi Sikh Esae Hindu Kala Mochi Nae
Darzi Gora Raja Mochi Nae Darzi Malk Kambo Raj'poot Molvi Pandat Padri Ghreeb
Ameer Dehshat'gard Qatil Maqtool Ko Phir Say Golaab Ki Pati Aur Lathay Ki Tara
Kora Aur Bai'dagh Bana Saktay Hain. Woh Aisa Saboon Rakhtay Hain Jo Diloon Kay
Zang Ko Saaf Kar Sakta Hai. Os Kay Baad Kan Son Sakain Gay Aankhoon Ki Roshnae
Dhanag Say Yaeni Ossi Tara Say Daikhay Gi Jis Say Tara Say Daikha Jana Chahiay.
Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib Es Waqt Alam-E-Insani Ki
Rohani Namaendgi Ka Fariza Sar Anjam Day Rahay Hain Es Hawala Jumla Rohani
Taleem Say Mota'alqein Ko Oon Kay Sath Chal Kar Alam-E-Insani Ki Rohani Tarbiat
Ka Kaam Karna Chahiay Ta'kah Sukh Aasudgi Aur Sakoon Ka Saman Paida Ho Saky.
--------------------
* Oon Kay Dil Zang'aloda Ho Jatay Hain.
Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
Baray Kamray Kay Qalein Par Eak Chonti Kabhi Edher Aur Kabhi Odher Bhagay Phirti
Thi. Mein Nay Ghoor Kiya, Wo Shadeed Parishan Thi. Prishani Kay Alam Main Wo
La'hasil Mashaqat Ka Shakar Ho Gae Thi. Mujhy Os Ki Prishani Ki Teen Vajo Samjh
Main Aaein:
• Qalein Zamein Nahain Thi Aur Wo Zamein Par Chalnay Ki Adi Thi.
• Na'ay Mahol Aur Halaat Nay Ossay Parishan Kar Rakha Tha.
• Os Ki Mahdood Basarat Aur Basirat Nay Qalein Ko La'mahdood Qarar Day Diya Tha.
Jab Soch Basarat Aur Basirat Kay Daeray Mahdood Ho Jatay Hain To Insan Ki
Haisiat Os Chonti Say Ziyada Nahain Rehti Aur Insan Mahdood Daeray Say Bahar
Nikal Nahain Pata. Jab Nikalnay Ki Koshesh Karta Hai To Edher Odher Bhatakta
Phirta Hai Aur Prishanioon Main Ghir Jata Hai. Ossay Kuch Sojhae Nahain Daita
Kah Kiya Karay Aur Kiya Na'karay.
Kaenaat Main Karnay Ko To Bohat Kuch Hai Likin Aankh Ki Mahdood Kar'gozari Kay
Sabab Woh Kuch Nahain Kar Pata Jo Hona Chahiay.
Basarat Kay Faislay Kay Motabaq Digar Hawas Apni Kar'gozari Samnay Latay Hain
Likin Jab Kisi Hawala Say Daera Tornay Main Kam'yaab Ho Jata Hai To Ossay Pehlay
Say Behtar Kar'gozari Kay Un'gint Movaqay Mayassar Aatay Hain. Goya Woh Pehlay
Say Behtar Aur Bohat Kuch Kar Gozarta Hai. Warna Os Daeray Main Bahar Ki
Kar'gozari Momkin Hi Na Thi.
Allah Karim Nay Insan Kay Andar 1,64,0000 Saktiaan (Powers) Rakh Di Hain Jin
Main Say Meaz Chand Eak Ka Estamal Ho Pata Hai. Moqadas Kotab Main Ghoor Karnay
Ki Bar Bar Takeed Aati Hai. Tadabar Kay Natija Main "La" Ko Vajood Mayasar Aa
Jata Hai. Ta'hum Yah Baat Teh Hai Kah Ghoor Karnay Kay Natija Main Hi Korray
Tabdeel Hotay Hain.
Insan Mokhtalif Korroon Ki Sair Karta Hai. Es Say Os Kay Ilm Aur Moshahiday Main
Vosat Aati Hai. Dosri Taraf Yah Bhi Hota Hai Kah Korroon Ki Tabdili Say Woh
La'madood Nahain Ho Jata. Jab'kah Adyan Khasosan Islam Insan Ko Mahdood Mahtaj
Aur Ghulam Nahain Daikhna Chahta. Mahdood Aur Ghulam Honay Ki Surat Main Insan
Apnay Khaliq Tak Rasae Hasil Nahain Kar Pata. Haqiqi Khaliq-O-Malik La'mahdood
Hai Es Liay Os Say Qareeb Honay Kay Liay La'mahdood Honay Ki Zarorat Hoti Hai.
Shaed Essi Hawala Say Yah Shaiar Kaha Giya Hai:
Khodi Ko Kar Boland Itna Kah Her Taqdeer Say Pehlay
Khuda Khud Banday Say Pochay Bata Tairi Raza Kiya Hai
Ulma Karam Koshesh Main Rahay Hain Kah Intahae Qareeb Aur Intahae Door Kay
Mafaheem Tak Rasae Hasil Kar Lain. Ulma Karam Nay Ahkamaat Ki Tashreh-O-Tafheem
Kay Hawala Say Daftar Kay Daftar Bhar Diay Hain. Oon Ki Masae Jamila Apni Jaga
Likin Wo Tafheem-O-Tashre Jo Qaem Bazzat Aur Her Kisi Kay Liay Qabal-E-Qabool
Ho, Abhi Tak Insan Kay Hath Nahain Lag Saki. Her Mafhoom Her Tashre Raad Ho Jati
Hai Ya Her Kisi Kay Haan Sharaf-E-Qaboliat Hasil Nahain Kar Saki Balkah En Ki
Mokhalfat Main Kahein Pur'zoor Dalael Samnay Aa'ay Hain. Jinhain Parh Kar:
• Pehla Mostard Ho Jata Hai.
• Tazabzab Janam Laita Hai.
• Pehlay Main Tabdiliaan Lae Jati Hain.
• Tashrihaat Ki Mazeed Tashrihaat Ho Gae Hain. Jis Kay Sabab Oljhao Paida Ho Gi
Giya Hai.
Foqara La'mahdood Honay Kay Liay Apni Zaat Ki Nafi Karkay Allah Ya Kisi Aur Ko
Jo Oon Kay Khayaal Main La'mahdood Hota Hai, Ko Asbaat Daitay Hain Aur Keh
Othtay Hain:
Toon Hain Tana Toon Hain Bana, Sabh Kojh Maira Toon
Kahay Hussain Faqeer Namana Mein Nahein, Sabh Toon (Shah Hussain Lahori)
Bhula, Sho Hain Dohein Jahani
Koe Na Wasda Gher (Bulle Shah Kasuri)
Ab Baat Zara Aagay Bharti Hai To Mansoor Keh Othta Hai:
"Mein Hi Haq Hoon"
Bulle Shah Ka Yah Kehna Bhi Qabal-E-Tovajo Hai:
Haji Lok Makkay Noon Janday
Maira Mahi Makka
Mein Kamli Haan
Bulla Sho Asaan Marna Nahein
Disay Mar Giya Koe Hoor
Sawal Paida Hota Hai Kah Yah Sab Ghoor-O-Tadabar Kay Natija Main Hasil Hota Hai
Ya Waqo Main Aata Hai Ya Eshq Es Manzal Tak Lata Hai Ya Es Ki Koe Aur Vaja Ho
Sakti Hai.
Iqbal Sialkoti Nay Kaha Tha:
Bai'khatr Aatesh-E-Namrood Main Kood Para Eshq
Aqal Mehv-E-Tamasha-E-Lab-E-Baam Hai Abhi
Ustad Ghalib Bilkul Alag Say Jawaaz Latay Hain:
Kuch Na Tha To Khoda Tha Kuch Na Hota To Khuda Hota
Doboya Mujh Ko Honay Nay Na Hota Mein To Kiya Hota
Moamla Yah Hai Kah Aaghi Jab Mosbat Rastoon Par Chalti Hoe Janoon Ki Shakal
Ekhtyar Kar Laiti Hai To Hi La'mahdood Honay Ki Taraf Safar Ka Aaghaz Hota Hai.
Es Tara Daeroon Ki Qaid Say Aazadi Hasil Ho Jati Hai. Mahdood-O-Makhsus Hona Aur
Ossi Ko Sab Kuch Samjh Laina Hi Shirk Hai. Insan Kisi Daeray Ka Mahtaj Ya Ghulam
Ho Giya To Os Nay Shirk Kiya.
Insan Aazad Paida Howa Hai. Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta. Insan
Seraf Aur Seraf Allah Hi Ka Hai Aur Allah Hi Kay Liay Hai. Allah Chahta Hai Kah
Insan Her Midan Main Kamyabi-O-Kamrani Hasil Karay. Jab Bandgi Kay Sab Darwazay
Band Ho Jaein Gay To Seraf Aur Seraf Allah Ki Bandgi Ka Darwaza Khola Reh Ja'ay
Ga. Es Tara Woh Apnay Khaliq-O-Malik Ki Tara Bai'karan Ho Ja'ay Ga. Woh Ossi
Nehj Par Sochay Ga Jis Par Os Ki Takhleeq Hoe. Jein Aur Gosht Kay Cell Ka
Pass-Word/Code Daryaft Kar Sakay Ga. Pass-Word/Code Ki Daryaft Say Hi La'mahdood
Hona Momkin Hai. Yah La'mahdodiat Kaenati Ho Gi Jab’kah Khaliq Kay Liay Woh Meaz
Os Ki Khob'surat Takhleeq Hi Rahay Ga.
Kaliq Apni Takhleeq Kay Mafaheem Khoob Khoob Janta Hota Hai. Auroon Par Yah
Mafaheem Nahain Kholtay Aur Na’hi Khol Saktay Hain.
Modabar Eshq Dosroon Par Foqiat Hasil Kar Laita Hai To:
• Khaliq Kay Qareeb Ho Jata Hai.
• Khaliq Ko Os Ki Sifaat Kay Hawala Say Jan Aur Pehchan Laita Hai.
• Khaliq Os Say Aur Woh Khaliq Say Razi Ho Jata Hai.
• Insan Khud Ko Jan Aur Pehcan Laita Hai.
• Woh Ashya Ki Haiat, Mahait, Estamalaat, Jowahar Aur Mafaheen Say Aaghi
Hasil Kar Laita Hai.
• Woh Apnay Andar Kay Korroon Aur Shaktioon Par Tasalat Hasil Kar Laita Hai.
Ghoor Karnay Aur Na'karnay Waloon Main Farq Aa Jata Hai. Ashq-E-Modabar (Moman/Motaqi)
Khalifa Ban Kar Zindagi Kay Kanwas Par Namo'dar Hota Hai.Woh Jan Jata Hai Aur
Na'jannay Waloon Kay Liay Allah Ki Naimat Sabat Hota Hai. Ulma Karam Lafz Kay
Maeni Talashtay Hain Jab’kah Yah Lafz Ki Rooh Par Garift Hasil Kar Laita Hai.
Donoon Main Yahi Bonyadi Farq Hai.
Es Ashq-E-Modabar Ko Peer Keh Lain. Bazorg Ka Naam Day Dain, Darvaish, Faqeer,
Sufi, Bhagat, Amaam, Khalifa Ya Guru Kay Naam Say Mansoob Karain Eak Hi Baat Hai.
Waqt Giya Nahain, Abhi Kuch Ziyada Bigra Nahain Insan Dost Halqay Hazrat Alama
Shah Sufi Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib Kay Parcham Talay Aa Kar Insaniat Ki
Khidmat Karain Aur Insani Tafreeq Kay Tamam Darwazay Band Kar Dain.
Insan Kotta Nahain
Insan Kotta Nahain Kottay Ki Firat Hai, Jab Wo Kisi Dosray Kottay Kay Monh Main
Haddi Daikhta Hai To Pehlay Os Par Bhonkta Hai Phir Os Say Haddi Chein Lainay Ki
Koshesh Karta Hai. Es Tara Donoon Main Ghomsan Ka Run Parta Hai. Yahaan Tak Kah
Wo Haddi Ko Bhi Bhool Jatay Hain. Donoon Lar Lar Kar Bai'hal Ho Jatay Hain.
Darein'asna Koe Tisra Kota Haddi Lay Kar Chalta Banta Hai Aur Larae Ka
Moqam-O-Midan Manzar Aur Naak Naqsha Hi Badal Jata Hai. Goya Larae Ka Silsala Es
China Jhapti Kay Hawala Say Kabhi Khatam Nahain Ho Pata.
Insan Allah Ta'ala Ki Azeem Tarein Mukhlooq Hai. Kottay Ki Koe Bhi Adat Insan
Main Hona Insaniat Ki Kholi Toheen Aur Tazleel Hai. Sari Kaenaat Insan Kay
Tasaraf Ki Cheez Hai Aur Kaenat Hai Hi Insan Kay Liay. Allah Nay Insan Ko
Khalifah Kay Darjay Par Faez Kiya Hai. Goya Es Hawala Say,
1. Insan Kaenat Ka Amin Hai.
2. Es Ka Behtar Aur Barh Kar Estamal
3. Kaenat Ki Tazein Aur Hifazat Ka Fariza Sar'anjam Daita Hai.
4. Maday Ko Tasaraf Main La Kar Apni Danish Ka Saboot Faraham Karta Hai.
5. Es Ki Kavish Say Sukh, Aasudgi Aur Kheer Ko Panpanay Kay Mowaqay Mayassar
Aatay Hain.
Es Hawala Say Insan Kay Paas:
• Vasael-E-Qudrat Wafar Mojood Hain.
• Mehnat Ka Onsar Es Ki Fitrat Ka Khasa Hai.
• Honar Gur Saliqa Tariqa Ki Giraan Qadar Naimat Say Sarfaraz Hai.
• Takhleeq Kay Liay Namonay Pehlay Say Hi Kaenaat Main Mojood Hain.
• Holy Kotab Ki Saurat Main Hadait Mayassar Hai.
Hasad Say Barh'kar Dunyaan Main Koe Bori Aur Na'pasandida Cheez Nahain. Yah
Khamioon Aur Kharabioon Ki NANI Hai. Yah Bhi Keh Saktay Hain Kah Hasad Shitan Ka
Jorwaan Bhai Hai. Yah Wo Bala Hai Jo Jhagray Kharay Karti Hai Aur Chein Lainay
Kay Jazboon Ko Oksati Hai.
Insan Ki Sar'bolandi Doo Hawaloon Say Wazay Aur Mosalam Hai:
Mayassar Main Auroon Ko Shareek Karkay Khoshi Mehsus Karta Hai. Jis Kay Sabab
Barkat Say Nawaza Jata Hai.
Mayassar Na Honay Ki Surat Main Mehnat Aur Kohesh Karta Hai.
Yah Bhi Pehlay Say Teh'shoda Haqiqat Hai:
1- Insan Nay Wasael Talashay Hain Aur Estamal Main La Raha Hai.
2- Bohat Say Wasael Say Motalaq Ilm Hasal Kiya Hai Likin Oon Ka Talashna Aur
Estamal Main Lana Baqi Hai.
3- Un'gint Wasael Ka Ilm Main Lana, Oon Par Garift Karna Aur Oon Ka Estamal
Talashna Abhi Baqi Hai.
Baad'qismati Yahaan Say Hi Shoro Hoti Hai Kah Insan Mayassar Ko Mil Bant Kar
Nahain Kha Raha. Auroon Ko Shamil Karnay Ki Soch, Sochnay Ko Bhi Taiyar Nahain
Aur Nahi Es Kay Hissay Bikhray Karna Chahta Hai. Halan'kah Woh Koli Ya Jozvi
Toor Par Kisi Cheez Ka Haqiqi Malik Hi Nahain. "Mairi Maira" Kay Lach Nay Aag Ka
Darya Kabhi Khoshak Honay Nahain Diya. Essi Tara Jin Ko Mayassar Nahain Woh Her
Hila Bahana Aur Harba Say Chein Lainay Par Otray Rahay Hain.Yah Andaz-O-Rovaeya
Qate Sehat'mand Nahain. Yahhi Nahain Es Aavaizash Say Mayassar Bhi
Tabahi-O-Barnadi Ka Shakar Hai. Agar Yahhi Surat-E-Hal Baqi Rahi To Aatay Kal
Kay Insan Kay Paas, Agar Kuch Baqi Raha To Rakh Main Bhoja Howa Khoon. Woh Es
Khoon Ko Daikh Kar Na Ro Sakay Ga Na'hi Moskarahat Os Kay Laboon Par Phoot Sakay
Gi Kiya Yah Monasab Nahain Kah Insan Maloon Ko Daryaft Kay Hisar Main La Kar
Estamal Main La'ay. Issi Tara Na'maloom Wasael Ko Ilm Main La'ay Ta'kah Yah Ya
Es Ki Aati Nasalain Aaj Kay Na'maloom Aur Kal Kay Maloom Ki Talash Main Nikal
Parain. Insan Kay Hath Main Abi To Chand Patyaan Aae Hain Jin Kay Mokamal
Tasarfaat Par Bhi Puri Girift Nahain Kar Paya Aur Itna Bara Aur Sharam'naak
Hangama Khara Kiay Howay Hai.
Issay Abhi To Mojood Kay Ziyada Say Ziyada Tasarfaat Talashna Hain. Maloom Magar
Estamal Main Na Aanay Walay Wasael Ki Talash Main Nikalna Hai. Agar Insan Mojood
Par Os Ki Mojoda Halat Aur Estamalaat Par Kat Mara To Talash Ka Amal Kaisay Jari
Reh Pa'ay Ga. Tail, Gass Waghera Kay Elawa Bhi Energy Say Motalaq Bohat Sari
Chizain Kaenat Main Mojood Hain, Oon Ki Talash Abhi Baqi Hai.
Insan To Taqat Kay Bal Botay Par Taleem Kay Shobay Say Motalaq Wasael Bhi Khisay
Karna Chahta Hai. Asool, Qanoon Aur Zabtay Apni Hi Rakhsha Kay Liay Bananay Ki
Koshesh Main Masroof Hai. Taleem Aur Research Kay Shobay Ko Kamzoor Aur Apni
Marzi-O-Mansha Ka Bananay Say Maloom Magar Dastaras Say Bahar Tak Rasae Aur
Na'maloom Ko Maloom Main Lanay Ka Amal Kamzoor'tar Hota Ja Raha Hai. Woh Samjh
Raha Hai Mojood Hi Sab Kuch Hai Aur Essay Samait Laina Hi Ghanimat Hai.
1- Taleem Aur Taleem Say Motalaq Logoon Ko Mazboot Bananay Ki Es Liay Ziyada
Zarorat Hai Kah: Mojood Kay Mazeed Kamalaat, Fazael Aur Estamalaat Daryaft Ki'ay
Ja Sakain.
2- Maloom Magar Estamal Main Na Honay Walay Wasael Par Dastaras Kay Gur Aur
Honar Talashay Ja Sakain.
3- Na'maloom Ko Maloom Ki Sar'had Main Laya Ja Sakay.
Yah Baat Bhi Mojoda Tanazor Main Thos Haqiqat Hai:
• Kuch Logoon Kay Psas Wasael Hain.
• Kuch Log Mehnat Kar Saktay Hain.
• Kuch Ilm-O-Danish Rakhtay Hain.
En Main Say 1,2 Ko 3 Kay Isharay Par Kaam Karna Chahiay. Jab Tak Yah Tinoon
Motwazi Aur Bahmi Ta'awan Say Nahain Chalin Gay, Gari Na Chal Sakay Gi. Pehlay
Say Mojood Par Kottoon Ki Se Larae Ka Silsala Kabhi Rok Na Pa'ay Ga. Moeshat Ko
Sahara Yah Tinoon Mil Kar Hi Day Saktay Hain.
Amrika Nay Aman Kay Qayaam Aur Dehshat'gardi Kay Khatmay Kay Naam Par Puri
Dunyaan Ko Aag Main Jhoon Rakha Hai. Diloon Kay Hal To Allah Hi Janta Hai Ho
Sakta Hai Kah Os Ki Es Koshesh Main Kahaan Tak Khaus Aur Insan Dosti Ka Amal
Dakhal Hai. Ho Sakta Hai, Kisi Sata Par Os Kay Haan Mukhlasi Ka Onsar Bhi Mojood
Ho Likin Dunyaan Essay Aqwam-E-Alam Kay Wasael Par Qabza Karnay Ka Naam Day Rahi
Hai.
Amrika Apnay Wasael Aman Qaem Karnay Aur Dehshat'gardi Ko Khatam Karnay Ya
Momkin Hai Pehlay Say Mojood Wasael Par Qabay Ki Koshesh Kar Raha Hai Aur Es Aag
Main Apnay Wasael Jhonk Raha Hai. Natija-E-Kar Boqool Payamber-E-Aman,
Ghos-E-Zaman, Fakher-E-Sufiya, Bashar-E-Bai’badal, Efat-E-Insaniat, Peer-E-Tariqat,
Hadi-Emazahib-E-Alam Sultan-Ul-Oliya-O-Foqara, Best Follower Of Hazrat Mohammad
(Oo Par Darood Ho), Izzat Ma’aab Hazrat Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad
Nur-Ulalam Sahib
"The Single Superpower, The United States Of America, Is Facing A Great Economic
Crisis,
The Greatest Economic Crisis In Its History."
Amrika, Qomoon Ko Apnay Masael Khud Say Hal Karnay Day Aur Dunyaan Ka Mamay Kha
Na Banay Balkah Khud Maloom Wasael Magar Adam Daryaat Ki Talash Main Niklay
Ta’kah Aati Nasloon Ka Bhi Kuch To Bhala Ho Sakay. Woh Kabhi Bhi Mojoda Koshesh
Main Kamyaab Nahain Ho Sakay Ga Kayoon'kah Mir Ja'afar Kabhi Kisi Ka Nahain Ho
Sakata.
Jabr Zindagi Aur Taqazay
Jabr Zindagi Ki Her Kush'gowari Chein Laita Hai Aur Aatay Kal Kay Liay Intahae
Khatar’nak Hota Hai. Jabr Sakoon Aur Aasodgi Kay Liay Ghon Ka Darja Rakhta Hai.
Mazhab/Ism/Nazriyaat Say Shakas Ka Jazbati Reshta Aur Ta'alaq Hota Hai. Mazhab
Kay Moamla Main, Khasosan Jabran Mazhab Philanay Kay Ziman Main Es Kay Nataej
Aati Sadyoon Ka Gehrao Kar Laitay Hain. Es Say Mojoda Lamhoon Kay Liay Shaed
Kuch Faeda Mil Ja'ay Likin Zara Sa Khalao Milnay Par Es Hawala Say Dil-O-Damagh
Main Paida Honay Wala Raad-E-Amal Kalastar Bomb Say Kisi Tara Kam Taba'kon
Nahain Hota. Hindustan Par Musalmanoon Nay Sadyoon Tak Hakomat Ki. Manfi Surat-E-Hal
Ka Tanasab Kam Raha Likin Izzat, Mohabat Aur Yahaan Kay Gher Musalmanoon Ka
Sacha Sath Bhi Mayassar Aaya. Reshta'dariyaan Banein. Rava’dari Parwan Chari.
Hum Bar-E-Sagher Waloon Ki Nafasyati Kamzori Yah Hai Kah Hum Apnay Hero Ko Insan
Nahain Rehnay Daitay. Ossay Fareshta Qisam Ki Cheez Bana Daitay Hain. Dusra Woh
Shakas Kaisa Bhi Ho Os Kay Baad’kidar Ko Nazar’andaz Karkay Mehiz Taital Ka Sath
Daitay Hain. Os Main Khobiyaan Hoon Na'hoon Likin Ossay Khobiyoon Ka Majmoa
Sabat Kar Daitay Hain. Halan'kah Yah Rovaeya Kisi Tara Darust Nahain. Jahaan
Insaaf Na Ho Ga Wahaan Sakoon Ka Samaan Paida Hi Nahain Ho Sakta. Bai'ansafi Aur
Sakoon Eak Sath Nahain Chal Saktay Bal’kah Yah Eak Dusray Kay Jani Dushman Hain.
Bar-E-Sagher Say Musalmanoon Ki Hakomat Khatam Honay Kay Jahaan Aur Bohat Saray
Sabab Rahay Hoon Gay Wahan Aurang-Zaib Badshah Es Almiay Ka Aham'tarein Kirdar
Hai. Os Ki Na'ehli Eak Taraf Os Ki So Called Islam- Dosti Nay Zawaal Ko Dawat Di.
