Insan Jab Paida Hota Hai

(maqsood hasni, kasur)

Insan Jab Paida Hota Hai Os Ka Dil Golab Ki Pati Ki Tara Naram Nazok Komal Aur Khush'bu Say Labraiz Hota Hai Jab'kah Damagh Koray Kaghaz Ki Tara Sofaid Ojla Shafaaf Aur Bai'dagh Hota Hata. Os Ki Moskarahatain Her Qisam Ki Tameez-O-Imtayaaz Aur Tanz Say Bala'tar Hoti Hain. Woh Sab Ka Aur Sab Kay Liay Hota Hai. Salamti Aur Dosti Os Ki Fitrat/Saresht Main Dakhal Hoti Hai. Os Kay Dil Aur Damgh Main Kisi Kay Liay Nafrat, Boghaz, Hasad Ya Janib'dari Nahain Hoti. Woh Ossi Tara Say Hota Hai Jaisay Insan Ko Hona Chaheay.

Jab Insan Paida Hota Hai Ahsan Aur Khlipha Kay Darjay Par Faez Hota Hai. Tafreeq Aur Dehshat Gardi Qisam Ki Chizoon Say Na'aashna Hota Hai. Waqt, Halaat, Society, Mahool, Mafadaat, Madi Bhook, Garohi Janib'dari Aur Os Kay So Called Apnay Ossay Insan Nahain Rehnay Daitay. Woh Soni, Wahabi, Shiya, Barailvi, Mashraqi, Maghrabi, Sikh, Esae, Hindu, Kala, Gora, Mochi, Naee, Raja, Malk, Kambu, Rajpoot ,Molvi Pandat, Padri, Ghreeb, Ameer, Apna, Paraya, Aman'pasand Dehshat'gard Qatil Maqtool Allah Na'janay Kiya Kuch, Ho Jata Hai. Os Ki Zindagi In Daeroon Main Ta'dam-E-Marg Moqaied Rehti Hai. Sar Othata Hai Ya Samaji-O-Mazhabi Nazriyaat Waghera Ke Daeroon Say Nikalnay Ki Koshesh Karta Hai To Baghi Tehrata Hai. Log Os Kay Zahir Ko Malahza Kartay Hain Aur Yah Daikhnay Ki Zahmat Nahain Otatay Kah Os Kay Mun/Andar/Batan Main Kiya Chal Rahai. Woh Zinagi Bhar Til Til Qatal Hota Hai Aur Auroon Ko Mukhtalif Hawaloon Say Masloob Karta Rehta Hai. Eak Waqt Aata Hai Jab Os Kay Liay Yah Sab Zindagi Ka Roop Ikhtayar Kar Jata Hai. Os Kay Nazdeek Yahhi Zindagi Hoti Hai.

Kamzoroon Ki Gardan Marotay Waqt Os Kay Andar Say Koee Aawaz Boland Nahain Hoti.* Os Kay Insan Kay Darjay Say Gir Kar Siraf Aur Seraf Wahabi Shiya Barailvi Mashraqi Maghrabi Sikh Esae Hindu Kala Gora Raja Malak Kabo Rajpoot Mochi Nae Darzi Molvi Pandat Padri Ghreeb Ameer Dehshat'gard Qatil Maqtool Ban Janay Ki Zima'dari Kis Kay Sar Par Rakhi Ja'ay?!
1- Os Kay Ghar Waloon Par?
2- Samaj Society Mahool Ya Insan Kay Tabeer Yafta Mazhab Par?
3- Amir-E-Shihar Par Jo Saray Wasael Samait Kar Ossay Gholami Ki Zindagi Karnay Par Majboor Karta Hai?
4- Boray Halaat-O-Waqiyaat Kay Rad-E-Amal Par?
5- Aaghi Kay Darwazay Band Kar Dainay Waloon Par?
6- Ustaad/Guru Kay Moashi-O-Samaji Aur Os Ki Self Respect Kay Qataloon Par?
7- Khud Os Par Kah Os Nay Rasta Ikhtayar Kartay Waqt Apni Samjh Bojh Say Kaam Na Liaya?
8- Ya Phir Hasab-E-Ravaet Taqdeer Par?
9- Ya Phir Samaji Aur Riyasti Zulm-O-Jabr Kay Nazam Par?

Aakhar Insan Kay Andar Kay Insan Ka Bai'dardi Say Khoon Bahanay Aur Tafreeq Kay Darwazay Kholnay Ka Alzaam Kis Ko Diya Ja'ay. Jis Ki Taraf Ongli Othein Gay Kobray Saanp Ki Tara Dasnay Ko Aa'ay Ga. Jis Say Sawal Karo Gay Khud Ko Sacha Socha Bata'ay Ga. Agar Apnay Apnay Hawalay Say Sab Sachay Aur Naji Hain To Phir Ghalt Koon Hai.
Kiya Qatil Mujram Hai Ya Maqtool Ya Phir Donoon?

Insan, Insan Kayoon Nahain Raha. Jis Say Sawal Karo Gay Barmala Kahay Ga Mein Pehlay Falaan Hoon Os Kay Baad Insan Hoon. Hazrat Sufi Sheik Baba Ustad Goru Nanak Sahib Ka Yah Kaha Kisi Tara Ghalt Nahain :
There Is No Shortage Of Those Who Preach And Teach.
Kathnaa Kathee Na Aavai Tot.

Batan Ki Taharat Kay Sabab Aur Is Hawla Say Mota'alaq Log Mojood Hain Aur Woh Soni Wahabi Shiya Barailvi Mashraqi Maghrabi Sikh Esaee Hindu Kala Mochi Nae Darzi Gora Raja Mochi Nae Darzi Malk Kambo Raj'poot Molvi Pandat Padri Ghreeb Ameer Dehshat'gard Qatil Maqtool Ko Phir Say Golaab Ki Pati Aur Lathay Ki Tara Kora Aur Bai'dagh Bana Saktay Hain. Woh Aisa Saboon Rakhtay Hain Jo Diloon Kay Zang Ko Saaf Kar Sakta Hai. Os Kay Baad Kan Son Sakain Gay Aankhoon Ki Roshnaee Dhanag Say Yaeni Ossi Tara Say Daikhay Gi Jis Say Tara Say Daikha Jana Chahiay.
--------------------
* Oon Kay Dil Zang'aloda Ho Jatay Hain.

maqsood hasni
About the Author: maqsood hasni Read More Articles by maqsood hasni: 184 Articles with 211170 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.