Husn-e-Akhlaq
(Mir Idrees Khan Chachar, Lahore )
Husn E Akhlaq Achay Rawaya Aur
Achi Achi Adat Ko Kaha Jata Hai. Issi Tareh Bora Akhlaq Boray Rawaye Aur Buray
Adaat Ko Kaha Jata Hai. Humara Wajood Do Haisiaton Mein Taqseem Hai. Aik To
Humara Tabia Haiwani Wajood Aur Dosra Hamara Akhlaqi Wajood. Haiwani Hasiyat Say
Hum Par Bhi Wahi Qawaneen Nafiz Hotay Hain. Jo Degar Hawanat Par Hotay Hain.
Yani Humain Bhi Bhook Lagti Hai, Neend Ka Ghalba Hota Hai Aur Dosri Tamaam Tar
Zarooriyat Lahaq Hoti Hain Balkay Humari Zarooriyat To Degar Haiwanaat Say Ziada
Hain. Humay To Rehnay Kay Lia Alishan Maqanaat Chahiye, Pehannay Kay Lia Umda
Say Umda Labaas Chahiye Yani Hamari Bunyadi Haiwani Zarooriat Degar Haiwanaat
Say Bohot Ziada Bari Hoye Hai.
Ye Hamara Akhlaq Wajood Hi Hai Jo Hum Ko Degar Jandaron Say Alag Karta Hai, Aur
Yahi Woh Hukumran Taqt Hai Jiss Say Inshan Apnay Jisim Par Bhi Hukumrani Karta
Hai Aur Kharji Awamil Par Bhi Iss Ki Hukumrani Qayeem Hoti Hai. Inshan Ki
Kamyabi Aur Naqami Ka Aur Iss Kay Urooj-O-Zawal Ka Inhasar Iss Ki Akhlaqi Quat
Par Hai. Goya Hum Jiss Cheez Ki Waja Say Insan Ko Inshan Kehtay Hain Woh Iss Ka
Akhlaqi Wajood Hai. Youn To Woh Bhi Degar Jandaron Ki Terha Jism Rakhta Hai Ghar
Banata Hai Baal Bhay Rakhta Hai Aur Inn Manun Mein Woh Aik Muwasrati Haiwan Hi
Hai Lakin Iss Ki Haqiqi Hasiyat Zameen Par Allah Kay Nayeb Ki, Khalifa Tul Arz
Ki Hai Aur Ye Iss Akhtayar Ki Waja Say Hai. Jo Allah Nay Ussay Tauz Kiya Hai Kay
Woh Nafarmani Bhi Karsakta Hai. Ab Chun Kay Iss Ko Bhalaye Aur Boraye Karnay Ki
Azaadi Bhaqshi Hai Iss Lia Allah Taa’ala Nay Iss Kay Samnay Dono Rastay Wazai
Kardia Hai. Aur Ye Bhi Batadia Hai Kay Aik Rawaya Tumhain Ubdi Kamyabi Ki Taraf
Layjaye Ga Aur Dosra Rawaya Tumharay Lia Abdi Nakami Ka Zimaydar Hoga. Issi Say
Achay Akhlaq Ki Ehmiat Wazay Hoye Hain. Asal Johar Inshaniyat Acha Akhlaq Hai.
Na Sirf Inshan Balkay Qaumo Kay Urooj Woh Zawal Ka Inhasar Bhi Akhlaq Quat Par
Hi Hai. Jab Tak Koye Qaum Alla Akhlaqi Asoolon Par Kamil Rehti Hai Iss Ka Urooj
Hota Rehta Hai Aur Jub Woh Akhlaqi Burayun Mein Mubtala Hojati Hai To Pasti Mein
Ja Girti Hai Yahaan Tak Kay Bilkul Hi Mitjati Hai Ya Zaleel O Khuwar Ho Kar
Ghulami Ki Halat Mein Zinda Rehti Hai.Quran Pak Mein Qadeem Qaumo Ka Zikar Hai,
In Ki Bhi Allah Taa’la Nay Yahi Sunnat Bataye Hai Kay Jabtaq Akhlaqi Khubiyaan
Burayun Par Ghalib Rehti Hain Wo Qaum Zinda Rehti Hai Aur Jab Burayan Ghalib
Ajati Hain To Allah Taa’la Iss Qaum Ko Mita Dayta Hai.Ya Dosri Qaumo Ko Iss Par
Musalat Kardayta Hai. Lehaza Aam Inshani Ikhlaq Ki Parwarish Karnay Say Koye Bhi
Qaum Kamyabi Pasakti Hai.