Mazhab Main Jabr Ko Kab Jaga Mili Hai. Mazhab Ka Ta'alaq Dil Say Hai. Jis Cheez
Kay Sath Dil Ki Raza Shamal Na Ho Os Ki Jarain Kab Mazboot Hoti Hain. Manafqat
Ko Panpanay Kay Mowaqay Mayassar Aatay Hain. Mazhab Koe Apni Marzi Aur Mansha Ki
Cheez Nahein. Zair-E-Hawala Shakhas Nay Apni Marzi Ka Zabar'dasti Islam Nafaz
Karnay Ki Koshesh Ki. Os Ki Os Zabar'dasti Ka Aaj Tak Bogtan Nahain Ho Saka.
Musalman Os Par Ya Os Kay Kirdar Par Ongli Rakhnay Nahain Daitay Kah Woh
Musalman Badshah Tha. Chon Chon Kar Khobiyaan, Jo Shaed Ossay Ya Os Kay Door Ko
Bhi Maloom Na Hoon Gi Samnay Latay Hain. Sawal Paida Hota Hai:
1- Halaat Aisay Thay Jo Mukhus Kisam Kay Islam Ka Motahamal Ho Patay?
2- Mussalman Aksariat Main Thay?
3- Musalman, Gher Musalmanoon Say Ziyada Kamatay Thay?
4- Kiya Karobar-E-Hayat Aur Defance Main Gher Musalam Pichay Thay Jo Oon Par
Jazya Nafaz Kiya Jata?
5- Yah Devtaoon Ki Sar’zamein Hai, Kiya Yah Mumkin Tha Kah Log Angothioon Main
Tasaveer Walay Naginay Jrna Foran Band Kar Daitay?
6- Molvi, Pandat Ya Padri Ki Shariat Thek Sahi Likin Hamaisha Ahal-E-Tariqat Hi
Kamyaab Howay Hain. Yah Badshah Oon Kay Pichay Lath Lay Kar Par Giya Aur Os Nay
Rohani Paishwaoon Ka Jina Haram Kar Diya.
7- Kiya Hindustan Islami Molak Tha?
Mashaik Hazraat Kay Liay Yah Dharti Jahanam Ban Gae. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik
Sufi Goru Gobind Singh Sahib (R) Ka Kiya Juram Aur Qasoor Tha? Aurang'zaibi
Tarikh Es Ka Jawab Dainay Say Qasar-O-Ajiz Hai. Sach Sach Hai Aur Sach Ko Monh
Say Bhi Tasleem Kar Lainay Main Kiya Barae Hai. Woh Izzat Ma'ab Hazrat Sheik
Sufi Dara Shako (R) Kay Hami Thay. Es Kay Alava Oon Ka Kiya Qasoor Tha. Izzat
Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Goru Gobind Sahib(R), Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Syed
Vaji-O-Din/Syed Badar-Ud-Din Almaroof Peer Bodoo Shah Sahib (R)Jo Dargah Shah
Abdul Wahaab Kay Gadi Nasheen Thay Kay Paas Aa Gay. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik
Sufi Syed Vaji-O-Din/Syed Badar-Ud-Din Almaroof Peer Bodoo Shah Sahib Nay Eak Hi
Kaaz Kay Sabab Oon Ka Sath Diya. Yah Moamla Aisay Hi Hai Jaisay Eak Nadi Kay Doo
Kinaray (Mazhab Aur Rohaniat) Eak Sath Chaltay Hain Aur Eak Jaga Khatam Hotay
Hain Likin En Ka Malaap Kabhi Bhi Nahain Ho Pata.
Sufi Shara Say Bahar Nahain Hota Aur Jo Shara Say Bahar Ya Os Ka Monkar Hai Woh
Sufi Ho Hi Nahain Sakta. Mazhab Ka Thaikay'dar Shara Rakhta Hai Likin Tariqat
Say Bohat Door Hota Hai. Sufi/Darvaish/Bhagat/Peer/Faqeer Diloon Par Hakomat
Karta Hai Jabah Mazhab Ka Thaikay'dar Jism Par Bhi Hakomat Qaem Karnay Say
Qasar-O-Ajiz Raha Hai. Eak Pathar Eak Golaab. Hazrat Sheik Sufi Syed Ali
Hajvairi Al'maroof Data Ganj Bakhsh Sahib (R) Ko Dunyaan Say Othay Eak Arsa Ho
Giya Hai Woh Aaj Bhi Logoon Kay Diloon Par Hakomat Kartay Hain. Aurang'zaib Ki
Kis Dil Main, Os Ehad Main Ya Es Ehad Main Hokomat Hai!?
Bawar Rahay Siyasat Say Maira Koe Ta'alaq Ya Dil'chaspi Nahain. Mein Nay Eak
Goshay Mein Baith Kar Zindagi Gozari Hai Aur Siyasat Kay Qafas Say Yah Mujhay
Kahein Ziyada Aziz Hai. Maira Masla Yah Hai Kah Mein Insan Ka Khoon Behtay Daikh
Kar Bai'skoon Hota Hoon. Sath Saal Kay Bachay Kay Hath Main Tray Daikh Kar
Parishan Hota Hoon. Mein Desambar Ki Sardi Main Raat 11 Bajay Galyoon Main 10
Sala Bachay Ki "Anday Garam" Ki Aawazain Bardast Nahain Kar Sakta. Mujhy En Kay
Mazhab Rang Khoon Qoom Nasl Alaqa Waghera Say Koe Laina Daina Nahain. Mujhay Oon
Ki Pira Bai'kal Karti Hai.
Mein Poray Vasooq Aur Zima'dari Say Kehta Hoon:
'Taj Ya Mazhab Kay Baray Pait Walay Say Shakhas Kay Liay Khir Ki Towaqo Nahain.
Mazhab Kay Baray Pait Walay Mazhabi Lambar'dar Samait Tamam Adaray Taj Kay
Gamashtay Hain.'
Agar Aaj Koe Insan Ko Bacha Sakta Hai, Ossay Jazba, Mohabat, Rava’dari, Qana'at
Sabr Bardasht Eman Ki Shakti Day Sakta Hai To Woh Sufi Kay Siwa Koe Aur Nahain.
Izzat Ma'ab Hazrat Pope John Paul Sahib La'yaeni Nahain Howay. Izzat Ma'ab
Hazrat Dalae Lama Sahib Ki Maniviat Ossi Shidat Say Mojood Hai. Izzat Ma'ab
Hazrat Sheik Sufi Goru Nanak Sahib(R) Kay Sachay Bhagat Hi Insan Ki Jan Mal Aur
Izzat Ko Bacha Saktay Hain. In Naik Tinat Hazraat Ki Aaj Bhi Diloon Par Hakomat
Hai. In Mohtaram Mashaekh Sahiban Kay Pas UNO Ka Plate Forum Mojood Hai Jahaan
Rohaniat Kay Azeem Paishwa Bashar-E-Baibadal Fakhar-E-Insaniat Hazrat Sufi
Sheikh, Alama Shah Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib Mojood Hain. Mein En Rohaniat
Say Motalaq Mohtaram Hazraat Say Gozaresh Karta Hoon Kah Insan Ko Bachaein Aur
Os Ki Pira Ka Madawa Karain. Yahhi Nahain Insan Ki Aakhrat Main Najaat Kay
Hawala Say Bhi Puray Zoor-O-Shoor Say Sae Farmaein. Yaad Rehna Chahiay:
Baishak Mout Bar'haq Hai Aur Qabr Ka Azab Bhi Dard'nak Sonnay Main Aaya Hai. Yah
Bhi Jhoot Nahain Kah Baray Logoon (Sufi/Darvaish/Bhagat/Peer/Faqeerka/Guru) Ka
Os Rooz Hisaab Bhi Bara Ho Ga.
Dr. Mohammad Nur Ul Alam
Sacha Socha Aur Bai'lag Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah Lok/Guru Wohi Ho Sakta
Hai Jo Apni Zaat Say, Her Hawala Say Alag'tar Sochta Hai. Jahaan Kahein Os Ki
Zaat Shamil Hoti Hai Wahaan Taseer Bhi Kam Ya Khatam Ho Jati Hai. Kayoon'kah
Ahal-E-Nazar Qiyamat Ki Nazar Rakhtay Hain. Dusra Allah Ta'ala Ko Dhoka Ya
Faraib Nahain Diya Ja Sakta.Yahhi Nahin Os Moqaam Par Os Ki Sari Bhagti Aur
Tapasya Bhang Ho Jati Hai. Yahhi Nahain, Os Ki Guftagu Aur Moamla Kisi Khas Ya
Aam Garo, Mazhab, Ism, Qoom, Qabilay Konbay, Jama'at Ya Khita-E-Arz Say
Mota’alaq Nahain Hota. Woh Sab Ka Aur Sab Kay Liay Hota Hai. Os Ki Namaendi Ka
Daera Tamam Mazahib Aur Isms Say Jura Howa Hota Hai. Osaay Mahdood Nahain Kiya
Ja Sakta Aur Na'hi Mahdood Hona Os Kay Liay Mikin Hota Hai. Os Kay Paas Kisi
Garo, Konba, Qabila, Zaat, Qoom Khita-E-Araz, Mazhab Rang Nasl Ka Daera,
Noqta-E-Nazaar Ya Samaji-O-Tehzibi Paimana Nahain Hota.
Os Ka Tool Her Kisi Kay Liay Aur Pura, Doon Kantoon Kay Darmiyan Hota Hai. Baat
Yahaan Tak Hi Mahdood Nahain Woh Gher Insanoon Ki Jan Aur Bhook Aur Piyas Ko
Mohtaram Aur Motabar Rakhta Hai. Woh Sab Ka Aur Sab Kay Liay Hota Hai. Woh Soch
Aur Fikar Kay Hawala Say Omoom Say 40 Qadam Aagay Hota Hai. Goya Os Ki Baat/Moamla:
1- Aafaqi Aur Alohi Asoloon Par Mabni-O-Ostawar Hota Hai
2- Her Zi'nafas Ka Dukh Dard Os Ka Apna Dukh Dard Hota Hai.
3- Woh Hamaisha Insan Ki Zafar'mandi, Aasodgi, Khush'hali, Sakoon, Aur Chain Ka
Khahaan
Hota Hai.
4-Auroon Ki Bhook, Os Ki Apni Bhook Hoti Hai.
4- Janab'dari Ka Os Kay Mazhab Main Qatae Aur Koli Toor Par Dakhal Nahain Hota.
5- Woh Balagh Aur Omeeq Nazar Ka Hamal Hota Hai.
6- Woh Jo Kehta Hai, Khuda Lagti Kehta Hai.
7- Woh Kisi Shakas Kay Samnay Jawab'deh Nahain Hota. Woh Seraf Aur Seraf Allah
(God)
Kay Hazoor Jawab'deh Hota Hai.
Woh Sacha Socha Aur Bai'lag Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah Lok/Guru Kaisa Jo
Lalach, Khoof, Dar, Bhook Piyas Khadshay Ya Andaishay Ka Shakaar Ho Ja'ay Ya Os
Ki Qimat Lag Sakti Ho. Woh Na Biik Sakta Hai Aur Nahi Os Ki Koe Qimat Lag Sakti
Hai.
Halaat Ya Waqt Kaisa Bhi Raha Ho, Hakam Kitna Hi Jabar Zalim Aur Khoon'khar
Kayoon Na Ho Ossay Apni Jan Aur Apnay Maal Ki Chinta Nahain Hoti. Woh
Kalma-E-Haq Keh Daita Ho. Es Kay Nataej Os Kay Liay Kha Kaisay Bhi Rahay Hoon.
Boray Nataej Os Kay Liay Sanvi Haisiat Kay Hamal Hotay Hai.
Os Ki Gardan Main Sarya Hota Hai Aur Na'hi Kisi Ki Gardan Main Sarya Bardasht
Karta Hai.Takabar Aur Motakabar Os Ki Nigah Main Chonti Say Bhi Kam
Haisiat-O-Ehmiat Rakhtay Hain. Ossay Maloom Hota Hai Kah Yah Seraf Aur Seraf
Allah Ki Zaat Kay Liay Zaiba Hain. Jab Mein Yah Kehta Hoon Jumla Insani Baradri
Kay Rohani Qaedein Bashar-E-Baibadal Fakhar-E-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama
Shah Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib Ki Qiyadat Main Insan Ki Rohani Taleem Ka
Ehtamam/Bandobast Karain Aur Insan Ko Dukhoon Say Nijat Kay Liay Koshesh Karain
To Es Ka Matlab Yah Hota Hai Kah Mosoof Main Yah Gon/Khobiyaan Es Gay Guzray
Door Main Bhi Mojood Hain Mojood Hain.
Darya Aur Magar'mach Kay Monh (USA/UNO) Main Reh Kar Dr. Mohammad Nur Ul Alam
Kehta Hai:
"The World Federation, The United Nations, Has Been Abandoned By The Superpower.
Gradually They Develop Their Military In The Name Of So Called Peace. Billions
Of People Are Hungry, Drying Without Food Or Medicine, All Around The World.
Unfortunately, 4567the UN Does Not Look Into Them. The Leaders Of Many Nations
Around The World Are Very Weak. Some Nations Are Leading Through Military
Leaders, And Others Are (:) Playing The Role Of So Called Democracy And
Communism, But They Have Not Succeeded To Establish International Security And
Peace." (Statement: Bashar-E-Baibadal Fakhar-E-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh,
Alama Shah Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib)
Daraj-E-Bala Her 7 Points Ka Tanqidi Nazar Say Jaeza/Motala Karain Eak Sacha
Socha Aur Insan'dost Bhagat/Sufi/Darvash/Faqeer/Guru Hi Es Qisam Ki Batain Kar
Sakta Hai. Puri Insani Baradri Ki Moqtada Qovatoon Ko Daikh Lain, Oon Kay Haan
Yahhi Surat Nazr Aa'ay Gi. Yah Tajziya Eak Balagh Nazar Ka Hi Ho Sakta Hai.
Dr. Mohammad Nur Ul Alam (2)
Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah Lok Waghera Darasal Ambya Ki Talimaat
Phalanay Aur Insan Ki Batni Taharat Kay Hawala Say Oon Kay Namaenda Hotay Hain.
Woh Insan Kay Dukh Dard Aur Pira Ko Door Kartay Hain. Boray Waqtoon Main Onhain
Hosla Aur Tasalli Daitay Hain. Omeed Bandhatay Hain. Halaat Say Nipatnay Ka
Daras Saliqa Aur Skakti Datay Hain. Sabr Shukr Qaem Rehnay Aur Qana'at Ki
Talqeen Kartay Hain. Logoon Kay Dukh Dard Aur Pira Kay Liay Aansu Bahatay Hain.
Logoon Kay Liay Allah Kay Hazoor Duaein Kartain. Oon Ki Bhool Chook Kay Liay
Tanhaeoon Main Allah Say Onhain Moa'af Kar Dainay Ki Estada Kartay Hain. Logoon
Ko Acha Karnay Aur Hadait Par Aanay Ki Dua Kartay Hain. Insanoon Ko Eak Dusray
Kay Kaam Aanay Ki Talqeen Kartay Hain.
Zindagi Ko Aasan Sada Bana Kar Khush'haal Aasuda Aur Shanti Kay Sath Rehnay Ka
Darass Daitay Hain. Woh Chahtay Hain Logoon Main Moa'af Aur Da'gozar Karnay Ka
Jazba Parwan Charay. En Logoon Ki Mojodgi Allah Ki Insan Par Bohat Bari
Meharbani Ata Aur Naimat Hai. Aaj Kehat'zada Door Main Bhi En Logoon Ki Kami
Waqay Nahain Hoe. Es Kay Ba'vajood:
• Insan Baichain Aur Baisakon Kayoon Hai?
• Insan Ka Khoon Kayoon Beh Raha Hai?
• Bai'yaqini Aur Baad Etmadi Main Azafa Kayoon Ho Raha Hai?
Yah Woh Sawal Hain Jo Baar Baar Samnay Aatay Hain. Haqiqat Yah Hai Kah Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah
Lok Kay Soang Main Shitan Bhi Midan Main Aa Giya Hain Aur Woh Apnay Mafaad Kay
Liay Logoon Ko Loot Rahay Hain. Onhain Gomrah Aur Korarah Kar Rahay Hain.
Daikhnay Main Woh Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah Lok Hi Nazar Aatay
Hain Likin Apni Haqiqat Main Oon Ka Es Line Say Koe Ta'alq Wasta Hi Nahain Hota.
Woh Darvaishi Kay Naam Par Insaniat Kay Cehray Oar Siya Dhaba Hain. Woh Dhongi
Aur Pakhandi Hain. Woh Bhik'mangay Hain. Oon Ki Misal Hathi Kay Dant Khanay Kay
Dikhnay Kay Aur Ki Si Hai. Log Oon Ka Libas Daikh Kar Aur Oon Ki Chikni Copri
Batain Son Kar Dhokha Ka Jatay Hain Aur In Bhik Mangoon Ko Apni Mehnat Ki Kamae
Thama Daitay Hain.
Khud Ko Yoon Zahir Kartay Hain Jaisay Woh Bagwan Kay Salay Hoon Aur Sab Kuch Kar
Dainay Par Qudrat Rakhtay Hoon. Mein Nay Bisioon Es Qisam Kay Chal'baz Daikhay
Hain Jo Bagli Otha'ay Moridoon Kay Ghar Jatay Hain Aur Phir Maal Akatha Karkay
Aaram Aur Ishrat Ki Gozartay Hain. In Ka Apna Koe Eman Hota Nahain Logoon Ka Bhi
Eman Kharab Kartay Hain. Agar In Ki Kartotoon Kay Baray Eak Shabad Bhi Keh Diya
Ja'ay To Woh Essay Allah/God/Bagwan/Eshwar Kay Hazoor Gustakhi Aur Tohein Ka
Naam Daitay Hain. Wahabi Ka Fatwa Khisay Main Rakhna Nahain Bholtay. Log Kehnay
Walay Ki Baat Par Goor Karnay Aur Tehqeeq Karnay Ki Baja'ay En Pakhandioon Ka
Sath Daitay Hain.
Oon Kay Haram Khanay Walay Chailay Chamchay Boolnay Walay Ki Bolti Band Karkay
Dam Laitay Hain. Kitni Ajeeb Aur Afsus'nak Baat Hai Kah Yah Bhik Managay Aaram
Say Kuch Kiay Kara'ay Bagher Hi Chopri Khaein Aur Kamanay Waloon Kay Bivi Bachay
Bhook Piyas Main Suein. Yah Zulm Aur Ziyadti Nahain?! Jis Ka Rizq Khaya Ja'ay Os
Kay Liay Bhi To Kuch Hona Chahiay. En Pakhandioon Kay Hawala Say Kuch Es Tara Ka
Noqsan Samnay Aata Hai:
1- Harkat Kay Darwazay Band Ho Jatay Hain.
2- Allah Ki Di Hoe Tawanae Ka Ghalt Estamal Hota Hai.
3- Logoon Ki Jaieb Par La'hasal Bojh Par Jata Hai.
4- Mohazab Aur Mohtaram Bhik Mangoon Ki Tadad Main Aazafa Hota Hai. Koe Kaam Kaj
Kiay Bagher Hi Achi Khasi Dolat Hath Kar Laitay Hain.
5- Tohum Parasti Main Azafa Ho Jata Hai.
6- Chara Joe Ki Baja'ay En Logoon Kay Haan Waqt Zaya Ho Jata Hai. Yahaan Tak Kah
Rafu Ka Waqt Bhi Hath Say Nikal Jata Hai.
Morshad To Woh Hai Jo Hadait Ka Kaam Karay. Saidha Rasta Sojay. Naiki Ki Talqeen
Karay Aur Badi Say Rokay. Logoon Kay Diloon Main Allah Ki Mohabat Ojagar Karay
Ta'kah Woh Badi Ka Rasta Hi Ekhtayar Na Karain. Oon Ki Apni Zindagi Khobi Ka
Behtarein Namona Hoti Hai. Libas Aur Chikni Copri Batoon Say Kiya Hota Hai. Woh
Apnay Ghar Ki Dehleez Kay Andar Hoon Ya Bahar, Oon Say Pavitarta Ki Khosh'bu
Aa'ay.
Onhain Ijaz, Inksaar, Maskini, Qana'at Aur Sabr-O-Shukar Ka Behtarein Namona
Hona Chahiay Ta'kah Log Zahar-O-Batan Main Oon Ka Rang Pakrain. Yah Koe Paisay
Kamanay Ka Zariya Aur Paisha Nahain. Eak Entahae Zima'dari Ka Kaam Hai. Woh
Auroon Say Ziyada Allah Kay Hazoor Jawab'deh Hotay Hain Ya Khud Ko Samjhtay Hain.
Onn Say Na'seraf Oon Kay Baray Main Poch Goch Ho Gi Auroon Kay Baray Main Bhi
Poch Goch Ho Gi. Woh Apnay Hi Nahain Apnay Mannay (Moridoon) Waloon Kay Bhi
Zima'dar Hain. Na'mannay Waloon Kay Moamla Main Bhi Woh Bari-Ul-Zima Nahain Hain.
Sacha Aur Socha Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah Lok Zindagi Ki Rooh
Hota Hai. Agar Woh Na Ho To Zindagi Mordar Kottay Kay Post Say Aanay Wali Badbu
Ki Misal Ho Ja'ay. Sacha Aur Socha Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah
Lok Kay Haan Panch Chizain Zaroor Nazar Aaein Gi:
1- Ijaz Inksaar Aur Maskini Main Baimisal
2- Haraf-E-Dua Os Ka Asa Hota Hai
3- Dast-E-Sakha Main Hatam Bhi Sharminda Reh Jata Hai. (Kisi Dosray Ki Bhook Ko
Daikh Kar Woh Kha Hi Nahain Sakta. Apna Bhojan Os Ki Nazar Kar Daita Hai Aur
Khud Allah Ki Di Hoe Es Tofeeq Par Sajda-E-Shukar Baja Lata Hai.
4- Maslihat Say Bala'tar Hota Hai Aur Jo Kehta Ya Karta Hai Doo Took Aur Abhaan
Say Bala’tar Hota Hai. Khah Es Main Os Ka Ya Os Kay Kisi Apnay Ka Noqsan Hi
Kayoon Na Ho Raha Ho.
5- Logoon Ko Tambe (Warning) Karta Hai Aur Allah Kay Qehar-O-Ghazab Say Darata
Hai.
Bashar-E-Baibadal Fakhar-E-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah Dr. Mohammad
Nur Ul Alam Sahib Kay Haan Hamain Yah Chizain Milti Hain. Es Hawala Say Oon Say
Insaniat La'tadaad Omidain Bandhay Howay Hai. Insani Sakoon-E-Qalab Kay Liay
Onhoon Nay Mukhtalif Molkoon Kay Safar Ekhtayar Kiay. Dr. Kofi Anan Say Molaqaat
Ki. Insani Haqooq Aur Aman Kay Hawala Say Oon Ki Kidmaat Hairat'nak Hi Nahain
Naqabale-Yaqeen Bhi Hain. Baad Main Aanay Wali Tehriroon Main Tafsili Tazkara
Karoon Ga. Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib Say Mein Zindagi Main
Kabhi Mila Nahain. Mairi Oon Say Koe Dosti Ya Salam Dua Ya Khat-O-Kitabat Ka
Reshta Ya Ta'alaq Nahain. Mojhy Oon Say Koe Lalach Matlab Ya Kaam Nahain Aur
Nahi Kisi Labh Ka Irada Rakhta Hoon. Es Kay Ba'vajood Mein Oon Ki Kidmaat Ka
Motarif Hoon Aur Intahae Izzat Aur Qadar Ki Nigah Say Daikhta Hoon.
Mein Insan Hoon Aur Insan Ki Dorgat Bantay Aur Os Ka Khoon Behtay Daikh Kar
Dukhi Hota Hoon. Aisay Halaat Main Agar Koe Kuch Kar Raha Hai Aur Bila
Tafreeq-O-Imtayaz Her Kisi Kay Liay Dard Aur Pira Rakhta Hai To Os Ki Kayoon
Qadr Aur Izzat Na Ki Ja'ay Zara Daraj-E-Bala Morozaat Kay Tonazor Main Seraf Yah
Doo Tokray/Iqtabas Malahza Farma Lain:
"The Dayemi Complex Has Become A Symbol Of Succor To The Poor, Destitute And
Distressed."
