Mushkil Rastay episode 15

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Us Raath Kafi Dair Site Area Per Hi Rahay ...Aglay Aik Mahinay Baad Hi Hotel Ki Opening Ceremony Thi.....Or England Say Aik Deligation Bhi Anay Wala Tha Jis May Baray Baray Embasadors Bhi Shamil Thay....Is Liyai Wo Khud Is Luxurious 5 Star Hotel Ai Hua Thay...Mahir Interior Decorators Or Hotel Management Kay Saath Kharay Wo Hotel Ki Tazeen Wa Araish Ka Jaiza Lay Rahay Thay..Mis Sandra Page Jo Europe May Bhi Unkay Hotels Ki Interior Decorator Thi...Unkay Saath Khari Thi....Baar Baar

Mathay Per Ai Us Paseenay Ko Apnay Rumal Say Pochti Jarahi Thi....Us Centrally Airconditioned Haal Kay Thunday Mahol May Bhi Sub Emplyees Ko Paseena Agaya Tha....Us Waqth Jamal Shah Bohoth Ghussay May Thay...Or Abhi Shanddills Ko Tabdeel Kernay Ka Hukum Daitay Huay Wo Us Hall Say Bahir Nikal Kar Ball Room Ki Taraf Barh Gai.....Peechay Peechay Hotel Ki Management Or Sandra Bhi Thay.......Sandraki Ki Samajh May Nahin Araha Tha Kay Aqir Itnay Dheemay Lehjay Or Dostana Rawaiya Rakhnay Wala Us Ka Yai Boss Aik Saal May Itna Change Kiyun Hogaya Hay....Wajahath Or Mardana Husun Kay Malik Jamal Shah Ko Daikh Ker Her Larki Ka Dill Bay Iqtiyar Alag Hi Suroon May Dharak Nay Lugta Tha...Khud Sandra Bhi Unki Ankhon May Daikh Ker Baath Nahin Ker Pati Thi...Wo Shadi Shuda Thi ...Lakin Agar Wo Apni Dilchuspi Us May Dikha Tay To Wo Apnay Shohar Alexandar Page Ko Unki Khatir Chore Daiti...Lakin Wo Kub Kissi Larki Ko Khatir May Latay Thay Jo Is Italian Haseen Aurath Ki Taraf Nazr-E-Ultefath Daltay...Or Ab To Wo Her Waqth Ghussay May Rehtay Thay.....Or Apnay Employees Ki Zara Si Bhi Ghulti Maaf Nahin Kertay Thay..Sandra Janti Thi Wo Cha Hay Jitnay Bhi Kharoos Hogai Thay..Lakin Dil Kay Bohoth Achay Thay...Or Apnay Mulazmeen Per Meharbaan Bhi...Or Is Ka Amli Muzahira Wo Daikh Bhi Chuki Thi....Khud Us Kay Saath Bhi Wohi Rawaiya Tha Unka...Saal Kay Her Chay Mahinay Baad Bonus Plus Hospital May Mufth Illaj...Cha Hay Employee Europe May Ho Ya Pakistan May Sub Kay Saath Yuksan Sulook....Is Liyai Bhi Wo Sub May Muqbool Thay....Aisi Facilities Or Respect Kissi Or Job May Kahan Milti...Wo Paisa Baidareegh Apnay Workers Per Khurch Kertay Thay...Lakin Phir Bhi Us May Izafa Hi Horaha Tha....

Miss Page I Hope U Will Complete This Project In 2 Weeks.......

I Will Do My Level Best Sir..

Good.

Wo Sandra Say Keh Kar Abhi Manager Ki Taraf Pultay Hi Thay Kay........................

Sir Aap Ki Call Hay Ghar Say.......................

Receptionist Nay Akar Bazabta Khud Unhay Itla Di To Wo Sir Ki Hulki Si Junbish Kay Saath Reception Ki Taraf Barh

Gai........

Hello

Jamal Bhai May Bol Raha Hun Abaas...........

Haan Bolo Abas.

Apnay Zati Mulazim Ki Awaz Su Ker Poochnay Lagay............

Jamal Bhai Aik Mame Sahab Ayee Hain Ghar Par ...Or Aap Ka Pooch Rahi Hain.....