Tambi/Warning Ka Andaz Daikhain, Yah Kisi Aam Admi Ka Andaz Nahain Ho Sakta. Es
Main Kahein Maslihat Nazar Nahain Aati. Qatae Doo Took Aur Allah Say Daranay Ka
Andaz Hai:
"His Eminency Dr. Alam Again Warns The Obama Administration That Homosexuality
Should Not Be Encouraged At All. It Is Against God The Almighty's Order In The
Holy Bible,
The Glorious Holy Quran, The Holy Torah, And Other Holy Religious Books Of
Hinduism
And Buddhism. So That Obama Should Carefully Handle The Matter Of The Natural
Power
Of Almighty And Constitutional Power Of Himself.
If You Try To Match Each Other In The Name Of Freedom And Democracy, You Have To
Pay
For That. Like Nimrod, The Powerful King Of The Planet After The Biblical Flood
At The Time
Of Prophey Noah (AS) And Lout (AS)."
Musalman Koon Hain?!
Es Amar Ko Eak Thos Haqiqat Ka Darja Hasil Hai Kah Ulma Karam Nay "Islam" Kay
Asoloon Zabtoon Aur Tariqah-E-Kar Ki Tashri -O-Tabeer Kay Hawala Say Hosala'afza
Aur Qabal-E-Qadar Khidmaat Sar-Anjam Di Hain. Ba’sad Ofsus Es Kay Ba'vajood Woh
Gher'musalmoon Kay Diloom Ko Raam Nahain Kar Sakay Aur Nahi Koe Naram Gosha
Paida Kar Sakay Hain. Essi Tara Almi Baradri Say Molaqaat Karnay Walay Islam Kay
Hawalas Say Koe Thos Noqta-E-Nazar Paish Kar Sakay Hain. Goya Oon Ki Sae Bhi
La'hasal Rahi Hai. Yahi Waja Hai Kah Lafz Musalman Gali Qisam Ki Cheez Ho Kar
Reh Giya Hai. Ab To Gher'Muslam Es Naam Say Cher Se Khatay Hain Aur Essay Fasadi
Jhagralu Aur Dehshat'gard Qisam Ki Cheez Samjhnay Lagay Hain.
Eak Dehshast'gard Ko Khatam Karnay Kay Liay Bohat Saray Bai'gonahoon Ko Bhi Mout
Ki Nind Sola Daitay Hain. Es Say Baad'tarein Baat Yah Kah Es Par Onhain Koe Dukh
Afsus Ya Ta'asaf Nahain Hota.Oon Kay Khayaal Main Yah Bhi Dehshat'gard Thay
Jihain Maar Kar Onhoon Nay Insaniat Ki Khidmat Sar'anjam Di Hai. Goya Oon Kay
Nazdeek Musalman Aur Dehshat Doo Mutradaf Alfaz/Chizain Hain. Musalmanoon Kay
Nazdeek Yah Thek Nahain, Ziyadti Hai. Zobani Keh Dainay Say Kiya Hota Hai. Es Ko
Sabat Karnay Ki Zarorat Hai. Yah Haqiqat Wazay Karna Lazam Hai Kah Islam,
Salamti Ka Mutradaf Lafz Hai. Islam Aur Dehshat'gardi , Doo Alag Aur Motzaad
Chizain Hain. Mafaheem Kay Hawala Say Islam Salamti Say Ebarat Hai. Jahaan
Salamti Nahain Wahaan Islam Kahaan? Yah Doon Ossi Tara Eak Sath Nahain Chal
Saktay Jis Tara Aag Aur Pabi Eak Sath Nahain Chal Saktay.
Islam Kay Naam Par Qatal-O-Gharat Ka Saman Paida Karnay Walay Musalman Nahain
Hain. Ga'ay Ka Naam Bakri Rakh Dain Wo Kis Tara Bakri Ho Sakti Hai. Ya Shaiar Ki
Khaal Orh Lainay Wala Gadha Shaiar Kaisay Ho Sakta Hai. Khaal Daikh Kar Gadhay
Ko Shaiar Kehnay Walay Ki Soch Main Kaein Na'kahein Khalal Zaroor Hai Ya Wo
La'yaeni Ghalt Fehmi Ka Shakar Ho Giya Hai. Sojh Bojh Rakhnay Walay Par Lazam
Hai Kah Woh Os Ki Ghalt Fehmi Ko Door Karay Warna Es Say Bai'intaha Kharabiyaan
Janam Lay Rahi Hain Aur Lain Gi.
Woh Shakas Jo Apna Maal Jan Izzat Koja Auroon Kay Maal Jan Aur Izzat Ko Bhi Otna
Hi Aziz Rehta Ho Jitna Woh Apnay Maal Jan Aur Izzat Ko Aziz Rakhta Hai, Wohhi
Musalman Hai. Kisi Dosray Ki Adam Mojodgi Main Bila Kahay Os Ki Hifazat Karta
Hai Wohhi Musalman Hai. Os Ka Dastar'khan Bila'tameez-O-Imtiyaz Farakh Rehta Hai
Wohi Musalman Hai. Shab Ki Duaoon Ko Apnay Tak Mahdood Nahain Rakhta Auroon Ko
Bhi Os Main Shamil Karta Hai Wohi Musalman Hai. Apni Piyas Ko Dosray Darjay Par
Rakhta Hai Aur Her Dukhi Insan Kay Liay Dua Ka Halqa Dararaz Karta Hai, Wohhi
Musalman Hai.
Jo Shakhs Kisi Dusray Kay Maal Jan Aur Izzat Ko Halaqat Main Dalta Hai, Woh
Musalman Ho Hi Nahain Sakta, Koe Aur Hai. Gun'bardar Ossay Os Kay Kidar Kay
Hawala Say Shanakht Karay Na'kah Naam Ko Os Ki Waja-E-Shanakht Qarar Day. Agar
Woh Aisa Nahain Karta To Woh Musalman, Jo Salmti Chahta Hai Par Ziyadti Ka
Motakab Ho Raha Hai. Isam Rang Nasl Alaqa Qoom Zoban Qabila Konba Waghera Say
Motalaq Cheez Nahin. Salamti Chahnay Wala Koe Bhi Hai Os Ki Shanakht Isalm Hai.
Salamti Ka Amin Khud Ko Shiya Soni Wahabi Syed Sheik Raj'poot Jat, Araqi,
Pakistani Japani Chini Bharti Irani Lohaar Tarkhan Mochi Nae Sikh Hindu* Khah
Khuch Bhi Keh Lay Es Say Kuch Faraq Nahain Parta, Bahar'toor Woh Musalman Hai.
Kirdar -O-Amal La'yaeni Cheez Nahain Hain. Lughat Main Achay Ya Boray Ka Sabqa
Musalman Kay Liay Nahain Hai. Acha Musalman Bora Musalman Kala Musalman Falaan
Alaqa Ka Musalman Ahmqana Estalahain Hain. Musalman Bas Musalman Hai. Es Say
Ziyada Ya Es Say Kam Nahain.
Shalwaar Gitay Say Opar Ya Nichay Ho Es Say Kiya Faraq Parta Hai. Darhi Lambi
Choti Darmiyani Ya Nahain Hai Ki Koe Maneviat Nahain. Chon’kah Dari Lanbi Hai
Lihaza Yah Dehshat'gard Hai Bai'maeni Baat Hai. Mairay Khayaal Main Aaj Kay
Bicharay Aur Ghareeb Islam Ko En Kharafaat Say Door Hi Rakha Ja'ay To Acha Hai.
Yah Bhi Islam Arsa-E-Daraz Say Gitay Godoon Ki Zad Main Hai. Es Ko Ab Es Hawala
Say Munsalik Nahain Kiya Jana Chahiay. Salamti Ka Daera Mahdood Nahain. Dusra
Salamti Chahnay Wala Pehlay Insan Hain Phir Kuch Aur Hain. Na Woh Sarapa
Fareshta Hain Aur Nah’hi Sarapa Shitan Hain. On Say Acha Bhi Hota Hai Aur Bora
Bi, Kabhi Danista Aur Kabhi Na'danista.On Ki Kisi Borae Ka Sabab Koe Dusra
Salamti Chnay Wala Onhain Qatal Karnay Ka Haq Nahain Rakhta. Saza Daina Qanoon
Ka Kaam Hai Jo Qanoon Kay Hawala Say Hona Chaheay. Haan Dusra Salamti Ka Khahaan
Os Borae Ko Khatam Karnay Ki Koshesh Kary Na'kah Borae Kay Mortakib Shakas Ko
Khatam Karay.
Woh Shakas Musalman Kehlanay Ka Qate Haq Nahain Rakhta Jo Borae Ki Bajay Insan
Ko Qatal Karnay Ka Rujhan/Rovaeya Rakhta Hai. Sufiya Karam Aur Batni Taharat Kay
Qael Logoon Nay Insan Kay Andar Ki Taharat Par Zoor Diya Aur Es Kay Liay Chara
Bhi Kiya. Jin Kay Sabab Bori Soch Ki Hosala Shikni Hoe. Gonah Aur Juram Ko Oon
Kay Ya Oon Say Motalqeen Kay Haan Bohat Kam Daikhtay Hain. Wahaan Yah Oljhao
Nahain Kah Shalwar Gitay Kay Opar Ho Ya Nichay. Wo Jahaan Bhi Hai Thek Hai. Haan
Os Kay Hawala Say Satar'poshi Hoe Hai Aur Wo Os Ki Sinaf Say Motalaq Hi Hai
Na'kah Sinaf-E-Mukhtalif Kay Motabaq Hai. Agar Kahein En Hazraat Kay Haan Koe
Borae Ki Surat Nazar Aati Hai To Wahaan Afsoos Aur Ta'asaf Ki Aag Bhi Dikhae
Daiti Hai. Apni Zaat Kay Moamla Main Hum Onhain Behtarein Mosaf Patay Hain.
Fakhar-E-Insaniat, Bashar-E-Baibadal, Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad
Nur-Ul-Islam Salamti Ka Parchar Karnay Waloon Ki Rah Kay Rahi Hain. Onhoon Nay
Insan Ki Khidmat Main Zindagi Ka Her Lamha Mukhsus Kar Rakha Hai. Woh Seraf Oon
Musalmanoon Kay Haqiqi Namaenda Hain Jo Salamti Ka Parcham Otha'ay Howay Hain.
Woh Insan Ki Izzat Jan Maal Ko Motabar Aur Mohtam Jantay Hain. Tamam Mosalmanoon
(Salamti Chanay Wloon) Ko Oon Kay Hath Mazboot Karna Chahiay Ta'kah Woh Her
Jan'dar Ki Jan Ki Salamti Ko Motabar Karnay Main Apni Sari Rohani-O-Jismani
Qovatoon Ko Saraf Kar Dain Aur Insan Sukh Ka Sans Lay Sakay Aur Sakoon Ki Nind
Soo Sakay.
Insan Maday Say Takhleeq Howa Jis Kay Sabab Os Ki Sochain Bhi Maday Say Wabasta
Ho Gaein. Es Tara Unseen Par Itbar Oth Giya. Woh Koe Cheez Khareed Karta Hai To
Sasti Kay Sath Sath Achi Pai'dar Aur Khoob'surat Ko Bhi Mad-E-Nazar Rakhta Hai.
Ta'alqaat Ki Ostawari Main Bhi Yahhi Paimana Mad-E-Nazar Rehta Hai Kah Jis Say
Ta'alaq Banaya Ja Raha Hai Woh Kaisa Hai Aur Os Say Kiya Labh Othaya Ja Sakta
Hai. Goya Soch Ka Mehwar Bhi Mada Rehta Hai.
Pojiwar Kay Moamla Main Insan Bara Ehsas Waqay Howa Hai. Woh Ossay Bhi Daikhnay
Ka Khaesh'mand Raha Hai. Es Moqaam Par Os Ki Soch Teen Hisoon Main Taqseem Ho
Gae:
1- Jo Dikhae Nahain Daita Os Kay Vajood Par Kaisay Kayoon Aur Kis Bonyad Par
Yaqeen Kar
Liya Ja'ay. Ird Gird Kay Log Eak Say Hain Lihaza Onhain Pojiwar Man Lainay Ka
Sawal Hi Nahain Othta. Ashya Dastaras Main Rehti Hain Lihza Ashya Pojiwar Nahain
Ho Saktein. Goya Koe Pojiwar Siray Say Hai Hi Nahain.
2- Ambya Kehtay Hain Kah Koe Pojiwar Hai Aur Ossay Daikha Nahain Ja Sakta.
Lihaza
Unseen God Ko Tasleem Karkay Ossay Pojiwar Qarar Day Diya Ja'ay, Es Main Koe
Mazaheqa Nahain
3- Khuda Ka Vajood Hai Aur Os Ki Existence Sifati Hawalay Say Hamaray Samnay
Hoti
Rehti Hai.
Pehlay Tabqay Kay Log Zair-E-Behas Nahain Hain. Essi Tara Dusra Tabqa Bhi
Mobahas Say Bahar Hai. Yahaan Baat Seraf Taisray Tabqay Say Motalaq Hai. Es Main
Musalmain, Hindu Aur Esae Dakhal Hain:
Bohat Say Musalman Hazraat Allah Ta'ala Ko 99 Sifaat** Kay Hawala Say Janta Aur
Penchanta Hai Aur Woh En Sifaat Ko Insanoon Main Talashta Hai. Jahaan Kaein Kisi
Main Koe Sift Nazar Aati Hai Wahaan Os Sift Kay Hawala Say Naam Bhi Day Daita
Hai Ta'hum Woh Ossay Pojiwar Qarar Nahain Daita Likin Os Ki Izzat, Taqreem Aur
Mohabat Pojiwar Ki Si Dainay Lagta Hai. Khayaal Karta Hai Kah Woh Os Ki Madi
Khashaat Ko Pura Kar Sakta Hai Ya Allah Say Pura Karwa Sakta Hai. Yah Mohabat
Taqreem Aur Izzat Ka Jazba Aur Khayaal Os Shakas Kay Marnay Kay Baad Bhi Ossi
Tara Baqi Rakhta Hai.
Hindu Allah Ta'ala Ki Sifaat Ko Devtaoon Say Mansoob Karta Hai. Chonkh Devta
Nazar Main Aanay Wali Cheez Nahain Hain Es Liay Onhain Botoon Ki Surat Main
Majassam Kar Laita Hai. Woh Oon Botoon Ki Poja Nahain Kar Raha Hota Balkah Oon
Say Mansoob Sift Kay Hamal Davta Ki Poja Kar Raha Hota Hai Ya Yoon Keh Lain
Mutshakal Boot Kay Hawala Say Os Sift Kay Hamil Devta Ko Pokar Raha Hota Hai.
Oom Kiya Hai Yahi?
Yah Toheed Ki Taqseem Nahain, Par'tu Hai Ya Hain. Insalaak Liay Bhi Hain. Agar
Teen Eak Nahain To Kaenaat Ka Chalna Mohal Hai. Yah Apni Origan Main Eak Hai Aur
Vidhi Kay Bagher God Ka Vajood Bai'maeni Hain To Baikar Ya Eak Teen Main Teen
Apni Asal Main Eak Hi Ka Kay Vidhan Say Isalaak Rakhtay Aur La'yaeni Teharta Hai.
Esaeoon Kay Haan Bhi Taslees Ka Falsafa Bunyadi Cheez Hai. Wo Eak Ko Teen Main
Aur Teen Ko Apni Haqiqat Main Eak Mantay Hain. Musalm Hoon Ya Hindu Ya Esae
Yahaan Bhi Madi Hajaat Kay Hawala Say Wabasta Hotay Hain. Koe Baita Mang Raha
Hai To Koe Maraz Say Khalasi . Es Tara Ki Un'haad Hajaat Os Main Malavas Hoti
Hain. Shaed Hi Koe Aisa Ho Jo God Ko Bila Hajat Man Raha Ho.
Madi Shoch Asal Haqiqat Tak Rasae Say Manay Rakhti Hai. Pojiwar Gher Madi Hai
Lihaza Jism Say Jori Soch Os Tak Ponch Nahain Sakti. Lihaza Khuda Hissoon
Bikhroon Main Hota Rahay Ga. Khuda Ki Taqseem Ossay Maday Say Door Na Janay Day
Gi. Madi Soch Mafaad Say Zara Edhar Odhar Nahain Ho Sakati. Goya Maira Mari Aur
Tashadad Amal Nahain Rok Sakay Ga. Insan Ka Khoon Essi Tara Behta Rahay Ga Aur
Insan Ko Ki Ghalt Aur Maday Say Wabasta Soch Say Nikalna Opar Say Koe Nahain
Aa'ay Ga. Es Hawala Say Insan Kay Batan/Rooh Ki Taharat Az’bas Zarori Hai. Rooh
Ki Taharat Kay Sabab Insan Ka Qatal Rok Ja'ay Ga.
Rooh/Batan Ki Taharat Maday Say Wabasta Koe Bhi Band Na Kar Sakay Ga. Yah Kaam
Batan Ki Taharat Say Wabasta Log Hi Kar Saktay Hain. Hazrat Pope John Paul Sahib
Jo Na'seraf Esae Mazhab Kay Namenda Hain Balkah Rohani Paishwa Bhi Hain. Aisi
Surat Hazrat Dalae Lama Sahib Kay Sath Hai. Hindu Dhram Kay Logoon Kay Haan
Rohaniat Say Wasta Logoon Ki Kami Nahain. Agar Yah Sab Es Waqt Kay Rohani
Paishwa Bashar-E-Baibadal Fakhar-E-Isaniat Hazrat Shah Sheik Sufi Dr.
Nur-Ul-Alam Sahib Kay Shana Ba'shana Ho Jaein To Insan Ko Maday Ki Kathoor
Garift Say Nikala Ja Sakta Hai Aur Es Tara Insan Kay Asal Pojiwar Ki Janib
Marajat Mokin Ho Sakti Hai. Yah Sab Allah Kay Hazoor Surkh'ro Ho Saktay Hain
Warna Her Qatl Honay Wala Qiyamat Kay Rooz In Kay Ru'ba'ru Poray Ghaiz-O-Ghossa
Kay Sath Khara Ho Ga. Os Rooz Allah Ki Sakht Garfit Say Koe Kisi Ko Na Bacha
Sakay Ga.
--------------------------------------
*(Hindustan Ka Rehnay Wala),
**Asal Haqiqat Yah Hai Kah Woh Un'haad Sifaat Ka Malik Hai. Agar Os Ki Sifaat
Ginti Main Aa Jaein To Os Par Garift Mushkal Nahain Rehti.
Mashraqi Punjab Aur Sikh Bradri
Mashraqi Punjab Dunyaan Ki Bohat Bari Aabadi Ki Walaet Hai. Zara'ay Aur
Wasael-Equdrat Kay Hawala Say Bhi Dunyan Kay Kisi Kitay Say Kisi Tara Kam Nahain.
Es Alaqa Kay Moqimi Hazraat Hazrat Goru Nanakji Dev Kay Pairu'kar Hain. Mazajan
Aur Adtan Sachay Sochay Kharay Baat Kay Pakkay Aur Haad Darja Jafa'kash Hain.
Dast-E-Sawal Daraaz Karna, Oon Ki Adat Aur Fitrat Main Dakhal Hi Nahain. Onhain
Alag Say Koe Mazhab/Dharam/Ism Kay Log Samjh Liya Giya Hai Ya Oon Ki Pehchan
Kisi Alag Say Dharam Kay Hawala Say Ki Jati Hai.
Sikh Kay Maeni Sikhnay Wala, Jan'kari Ka Talib, Aaghi Kay Amal Say Gozarnay Wala,
Jo Honar Sikh Raha Ho, Talib-E-Ilm Waghera Honar Dainay Walay Kay Liay Yahaan
Lafaz Nabi Ya Rasool Siray Say Mostamal Nahain. Honar Ya Aaghi Dainay Walay Kay
Liay Ziyada'tar Ostad Aur Goru Alfaz Estamal Main Aatay Hain. Goru Woh Jo Gur
Janta Ho, Atkal Say Waqif, Tajarba'kar, Kisi Okar Main Os Okar Say Bach Nikalnay
Ka Rasta Batanay Wala, Hal Nikalnay Wala, Hadait Dainay Wala Kah Yoon Karo Aur
Yoon Na'karo, Murshad, Ostad Waghera Maeni Mostamal Hain.
Agar Goru Aur Sikh Ko Aam Feham Zoban Main Kaha Ja'ay To Ostad Shagid Kaha Ja
Sakta Hai. Bawar Rehna Chahiay Kah Ostad Rohani Baap Ka Darja Rakhta Hai Es Liay
Gur Sikhanay Kay Hawala Say Liya Ja'ay To Baad'diyanti Ki Os Say Towaqo Nahain
Ki Ja Sakti. Es Garo Kay Haan Doo Chizain Bari Wazay Nazar Aati Hain
1- Toheed Jo Adyan Ki Konji Hai
2- Tasawaf Jo Taharat Aur Tariqat Ka La'jawab Zariya-O-Wasila Hai
Yah Garo Dunyaan Kay Kisi Mazhab Kay Qareeb Ya Taqriban Qareeb Nazar Nahain Aata.
Haan Samaji Masharti Ya Moashi Hawala Say Kahein Kahein Mamaslatain Nazar Aati
Hain To Yah Koe Alag Say Ya Nae Cheez/Baat Nahain Aur Yah Vasaibi Qorbat Ka
Natija Hain.
Pakistan Kay Moqimi Esae Mazhab Ki Bohat Sari Rasumaat Mosalmanoon Ki Se Rakhtay
Hain Es Kay Ba'vajood Woh Esae Hi Hain. Bohat Saray Mazhabi Kalmaat Oon Kay Haan
Takya-E-Kalaam Main Bhi Dakhal Hain. Es Kay Ba'vajood Oonhain Hazarat Esa (AS)
Kay Pairu Honay Ka Dawa Hai. Es Vasaibi Sanjhoon Kay Sabab Sikhoon Ko Hindu Ya
Hinduism Kay Motalaq Qarar Nahain Diya Ja Sakta Yah Sara Sar Zulm Aur Ziyadti
Hai. Asal Haqiqat Yah Hai Kah Yah Log Sufi Silsalay Say Motalaq Hain Aur Es
Silsalay Kay Bani Laeq-E-Izzat-O-Ehtaram Hazrat Goru Nanak-Ji Dav Hain. Mohammad
Aasaf Khan Nay Bhai Gordas (1559-1637) Kay Hawala Say Kaha Hai :
"Guru Nanak Ji He Odasi (Safar) Samay Asa (Lath) Hath Tay Kitab Kach Rakhday
San.
Ais Kitab Vich Ooh Apniyaan Rachna Toon Wakh Bhagtaan Tay Sufiyaan Da Kalaam
Daraj Kar Day San"(1)
Agar Koe Onhain Guru Nanak Keh Lay Ya Sufi Nanak Keh Lay Ya Sheik Nanak Keh Lay
Es Say Kuch Farq Nahain Parta. Onhoon Nay Makka Ka Safar Ekhtayar Kiya Baghdaad
Main Qayam Farmya. Jumla Sufya Kay Silsalay Hazrat Mohammad (Oon Par Darood Ho)
Ki Taraf Phirtay Hain Aur Aap (Oon Par Darood Ho) Ki Mohabat Oon Ka
Matma-E-Nazar Qarar Pati Hai. Bilkul Essi Tara Guru Garanth Sahib Ka Her Shabad
Sufiya Ki Taraf Safar Ekhtayar Karta Nazar Aata Hai. Agar Sufiya Musalman Aur
Rohani Paishwa Hain To Sikh Baradri Ko Aur Os Kay Mohtaram Aur Laeq-E-Izzat Goru
Sahiban Ko Kis Asool Aur Rule Kay Tehat Non-Muslim/Kafar Kaha Ja Sakta Hai.
Her Sufi Garo Apnay Libas Aur Nazaryati Toor Par Apni Alag Say Identity Rakhta/Qaem
Karta Hai. Yahhi Surat Goru Garanth Sahib Say Motalaq Logoon Kay Sath Nathi Hai.
Baba Fareed Sahib (R) Kay Shalok Aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori Ki Kafiyaan
Mosalmanoon Kay Haan Mohtram Hain Ossi Tara Sri Garanth Sahib Ka Her Shabad
Toheed Aur Tasawaf Say Labraiz Nazar Aata Hai Es Liay Wo Mohtam Hai. Es Silsalay
Kay Log Sikh Kehlatay Hain Jabkah Yahhi Surat Digar Silsaloon Kay Sath Bhi
Paivast Hai. Maslan Silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya,
Silsala Shitarya Waghera.
Sufiya Karam Kay Rohani Amal Ko Jari Rakhnay Kay Liay Oon Kay Khalifa/Gadi'nasheen/Divan
Sahiban Kay Namoon Say Malqoob Hazraat Moqarar Hotay Rehtay Hain Aur Es Tara Yah
Silsalay Jari-O-Sari Rahay Hain Aur Yah Amal Sadyoon Par Moheet Nazar Aata Hai.
Sikh Silsala Kay Bani Harat Goru Nanak Dev/Hazrat Sufi Nanak Sahib Kay Silsalay
Ko Jari Rakhnay Kay Liay Hazrat Goru (Kulfa) Sahiban Tashreef Latay Rahay Aur
Onhoon Nay Sikhnay/Shiksha Kay Amal Ko Jari Rakha. En Sahiban Ba'safa Nay Guru
Garanth Sahib Ki Tadveen Bhi Ki, Es Main La'jawab Azafay Bhi Kiay. Goya Oon Kay
Mohtram Shabad Guru Garanth Sahib Kay Pannoon Ki Zinat Banay.
Hazrat Syedna Zain-Ul-Abidein (AS) Nay Jani Doshman Ki Haad'darja Mehman Navazi
Ki. Es Liay Mehman'navazi Aur Khatar'dari Ko Kisi Kay Din'dar Honay Ki Vaja
Qarar Nahain Diya Ja Sakta. Yah Amal Salamti Pasandoon (Muslamanoon) Kay Haan
Aisi Koe Nae Baat Nahain. Hamait, Es Say Bilkul Alag Cheez Hai. Es Silsalay Kay
Guru Gobind Sahib Ko Syedoon Nay Na'seraf Panah Di Balkah Oon Kay Moaqaf Ki
Hamait Aur Takreem Bhi Ki. Yah Syed Bunyadi Toor Par Sufi Thay. Guru Sahib Ki
Hamait-O-Taed Es Amar Ki Kholi Daleel Hai Kah Sikh Koe Alag Say Dharam Nahain
Balkah Sufi Silsalay Ki Eak Kari Hai.
Lafz "Baba-Ji" Hamaray Haan Ziyada'tar Batoor Ehtaram Aur Mohabat Sufya Kay Liay
Estamal Main Hota Aaya Hai Aur Yah Eatalahi Marakab Urf-E-Aam Ka Darja Rakhta
Hai. Mein Nay Baray Borhoon Kay Monh Say "Baba Goru Nanak" Aksar Sona Hai. Maira
Apna Ta'alaq Bhi Syed Family Say Hai. Mairay Walid Mohtaram, Hazrat Ghulam
Hazoor Shah Sahib Al'maroof "Baba Shukar Allah" Sahib Punjabi Zoban Kay Sufi
Shair Thay. Mein Nay Kae Martaba Oon Kay Monh Say "Baba Guru Nanak" Sona. Woh
"Baba-Ji Guru Nanak" Sahib Kay Liay Bara Ehtaram Rakhtay Thay. Onhain Siri Guru
Garanth Sahib Ki Bohat Sari Baniyaan Zobani Yaad Thein. Oon Hi Ki Zobani Maloom
Para Kah Sikh Giyarvein Shareef Ka Doodh Nikaltay Thay. Dass Moharam Ko Sikh
Sahiban Pani Aur Doodh Sharbat Ki Sabilain Lagaya Kartay Thay. Her Doo Motzakra
Chizain Samaji Ravait Nahain Hain. En Ka Ta'alaq Khalastan Mazhab Say Hai. Mein
Aaj Kay Amrat'sar/Mashraqi Punjab Say Ba'chasham-E-Khud Aaghi Nahain Rakhta Kah
Aaj Bhi Yah Surat Wahaan Mojood Hai Ya Nahain.
Hazrat Goru Nanak Dev Say Yah Bool Mansoob Chalay Aatay Hain:
Kalma Kahaan Tay Kal(2) Poway Bin Kamioon Vi Na
Hindu Kahaan Tay Marya Musalman Vi Na
Yahaan Woh So-Called Musalman Marad Hai Jo Sair Ka Teen Pao Tolta Hai. Allah Ki
Zamein Par Fasad Aur Dehshat Gardi Phalata Hain.
Gulbargha Aur Kae Dosri Jagoon Par Sufioon Nay Apnay Mazhab Ko Parda Main Rakh
Kar Insaniat Ki Khidmat Sar'anjam Di. Syed Sahiban Takya Main Rahay Aur Yah
Surat Aaj Bhi Mojood Hai. Ta'hum Bonyadi Baat Jo Es Bool Ka Lob-E-Labab Hai Wo
"Bin Kamioon Vi Na" Hai. Baba-Ji(3) Nay Apna Intasaab Parda Main Rakha. Sikhanay
Kay Amal Ko Libasi Hawala Say Digar Sufiya Say Alag Rakha Ta'hum Digar Sufiya
Kay Kalaam Ko Apnay Haan Namayaan Jaga Day Kar Yah Sabat Kar Diya Kah Woh Oon
Say Alag Nahain Hain.
Musalmaanoon Kay Haan Eak Acha Khasa Tabqa Bari Aqidat Say Bazorgoon Kay
Mazaroon Par Hazri Daita Nazar Aata Hai. Sikh Na'seraf Hazrat Nanak Sahib Kay
Darbar Par Hazri Daitay Hain Balkah Digar Sufiya Kay Darbaroon Par Bhi Mohabat
Aur Ehtaram Say Hazri Daitay Hai. Musalman En Sufiya Ko Khuda Nahain Samjhtay
Balkah Ohain Mukhlooq Samjhtay Hain. Musalmanoon Ka Allah Eak Hai Yahi Surat
Sikh Silsalay Main Hai. Siri Garanth Sahib Kay Ibtadae Yah Shabad Malahza Hoon:
"One Universal Creator God. The Name Is Truth. "
Sikhoon Kay Haan Bhi Yahi Surat Hai. Woh Hazrat Goru Nanak Dev Ko Allah Nahain,
Guru Mantay Hain Aur Onhain Allah Ka Manzoor-O-Maqbool Samjhtay Hain. Sufiya Kay
Hawala Say Musalmanoon Ka Nazariya Aur Noqata-E-Nazar Es Say Mukhtalif Nahain.
"Dayemi Complex Bangladesh" Kabi Kisi Kay Liay Tang Nahain Para. Sikhoon Kay
Liay Bhi Es Kay Darwazay Kholay Rahay Hain. Fakhar-E-Insaniat, Bashar-E-Baibadal,
Rahabar-E-Shariat Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-Ul-Islam Es
Waqat Alam-E-Insani Kay Rohani Paishwa Hain. Es Hawala Say Oon Ka Sikh Silsalay
Say Bhi Gehra Ta'alaq Banta Hai. Goya Jahaan Woh Digar Rohani Sisaloon Kay
Paishwa Hain Wahaan Sikh Silsalay Kay Bhi Guru Tehtay Hain. Sikh Silsalay Ko
Mojoda Almi Halaat Main Faiz Othanay Kay Moqay Mayasar Hain.
-------------------------------------------------------------------------
1-Akhya Baba Fareed Nay P.47, Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 2001
2-Larae,
Janab G Singh-Ji Say Eak Mokalma
Respected Dr Maqsood Hasni Ji I Applaud You To Have Positive Views In Context Of
Sufism And Sikhism But Your Statement Above In Brown Fonts Is Hard To Swallow
Because Sufis Are Coming From Islam And Practicing It Right Way; However,
Sikhism Is Not Coming From Any Existing Religion, People Try To Link It With
Their Religions But Facts Expressed In Sri Guru Granth Sahib Dispute That
Strongly. Guru Nanak (Sahib)Declares In Sidh Gosht (One Of His Main Bani )That
He Has Searched For Those Persons Who Are Truly Into The Almighty Guided By
Guru, Religion Is Insignificant In His Eyes. If Ever He Questions Others, It Is
The Dishonesty And Hypocrisy Displayed By Various Religious And Sectarian-
Viewsgurs. So Your Calling Nanak (Sahib) House As A One Of Sufi Chain Is A
Mistake. Sufis Were Considered True Muslims And Treated With Extreme Respect By
Nanak (Sahib)House. Use Of Word "Baba" Doesn’t Prove Any Sufi-Link Because This
Word Was Commonly Used For Those Who Were Wise Like In Sikh History, There Was A
Wise Sikh Called Baba Budda And So On. Sufis Practiced Holy Quran And Give
Priority To The Almighty Instead Of Indulging In Self Satisfying Urges, Sikhism
Doesn’t Take Anything From Holy Quran Particularly At All. Isn’t It Enough To
Have So Much Respect For Each Other As Sikhs And Sufis? Is It Necessary To
Convert Each Others In Words? Thanks For Sharing Your Thoughts.
With Regards
G Singh
G Singh Sahib,
Aap Nay Mairi Morozaat Par Tovajo Di, Ghoor Farmaya Aur Jawab Say Nawaza Es
Ehsan Kay Liay Shukar'gozar Hoon.
Mahajar Alfaz Jab Kisi Dusri Zoban/Walaet Main Dakhil Hotay Hain To Wo Apni Asal
Halat, Haiat, Surat Maniviat Ya Estamal Barqarar Nahain Rakh Patay. Es Ki Waja
Kalchar Ki Tabdili Hai. Onhain Ekhtayari Zoban/Walaet Ki Nahv, Mazaj Aur Zarorat
Ko Paish-E-Nazar Rakhna Hota Hai. Agar Wo Ekhtayari Zoban/Walaet Kay Asoloon,
Zabtoon Aur Fikri Zaroratoon Ka Khayaal Nahain Kartay To Onhain Ekhtayari Zoban/Walaet
Main Lambi Umer Mayassar Nahain Aati. Onhain Bahar'surat Ehtayari Zoban/Walaet
Ki Ongli Pakarna Hi Parti Hai Aur Yah Oon Ki Fitri Zarorat, Majbori Aur Kamzori
Hoti Hai.
Peer
Farsi Say Bar-E-Sagher Ki Zobanoon Main Dakhal Howa. Yahaan Aa Kar Es Ki
Maniviat Yaksar Tabdeel Ho Kar Reh Gae. Hamaray Haan Yah Lafz Ba’toor "Rohani
Shakas" Estamal Hota Hai. Maslan Peer Abdul Qadir Jilani (RA) Peer Mehar Ali
Shah (RA) Peer Khushi Mohamad Waghera Waghera.
Darvaish
Dar Aur Vaish Say Marakab Hai. Yah Lafz Bhi Apni Assal Maniviat Say Bohat Door
Ho Giya Hai. Bazurg
Farsi Say Bar-E-Sagher Ki Zobanoon Main Warad Howa Hai. Es Kay Assal Maeni Borah
(Old) Kay Hain Likin Yah Lafz Oliya Karam Kay Liay Estamal Hota Hai.
Faqeer
Arbi Say Aaya Hai. Yah Doo Maenoon Main Mustamal Hai:
1- Sahib-E-Faqar, Jo Taqva Ekhtayar Karta Hai.
2- Bhik Mangnay Wala Goya Yah Lafz Phakeer Kay Liay Estamal Hota Hai. Maktobi
Shakal Arbi Wali Rehti Hai.
Mint'maar Ko Koe Angraiz Angraizi Ka Lafz Kabi Aur Kisi Halat Main Nahain Manay
Ga.
Baba
Arbi Kay Lafz Zaeef Kay Motradaf Hai. Moqami Ho Giya Hai Aur Kae Maenoon Main
Estamal Hota Hai: Taya, Dada Nana Waghera Reshtoon Kay Liay Estamal Hota Hai.
Borhay (Old Man) Kay Liay Bola Jata Hai
Syed Family Kay Her Mard Khah Woh Abhi Paida Howa Ho, Kay Liay Bhi Boltay Hain.
Baba Batoor Reshta Estamal Hota Hai. Maslan Baba Jani Halan'kah Walid Sahib 22
Saal Say Ziyada Umar Kay Nahain Hotay Ba’toor Sabqa Ya Lahqa Ehtaraman Bolnay
Main Aata Hai' Maslan Baba Bulle Shah, Baba Fareed, Rehman Baba Waghera Waghera
Koe Nazriya, Fakri Nazam Ya Mazhab Jo Insan Ki Taqseem Karkay Fasaad Aur Jhagray
Ka Darwaza Nahain Kholta Aur Jo Kholta Hai Nafrat Ka Nishana Banta Hai. Yah Thos
Aur Atal Haqiqat Hai Kah Insan, Insan Ka Aur Inan Ki Kidmat Aur Kaam Aanay Kay
Liay Hai. Her Kisi Kay Dukh Sokh Ka Sathi Hai. Taqseem Say, Aamar Aur Estabdai
Qovatain Estakam Paarti Hain Aur Manfi Halqoon Ko Panpanay Ka Moqa Milta Hai.
Shitan Ki Ban Aati Hai. Insan Ki Taqseem Aur Tafreeq Say Estabdadi Qovatain
Wasael, Zehan, Aur Mehnat Par Qabaz Ho Jati Hain. Yahaan Tak Kah Wo Insani
Danish Ko Bhi Mati Bana Laiti Hain. Es Tara Estahsal Kay Darwazay Khol Jatay
Hain.
• Tasavaaf Aur Es Say Motalaq Logoon Kay Motalaq Kae Nazreay Miltay Hain: 12
• Tasavaaf Ko Islam Nahain Samjha Jata Aur Es Say Motalaq Motzaad Nazriay Mojood
Hain.
• Yah Log Naam Kay Mosalman Hain Likin Islami Shara Say Door Hain.
• Yah Rohaniat Say Motalaq Log Hain.
• Nammay Log Yah Field Ekhtayar Kartay Hain Aur Bai'amli Paida Kartay Hain.
• Waghera Waghera
Bahar'toor Jo Bhi Sahi In Kay Liay Unhaad Ehtaram Aur Mohabat Mojood Rahi Hai.
Sufiya Kay Nazdeek:
Bari Zaat Seraf Allah/God/Bhagwan/Ehvar/Oom Ki Hi Hai. Insanoon Main Rawa'dari
Aur Bhai Charay Ki Fiza Paida Honi Chahay. Insanoon Main Mohabat Kay Jazbaat Ko
Parwan Charna Chaheay. Ejaz Aur Inksar Sufi'ism Ka Imtiyazi Wasaf Hai. Sufi Khud
Ko Namana Hi Samjhta Hai. Mashaekh, Ilm/Aaghi Ki Dolat Say Mala Mal Hotay Hain
Es Kay Ba'vajood Ejz Oon Ka Khasa Rehta Hai. Dast-E-Sawal Daraz Karna Oon Kay
Mazhab Main Nahain Hota. Jo Hasal Karta Hai Logoon Main Taqseem Kar Daita Hai.
Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat Takabar Say Door Bhagtay Hain. Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat
Ko Ilm Hota Hai Kah Takabar Rooh Ko Kha Jata Hai. Ab Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat
Aur Alim Ka Diyanat'dari Say Moazna Kar Lain Woh To Apnay Sewa Kisi Aur Ko
Salamti Wala/Sachay Mazhab Par Samjhta Hi Nahain. Her Gher Kay Liay Kafar Ka
Fatwa/Parwana Os Ki Ghutli Main Mojood Rehta Hai. Moqadas Guru Garanth Sahib
Mairay Samnay Pari Hai. Mujhy Es Main Say Seraf Eak Lafz Nikal Kar Dikha Dain
Jo:
Takabar Ki Hosla'afzae Karta Ho. Mohabat Aur Bhai Charay Say Door Lay Jata Ho.
Khoon Kharabay Ki Dawat Daita Ho. Insan Ko Insan Say Door Kar Dainay Par Aamada
Karta Ho. Daan Aur Kirpa Ko Mukhsus Karta Ho.
Aap Ka Moaqaf Hai:
"Sikhism Doesn’t Take Anything From Holy Quran"*
Aap Ka Yah Bhi Kehna Hai:
"Sufis Were Considered True Muslims-----"
Yah Bhi Aap Hi Ka Kehna Hai:
" Sufis ---- Treated With Extreme Respect By Nanak (Sahib )House."
Ghoor Farma Lain Aap Kiya Keh Rahay Hain. Sri Guru Garanth Sahib Main Kitnay
Mashaikh Ka Kalaam Shamil Hai, Aap Khud Hi Farma Dain To Acha Rahay Ga. Hazrat
Guru Nanak Sahib (RA) Ki Aakhri Rasomaat Par Tanaza Khara Howa. Es Say Kis Amar
Ki Nishan'dahi Hoti Hai?!
Hazrat Guru Nanak Sahib (RA) Mairi Aur Aap Ki Soch Say Kahein Baray Thay. Woh
Sab Kay Aur Sab Kay Liay Thay. Khuda Kay Liay Hazrat Guru Nanak Sahib Ko Mahdood
Na Karain. Oon Say Jo Mohabat Karta Hai Ya Onhain Izzat Aur Ehtaram Ki Nazar Say
Daikhta Hai Ya Woh Jin Say Mohabat Kartay, Woh Sab Apis Main Mota'aq Hain. Jo
Bhi Hawala Mojood Hai, Insan Qareeb To Aata Hai. Insan Ko Aaj Eak Dusray Kay
Qareeb Aanay Ki Zarorat Hai. Guru Garanth Sahib, Kalaam Baba Fareed, Kalaam Shah
Hussain, Kulyaat-E-Bulle Shah Ka Taqaza Yahhi Hai Kah Insan Tamam Tafreqaat Say
Bala Ho Kar, Dusray Insan Kay Qareeb Aa'ay. Insan Ki Taqseem Kay Darwazay Band
Karnay Ki Sae Ki Jani Chahiay. Insani Taqseem Kay Sabab Aamar Qowatoon Ko Shakti
Mil Rahi Hai Jo Aaj Aur Aatay Kal Kay Liay Khatar'nak Haqiqat Hai. Jahan Kahein
Koe Sanjh Milti Hai, Os Kay Hawala Say Insan Ko Qareeb Lanay Ki Koshesh Honi
Chahiay. Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur Ul Alam Sahib Eak Gher Motnaza
Shaksiat Kay Hamil Hain, Oon Kay Hawala Say Dorioon Ko Mitaya Ja Sakta Hai Aur
Mitaya Jana Chaheay.
---------------------
* Es Par Baad Main Tafsili Baat Ho Gi
Dehshat Gardi Ka Khatma Kayon'kar Ho?! (1)
Dehshat Gardi Aur Ossay Kochalnay Kay Hawala Say Jo Toofan-E-Baad'tamizi Barpa
Hai Es Say Insaniat Aur Makhlooq-E-Falki Bhi Sharminda Aur Prishan Ho Gae Ho Gi.
Shitan Khush Ho Ga Kah Mein Nay Os Insan Ko Ko'rah Kar Diya Hai Ya Woh Azkhud
Ko'rah Ho Giya Hai Jissay Sajda Na Karnay Ki Surat Main Raenda-E-Dargah Hona Os
Ka Moqdar Tehra.
Aaj Dard-E-Dil Rakhnay Waloon Ko Midan Main Otarna Chahiay Aur Qatal-O-Gharat Ko
Roknay Kay Hawala Say Apni Se Koshesh Karni Chahiay. Ba'surat-E-Digar Woh Bhi Es
Ehad Kay Mujram Aur Gonah'gar Tehrain Gay. Aati Naslain Oon Par Lanat Bhaijain
Gi. Ab Waqt Aa Giya Hai Kah Mashaekh Aur Tamam Adyan Kay Motadil Ulma Karam Apna
Kirdar Ada Karain. Logoon Ko Guru Nanak , Rehman Baba, Shah Abdul Latif Bhatae,
Bulle Shah, Shah Hussain, Saein Sachal Sarmast Waghera Ka Kalaam Sonaein. Onhain
Aman Aur Shanti Ka Dars Dain. Sach Ko Sach Kahein. Yah Zindagi Hamaisha Ki
Nahain. Her Kisi Nay Eak Din Jahan Chorna Hai.
Achae Ko Zobani Kalami Manna Maneviat Nahain Rakhta, Es Ka Amli Saboot Bhi Milna
Chahiay. Gharoon Main Rehnay Walay Bai'ghar Ho Kar Roti Kay Chand Tokroon Ko
Taras Gay Hain. Pait Bhar Kar Khanay Waloon Kay Halaq Say Loqmay Kayoon'kar
Gozartay Hai.
Eak Shakas Bhi Bhook Say Soya To Es Ki Amir-E-Waqt Say Poch Ho Gi. Logoon Say
Cheen Kar Nahain, Amir-E-Waqt Apni Gira-E-Khud Say Day Sab Jantay Hain Kah Os Ka
Khisa Moflas Aur Qalash Nahain.
Amir-E-Waqt Ko Bholna Nahain Chahiay Kah Bhook Say Barh Kar Koe Andhi Taqat
Nahain. Yah Bhokay Piyasay Aur Bai'chat Kab Tak Bhook Bardast Karain
Gay---------Kab Tak?!
Bhook Piyas Eak Haad Tak Bardast Ho Sakti Hai. Bardasht Kay Baad Kae Aur Mahaz
Khol Jaein Gay. Phir Kiya Ho Ga, Es Amar Ka Tasawar Bhi Larza Bar’andam Kar
Daita Hai. Kiya En Bhook Kay Maroon Kay Manfi Amaal Ko Bhi Dehshat'gardi Ya
Shidat Pasandi Ka Naam Day Kar Qatal Kiya Ja'ay Ga Ya En Kay Hatoon Roti Khatay
Qatal Hoon Gay. Ghar Aur Roti Pani To Pehli Aur Aakhri Zarorat Hai. Bhook Say
Nijat Ki Sochna Bhi Dehshat Gardi Say Kam Nahain. Yahaan Hazrat Paighambar-E-Islam
(Oon Par Darood Ho) Kay Chand Hosn Paroon Ko Darj Karnay Ki Sa'adat Hasal Kar
Raha Hoon Aur Yah Farmodaat Amal Ka Taqaza Kartay Hain:
"Tum Main Say Intahae Na'pasandida Woh Hain Jo Choghal'khoor Hain Aur Dostoon
Main Tafreeq Paida Karnay Walay Hain" (Tibrani)
"Tum (Sakht'kalami) Ka Aisa Jawab Doo Jo Bohat Acha Ho. (Aisa Karnay Say) Tum
Daikho Gay Jis Main Aur Tum Main Dushmani Thi Goya Woh Tumhara Garam'josh Dost
Hai----------" (Muslim)
"Jo Tumharay Sath Baad'akhlaqi Karta Hai Os Kay Sath Bord'bari Say Paish Aao Aur
Jo Tum Say Ziyadti Karta Hai Ossay Moaf Kar Doo Aur Jo Tumhain Mehroom Rakhta
Hai Ossay Doo Aur Jo Tum Say Qata Ta'alaq Karta Hai Os Say Sila-E-Rehmi Karo" (Tibrani)
"Jab Tak Tum Eak Dosray* Say Meharban Nahain Ho Jatay Os Waqt Tak Tum Eman'dar
Nahain Ho Saktay" (Tibrani)
"Narmi Jis Cheez Main Bhi Ho Ossay Mazaein Kar Daiti Hai Aur Jis Cheez Say Ossay
Khatam Kar Diya Ja'ay Ossay Mayoob Bana Daiti Hai." (Muslim)
---------------------------------
* Awamun'nas Par Meharban Hona Morad Hai
Dehshat’gardi Ka Khatama Kaiyoon’kar Ho?! (2)
Aaj Ki Insani Nasl Itni Bai’his Nahain Hoe Aur Na’hi Bai’rahro, Baiadab,
Khud’ghrz Aur Khud’sari Ka Shakar Hoe Hai Kah Woh Apnay Rohani Paishwaoon,
Bazurgoon Aur Baroon Ko Khatar Main Na Lati Ho.
Mada Itna Bhi Motabar Aur Mohtaram Nahain Howa Jitna Kah Daikhnay Aur Samjhnay
Main Aa Raha Hai. Jo Dikhae Day Raha Hai Wohi Sab Kuch Ya Yahhi Aakhri Haqiqat
Nahain Hai. Es Kay Pichay Bohat Kuch Aur Bhi Hai. Jis Ki Tafheem Abhi Baqi Hai.
Aqab Ki Tafheem Aur Pazirae Aaj Ki Pehli Tarji Kay Darjay Par Faez Hai. Yah Baat
Puray Vasooq Aur Yaqeen Say Kahi Ja Sakti Hai Kah Es Aqab Ki Talash Zahir Parast
Na Kar Sakain Gay Aur Na’hi Os Tak Oon Ki Rasae Mumkinaat Main Hai.