Bara Do Yaar Tum Nay Ussay Andar Anay Kiyun Diya.............

Wo Jhinjhlai Huay Lehjay May Abas Per Baras Paray...To Abas Ghubra Gaya..........

May Nay Taal Nay Ki Koshish Ki Thi...Lakin...Wo Maan Nahin Rahin Thin...Or Sachi Baath To Yai Hay Sahab May Unhay Andar Anay Say Rok Nahin Paya......Waisay Apna Naam Hooriya Bata Rahi Hain..

Wo Uskay Baath Or Kiya Bolta Raha Wo Or Kuch Nahin Sun Pai...Siwai Aik Naam Kay...........Hooriya...

...............

White Lemozene Ki Driving Seat Per Khud Baithay Huay Ussay Drive Ker Rahay Thay...Or Front Seat Per Driver Hairan Paraishan Baitha Hua Tha....Faratay Bhurti Hui Gari Flat Ki Taraf Rawan Dawan Thi Or Phir Taqreeban Dus Minute May Hi Apay Flat Pohonch Gai.....Door Bell Per Haath Rakh Kar Uthana Hi Bhool Gai...Forun Hi Abas Nay Akar Derwaza Khol Diya To Us Kay Salam Ka Jawab Daitay Huay Drawing Room Ki Taraf Barh Gai....Lakin Drawing Room Khali Tha...

Abas Tum Nay Ussay Roka Kiyun Nahin...Meray Anay Tuk Ussay Rokay Rakhtay......

Wo Ghusay May Abas Per Chila Uthay..........

Sahab Wo Balcony May Hain.................

Abas Kay Kehnay Per Wo Taizi Say Balconyki Taraf Barh Gai...

Dastuk Ki Awaz Per Wo Chonkay Thay..........

Andar Ajao Abas...

Sahab Aap Abhi Tuk Jaag Rahay Hain....Aap Ko Doctor Nay Mana Kiya Hay Na Dair Tuk Jagnay Say.....

Hmmm Acha Kiya Waqth Hua Hay...........

Char Buj Gai Hain Sahab Abhi Thori Dair Baad Fajr Ki Azaan Hojai Gi.......
Oh Acha.....

Wo Ghaib Dimaghi Say Bolay Thay Uski Baath Sun Ker...........

Aisa Karo Tum Aik Cup Cofee Bana Do........

Abas Nay Hairath Say Unhay Daikha Tha

Ayesha Bi Bi...............

Haan Kako Boliyai........

Wo Ji Koyee Aya Hay....Naam Akbar Mamooo Bata Rahay Hain ........

Akbar Mamoo Kay Naam Per May Chonki Thi........................

Acha Tum Unhay Bithao Drawing Room May ...May Ati Hun......

Kako Ko Hidayath Datay Huay May Hijab Pahan Nay Lagi Thi.

Mujhay Waisay Hi Apnay Office Janay Ki Juldi Thi...May Kabhi Late Nahin Huyee Thi.....Ama Bi Bhi Waqth Ki Paband Thin Or Humay Bhi Waqth Ki Qadar Ki Talqeen Kertin Thin....Her Kaam Waqth Per Kerna Jis Ka Routeen Ho.....Ussay Paanch Minute Ki Bhi Dairi Berdashth Nahin Hoti....Or Yai Akbar Mamoo Subah Subah Na Janay Kahan Say Agai Thay........Amma Bi Apnay Is Bhai Say Sari Umar Nalaan Rahi Thin....Unhay Apnay Tamam Behan Bhai Azeez Thay ....Wo Sub Bhi Amma Bi Ka Pertoo Thay...Lakin Yai Allah Janay Kis Per Chalay Gai Thay .....Aikbhi Acha Gun Na Tha Un May........Nana Abba Kay Inteqaal Kay Baad...Sub Say Bara Bhai Honay Ka Faida Utha Tay Huay Jaidad Per Qabza Jama Liya Tha...........Or Baqi Behan Bhaiyon Ko Jaidad Say Bay Daqal Kerdiya.....Or Ab Salon Baad Unkay Is Terha Anay Per Mera Hairan Hona Ghulath Na Tha.........

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 230349 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More