Aaj Ki Nasl Apnay Rohani Bazurgoon Ka Na’seraf Ehtaram Karti Hai Bal’kah Oon Kay
Kahay Par Amal Karna Apnay Liay Baes-E-Sa’adat Bhi Samjhti Hai. Hazrat Maha’atma
Budh, Hazrat Zar’tusht, Hazrat Essa Mashi, Hazrat Barahma Dev, Hazrat Shive
Shankar, Hazrat Vishnu, Hazrat Guru Nanak Dev, Hazrat Bahaulla, Sachaoon Kay
Masadaq Harat Mohammad (Oom Par Darood Ponchay) Ki Mohabatoon Aur Rahmatoon Kay
Sar’chashmoon* Say Log Aaj Bhi Faiz’yaab Hotay Hain.
Daikhnay Main Aisa Lagta Hai Kah In Bigray Halaat Ka Ab Kuch Nahain Ho Sakta Ya
Ho Sakay Ga. Aisi Soch Qate Shatani Hai Aur Kaj’amli Par Dalalat Karti Hai. Log
To Rasta Daikh Rahain Kah Koe Aa’ay Aur Oon Ki Ghael Rohoon Kay Zakhmoon Par
Rahmat Ka Marum Rakhay. Yah’hi Nahain Oonhain Rasta Sojha’ay, Oon Kay Diloon Ko
Thandak Aur Farhat Bukhshy, Taqseem Aur Taqseem Dar Taqseem Kay Darwazay Band
Karay. "Woh Bhi Hain" Kay Tasawar Ko Ojagar Karay.
Aisay Main Shayukh Hazraat Nay Midan-E-Amal Main Qadam Na Rakha To Yah Bohat
Bari Ghalti Aur Bhool Ho Gi. Dehshat’gardi Ka Kansar Zoor Pakarta Ja’ay Ga Aur
Aakhar-E-Kar 3rd. Stage Par Aa Kar Insani Rohoon Ki Mout Ka Sabab Ban Ja’ay Ga.
Phir Seraf Mout, Insan Ki Mout Ho Gi. Kuch Sojhae Na Day Ga.
Jumla Shaukh Par Wazay Rehna Chahiaykah Woh Aaj Kay Amin Aur MASIHA Hain. Logoon
Kay Dard Ka Hal Oon Kay Paas Hai. Aati Nasloon Ki Fikri-O-Qalbi Hayat-O-Mout Oon
Kay Hath Main Hai. Oon Kay Paas Dawa Aur Jarahat Ka Saman Ba’surat Rohani Shakti
Mojood Hai. Agar Insan Baqi Na Raha To Oon Ki Izzat, Mohabat Aur Ehtaram Kab
Baqi Rahay Ga. Agar Yah Zulm Aur Borae Ka Hath Nahain Rook Saktay Zoban Say Keh
Nahain Saktay To Kam Az Kam Zulm Aur Borae Say Nafrat Ki Soch Ko To Diloon Main
Faroogh Day Saktay Hain. Diloon Kay Phirnay Say Soch Kay Halqay Az’khud Mur
Jaein Gay.
Yah Sachae Kay Mohtarum Qazi Hain. Inhain "Insan Bachao" Ka Faisla Daina Hi Ho
Ga. In Kay Faislay Par Aaj Amal Daramad Ho Ya Na’ho, In Kay Faislay Ki Haisiat
Aur Ehmiat, Jab Tak Insan Baqi Hai Motabar Aur Mohtaram Rahay Gi.
Lafz Jihad Qabal-E-Dashnaam Tehra Hai. Es Ki Tashri-O-Tabeer Kay Hawala Say
Gher’janib’dari Aur Eman’dari Say Kaam Nahain Liya Ja Raha. Jihad Koshesh,
Tag-O-Doo, Sae, Struggle Waghera Ka Motradaf Lafz Hai. Tarikh Kay Sab Pannay Es
Amar Ki Kholi Goahi Dain Gay Kah Kisi Eslah’konida Nay Talwaar Say Kaam Nahain
Liya. Onhoon Nay Bari Bord’bari Hosla’mandi Say Pathar Kha’ay. Kuch To Bari Shan
Say Daar Tak Bhi Ponchay. Zehar Ko Amrat Samjh Kar Nosh-E-Jan Kiya. Haan Jab
Kabhi Nobat Aae To Difa Main Talwaar Bhi Othae.
Aaj Insan Ko Tazabzab Aur Khoof Ki Soli Say Otarna Hai. Tazabzab Aur Khoof Hi
Insan Ko Talwaar Othanay Par Majboor Kar Raha Hai. Jab Insan Par Khol Ja’ay Ga
Kah Woh Jis Ko Marnay Ja Raha Woh Os Ka Apna Partu Hai Aur Kisi Aur Ka Qatal
Khud Os Ka Apna Qatal Hai To Woh Kabhi Tawaar Nahain Otha’ay Ga. Her Insan
Dusray Kay Liay Motabar Aur Mohtaram Tehray Ga. Soch Main Taharat Aur Pakizgi
Shani Dev Nahain, Barahma Ji Kay Povitar Boloon Say Hi Aana Mokin Hai.
Sukhan-E-Hafif Hi Raishmiat Paida Kar Sakta Hai. Guru Garanth Sahib Kay Shabd
Hosan-E-Kalaam Ki Vaja Ban Saktay Hain.
Jab Insan Insan Kay Liay Motabar Aur Mohtaram Ho Ga To Hi Woh Sarapa Quran Ho
Sakay Ga. Rang Nasal Alaqa Zoban Qabila Firqa, Mazhab Waghera Ki Tafreeq Khatam
Honay Say Insan, Insan Kay Qareeb Aa Sakta Hai. Yah Qorbat Reshta’darioon Main
Tabdeel Ho Gi. Bawar Rahay Lahu, Lahu Hota Hai Aur Yah Her Hawala Say Motabar
Aur Mohtam Hai. Es Ka Behtay Rehna Thek Nahain. Yah Ragoon Main Dorta Phirta Hi
Acha Lagta Hai. Kholasa-E-Kalaam :
1-Ulma** Karam Tafreeq Ka Rasta Choor Kar Aur Mukhsus Halqoon Aur Daeroon Say
Nikal Kar Insan Kay Diloon Ko Phairain.
2-Puri Dunyaan Main Rohani Assambliaan Qaem Ki Jaein.
3-Ulma-O-Shayookh Zindagi Ko Sada Aasan Aur Qana’at’pasandi Ka Daras Dain. Cheen
Kar Aish-O-Aaram Ki Gozarna Konsi Laeq-E-Tehseen Baat Hai.
4-Ambya Aur Solaihein Zalim Ko Os Kay Zulm Ka Baar Baar Ehsas Dalatay Rahay Hain,
Ulma-O-Shayookh Bhi Oon Ki Sonnat Par Amal Karain
5-Mahaireen-E-Lisanyaat Zobanoon Main Tehzibi, Samaji Aur Lisani Sanjhain Talash
Karain.
6-Jumla Mazahib Kay Ulma Mazahib Main Mushtarik Qadroon Ko Talashain
7-Insani Zidagi Kay Es Khatar’naak Moor Par Hazrat Amam-E-Kaba, Hazrat Pop John
Paul, Hazrat Dalae Lama Aur Es Status Kay Digar Akabrein Apni Zima’darioon Ka
Ehsas Karain Aur Insan Ko Bachaein.
Mein Nahain Samjhta Ulma-O-Shaukh Ka Payaber-E-Aman, Ghos-E-Zaman,
Fakher-Esufiya, Bashar-E-Bai’badal, Efat-E-Insaniat, Peer-E-Tariqat,
Hadi-E-Mazahib-E-Alam Sultan-Ul-Oliya-O-Foqara, Best Follower Of Hazrat Mohammad
(Darood Upon Him), Izzat Ma’aab Hazrat Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad
Nur-Ulalam Sahib Kay Parcham Talay Sae-E-Masalsal Bai’kar Aur La’yaeni Ho Kar
Reh Ja’ay Gi. Aatay Kal Kay Liay Kuch To Warsa Choor Kar Jana Hi Ho Ga. Yah
Aatay Kal Ka Haq Hai. Aatay Kal Kay Log Bhi Hosn Sakoon Aur Aasodgi Ka Haq
Rakhtay Hain. Yah Oon Par Koe Ehsan Nahain Hamara Farz Hai. Woh Hamaray Bachay
Hoon Gay. Hamain Onhain Kuch To Acha Tarkay Main Day Kar Marna Chahiay Warna
Hamari Aur Kottay Ki Mout Main Kiya Faraq Reh Ja’ay Ga. Onhain Bangla, Kothi,
Kar Waghera Say Ziyada Ehtaram, Shanakht, Sakoon Achi Ravayaat, Achay Sanskar Ki
Ziyada Zarorat Ho Gi. ---------------------------------
• Jumla Hazrat Aal-E-Mohammad, Hazrat Abdul Qadir Jilani, Hazrat Syed Ali
Hajvairi, Harat Shams Tabraizi, Hazrat Shams Sabzvari, Hazrat Fareed-Ud-Din,
Hazrat Shah Hussain Lahori, Hazrat Nazam-Ud-Din Olya, Hazrat Qotab-O-Din
Bukhtayar Kaki, Hazrat Boo Ali Qalandar, Hazrat Lal Shabaz Qalandar, Hazrat
Rehman Baba, Hazrat Abdul Lateef Bhatae, Harat Shuchal Sarmast, Harat Sultan
Bahoo, Hazrat, Shukarulla Qasoori (Syed Ghulam Hazoor), Hazrat Bulle Shah
Qasoori, Hazrat Daem Hazori Qasoori, Hazrat Molana Roum, Hazrat Hafiz Shirazi
Jo Larae Ka Sabab Banta Ho Wo Mazhab Hi Nahain
Mosawar Tasveer Ko Mowassar Aur Jazab-E-Nazar Bananay Kay Liay Rangoon Kay
Estamal Main Kamal Hikmat Aur Maharat Say Kaam Laita Hai.
Shair Apni Shairi Kay Liay Lafzoon Kay Chanao Main Bari Ehtayat Aur Bareek'bini
Say Kaam Lata Hai. Khayaal Aur Jazba Kitna Hi Behtarein Aur Ala Darjay Ka Kayoon
Na Ho, Agar Ossay Os Kay Status Kay Motabaq Aur Mail Khatay Alfaz Mayassar
Nahain Aaein Gay To Qari Motasar Na Ho Sakay Ga. Goya Onda Khayaal Aur Jazbay
Kay Sath Onda Alfaz Ka Estamal Hona Bhi Lazam Hai.
Acha Moqarar Apni Rang'bazi Say Hi Majma Loot Sakta Hai.
Ba'zahar Tarekh Waqiyaat Kay Tasalsal Aur Hisabi Kitabi Tateeb-O-Tanzeem Ka Naam
Hai. Rang'bazi Ya Khoob'surat Aur Shaerana Alfaz Ka Es Say Koe Ta'alaq Wasta Hi
Nahai.
Baad'qismati Say Yahaan Bhi Rang'bazi Ko Bara Amal Dakhal Raha Hai. Mowarakh
Kamal Hoshyari Aur Chabak'dasti Say Kaam Laitay Howay Kuch Ko Kuch Bana Kar
Paish Karta Hai Aur Kisi Ko Kanoon Kan Khabar Bhi Nahain Ho Pati. Aatay Waqtoon
Main Essay Haqiqat Aur Gozray Kal Ki Sachae Ki Tasveer Samjhtay Howay Qabool Kar
Liya Jata Hai. Agar Koe Es Riya'kari Ko Kolnay Ki Koshesh Karta Hai To Os Garo
Kay Motalqeen Essay Gostakhi Par Mahmool Kartay Howay Wo Jota Parait Kartay Hain
Kah Woh Aati Naloon Ko Bhi Es Qisam Ki Hamaqat Karnay Say Mana Kar Daita Hai.
Yah Andaz Aur Toor Intahae Gher Sehat’mandana Aur Gher'zima'darana Hai.
Mowarakh Qari Kay Zehan Par Garift Karnay Kay Liay Mukhsus Qisam Ki Estalahaat
Estamal Main Lata Hai. Maslan Mazhabi Jangain, Tehzibi Tasadam, Salibi Jagain
Waghera Waghera. Estamal Ki Gae In Estalahaat Ka Oon Tarikhi Waqyaat Say Seray
Say Koe Wasta Aur Ta'alaq Hi Nahain Hota. Korsi Walay Tose-E-Hakomat Ya Apni
Hoqmat Bachanay Kay Liay Taqat Ka Estamal Kartay Aa'ay Hain. Oon Ka Kiya Aur
Fatouhaat Waghera Hi Ko Tarikh Kaha Jata Hai.
Koe Tarikh Ki Kitab Dikha Dain, Jis Main Os Alaqa Ya Hakomat Main Rehnay Walay
Shakas Ko Bhi Mozo-E-Kalaam Banaya Gaya Ho.
Fara'oon, Kis Mazhab Ki Jang Lar Raha Tha, Ma'asoom Israeli Bachoon Ka Kiya
Juram Tha Jis Kay Hawala Say Woh Onhain Khanjar Ki Nook Par Rakhay Howay Tha?!
Hazrat Mosa (AS) Ka Kiya Qasoor Aur Jurm Tha?
Kis Mazhab Ko Bachanay Kay Liay Fara'oon Oon Kay Dar'pai Tha?
Namrood Ki Larae Kis Mazhab Kay Liay Thi?
Hazrat Esa (AS) Ko Kis Mazhab Ko Bachanay Kay Liay Saleeb Tak Laya Giya?
Hajaj Bin Yosaf Nay Kis Mazhab Ko Bachanay Kay Liay Qatal-O-Gharat Ka Bazar
Garam Kiay Rakha?
En Sab Laraeoon Ka Ta'alaq Kisi Mazhab Say Nahain Tha. Yah To Korsi Bachanay Kay
Liay Talwaar Otha'ay Phirtay Thay. Yahhi Sach Hai Aur Es Kay Siwa Kuch Bhi Sach
Nahain.
Mazhab Agar Larae Ka Bazar Garam Karta Hai To Wo Mazhab Hi Nahain. Yah To Insani
Khoon Ko Ehtam Daita Hai Aur Os Ka Behna Darust Nahain Samjhta. Tehzeebi Jangoon
Kay Mozo Ko Kisi Dosray Waqt Kay Liay Otha Rakhta Hoon. Yahaan Seraf Mazhab Kay
Motalaq Chand Morozaat Paish Karta Hoon.
Donyaan Ka Koe Mazhab Tasadam Ka Rasta Nahain Kholta. Donyaan Ka Koe Mazhab
Nahain Kehta Kah Bai’gonahoon Ka Khoon Bahao. Oon Ki Amlaak Par Qabza Karkay
Aish Aur Mooj Ki Gozaro. Dushman Ya Kamzoor Khandanoon Par Tasalat Hasal Karkay
Onhain Ghulam Banao Aur Oon Say Aazad Jinay Ka Haq Cheen Lo. Mazhab Kay Naam Par
Es Qisam Ka Koe Bhi Faial Intahae Ghalazat Aur Os Mazhab Ki Toheen Kay Motradaf
Hai.
Mazhab Insan Ko Insan Kay Qareeb Lata Hai. Eak Dosray Kay Dukh Sukh Main Shareek
Honay Ka Hokam Lagata Hai. Zarorat'mand Ki Madad Karnay Ka Hukam Daita Hai.
Logoon Kay Liay Aasaniyaan Paida Karnay Par Zoor Daita Hai. Mazhab, Mohazab
Society Ki Tashkeel Karta Hai. Socoety Ko Ghalazat Say Bachanay Ki Koshesh Karta
Hai. Zindagi Karnay Ka Saliqa Ata Karta Hai. Wo Kisi Ka Dushman Nahain. Wo To
Sab Ka Dost Aur Khair'kha Hota Hai.
Kisi Molak Main Esae Hakomat Ho Holy Bible Kab Kehti Hai Kah Oon Ka Jina Haram
Kar Doo. Gita, Garanth, Ramaen, Quran Main Kahan Likha Hai Kah Logoon Ki Zindagi
Bai’sakoon Kar Doo Aur Oon Say Insani Haqooq Cheen Lo?!
Agar Koe Mazhab Insan Dushman Hai To Ossay Mazhab Ka Naam Daina Lafz Mazhab Ki
Toheein Hai. Ossay Tehreek Ya Kisi Makhsus Garo Kay Tahafaz Ka Kala Qanoon Kaha
Ja Sakta Hai.
Asal Main Howa Yah Hai Kah Mazhab Kay Ahkamaat Ki Alag Alag Ashkas Nay Tafheem
Ki Hai. Yah Tafhimaat Shariat Ka Darja Ekhtayar Kar Gae Hain. En Tafheem
Konindgan Ko Amam Ka Naam Diya Jata Hai. Yah Naam Aasmani Nahain Askhas Ka Diya
Howa Hai Lihaza En Ki Shariatoon Ko Kisi Aasmani Kitab Ya Ahkaam Ka Darja Hasil
Nahain Aur Nahi Yah Haraf-E-Aakhar Ya Kisi Kaji Say Pak Hain. Agar Yah Aasmani
Hoon To Eak Dosray Say Motsadam Na Hoon. Yah Sab Tafhimaat Asal Shariat Nahain
Hain Bakah Shakhsi Tafhimaat Hain. Es Liay Kisi Motsadam Moamlay Par Jhagray Ki
Rah Nikal Aa'ay To Es Ko Mazhabi Jang Ka Naam Daina Darust Nahin. Bal'kah
Shakhasi Shariat Ki Larae Ka Naam Daina Ziyada Monosab Ho Ga.
Yah Mosa (AS), Daood (AS), Esa (AS), Aur Mohammad (Oon Par Darood Ho) Ki Sharit
Ki Larae Nahain. Mosa (AS), Daood (AS), Esa (AS), Aur Mohammad (Oon Par Darood
Ho) Ki Sharit Apni Asal Main Eak Hi Hai Aur Insan Ki Khair'kha Aur Ossay Barkat
Ata Karti Hai. Yah Bhai Charay Ko Faroogh Daiti Hai. Tafreeq Ko Mita Kar Insan
Ko Os Ka Asal Moqm Daiti Hai. Insan Ki Jan Mal Aur Os Ki Izzat Ki Amin Hai.
Yahi Surat Hindu-Mat, Budh-Mat, Waghera Kay Sath Da'paish Hai. Marzi, Mukhsus
Halaat, Zarorat, Mukhsus Khita-E-Araz, Mukhsus Ehad Aur Insani Soch Say Ta'alaq
Rakhti Shariatain Hain Lihaza In Ka Tasadam Quran, Toraat, Zaboor Ya Ajeel Ka
Tasadam Nahain. Bhagvat Gita, Ramaein, Siri Garanth Sahib Waghera Say Joray Asal
Ahkamaat Insan Ka Noqsan Nahain, Bhala Kartay Hain. Batni Taharat Aur Qalbi
Safae Ko Zarori Qarar Daitay Hain.
Kisi Baat/Hukam Ki Apni Marzi, Soch Aur Zarorat Kay Motabaq Tashre Ko Asal
Shariat Kayoon'kar Tehraya Ja Sakta Hai. Yah Batan Ki Safae Na Karti Hoon Ya
Soch Main Mosbat Tabdili Na Lati Hoon To In Kay Asal Honay Par Asrar Kiay Jana
Tabahi Kay Motradaf Hai. Batni Taharat Soch Badalti Hai. Monh Hath Pair Dho
Lainay Aur Makhsus Mazhabi Libas Pehhan Lainay Say Kiya Hota Hai. Dil Aur Soch
Main Mosbat Tabdili To Nahain Aati.
Shakas, Mollaan Padri Pandat Waghera Ki Shariat Say Bai'zaar Aur Na'omeed Ho
Giya Hai.
Batni Safae Ka Aaj Wahad Zariya Rohaniyaat Say Motalaq Log Hi Hain. Aaj Oon Ki
Aazmaesh Ka Waqt Aa Giya Hai. Es Liay Onhain Hazrat Allama Sufi Sheikh Shah Dr.
Mohammad Nur-Ul-Alam Kay Sath Mil Kar Insan Ki Khidmat Karni Chahiay. Tasadam Ki
Rahoon Ko Band Karaein. Logoon Ko Tafriqaat Mita Kar Eak Dosray Kay Qareeb Laein.
Yahhi Aaj Ki Sab Say Bari Sachae Hai.
Eak Karwa Sach
Aaj Kay Insan Ki Halat Daikh Kar,
Hisas Tabqay Na’seraf Es Par Ghoor Kartay Hain Balkah Dukhi Bhi Hotay Hain Aur
Wo Khud Ko Bay’bass Samjhtay Hain. Aman Aur Insani Sakoon Kay Liay Apni Se
Kosheshain Bhi Kartay Hain. Mafad Parast Tabqay Aman Aur Sakoon Kay Kaiam Kay
Liay Talwar Otha Rahay Hain. Jab’kah Haqiqat Yah Hai Kah Bai’sakoni Kay Wo Khud
Zima’dar Hain Aur Raad’amal Ko Khatam Karnay Kay Liay Gilay Sokay Sab Ko Ragra
Diya Jar Raha Hai. Wo Khud Ko Mehfooz Karna Chahtay Hain Aur Kisi Dusray Say
Onhain Koe Gharaz Nahain. Wo Jantay Hain Bil’aakhir Mout Oon Ki Ho Gi. Chinay
Ga’ay Wasael Wapis Chalay Jaein Gay.
Ansted University Kay Bani Member Dr. Roger Haw Samaji Zimadari Ka Ehsas Karnay
Aur Nibhanay Kay Hawala Say Kaam Kar Rahay Hain Jab’kah Dr. Adam B. Bodomo
Samaji Sanjhoon Kay Hawala Say Apnay Hisa Ka Kirdar Ada Kar Rahay Hain. Mairay
Nazdeek Her Doo Omoor Kay Sath Lisani Mamaslatoon Aur Wahdatoon Ko Talashnay Ki
Bhi Zarorat Hai. Goya Aman Sakoon Aur Wahdae-E-Insani Kay Liay In Tinoon Omoor
Par Bhar’poor Kaam Karna Aaj Ki Pehli Tarji Qarar Pae Jani Chaheay. Es Tara
Insan Taqseem Dar Taqseem Kay Amal Say Nijaat Pa Sakta Hai. Ba’surat Digar Aatay
Kal Ka Insan, Insan Nahain Darinda Ho Ga. Bawar Rehna Chahiay Aatay Door Ki
Shabashi Ya Lanat, Gozray Door Kay Sar Aati Hai.
Yah Baat Itni Bareek Aur Mohbam Nahain Jo Insan Ki Samjh Main Na Aa Sakay.
Adaray Shah Kay Gamashtay Hotay Hain Aur Her Acha Bora Os Ki Khush’nodi Kay Liay
Sar’anjaam Daitay Hain. Onhoon Nay Kabhi Aur Kisi Bhi Door Main Logoon Kay Liay
Kuch Nahain Kiya Halankah Wo Logoon Ki Behbood Kay Liay Qiyaam Main Aatay Hain.
Shah Aur Os Kay Adaray Hamaisha Say Awaam Ki Jaib Ka Bojh Rahay Hain. Jab Tak
Insan Samjh Nahain Jata Yah Bojh Rahain Gay. Logoon Ki Mehnat Ki Kamae Par Shah
Aur Os Kay Gamashtay Aish Ki Gozartay Rahain Gay. Logoon Ko Chota Gosht Daikhnay
Ko Naseeb Nahain Hota Likin Shah Ki Moqadas Ga’ay Ko Haftay Main Doo Bar Mayasar
Aata Hai. Ajeeb Andhair Hai Mehnat Karnay Waloon Ki Izzat Karnay Ki Baja’ay
Onhain Shah Ki Gholami Karnay Par Majboor Kiya Jata Hai. Inkar Ki Surat Main In
Ki Gardanain Jisam Ka Hisa Nahain Rehtein.
Mein Samjhta Hoon Es Main Shah Aur Os Kay Ghamashtoon Ka Koe Qasoor Nahain. Yah
Sara Qasoor In Mehnat’kashoon Ka Hai. Yah Moti Se Baat Aakhar Aaj Tak Oon Ki
Samjh Main Kayoon Nahain Aae. Dunyaan Ki Sari Laraeaan Shah Kay Liay Lari Gae
Hain. Warna Aam Admi Ka Kisi Dosray Molak Kay Aam Aadmi Say Kiya Masla Hai.
Dunyaan Kay Her Khitay Ka Aam Admi Kayoon Nahain Daikhta Moamla Shah Ka Hai
Lihaza Wo Jananay Aur Os Ka Kaam Janay. Os Ki Madad Aur Ta’awan Kaisa Aur Kayoon?!
Sarkain Bana Raha Ho, Hospital Tameer Kar Raha Ho, Yatimoon Kay Liay Koe Project
Bana Raha Ho Koe Bhi Kaam Jo Insan Kay Liay Faeda’mand Ho To Es Hawala Say Madad
Ka Jawaz Nikalta Hai.
Aisa Koon’sa Adara Hai Jahan Say Aam Admi Ko Faiz Mil Pata Hai. Darkhast Dahinda
Hi Ko Dhar Liaya Jata Hai Ya Phir Woh Insaf Ki Hasoli Kay Liay Airiaan Ragar
Ragar Kar Mar Jata Hai.
Molvi Pandat, Padri Waghera Kabhi Danista Aur Hamaisha Adat Say Majboor Ho Kar
Insanoon Ko Taqseem Kartay Rehtay Hain. Barah-E- Rast Na’sahi Yah Bhi Shah Kay
Madad Gar Hain.
Mein Kehta Hoon Hindo, Muslim Asae, Yahodi, Sikh Waghera Say Pehlay Her Koe
Insan Hai. Yahhi Kora-E-Arz Par Os Ki Shanakht Hai. Es Kay Baad Hi Os Ki Koe
Sanvi Shanakht Aati Hai. Ba’toor Insan, Insan Ko Insan Kay Qareeb’tareen Hona
Chahiay. Apnay Masael Khud Say Hal Karay. Apni Zaroratain Khud Say Puri Karay.
Dukh Main Eak Dosray Ka Kaam Aa’ay. Insan, Insan Ki Khud Say Hifazat Ka Zima
Lay. Essay Shah Aur Os Kay Gamashtoon Ki Zarorat Hi Nahain Rehni Chahiay. Jab
Insan, Insan Kay Qareeb Aa Ja’ay Ga To Koe Masla Hi Baqi Na Rahay Ga. Aaj Insan
Ko Shah Aur Os Kay Gamashtoon Ki Zarorat Nahain Hai. Insan Ko Insan Ki Zarorat
Hai. Shah Aur Os Kay Gamashtay Badi Ka Khuda Hain. Inhain Taiyagnay Ki Sakht
Zarorat Hai.
Insano!
Aao Shah Aur Os Kay Gamashtoon Ka Galap Choro Aur Apni Madad Aap Kay Asool
Ekhtayaar Karo. Mein Yaqeen Say Kehta Hoon In Say Tomhain Kabhi Kuch Nahain Mil
Pa’ay Ga. Yah Apna Olu Sidha Karnay Kay Siwa Kuch Nahain Jantay Aur Nahi Janna
Chahtay Hain. Aaj Kay Halaat Main Ehal-E-Dard Aur Ehal-E-Danish Ka Faraz Hai Kah
Wo Insanoon Ko Eak Dosray Kay Qareeb Laein. Insan Ko Taqseem Kay Her Harbay Say
Bachanay Ki Sae Karain. Samaji Aur Lisani Sanjhoon Ko Talash Kar Dorioon Ko
Nazdikioon Main Tabdeel Kiya Ja Sakta Hai. Shaed Oon Ki Kosheshain Insan Ko Shah
Aur Os Kay Gamashtoon Say Bacha Sakain. Mein Janat Hoon Yah Bara Karwa Sach Hai
Likin Es Ko Janay Bagher Aman Aur Sakoon Ka Sans Nahain Liya Ja Sakta.
Shirk Eak Mohlak Aur Khatar'nak Bimari
Shirk Gonah Hi Nahain Eak Jurm Aur Kansar Say Kahein Ziyada Aur Barh Kar Mohlak
Aur Khatar'nak Bimari Bhi Hai. Es Marz Kay Mareez Ta'umar:
1- Ehsas-E-Kamtari Ka Shikar Rehtay Hain.
2- Baad'nasib Golami Ki Zindagi Gozartayy Hain.
3- Oon Ki Zati Koe Ra'ay Nahain Hoti.
4- Woh Apni Marzi Ka Kabhi Bi Koe Faisla Nahain Kar Patay.
5- Tazabzab Oon Kay Jiwan Ka Sathi Teharta Hai.
6- Oon Kay Hawaas Khoof Say Kabhi Aazad Nahain Ho Patay.
Shirak Ki Jaan'laiwa Daldal Main Mushrak Bai'bas Aur Bai'kas Zindagi Basar Karta
Hai. Bil'aakhir Tabahi-O-Barbadi Ka Shakar Ho Jata Hai Aur Yahhi Moshrak Ka
Anjam Hota Hai.
Asal Baad'qismati To Yah Hai Kah Moshrik Essi Halat Aur Surat Ko Behtar Aur Sahi
Samjhta Hai Ya Essay Hi Sab Say Bari Sachae Manta Hai. Goya Os Kay Dil Par Mohar
Sabt Ho Jati Hai Aur Woh Lotnay Waloon Main Nahain Hota. Woh Bhool Jata Hai Kah
Nadi Kay Doo Kinaray Hi Haqiqat Hain. Doo Kinaroon Ka Eak Hona Asool-E-Fitrat
Kay Monafi Hota Hai.
Motradaf Lakh Acha Ondah Aur Behtarein Sahi Wo Bahar'surat Motradaf Kay Darjay
Pay Hi Faez Rehta Hai. Ossay Kisi Surat Ya Kisi Qimat Par Asal Ki Position Hasil
Nahain Ho Pati.
Bawar Rehna Chahiay Malawat Tawazan Ki Khrabi Ka Mojab Banti Hai. Aaloda
Mohool-O-Halaat Main Sanas Laina Bhi Dushwar Hota Hai. Khalas Zindagi Kay Liay
Amrat Jab'kah Na'khalas Zindagi Kay Liay Ghon Sabat Hota Hai. Na'khalas Saruf Ki
Nazar Main Matoob Hi Rehta Hai. Es Ziman Main Chand Misalain Malahza Hoon:
A. Das Mun Dudh Main 1/2 Kilo Pani Mala Dain, Dudh Asal Nahain Rehta
B- Kisi Ki Eak Kanal Zamein Main Say 2 Inch Par Malkiat Ka Dawa Kharabi
Ka Sabab Ban Jata Hai.
C. Apni Mankoha Orat Par Kisi Aur Ka Ta'alaq Qatal-O-Gharat Ki Taraf
Lay Jata Hai.
D. Eqtadar Par Mamoli Se Shirkat, Moqtadra Qovat Kisi Halat Main Bardasht
Nahain Karti.
Allah To Phir Allah Hai. Allah Kay Moqabal Kisi Aur Ko Allah Tasleem Karna Say
Barh Kar Koe Zulm Nahain Ho Sakta. Allah Nay Insan Ko Zamein Par Apna Khalifa (Waris/Wali/Naeb)
Teharaya. Ossay Izzat Aur Barkat Di. Ilm Say Nawaza. Malaek-E-Falki Ka Sajda
Insan Kay Azeem'tarein/Ahsan Honay Ki Daleel Hai. Sab Kuch Mil Janay Kay
Ba'vajood Yah Zamein Par Motradsf (Waris/Wali/Naeb/Khalifa) Aur Makhlooq Hi
Rahta Hai. Farma'bardari Rahay Gi To Hi Allah Ki Behtarein Makhlooq Yaeni Insan
Kehla Sakay Ga.
Insan Say Acha Bhi Hota Hai Aur Bora Bhi. Goya Insan Main Donoon Tara Ki
Salahiatain/Shaktiyaan Mojood Hoti Hain. Boray Say Na'danisatgi Main Acha Ya
Achay Say Na'danistagi Main Bora Hona Baed Az Qiyas Nahain. Es Liay Yah Kehna
Kah Insan Koli Toor Par Acha Ya Koli Toor Par Bora Karta Hai, Kisi Tara Darust
Baat Nahain. Dakhna Es Kay Majmoe Rujhan Ko Hota Hai. Bora Danistagi Main Bora
Karta Hai. Es Kay Bar'akas Acha Danistagi Main Bora Nahain Karta Ya Os Say Bora
Nahain Hota. Acha Karna Ya Acha Hona, Bora Karna Ya Bora Hona Os Ki
Fitrat-E-Saniya Ban Gae Hoti Hai. Donoon Insan Kehlatay Hain Likin Apnay Amaal
Kay Hawala Say Barabar Nahain Hain. Sabqay Lahqay Oon Ki Insaniat/Shakhsiat Say
Nathi Ho Jatay Hain.
Acha Karnay Walay Ko Khuda Pasand Karta Hai Aur Os Say Razi Ho Jata Hai.Boray Ki
Borae Khuda Aur Os Ki Makhlooq Ko Kush Nahain Aati
Acha Karnay Walay Kay Liay Achay Kalmaat Shirk Nahain Hain. Bilkul Essi Tara
Bora Karnay Walay Kay Liay Boray Kalmaat Zulm Nahain Hain. Haan Achae Ki Tehseen
Boray Ki Borae Ki Ninda, Na Karna Zulm Kay Zomray Main Aa'ay Ga. Yahaan Hi Say
Kharabi Janum Laiti. Tehsein Hona Zarori Hai Likin Tajawaz Darust Nahain. Donoon
Tara Say Tehsein Na Karkay Ya Tajawaz Say Kaam Lay Kar Hum Bil'wasta Borae Ki
Hamaet Aur Madad Kar Rahay Hotay Hain.
Nabi Ho Ya Koe Moslahy, Awal-O-Aakhir Insan Aur Allah Ki Makhlooq Rehtay Hain.
Jo Acha Karta Hai Her Baligh'nazar Os Ki Aur Os Ki Achae Ki Izzat Karta Hai.
Karni Bhi Wajib Hai. Achae Aur Es Kay Karnay Walay Say Mohabat Hona Koe
Gher'fitri Baat Nahain. Woh Oon Kay Qareeb Honay Ki Sae Karta Hai. Hadaet Bhi
Hasil Karta Hai. Chon'kah Oon Ki Achae Kay Hawala Say Allah Aur Os Ki Falki
Makhlooq Oon Say Khush Hoti Hai. Allah Oonhain Barkat Daita Hai Jab'kah
Makhlooq-E-Falki Dua'go Rehti Hai.Essi Tara Woh Insan Kay Andar Mojood Achae Kay
Qareeb Tarein Hota Hai. Goya Acha Insan Doo Tara Kay Omoor Sar Anjaam Dainay Ki
Position Main Hota Hai:
1- Allah Say Makhlooq Ki Tangi Tursi Kay Hawala Say Dua Karta Hai.
Oon Kay Liay Allah Ka Fazal Aur Barkat Talab Karta Hai. Achae
Karnay Aur Phalanay Kay Hawala Say Allah Aur Os Ki Makhlooq-E-Falki
Os Kay Qareeb'tarein Hoti Hai.
2- Woh Shakas Kay Batan Main Poshida Achae Ko Ojagar Karta Hai. Os
Ki Koshesh Kay Sabab Borae Ko Maat Hoti Hai Aur Achae Ghalba Hasil
Kar Laiti Hai.
Ekhtalaf Ka Jarsoma Es Moor Par Phalata Aur Panpata Hai Kah Gher Allah Say Madad
Talab Ki Gae Hai. Maira Baap Din Main Kae Martaba Mujh Say Pani Ya Koe Aur Shay
Mangta Hai. Es Mangnay Kay Hawala Say Woh Moshrak To Nahain Ho Jata Ya Mujhy
Makhlooq Kay Rab Honay Ka Darja To Hasil Nahain Ho Jata.
Acha Karnay Waloon (Soalaihein) Say Madad Talab Karnay Ya Hadaet Kay Liay Kehnay
Ya Dua Mangnay Ki Darkhast Karna, Kis Tara Shrik Kehla Sakta Hai?! Mangnay Wala
Ya Darkhast Karnay Wala Her Hawala Say Makhlooq Hi Rehta Hai. Donoon Vidi Kay
Vidhan Kay Nichay Hi Rehtay Hain. Akbar Badshah, Jisay Akbar-E-Azam Bhi Kehtay
Hain, Olaad Kay Liay Nangay Paoon Hazrat Saleem Chisti Sahib Kay Paas Giya Tha.
Hazrat Saleem Chisti Sahib Ki Dua Say Saleem Paida Howa. Tarikh Main Es Noeat Ki
Hazaroon Misalain Mojood Hain. Kiya Akbar Badshah Moshrak Ho Giya Ya Hazrat
Saleem Chisti Sahib Khuda Ho Gay?!
Aaqa Karim (Oon Par Darood Ho) Ka Farman-E-Garmi Hai:
"Dua Moman Ka Hath'yaar Hai".
Goya Hazrat Saleem Chisti Sahib Khuda Kay Darja Par Faez Nahain Ho Jatay. Woh To
Seraf Aur Seraf Allah Ki Makhlooq Aur Allah Say Hajat Rakhnay Walay Farma'bardar
Banday Thay. Na Es Say Kam Na Es Say Ziyada.
Agar Allah Kay Siwa Talab Rakhnay Ko Shirk Ka Naam Daitay Hain To Koe Eak Bhi Na
Rahay Ga Jo Shirak Na Karta Ho. Insan/Shakhas Ko Kort, Kachehri, Dafatar,
Dookan'dar, Sabzi Farosh Gharz Un'gint Logoon Say Hajat Rehti Hai. Bank Bil
Tarnay Ya Phir Qaraz Lainay Waloon Say Bharay Rehtay Hain. Sael Darwaza
Khatkhatatay Hain. Molvi Sahiban Apnay Daras Kay Bachoon Ko Aur Kabhi Kabhi Khud
Bhi Logoon Kay Darwazoon Par Dastak Daitay Hain. Yoon Talb Kartay Hain Jaisay
Qarz Ki Wapsi Kay Liay Keh Rahay Hoon. Kiya Yah Sab Shirk Hai Aur Yah Sab
Moshraq Hain. Qatan Nahain, Bilkul Nahain. Talb Kay Pichay Yah Baat Zaroor Hoti
Hai Kah Dainay Walay Kay Pas Allah Ka Diya Bohat Kuch Hai Aur Woh Day Sakta Hai.
Rohaniat Say Motalaq Logoon Ko Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur Ul Alam
Sahib Jo Es Waqt Alam-E-Insani Ki Rohani Namaendgi Ka Fariza Sar Anjam Day Ray
Hain, Ki Sar'kardgi Main Midan-E-Amal Main Otarna Chahiay. Woh Logoon Kay Batan
Main Poshida Achaeoon Ko Ojagar Karnay Ki Position Main Hain. Allah Kay Hazoor
Dua'go Ho Saktay Hain. Agar Yah Sab Ho Ja'ay To Zamein Jannat Ka Tokra Ban Ja'ay
Gi.
Lut Janay Kay Baad Hosh Aaya To Kiya Aaya?!
Bokhar Koe Bimari Nahain, Kisi Bimari Ki Alamat Hota Hai. Es Baat Par Tib Say
Motalaq Tamam Shoboon Main Etfaaq Mojood Hai. Haan Tanaza Es Baat Par Hai Kah
Pehlay Bukhar Ka Alaj Kiya Ja'ay Ya Bimari Ka Koe Kamyaab Sad-E-Baab Kiya Ja'ay.
Faraqeen Apnay Moaqaf Kay Liay Apnay Apnay Thos Dalael Rakhtay Hain.
Asal Bimari Ko Os Ki Mojoda Halat Main Rakh Kar Bokhar Ka Moalja Kisi Tara
Danish'mandi Nahain. Adviyaat Ki Taiz Raftari Say Bachnay Kay Liay Asal Bimari
Jism Ka Koe Kamzoor Organ Talash Karkay Wahaan Daira Jama Lay Gi Aur Aatay
Waqtoon Main Kisi Baray Roog Maslan Kansar Ka Sabab Ban Ja'ay Gi. Os Waqt Na
Ja'ay Mandan Na Pa'ay Raftan Wali Baat Ho Gi. Es Hawala Say Bukhar Say Pehlay
Bimari Ka Moalja Hona Chahiay. Dard Ka Moalja Haqiqat Sahi Likin Dard Say Pehlay
Behtay Khoon Ki Nadi Ka Rokna Azbas Zarori Hai.
Mairay Samait Her Koe Dehshat'gardi Kay Foran Roknay Ki Baat Karta Hai Likin Yah
Jo Ho Raha Hai Aur Es Ka Hami Insaniat Ka Ghadar Aur Khola Dushman Hai. Es Ka
Ossay Rooz-E-Hashar Jawab Daina Paray Ga. Kisi Eak Shakas Ka Qatl Dar'haqiqat
Puri Insaniat Ka Qatl Hai. Dehshat'gardi Kay Ma'algein Bokhar Otarnay Kay Liay
Garam Say Garam Adviyaat Estamal Main La Rahay Hain. Es Tara Woh Apnay Paishay
Ki Toheen Kar Rahay Hain Aur Shitan Kay Hath Kath Potli Banay Howay Hain. Bokhar
Ka Moalja Eak Lambay Choray Arsa Say Puri Shad-O-Mad Kay Sath Jari Hai. Hath
Kiya Laga Hai? Nakami, Na'maradi.
Yahhi Na!
Her Naya Din Pehlay Din Say Khoof'’naak Sabat Ho Raha Hai. Hararat Main Shidat
Aati Chali Jati Hai. Apni Khift Mitanay Kay Liay Her Marnay Walay Ko Dehshat
Gard Ka Naam Day Di Jata Hai. Kaha Jata Hai Pehli Say Ziyada Garam Dose Mayassar
Ki Ja'ay. Yah Sara Sar Hamaqat Hai.
Sawal Paida Hota Hai, Goli Aasman Say Chalay Ya Zamein Say, Wo Yah Nahain
Daikhti Marnay Wala Dehshat Gard Hai Ya Ghotnoon Kay Bal Chalta Howa Koe Masoon
Aur Fitrat Par Paida Honay Wala Bacha. Yah Wohi Bacha Hai Jis Kay Liay Vaksian
Estamal Main Aati Hain. Goli Ka Kaam Zindagi Say Mehroom Karna Hai Aur Wo Apna
Nahaiat Eman'dari Say Faraz Ada Karti Hai. Hikmat Amli Teh Karnay Walay Kayoon
Bhool Rahay Hain Kah Jang'ju To Morchoon Ya Hifazti Maqamaat Par Hotay Hain
Jab'kah Aam Log Jin Ka Khoon Kharabay Say Koe Ta'alaq Hi Nahain Hota, Nishana
Bantay Hain.
Aakhir Onhain Kis Jurm Main Mout Kay Ghat Otara Ja Raha Hai?!
En Bai, Gonahoon Kay Khoon Ka Koon Hisab Day Ga Ya Kis Say Manga Ja'ay???
Kisi So Called Aur Baad Ma’ash-O-Baad Kirdar Wadairay Kay Qatl Par Dunyaan Jahan
Kay Taftishi Adray Harkat Main Aa Jatay Hain. Kochehri-O-Kochehri Ho Jatay Hain.
Moalaj Kay Hathoon Qatl Honay Waloon Kay Liay Koe Bolta Hi Nahain. Es Liay Keh
Dehshat'gard Keh Kar Moalaj Ossay Bhi Zehrila Tika Thook Day Ga. Dehshat Gard
Moalaj Kay Hathoon Lakhoon Log Bai'ghar Ho Gay Hain. En Sarkari Dehshat Gardoon
Ko Koon Rokay Ga Aur Kis Tara? Na Bolnay Walay Bhi Barabar Kay Shareek Hain.
Lagta Hai Yah Hamaisha Kay Liay Dunyaan Main Aa'ay Hain Aur Inhoon Nay Jahan
Chorna Hi Nahain.
Talwar Kay Zoor Par Kabhi Kuch Howa Hai???
Kisi Talwaar'baaz Moalaj Ko Dehshat Gardi Kay Bokhar Kay Moaljay Ki Zima'dari
Sonpna Gidar Ko Kachroon Ka Rakha Bhithanay Kay Mutradaf Hai. Yah Talwar Bardar
Moalaj Ba'zaat-E-Khud Aman Kay Vairi Hai. Es Say Bara Aman Ka Dushman Koon Ho
Ga. Yah Jahaan Jata Hai Virani Lata Hai. Faslain Barbad Karta Hai. Phal'dar
Darakht Katta Hai. Mahool Main Aalodgi Phalata Hai. Asmat'dari Kay Record Torta
Hai. Bai'gonahoon Ka Bari Bairehmi Aur Bai'dardi Say Khoon Bahata Hai Jabkah
Gona'gar/Mujram/Dehshat'gard Jo Alart Hota Hai, Bohat Door Ja Choka Hota Hai. Es
Ki Sab'acha Ki Report Khud'faraibi Say Ziyada Nahain Hoti. Mein Essi Liay Kehta
Hoon Tikay Say Hath Rook Kar Pinay Ki Dawa Say Afaqay Ki Surat Nikal Sakti Hai.
Moaljay Nay Bukhar Ki Shidat Main Her'chand Azafa Hi Kiya Hai. Yahhi Nahain
Moalaj Ki Nadani Aur Baiwaqofi Kay Sabab Bokhar Jo Choot Ki Bimari Nahain, Choot
Ki Bimari Ban Gae Hai. Moalaj Ko Na'ay Tanazor Kay Hawala Say Apna Soch Badalna
Ho Ga Warna Koe Mahfooz Nahain Rahay Ga. Dunyaan Haviya Ban Kar Reh Ja'ay Gi.
Jab Mojoda Moaljay Say Na'kami Balkah Sharam'naak Na'kami Hoe Hai To Es Moaljay
Ka Jari Rehni Kayoon'kar Darust Aur Manasab Ho Sakta Hai.
Tarikh Kay Es Khatar'nak Moor Our Hat'dharam Moalaj Ko Koe Samjha'ay Kah Es Ka
Teh Karda Moalja Na'kaam, Sharam'naak Balkah Ba'zaat-E-Khud Khoof'naak Qisam Ki
Dehshat'gardi Hai.
Kaam Os Waqt Ban Sakay Ga Jab Dehshat'gardi Kay Sabab Ko Talasha Ja'ay Ga. Agar
Moalaj Ko Yah Maloom Hai To Woh Es Liay Es Janib Nahain Aata Kah Qadmoon Kay
Nishan Os Kay Apnay Ghar Tak Aa Jaein Gay.
Eak Ghar Kay Das Logoon Main Say Eak Bach Rehta Hai To Kiya Os Say Kheer Ki
Towaqo Ki Ja Sakti Hai?
Kiya Woh Puri Dunyaan Ko Jala Kar Khakisar Kar Dainay Ki Bhavna Lay Kar Nahain
Othay Ga?
Kiya Os Shakas Ko Mujram Ka Naam Daina Monasab Aur Mabni Ba'haq Ho Ga?
Goya Ya Raad-E-Amli Jo Moalaj (Jissay Moqadas Ga'ay Ka Darja Hasal Hai) Kay
Hawala Say Janam Lay Rahi Hai, Main Azafa Hi Hota Chala Ja Raha Hai. Dehshat
Gardi Ko Khatam Karnay Ka Jawaz Lay Kar Bai'ansafi Aur Baad'mashi Panap Rahi
Hai.
Aaj Doo Amoor Ki Janib Tovajo Dainay Ki Ashad Zarorat Hai:
1- Bukhar Kis Bimari Kay Sabab Howa Hai Ko Talasha Ja'ay.
2- Logoon Ki Rohoon Main Wazu Sajaya Ja'ay. Arwah Ko Ganga Jal Say Ashnaan Diya
Ja'ay.
Aab-E-Zamzam Kam Nahain Para Aur Nahi Ganga Abhi Khoshak Hoe Hai. Es
Ailophaithik Moalaj Ko Raad Karkay Biokaimak Moalaj Ko Moqa Diya Jana Chahiay.
Homioon-Paithak Aur Biokaimak Waloon Kay Pas Aab-E-Zamzam Bhi Hai Aur Ganga Jal
Bhi. Rohaniat Waloon Ko Apni Nadyoon Ka Rokh UNO Main Baithay Azeem Rohani
Paishwa Ki Janib Moor Daina Chahiay. Gora House Kay Moqinoon Ko Talwar Bardar
Moalaj Ki Sarzanish Karni Chahiay Warna Yah Talwar Badar Oon Ki Moeshat Ko
Dhimak Ki Tara Chat Jaein Ga
Eak Jinsi Khilona
Hum Jo Daikh Rahay Hotay Hain, Zarori Nahain Apni Haqiqat Main Ossi Tara Say Ho
Jis Tara Say Hum Daikh Son Ya Mehsus Kar Rahay Hotay Hain. Shakhas Aur Os Kay
Baz Kamoon Ko Samjhna Itna Aasan Nahain Hota. Shakhas To Kaenaat Ka Eak Makhfi
Raaz Hai Jissay Daryaft Karna Abhi Baqi Hai. Hamara Raad'amal Daikhay Sonay Ya
Mehsus Kiay Kay Motabaq Hota Hai. Kisi Baat Ya Moamlay Ki Asal Tak Rasae Kay
Bagher Raad'amal Boray Ya Bar'aks Nataej Ka Hamil Ho Sakta Hai. Kisi Shakhas Kay
Kahay Ya Kiay Ki Asal Tak Rasae Ka Eak Zareya Body Language Ka Janna Bhi
Kar'aamad Hatyar Hai.
Cehra Insan Kay Batan Ka Aaena Hota Hai. Yah Insan Kay Andar Ka Haal Ahwal
Chopnay Nahain Daita. Dukh Kay Moqa Par Shadeed Dukh Ka Izhaar Batni Bhi Hai Ya
Meaz Dikhawa Hai, Chehra Parnay Kay Baad Poshida Nahain Rehta. Qehqahay
Moskarahatain Aur Khushi Asli Hai Ya Naqli, Insan Ka Cehra Wazay Kar Daita Hai.
Inter-Net Par Jahan Tamam Aloom-O-Fanoon Kay Motalaq Chizain Wafar Mil Jati Hain
Wahan Date Sites Bhi Bai'shamar Mojood Hain. Mujhy En Date Sites Ko Qareeb Say
Daikhnay Ka Itafaq Howa Hai. Yah Sites Rosi Khatein Say Motalaq Hain. Mein Nay
Bohat Sari Khatein Kay Cehroon Aur Oon Kay Messages Ka Bari Bareek'bini Say
Motala Kiya Hai. Mein Apna Motala Yahan Bari Eman'dari Aur Puri Zima'dari Say
Paish Kar Raha Hoon:
• Orat Khof'’nak Haad Tak Tanhae Ka Shakar Hai.
• Bai'chargi Baibasi Aur Baikasi Aazadi Kay Naam Par Os Kay Hawalay Kar Di Gae
Hai.
• Dar, Khoof, Haras, Khadsha, Bai'yaqini, Mausi, Andaisha Aur La'yaeniat Ki Qaid
Main Moqayad Ho Kar Reh Gae Hai.
• Adam Tahafaz Ka Bori Tara Shakar Ho Gae Hai.
• Ossay Apna Aata Kal Kho Giya Mehsus Hota Hai.
• Woh Andhairoon Ki Qaid Main Hai.
• Os Kay Aagay Pichay Kuch Bhi Nahain.
Jis Kay Natija Main Os Ki Jinib Say Teen Tara Kay Rovaeay Samnay Aa'ay Hain:
1- Os Nay Apni Zaat Say Intaqam Laina Shoro Kar Diya Hai. Khud Aziyati Say Ossay
Sakoon Milta Hai.
2- Nashay Main Kho Kar Tamam Talkhioon Ko Bhool Janay Ki Na'kaam Sae Main
Masroof Hai.
3- Kae Rang Roop Ekhtayaar Karkay Apnay Tashna-E-Takmeel Khaboon Ki Tabeer Hasil
Karnay
Ki Koshesh Main Masroof Hai.
Rosi Khatein Kay Hawala Say Mairi Samjh Main Teen Batain Aae Hain:
A- Afghanisstan Ki Jang Main Marnay Walay Mardoon Kay Manfi Asraat Abhi Khatan
Nahain Howay.
B- Mard Zehni Aur Jismani Toor Par Kamzoor Par Ga'ay Hain.
C- Oratoon Ki Shara-E-Padaesh Main Azafa Howa Hai.
Kuch Logoon Ka Kehna Hai Kah Yah Oratain Adi Ho Gae Hain. Na'ay Mardoon Say
Jinsi Malaap Ka Chaska Nashay Ki Si Surat Ekhtayar Kar Giya Hai Aur Ab En Ka Koe
Alaj Momkin Hi Nahain. Yah Essi Tara Hi Rahain Gi. Chon'kah Yah
Na'qabal-E-Etamad Hain Aur Yah Eak Mard Par Ektafa Na Kar Sakain Gi Lihaza
Inhain Jiwan Sathi Banana Hamaqat Say Ziyada Nahain.
Yahaan Maira Eak Sawal Hai Kah Yah Oratain Mard Kay Bagher Jinsi Taskeen Hasil
Kar Laiti Hain?!
Yaqenan Nahain,
Aisay Main En Oratoon Say Jinsi Milaap Karnay Walay Mardoon Ko Kiya Kahna
Chahiay?!
Kiya Woh Bhi Adi Ho Gay Hain?
Goya Tali Eak Hath Say Nahain, Donoon Hatoon Say Baj Rahi Hai. Es Hawala Say
Mein Ba'toor Mard, Mardoon Ki Kisi Qisam Ki Waqalat Kay Liay Raza'mand Nahain
Hoon. Maira Es Baat Par Esraar Hai Kah Mard Ki Khud'kharzi Kay Hawala Say Orat
Tanha Ho Gae Hai. Aaj Donyaan Ka Her Mard Dallar Kamanay Ki Fikr Main Hai. Es
Kaam Kay Hawala Say Woh Sab Samaji-O-Akhlaqi Taqazay Bhool Giya Hai.Orat Os Kay
Liay Shay Say Ziyada Nahain Rahi. Aisi Shay Jo Estamal Kay Baad Os Kay Liay
Na'kara Ho Jati Hai.
Orat Shay Nahain,
Shakas Hai. Shakas Aur Shay Main Zamein Aur Aasman Ka Faraq Hai. Orat Ko Tahafaz
Aur Khush'kon Mostaqbal Ki Zarorat Hai.
A- Ossay Eak Mostaqil Sathi Chahiay Ta'kah:
B- Ossay Mostaqil Toor Par Jinsi Taskein Ki Saholat Mayassar Aasakay.
C- Os Ki Moashi Zaroratain Puri Hoon.
D- Os Kay Bachoon Ka Koe Baap Bhi Ho Aur Bachoon Kay Mostaqbal Kay Liay
Fikar'mand Ho.
E- Koe Aisa Bhi Ho Jo Os Ka Apna Ho Aur Jis Say Woh Apna Dukh Sukh Bant Sakay.
F- Koe Aisa Bhi Ho Jis Say Woh Tovaqaat Wabasta Kar Sakay.
G- Koe Aisa Bhi Ho Jis Say Woh Piyar Karay.
H- Os Kay Naz Nakhray Othanay Wala Os Ka Apna Ho Jis Say Apnay Reshtay Ka
Ta'araf Kara Sakay.
I- Bai'chint Ho Kar Olaad Ki Parwaresh Kar Sakay.
Yah Bhi Sonnay Main Aata Hai Kah Yah To Orat Ki Aazadi Hai.
Ha'ay!
Yah Kasi Aazadi Hai Jis Nay Shakas (Orat) Ko Sex Toy, Aish Aur Aaraesh-O-Namaesh
Ka Zariya Bana Kar Rakh Diya Hai.
Bhok Bhi Bohat Bari Bala Hai. Bhok Shakas Ko Jaez Na'jaez Akhlaq Gher'akhlaq
Asool Aur Gher'asool Say Kosoon Door Lay Jati Hai. Bhok Kisi Ki Dost Nahain. Es
Ka Hal Roti Aur Seraf Roti Hi Hai. Ghaliban Bhok Bhi Orat Ko Es Janib Lay Aae
Hai. Jis Kay Natija Main Woh Darust Aur Na'darust Ko Bholnay Par Majboor Ho Gae
Hai.
Jinsi Lutaf'andozi Kay Liay To Her Mard Midan Main Aa Jata Hai Likin Jiwan Sathi
Bananay Kay Liay Koe Taiyar Nahain. Wahan Wazay'dari Aaray Aa Jati Hai.
Inter-Net Par Jism Faroshi Kay Aday Khol Gay Hain. Orat Ko Kamae Ka Zariya Bana
Liya Giya Hai. Es Karobar Kay Malik Sharif Izzat'day Aur Mohtaram Fard Hain.
Hamaray Haan En Kay Liay Lafz "Dalla" Oon Kay Kaam Ko "Dalla'giri" Aur Hasil
Honay Wali Kamae Ko "Dalali" Ka Naam Diya Jata Tha. Yah Society Kay Ghaleez
Tarein Aur Ghatya Qisam Kay Log Samjhay Jatay Thay. Oon Ki Izzat -0 Thi.
Daikhna Yah Hai Kah:
• Yah Oratain Aazad Ho Gae Hain Ya Ayash Ho Gae Hain Ya Jism Faroshi Ki Adi?
• Yah Sab Kuch Essi Tara Say Chaltay Rehna Chahiay?
• Kiya Orat Ko Bai’bas, Majboor Aur Tanha Choor Daina Chahiay?
• Kiya Orat Ka Essi Tara Sex Toy Banay Rehna Thek Hai?
Sawal Yah Bhi Othta Hai:
Es Qisam Ki Oratoon Ki Kokh Say Janam Lainay Wali Olaad Jo Baap Kay Bagher
Parwan Charay Gi, Aatay Kal Ko Os Ki Shaksiat Adhori Na Reh Ja'ay Gi?!
Aakhir En Sawalaat Par Koe Ghoor Karnay Ko Kayoon Taiyar Nahain. Bai'waqar,
Ehtaram Say Mehroom Kamae Ka Zariya, Eak Shay, Aur Sex Toy Say Khir Ki Towaqo
Hamaqat Nahain????????
14 Soo Saal Pehlay Islam Nay 4 Shadioon Ki Ijazat Di. Es Ijazat Ka Koe To Maqsad
Aur Jawaz Ho Ga. Allah Ko Ilm Tha Kah Mard Orat Ka Ginti Main Tawazan Bigar
Ja'ay Ga. Es Tara Oratoon Ka Ghar Bas Sakay Ga Aur Onhain Samaji Moqam Hasal Ho
Sakay Ga. Eak Bazari Aur Chalti Orat Ka Moashray Main Bhala Kia Moqam Hai. Yah
Bji Kah Onhain Tahafaz Mayassar Aa Ssakay Ga?
Adyaan, Khasusan Islam Nay Orat Ko Izzat Ehtaram Aur Tahafaz Diya Hai.
Olma-E-Adyaan Ko Eak Say Ziyada Shadioon Kay Moamla Main Khul Kar Aur Ossi Tara
Say Baat Karni Chahiay Jis Tara Say Baat Karnay Ka Haq Hai. Es Tara Fahashi Kay
Darwazay Band Ho Sakain Gay.
Fahashi Kharabioon Aur Boraeoon Ki Jar Hai. Es Kay Sabab Zindagi Ka Tawazan
Bigar Raha Hai.
Orat,
Orat Kay Liay Dil Bara Karay Ta'kah Orat Ko Sex Toy Honay Say Bachaya Ja Sakay
Aur Woh Por'itmad Mata/Maan Sabat Ho Sakay. Yahhi Nahain Orat Ki Shakhsi Anna Ko
Tahafaz Faraham Kiya Ja Sakay.
Es Ehad Kay Azeem Rohani Paishwa Aur Qaid Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad
Nur Ul Alam Sahib Say Mairi Iltamas Hai Kah Woh Es Maslay Ki Janib Sanjidgi Say
Tovajo Dain Aur Koe Manosab Aur Maqool Lahya-E-Amal Teh Farmaein.
Hum'jinsi Insaniat Ki Kholi Dushman
Aankh Say Sonnay,
Kan Say Bolnay
Aur Monh Say Daikhnay Ki Koshesh Ya Khaesh Yaqenan Fitrat Kay Sath Gustakhi Ho
Gi.
Gurday Dharak Nahain Saktay,
Dil Say Pishaab Karnay Kay Ozo Ka Kaam Laina Hamaqat Aur Na'dani Say Ziyada Kuch
Nahain.
Yah Na'seraf Fitrat Kay Khalaf Zulm, Ziyadti Aur Sazish Ho Gi Balkah En Aza Ko
Bhi Mout Kay Ghaat Otarna Ho Ga. Baz Log Fitrat Kay Dushman Afaal Ko Seraf Aur
Seraf Chand Lamhoon Ki Lazat Aur Lutaf Ko Rawa Rakhtay Hain. Es Lutaf Lazzat Ya
Ilati Majbori Ki Pusht Par Un'haad Noqsanaat Ki Ghatri Mojood Hoti Hai. Waqt
Gozar Janay Kay Baad Her Qisam Ka Dawa Daru Bai'asar Bai'maeni Aur La'yaeni
Teharta Hai.
Aaj Kay Taraqi Pasand Aur Mafadi Ehad Main Bhi Ghalt Ho Raha Hai Aur Shakas Apna
Hi Noqsan Kiay Ja Raha Hai To Es Say Barh Kar Koe Hairat Ki Baat Nahain Ho
Sakti.
Aaj Chahar Soo Jamhoriat Ka Charcha Aur Bool Bala Daikhnay Sonnay Main Aa Raha
Hai Aur Jamhoriat Ko Her Dukh Dard Aur Aazadi Ka Madawa Samjh Liya Giya Hai
Jabkah Es Say Bhar'kar Koe Na'maqool Aur Gher Fitri Cheez Nahain. Eak Misal Say
Apnay Moaqaf Ki Wazahat Karna Chahoon Ga:
Mudat Hoe Hai Yaar Ko Mehmaan Kiay Howay
Josh-E-Qadah Say Bazm Charaghaan Kiay Howay
Yah Shaiar Ustad Ghalib Ka Hai. Agar Sari Dunyaan Issay Mir Sahib Ka Shaiar Keh
Day To Bhi Yah Shaiar Mir Sahib Ka Nahain Ho Sakta. Jumhoriat Ka Kamal Hai Kah
Wo Issay Mir Sahib Say Mansoob Kar Sakti Hai. Jamhoriat Das Main Say 6 Kay Kahay
Ko Darust Qarar Daiti. Es Main Baat Ko Nahain Ginti Ko Darust Mana Jata Hai.
Jamhoriat Yah Nahain Daikhti Kah Ghalt Ko Darust Qarar Dainay Ka Prinaam Kiya Ho
Ga Aur Anjaam Ka Bhogtaan Kaisay Ho Sakay Ga.
Kisi Ghalt Ka Chop Kar Hona Bhi Ghalt Hi Hai Likin Os Kaam Ka Barsar-E-Aam Aur
Qanoni Ya Samaji Ya Aazad Honay Ki Haisiat Say Honay Ki Noeat Qate Mukhtalif
Hai. Os Ghalt Kay Hawala Say Ghalt'kar Hi Motasar Nahain Hotay Balkah Oon Ki
Ghalt'kari Society Ko Bhi Lay Dobti Hai. Hum'jinsi Ko Koe Bhi Haisiat Dainay
Walay Shaed Nahain Jantay Kah Es Ka Shakas Aur Society Par Kiya Asar Ho Ga Aur
Yah Choot Ki Haisiat Ekhtayar Kar Gae To Puri Insani Baradri Ka Kiya Ho Ga.
Chand Mobtala Ashkas Ki Shakasi Aazadi Ko Lay Kar Ya Ossay Vote Power Samjh Kar
Puri Society Ka Baira Gharaq Nahain Hona Chahiay.
Es Ghalt'kari Kay Noqsanaat Kay Ziman Main Chand Morozaat Paish Karta Hoon:
Eak Discharage Say Eak Karoor Aur Sola Lakh Kay Qareeb Ya Ziyada Saparm Ka
Akhraj Hota Hai. Her Saparm Main Insan Bannay Ki Salahiat Mojood Hoti Hai. Goya
Mobtala Eak Karoor Sola Lakh Insanoon Ki Shakti Jo Os Main Mojood Hoti Hai Say
La'yaeni Mehroom Ho Giya.
• Orat Par Dischrage Honay Say Eak Ya Eak Say Ziyada Insan Janum Laitay Aur
Kaenaat Kay Hosn Main Azafay Ka Sabab Bantay. Fitri Amal Say Kuch To Output
Samnay Aata Jabkah Hum'jins Say Jinsi Khail Koe Output Samnay Nahain Lata. Orat
Say Malaap Fitri Amal Hai Jabkah Hum’jinsi Say Malaap Gher Fitri. Gher Fitri
Amal Mosbat Nataej Say Hum'kinar Nahain Karta. Es Kay Manfi Nataej Baramad Hotay
Hain. Jo Shakhasi Aur Samaji Hawala Say Khoof'naak Sabat Ho Saktay Hain.
• Hum'jinsi Say Fael Kay Saparm Kamzoor Partay Hain Phir Eak Waqt Aisa Bhi Aata
Hai Kah Wo Mar Jatay Hain. Fael Kay Aala-E-Tanasol Main Jhakao Aur Taiar'pan Aa
Jata Hai. Fael Kay Aala-E-Tanasal Ki Bala-O-Zarein Varidain Kamzoor Par Jati
Hain. Pinas Ki Jild Phat Jati Hai Jis Kay Zariay Kae Bimarioon Kay Jaraseem
Dakhal Ho Saktay Hain. Sozak Aisi Na'morad Bimari Lahaq Ho Sakti Hai.
• Zarorat Parnay Par Sinaf-E-Mokhlif Say Malaap Ki Surat Main Pachidigiaan Rah
Pa Jati Hain.
• Mada Manviya/Viraj Bai'tara Ki Kharabioon Ka Shakar Ho Jata Hai.
• Fariqain Aala-E-Tanasol Ko Chosnay Ka Kaam Bhi Kartay Hain. Yah Surat Sehhat
Kay Liay Intahae Khatar'nak Hoti Hai.
• Jaryan Aur Sorat-E-Anzal Ka Lahaq Hona Yaqini Ho Jata Hai. Sorat-E-Anzal Kay
Liay Adviyaat Estamal Main Lae Jati Hai.
En Adviyaat Say:
• 1-Qovat-E-Bardasht Khatam Ho Jati Hai.
• Janoni Halat Ho Jati Hai.
• Gorday Matasar Hotay Hain.
• Dil Ki Bimariyaan Janum Lay Laiti Hain.
• Fariqain Apni Hi Nazroon Say Gir Jatay Hain Aur Os Kay Baad Baihisi Ki Surat
Paida Ho Jati Hai.
• 6-Yaad'dasht Ko Noqsan Ponchta Hai.
• Nafasyati Bimariyaan Rah Pati Hain.
• 8-Chirchara'pun Paida Ho Jata Hai.
• 9-Anis Ghalazat Ki Jaga Hai. Aala-E-Tanasol Ghalazat Say Aaloda Hota Hai.
Fozlay Say Es Nazok
• Ozo Ka Touch Hona, Khir Ki Khabar Nahain La Sakta.
Fitri Amal Ki Surat Main Utaras Zarorat Kay Motabaq Saparm Lay Laiti Hai Baqi
Nikal Bahar Karti Hai. Hamal Na Teharnay Ki Surat Main Bhi Saparm Andam-Nihani
Main Rok Nahain Patay. Androni Nazam Onhain Andar Roknay Nahain Daita. Es Kay
Bar'akas Pith Main Saparm Dakhal Ho Jaein To Bahar Nahain Nikal Patay Kayoon'kah
Qodrat Nay Es Ka Koe Intazam Hi Nahain Kiya. Her Saparm Main Insan Bannay Ki
Salahiat Mojood Hoti Hai. Jab Wo Andar Hi Mar Jatay Hain To Oon Ki Haisiat
Mordar Ki Se Hoti Hai. Morda Jism Main Kiray Paida Ho Jatay Hain Aur Yah Kiray
Apna Thikana Bana Laitay Hain. En Ki Khorak Saparm (Admi) Banti Hai. Es Hawala
Say Onhain Adam'khoor Kehna Ziyada Monasab Ho Ga. Agar Onhain Khorak Mayassar
Nahain Aati To Wo Mobtala Ko Hi Khana Shoro Kar Daitay Hain Jis Kay Sabab Ossay
Sakht Parishni La'haq Hoti Hai. Yah Parishni Os Main Wehshat Paida Kar Daiti
Hai. Phir Woh Shakar Kay Liay Nikal Parta Hai. Woh Her Surat Aur Her Qimat Par
Shakar Hasal Karta Hai. Baz Jo Adi Nahain Hotay Lalach Main Aa Kar Nishana Ban
Jatay Hain. Es Tara Woh Bhi Moashray Kay Liay Gher Mofeed Ho Jatay Hain.
Fael Hi Nahain Mafool Bhi Bachoon Ko Nishana Banata Hai. Oon Ki Nafasyati Aur
Illati Majbori Kay Hawala Say Takhreeb'kari Ko Moqa Mil Jata Hai. Oon Ka Zaihan
Takhreeb Ka Ghonsla Ban Jata Hai. Mafool Ki Izzat-E-Nafas Es Adat Kay Baes
Bai'mout Mari Jati Hai.
Shakar Honay Waloon Main Khoof Aur Intaqami Jazba Parwan Charta Hai Jo Aagay
Chal Kar Na'seraf Onhain Balkah Samaj Aur Moashray Ka Satyanas Mar Kar Rakh
Daita Hai. Yah Illat-E-Baad Aati Nasal Ko Bhi Motaqil Ho Jati Hai. Dunyan Ka Koe
Mazhab Ya Akhlaqi Nazam Es Fael-E-Baad Ki Ijazat Nahain Daita Ta'hum Jamhoriat
Es Ki Toseeq Karnay Par Zaroor Qodrat Rakhti Hai Aur Hum'jins Shadioon Ki Bhi
Ijazat Day Sakti Hai.
Agar Mard, Mard Kay Sath Masroof Raha To Oratoon Ka (Jin Ki Din Ba'din Tadaad
Barh Rahi Hai) Kiya Ho Ga?!
Moalja:
Bakray Ki Bareek Nali, Jis Main Taza Goda Mojood Ho Panch Sat Baar Anis Main
Rakhi Ja'ay. Her Bar Nae Nali Li Ja'ay. Kuch Waqt Rakhnay Kay Baad Jab Yah Nali
Nikalain Gay To Kiroon Say Pur Ho Gi.
Rohaniat Kay Azeem Paishwa His Eminency Hazrat Sufi Sheik Shah Dr. Mohammad Nur
Ul Alam Sahib Nay Amriki Sadar Aur Os Ki Intazamiya Ko Motnabay Kiya Hai:
" Homosexuality Should Not Be Encouraged At All. It Is Against God The
Almighty's
Order In The Holy Bible, The Glorious Holy Quran, The Holy Torah, And Other Holy
Religious Books Of Hinduism And Buddhism. So That Obama Should Carefully Handle
The Matter Of The Natural Power Of Almighty And Constitutional Power Of Himself.
If You Try To Match Each Other In The Name Of Freedom And Democracy, You Have To
Pay
For That. Like Nimrod, The Powerful King Of The Planet After The Biblical Flood
At The Time
Of Prophey Noah (AS) And Lout (AS)."
Ulma Karam Church Aur Rohaniat Say Motalaq Logoon Ko Bhi Es Janib Tovajo Daini
Chahiay. Es Tara Insaniat Ko Es Fael-E-Baad Kay Manfi Asraat Say Mafooz Rakha Ja
Sakta Hai.
Aaj Orat Ko Orat Hi Bacha Sakti Hai
Allah Nay,
Orat Ka Hirday Kaloon Say Nazok, Golab Ki Patioo Say Komal Aur Raisham Say
Ziyada Malaem Takhleeq Farmaya Hai.
Orat Ka Koe Bhi Qanoni Roop Qabal Tazheek Nahain. Maan Hai To Os Kay Qadmoon Say
Jannat Mansoob Ki Jati Hai.
Behan Ya Baiti Hai To Mohabat Ki Potli Aur Priwar Ki Izzat-O-Aabru Teharti Hai.
Bivi Hai To Wafa Aur Kidmat Ki Baimisal Tasveer.
Goya Orat Ka Her Roop Mohtaram Aur Motabar Hai. Orat Moashray Aur Qomoon Ki
Izzat Aur Aati Nasloon Ki Amin Bhi Hai .
Jiwan Kay Saray Kay Saray Rang Essi Kay Hawala Say Jazab-E-Nazar Aur Shokh Hain
Likin Aaj Orat Namaesh Aur Mazaq Ban Gae Hai. Kiya Yah Khud Tamasha Bani Hai Ya
Essi Mofad'parast Anasar Nay Tamasha Bana Diya Hai?!
Khud Koon Mazaq Banta Hai. Halaat Aur Waqt Ossay Mazaq Bana Daitay Hain. Ta'hum
Panch Vaju Wazay Hain:
1- Orat Ki Shara Padaesh Ziyada Ho Gae Hai.
2- Mard, Jo Pehlay Hi Tadaad Main Kam Hain Talwar Ki Zad Main Hain.
3- Ahal-E-Sarvat Essay Apni Jagir Samjhtay Howay Es Ki Izzat Ko
Kiray Mokoray Ya Tissue Paper Say Ziyada Nhain Samjhtay.
4- Bhok Aur Zaroyaat-E-Zindagi Nay Es Ghareeb Kay Hath Paoon Bandh Diay Hain.
5- Roshan Khayali Kay Naam Par Mediay Nay Taqazoon Ka Satyanas Maar
Kar Rakh Diya Hai.
Aaj Moqtadra Qovatoon Ki Oratain, Oratain Hain Baqi Taboon Ki Oratain Kiray
Makoray Ya Moqtadra Qovatoon Kay Paltu Janwaroon Say Bhi Bai'hasiat Hain. Her
Aata Din Orat Ko Tanha La'char Aur Baibas Bana Raha Hai. Oon Kay Khaab Bhi Oon
Say Mazaq Kartay Nazar Hain. Agar Halaat Essi Dagar Par Rahay To Aata Kal
Zindagi Kay Hosn Ko Barbad Kar Day Ga.
Moqtadra Qovatoon/Tabqoon Ki Oratain Pehlay Bhi Ba'ekhtyar Thein Ab Bhi Hain.
Batoor Orat Aaj Woh Orat Kay Taqadas Aur Ehtaram Ko Sahara Day Sakti Hain.
Ammaan Hawa Nay Babay Adam Ko Apni Marzi Kay Motabaq Dhal Hi Liya Halan'kah Woh
Nabi Thay. Balam'baoor Nay Orat Kay Kehnay Par Apnay Hi Hathoon Khud Apni Sari
Tapasya Bhang Kar Dali. Jahangir Badshah Malka Noor Jahan Kay Samnay Dom Halata
Tha. Os Kay Insaf Ka Bool Bala Malka Sahiba Ka Marhoon-E-Minnat Tha. Shah Jahan
Nay Hindustan Kay Mehnat'kash Tabqay Ki Mehnat Aur Dolat Taj Mohal Ki Tameer Par
Laga Kar Sabat Kar Diya Kah Woh Orat Say Mohabat Karta Tha Aur Os Kay Sanay
Miyaoon Say Ziyada Nahain Tha. Izat Ma'ab Hazrat Siri Ram Chandar Davi Ko
Ban'bas Orat Kay Kahay Par Mila Tha. Tarekh Es Qisam Ki Misaloon Say Bhari Pari
Hai.
Koe Bhi Yah Mannay Kay Liay Taiar Nahain Kah Moqtadra Qovatoon Ki Oratain
La'yaeni Aur Bai'ekhtayar Ho Gae Hain. Woh Bohat Kuch Karnay Ki Position Main
Hain. Aaj Woh Dunyan Ki Bai'bas Bai'kaas Aur Tanha Orat Ko Tanhae Kay Naag Ka
Luqma Bannay Say Bacha Sakti Hain. Dehshat'gard Ya Shar'pasand Anasar Ki Maan,
Bhen, Baiti Aur Bivi Ossay Os Kay Es Qatal-O-Gharat Kay Khail Ko Puri
Diyanat'dari Say Rook Sakti Hain.
Moqtadra Qovatoon Ki Oratain Apnay Mardoon Ka Hath Rokain. Woh Oon Kay Hawas Par
Qabza Aur Hakomat Rakhti Hain To Kiya Oon Kay Hath Nahain Rook Saktein. Apni
Bachioon Ki Taraf Eak Nazar To Daikhain Aur Faisla Karain Marnay Waloon Ki
Bachiaan, Bachiaan Nahain Hain?!
Oon Kay Koe Arman Aur Khaab Nahain Hain?!
Mardoon Ka Yah Qatal-E-Aam Oratoon Ki Tadaad Main Mazeed Azafay Ka Sabab Banay
Ga Aur Bai'ghar Oratain Oonhi Kay Mardoon Ki Shamain Sajaein Gi Aur Phir Yah
Illat Nasha Ki Surat Ekhtayar Kar Lay Ga. Tab Woh Kuch Na Kar Paein Gi. Aaj
Onhain Waqar Hasil Hai Likin Phir Woh Apni Tamkanat Kho Dain Gi. Orat Ki Bohtaat
Oon Ki Ajara'dari Par Atom'bomb Say Kisi Toor Par Kam Na Ho Ga.
Woh Inter-Net Estamal Karti Hain. Donyan Kay Motasara Alaqoon Ki Oratain Apni
Tanhae Roti Chat Aur Saharay Kay Liay Mardoon Ko Mailain Karti Hain. Woh Ghalt
Nahain Hain Kiya Karain, Kidhar Ko Jaein?!
Aaj Orat Ko Orat Hi Bacha Sakti Hai. Baray Houses Main Baithnay Walay Mardoon Ki
Oratain Apni Hum'jinsoon Kay Liay Na'sahi, Apnay Aur Apni Bachioon Kay Mostaqbal
Kay Liay Qatal-O-Ghrat Kay En Rasya Hazrat Ki Khabar Lain. Onhain Khuda Ka Khoof
Dalaein, Apni Mohabat K Wasta Dain.
Baitiaan, Bai'sahara Baitioon Par Raham Karkay Apnay Waldain Ko Es Khoon Aur
Karb'nak Dhoein Ki Holi Say Rokain. Oon Par Bawar Rehna Chahiay Waqt Kabhi Eak
Sa Nahain Rehta. Hakamoon Ki Oladain Pakoray Aur Jism Faroshi Par Majboor Hoti
Falak-E-Khohan Nay Daiki Hain . Allah Ko Apna Banaya Howa Her Insan Bara Aziz
Hai. Woh Kab Tak Bardasht Karay Ga. Os Ki Pakar Bari Khoof'nak Aur Ibrat'nak
Hoti Hai. Janay Kab Kisi Baiti Ka Hath Oth Ja'ay. Qaboliat Ka Waqt Kisi Kay
Qabzay Main Kab Raha Hai. Agar Es Tabqay Ki Orat Kehti Hai Kah Woh (Khawand)
Mairi Kab Sonta Hai, To Es Say Ziyada Kuch Ghalt Nahain.
Tanhae Ka Shakar Honay Wali Chand Khatein Kay Messages Darj Kar Raha Hoon Jo
Onhoon Nay Un'daikhay Mardoon Kay Naam Likhi Hain.Es Say Andaza Ho Ja'ay Ga Kah
Aaj Ki Orat Kitni Tanha Bai'bas Majboor Aur Mazloom Hai:
• I Am Your Tender Butterfly
• I Am Calling For You.
• Give Me A Lifetime Of Promises And A World Of Dreams
• Sometimes Even Bold Dreams Become True.
• I Decided To Make My Dream Come True Myself.
• Will You Help Me?
• I Will Be Happy To Get Your Letter!
• Are You My Love, ?
• Reveal My Hidden Power, I Can Make You Happy.
• Please Tell Me Who Are You--------- .
• My Heart Is For You ...
• Your Eyes Tell Me Much About You.
• There Are Only You And Me In The Enormous World.
• How Far You Are From Me! Now You Know That I Exist.
• Would You Getaway With Me?
• Real Love, Not Fantasy! This Is What I Want. You?
• A Toast To Happiness! Will You Join Me?
• Kiss To You.
• The Best Medicine For Love Is Love - You.
• I Know Sense Of Love, You.
• I Want To Be With You.
• No Games, Just Look For A Serious Man As You Are.
• With Much Of Tenderness To You.
• My Letter For You.
• The Love, Like Fire, Does Not Know Rest!!!
• Hello My Angel, ...
• I Am Writing For Heart And Soul. Writing To You.
Hello My Nice Stranger.
• You Are Like My Dream ...
• I Think It Is A Destiny...
• Maybe You Are My Hero ...
• Want To Join Your World.
• Will You Save Me From Loneliness ...
• With Passion In My Heart To You.
• Would You Like To Be My Beloved Man.
• Will You Be Mine. ...
• Stop And Look At Me.
• I Am Waiting For You....
• You Are My Dreamman. ...
• Where Are You, My Prince. ...
• You Are My Soul Mate.
• Let Me Be Your Angel.
• I'd Sacrifice All To You, Whatever Be The Cost.
• This Letter Just For You.
• I Am Dreaming Of The Man Like You.
• I Am Looking For A Man With A Beautiful Heart.
• Would You Like To Be My Man.
• I Am Looking For You!
• Am Looking For Someone That Loves Me Who I Am Deep Down Inside.
• I Will Love You Whole Heartedly, I Swear!
• My Dream Is To Have A Loving And Caring Friend, Lover And Husband.
• I Am Looking For A Kind Man Of My Life.
• I Must Confess That My Loneliness Is Killing Me Now.
• Can You Give Me Some Fresh Air.
• Lonely Waterfall.
• You Are My Magic Star.
• Do You Believe In Fate?
• I Would Like To Know You Better.
• May Be It's You My Lovely Prince.
• I Think I Have Seen You In My Dream.
• I Am Writing To You Because I Liked You...
• Hope We Will Find Similar In Our Characters And Interests.
• If I Fall In Love Once, I Love Completely, With All My Heart.
• You Are My Dream.
• I Am Looking For A Man That Can Share His Life With Mine
I Am Really Interested
• I Have A Lot Of Questions To You.
• I Am Your Secret Craving.
• If You Are Interested In Me I Do Wait For Your Reply.
• Beauty For ------
• An Optimistic Girl Is Writing To ------!
• Do You Want To Know Me Better...
• Deaming About Dance With You.
• I Have So Many Questions For You.
• Would Like To Tell You About Myself .
• I Am Sure That Our Destiny Is In Our Hands.
• I Want To Fall In Love.
• I'm A Alone Bird Who Is Looking For Her Eagle.
• It Is A Letter From The Best Girl To You.
• I Feel So Linely Without You.
• Looking For You.
• Take My Heart But Please Do Not Break It!,...
• I Think I Have Seen You Before.
• Dreaming Of You.
• Do You Want To Find The Precious Stone Of My Heart?
• Natalia Is Writing To -------
• Looking In Your Future....
• Thinking Of You----
• I Like You-------
• Maybe I Am Your Soulmate,------??
• Are You My Soulmate-----??
• Are You My Beloved, ------?
• I Like You, ---------
• I Try To Find You All My Life
• It Will Be Nice To Know You Better----
• Do You Want To Find Your Beloved, ------,
• Maybe You Are My Soulmate, ------,
• Do You Like Me, ------,
• I Hope We’ll Not Disappoint Each Other, -----
• Only To You, -------
• For The Best Men:)))
• Could You Image Our Future Togethonly To You, --------
• I Need A Man Who Reveal All My Beauty, -------
• I Am Your Tender Butterfly
• I Am Calling For You.
• Give Me A Lifetime Of Promises And A World Of Dreams
• Sometimes Even Bold Dreams Become True.
• I Decided To Make My Dream Come True Myself.
• Will You Help Me?
• I Will Be Happy To Get Your Letter!
• Are You My Love, ?
Takht Taj Aur Waqt Kisi Ke Sagay Nahain
Riyasat Apna Nazam-E-Hakumat Chalanay Aur Apni Afradi Qovat Ki Esta'ad-E-Kar
Main Mukhtalif Hawaloun Aur Tariqoun Say Azafay, Onhain Ba'hunar Karnay,
Shaour-O-Aaghi Say Behra'mand Karnay, Moashi Siyasi Aur Samaji Insaf Mayassar
Karnay, Oon Ki Zindagi Ko Aasan Aur Aasuda Bananay Aur Onhain Sehat'mand Rakhnay
Kay Liay Mukhtalif Qisam Kay Aeni Tariqa Say Tax Nafaz Karti Hai. Riyasat
Shakhas Ki Haisiat Waghera Ko Bhi Is Zimun Main Malhouz-E-Khatar Rakhti Hai.
La'yaeni Aur Gher'mota'alaq Tax Aed Nahain Karti. Ta'kah Baichaini Parishani Aur
Haisiat Ki Kamzori Waqo Main Na Aa'ay. Jaez Aur Monasab Hasal Kiay Ga'ay Tax Say
Riyasat Aeni Tariqa Say Riyasti Adaroun Ko Mazbout Karti Hai Ta'kah Wo Behtar
Andaz Say Riyast Kay Logoun Ki Khidmat Anjam Day Sakain.
Jis Riyasat Main Moamla Is Kay Bar'akas Ho Jata Hai Wahan Kharabi Kay
Bai'shumaar Rastay Khul Jatay Hain. Maslan:
A. 1. Logoun Ka Maal Jo Tax Kay Zariay Say Hasal Kiya Giya Hota Hai, Houses Ki
Tazein-O-Araesh Par Kharch Honay Lagta Hai.
2. Houses Ka Kichan Zarorat Say Ziyada Farakh Ho Jata Hai.
3. Houses Kay Logoun Kay Paiat Bhi Qabal-E-Mazamat Haad Tak Bhar Jatay Hain. Is
Tara Is Maqolay Ko Amli Shakl Mil Jati Hai:
"Kama'ay Gi Donyaan Khaein Gay Hum"
B. La'yaeni Doroun Par Bai'daraigh Ropay Lota'ay Jatay Hain Aur Os Ka Return
Qoum Ko Sefar Ki Surat Main Milta Hai Yahhi Nahain Qoum Maqrouz Hoti
Chali Jati Hai. Haan Albata In Nam'nihad Mofad'parast Aur Khud'gharaz
Ameeraan-E-Waqt Kay Saiar Sapatay Zaroor Ho Jatay Hain.
C. Houses Ki Haisiat Logoun Kay Liay Alamti Bai'maeni Gher'mowassar Aur Bai'kar
Ho Kar Reh Jati Hai. Logoun Ko Wahaan Say Kuch Hasal Nahain Ho Pata.
D. Adaray Khadam Nahain, Makhdoon Ho Jatay Hain Aur Wo Siraf Aur Siraf In Houses
Kay Liay Kaam Kartay Hain. Logoun Ko Wahan Say Dhakay
Dabao Daraway, Dhamkiaan Aur Jirkiaan Milti Hain.
E. Rishvat Ki Taraf Janay Walay Rastay Farakh Ho Jatay Hain. Log Jis Rastay Par
Bhi Chaltay Hain Os Ka Ikhtatam Rishvat Kay Darwazay Par Hota Hai.
F. Bai'tahasha Tax Ki Vasoli Kay Ba'vajoud Pori Nahain Parti Lihaza Baroni Qaraz
Main Nijaat Samjhi Jati Hai. Is Tara Dosroun Kay Samnay Sharmindgi Othana Parti
Hai Halakah Daman Kay Motabaq Khud Riyasat Kay Andar Bohat Kuch Mojood Hota Aur
Rehta Hai.
G. Jab Houses Kay Log Jinhain Misali Samjha Jana Chahiay, Ghalt Ho Jatay Hain To
Khud Logoun Kay Ghalt Honay Main Dair Nahain Lagti.
H. Fard Zaat Kay Khoul Say Nahain Nikal Pata Aur Her Tariqa Say Apnay Faeday Kay
Liay Tag-O-Dou Karta Hai Chahay Es Say Kisi Aur Ka Ya Riyasat Ka Kitna Hi Noqsan
Kayoon Na Ho.
I. Insaaf Mazaq Aur Bakaou Maal Ho Kar Reh Jata Hai.
J. Aaghi Kay Rastoun Par Kharch Honay Wali Raqam Ko Fazoul Samjha Janay Lagta
Hai. Aaghi Say Motalaq Adaray Tamatar Aur Aalu Ki Si Haisiat Ikhtayar Kar Laitay
Hain Aur Onhain Maal'dhar Logoun Kay Hath Main Day Diya Jata Hai. Es Tara:
1- In Adaroon Ka Miyaar Gir Jata Hai.
2- Menhgay Aur Aam Admi Ki Ponch Say Dour Ho Jay Hain. Natija-E-Kar:
A. Oon Tak Aam Logoun Ki Mali Hawala Say Rasae Dam Tour Daiti.
B. Bipari Aur Taleem Say Gher Motalaq Balkah Kitab'dushmun Aaghi Kay Bai'taj
Badshah Ban Jatay Hain.
C. Whaan Say Milnay Wali Aaghi, Aaghi Kay Naam Par Ghalazat Ki Tikka Hoti Hai.
D. Qarz Farahum Karnay Wali Qovatoun Kay Talimi Adaroun Ko Miyari Aur
Boland'paya Samjha Janay Lagta Hai Aur Oon Kay Qadmoun Par Chalnay Ki
Koshesh Ki Jati Hai Halan'kah Wo Oon Kay Kalchar Kay Motabaq Bana'ay Gay Hotay
Hain. Oon Ka Nisaab Bhi Oon Kay Mazaj Halaat Aur Zarorat Kay Motabaq
Takeeb-O-Tasheel Kiya Giya Hota Hai.
E. Auroun Kay Dabao Main Aa Kar Riyasti Zaroratoun Asoloun Aur Nazriyati Chizoun
Ko Hazaf Kar Diya Jata Hai.
F. Qaraz'dahinda Qovat Ki Zoban Ko Bala'tar Balkah Khalaee Saefah Samjha Jata
Hai Aur Ossi Main, Ossi Kay Zair-E-Asar Aur Ossi Qoum Kay Mafadaat Kay Hawala
Say Taleem Di Janay Lagti Hai.
K. Her Lamha Baiyaqini Kay Tanour Main Jalta Aur Sulgata Rehta Hai.
L. "Chour Ochakay Chudri Aur Ghundi Run Pardhan" Ban Jati Hai.
M. Gher'aeni Taxes Ki Bhar'maar Ho Jati Hai.
N. Foj Ko Apnay Mokhalif Logoun/Fariqoun Ya Qaraz'dahinda Kay Mokhalif
Logoun/Fariqoun Kay Liay Istamal Kya Jata Hai.
Yah To Seraf Chand Eak Batain Thein Jin Ka Mein Nay Opar Zimnun Zikr Kya
Hai.Bai'shumaar Mokhtalif Noeat Ki Qorbaniaan Day Kar Hasal Kiya Giya Pakistan
In Qabahtoon Ka Shakar Ho Giya Hai. Log Sochnay Par Majboor Ho Gay Hain Kah Agar
Yahhi Surat-E-Haal Aur Chalan Rehna Tha To Issay Hasal Karnay Ki Aakhir Kya
Zarorat Thi.
Aaj Bharat Main Pakistan Say Ziyada Mosalman Aabad Hain Aur Apnay Apnay Zouq,
Zarorat, Hunar Aur Halaat Kay Motabaq Zindgi Kar Rahay Hay. Apna Damun Bachanay
Kay Liay Manfi Asraat Khamoun Ka Kabhi Kabhi Rola Dala Jata Hai Kah Ji Woh Mar
Gay Khap Ga'ay Halan'kah Aisi Koee Baat Hoti Hi Nahain Hoti Aur Nahi Wahan Ki
Foj Apnoun Par Goliaan Barsa Rahi Hoti Hai. Nahi Pols Chitatar Maar Rahi Hoti
Hai Ya Pols Moqblay Main Mokhalfoun Ko Mara Ja Raha Hota Hai.
Hamaray Haan Maghrab Ki Tara Kay 16 Sala BA/Bss Ka Rola Dala Ja Raha Hai Jab'kah
Hamara Pehlay Hi 17 Sala BA Hota Hai. Pehli Tak Aatay Aatay 3 Saal Laga Diay
Jatay Hain. Is Tara Ibtada Mazbout Karnay Ki Koshesh Ki Jati Hai.Pehli Tak Aatay
Aatay Jo 3 Saal Lag Jatay Hain Kya Wo Instarakshan (Instruction) Ka Amal/Hissa
Nahain Hain???!!!
Kya Yah Yahaan Kay Taleem'yafta Yang Shehri Say Amli Zindgi Kay 2 Saal Chein
Lainay Ki Danista Sazesh Nahain?!
Shaed Yah Sazesh Is Liay Ki Ja Rahi Hai Kah 17 Saal Parh Kar Taleem'yafta Yang
Shehri Nokri Mangay Ga Lihaza Ossay Mazeed 2 Saal Kay Liay Instarakshan Kay Amal
Main Olja Dou.
Jab Yahaan Adaray Mazbout Houn Gay Kaam Karnay Kay Midan Khulay Aur Wasi Houn
Gay To Phir Kisi Ko Bahar Ja Kar Goroun Kay Kotoun Ko Nihlay Ki Bhala Kya
Zarorat Ho Gi. Yah Bilkul Ghalt Aur Bai'bonyad Baat Hai Kah Maghrab Kay Log
Yahaan Kay Logoun Say Bhar'kar Hain. Hamaray Log:
1. Maghrab Waloun Say Kahein Ziyada Zahein-O-Fatein Hain. Mairi Is Baat Ka Wazay
Aur Zinda Sabout Yah Kah Koee Bhi Faran Made Cheez Aati Hai To Os Ki
Eak Nahain Kaee Naqoul Market Main Aa Jati Hain Aur Baz Asal Say Bhi Kar'gozari
Main Behtar Aur Bhar'kar Hoti Hain. In Naqoul Kay Tiyar Karnay Walay
Shakago University Return Nahain Hotay Baz To Sakool Bhi Nahain Gay Hotay Onhoun
Nay Edher Odher Say Kuch Na'kuch Sikh Liya Hota Hai.
2. Sabar Aur Bardast Ki Ziyada Qovat Rakhtay Hain.
3. Bai'haad Mehnati Hain.
4. Ziyada Waqt Kaam Kar Saktay Hain Aur Kartay Hain.
5. Kaam Ko Ziyada Waqt Day Saktay Hain Aur Bohat Kam Moavzay Main Daitay Bhi
Hain.
6. Hamaray Haan Aksiriat Aisay Logoun Ki Hai Jo Kabhi Ba'qaeda Instarakshan Kay
Amal Say Gozray Hi Nahain Hotay Likin Kaam Ala Parhay Likhay Logoun Say
Bhar'kar, Kar Jatay Hain. Zara Balal Ganj Kay Kisi Un'parh Kharadiay Say Mil Kar
To Daikhain Aur Ossay Wo Kaam Soomp Dain Jo Maghrab Kay Kisi Professor/Saens'dan
Nay Kiya Hota Hai. Wo Kahein Behtar Aur Kahein Paedar Kar Day Ga. Mein Apni Is
Baat Ki Sanad Kay Liay "Naam'dav"* Aur Ayub Abbasi"** Ko Hawala Bananay Main
Koee Aar Nahain Samjhta.
7. Hamari Jawan Parhi Likhi Nasal Bari La'jawab Aur Mehnati Hai. Wo Behtar Aur
Kam'waqt Main Acha Aur Pae'dar Kaam Karnay Ki Ehliat Rakhti Hai. Baad'qismati
Say Ossay Mowaqay Hasal Nahain Ho Patat.
Khuda Kay Liay:
* Is Qoum Par Reham Karain Aur Is Kay Wasael Aiyashi Aur Baad'mashi Main Na
Oraein.
** Jawanoun Say Kaam Aur Amli Zindgi Kay 2 Saal Na Chinay Jaein.
*** Taleem Ko Biparioun Kay Hath Na Baichain.
**** Adaroon Ko Awaam Ka Khadam Banaya Ja'ay Aur Onhain Awaam Kay Liay Kaam
Karnay Par Majbour Kiya Ja'ay.
***** Oudhaar Ki Dokandari Band Karain.
Bawar Rahay Takht, Taj Aur Waqt Kisi Ke Sagay Nahain. Waqt Kay Liay Opar Say
Nichay Aur Nichay Say Opar Lana Aur Lay Jana Mushkal Ya Na'mukin Nahain. Pehloun
Kay Hashr Say Ibrat Lain Warna Allah Ki Lathi Bai'aawaz Hai Aur Os Kay Ghar Dair
Hai Andhair Nahain. Mein In Satour Kay Zariay Ba'ekhtayar Tabqoun Ko Chitavni
Daita Houn Kah Oon Ka Hashr Bohat Hi Bora Ho Ga Yahhi Nahain Wo Kal Ko Allah Kay
Hazour Koun'sa Monh Lay Kar Jaein Gay?!