Mather Day Kay Moqay Par Na
Janay Ketnay Logon Nay Ba Haisyat Aulaad Apnay Jazbon Ko Alfaz Ki Shakal Day Kar
Qalam Band Kia Hoga. Saal Kay 365 Days Mein Aulaad Maa Ki Azmat Muhabbat Aur
Qurbanyon Ko Dekhti Mehsoos Karti Hai Aur In Tamam Khidmaat Kay Ewaz Hi Hum Kisi
Khas Din Kay Moqa Par Inhain “Kharaj-E-Tehseen” Pesh Kartay Hain.
Dar Asal Maa Naam Hai, Esar-O-Qurbani Ka. Ulfat-O-Qurbat Ka. Tahffuz Kay Ahsaas
Ka. Pur Sakoon Saibaan Ka, Maa Woh Mukammal Wajood Hai Jo Hamein Zindagi
Guzarnay Ki Tarbiyat Deti Hai. Sahi Ghalat Ki Pehchan Karwati Hai Yani Aik
Behtareen Muallamah Hai. Maa Ki Azmat Aur Is Kay Wajood Ki Ahmiyat Ka Andazah
Hazrat Ismail (A.S) Ki Maa Hazrat Hajra(A.S) Say Laga Ya Ja Sakta Hai Keh Agar
Insanyat Ki Puri Tareekh Khangali Jaye Aur Maa Ki Mohabbat, Taqaddus, Ahtaram,
Khaloos Aur Esar Ka Jaizah Lia Jaye To Hazrat Hajra (A.S) Ka Kirdar Bay Missal,
Mohabbat Bay Panah Aur Bachay Ki Nigha Dasht Ka Koi Aur Waqiyah Itna Munfarid
Aur Tareekh Saz Nazar Nahi Aaye Ga. Agar Maaon Ki Tareekh Murattab Kar Kay Raqam
Ki Jaye To Sirf Hazrat Hajra (A.S) Ka Tazkarah Is Puray Tazkaray Par Is Tarah
Hawi Ho Jaye Ga Keh Doosri Tamam Mayon Is Ki Ziya Say Faiz Yab Hoti Nazar Aayein
Gi.
Arab Ka Tapta Hua Registan Door Door Tak Sabzay Ka Foqdan, Tapti Chatanein, Aag
Ugalti Huyi Pahariyan, Jin Par Nigah Daalnay Say Aankhon Mein Bhi Tapish Aur
Jalan Si Mehsoos Honay Lagay. Phir Tand-O-Taiz Shuyain Apni Hiddat Say Pahari
Wadiyon Ko Tanaw’war Aur Who Bhi Kaisay Insan, Aik Bachah Sheer Khuar Aur Is Ki
Maa Jisay Sanf-E-Nazuk Kaha Jata Hai, Is Mein Is Tarah Baithay Hon Jinhain Apnay
Parwardigar Ki Qudrat Par Pura Yaqeen Aur Iman Ho. Shareek Hayat, Roti Kay Chand
Tukray Pani Ka Aik Mashkizah Rakh Kar Wapis Jaraha Ho. Hajrah Pooch Rahi Hon Keh
Aye Ibraheem Yeh Sab Kia Kar Rahay Ho. Pani Ka Aik Mashkizah Aur Roti Kay Chand
Tukron Par Hamara Kaisay Guzar Hoga Aur Phir Is Kay Baad Hamara Kia Hoga? Who
Yeh Kehtay Huye Ja Rahay Hon Keh Allah Par Bharosa Rakho. Mein Is Kay Hokum Say
Tum Donon Ko Yahan Chor Kar Jaraha Hon.
Maa Ka Sabar-O-Shukar Dekhye, Apnay Upper Nazar Nahi Karti, Bachay Ki Masoom
Surat Par Nazar Daal Kar Allah Kay Aagay Sar Tasleem Kham Karti Hai, Eriyan
Ragar Ragar Kar Marnay Ka Tasawar Samnay Ho To Is Waqt Maa Kay Dil Par Kia Guzar
Rahi Hogi? Maa Ki Mamta Ko Josh Aaraha Ho, Magar Who Pekar Tasleem-O-Raza Nabi
Apnay Jigar Goshay Ko Sinay Say Chipkaye Huye Qudrat-E-Khuda Wandi Kay Karishmay
Ki Muntazir Hai. Aakhir Wahi Hua. Pani Ka Aik Mashkiza Aakhri Qatray Bhi Apnay
Shkiam Say Nadeil Kar Apni Bay Charge Ka Izhar Kar Raha Hai, Sharmindagi Say
Aankhein Khushk Ho Gaye Hain Aur Tar Ont-O-Tazgi Ka Naam Bhi Baqi Nahi Hai.
Mashkiza Apni Bay Charge Apni Bay Charge Aur Bay Basi Par Matam Kana Hai. Kaash
Is Waqt Nedamat Kay Kuch Aanso Hi Mashkizay Say Ubal Partay Kay Masoom Ki Jaan
Bach Jati. Hazrat Hajra (A.S) Bay Qarar Aur Bay Chain Ho Jati Hain, Pani Ki
Talash Mein Idhar Udhar Nazar Dorati Hain, Idhar Pani Ka Wajood Nahi, Udhar
Bachay Ka Wajood Mariz Khatar Mein Par Raha Hai. Pani Ki Justajoo Mein Dori Jati
Hain To Bachah Choray Nahi Banta Aur Agar Bachay Ko Liye Baith Rehti Hain To
Pani Kahan Say Layein. Samnay Aik Choti Si Pahari Hai, Sochti Hain Chalo Is Par
Charh Kar Door Kahin Nazar Dorayein, Shayad Pani Nazar Aajaye. Safa Par Jati
Hain, Pani Nazar Anhi Aata, Albattah Thori Door Aik Pahari Nazar Aarahi Hai, Jo
Safa Kay Samnay Hai, Dorti Hain, Aur Is Pahari Par Jakar Nazar Dorati Hain, Isi
Tara Safa Say Marwa Aur Marwa Say Safa Ki Dor Ho Rahi Hai. Idhar Allah Tala
Farishton Ko Hokum Day Raha Hai Keh Dekho, Ghor Karo, Is Maa Ki Muhabbat Ki Yeh
Ada Hamein Tamam Ummat Muslimah Kay Liye Farz Karna Hai, Mein Aanay Wali Naslon
Ko Qiamat Tak Yon Hi Dorta Hua Dekhna Chahta Hon. Maa Ki Bay Qarari Ka Ye Andaz
Kitna Pyara Hai.
Is Kay Baad Hi Maa Ki Bay Qarari Par Allah Tala Ki Rehmat Ko Josh Aata Hai Aur
Yak Bargi Hazrat Ismail Ki Eriyon Ki Ragar Nay Pathar Ka Dil Mom Ban Jata Hai,
Chashmah Aab Sheerin Ka Ubal Parta Hai Jismein Say Pani Behta Hua Nazar Aata
Hai, Who Pani Nahi, Woh Bulkeh Aab Hayat Tha. Hazrat Hajra Zam Zam Keh Kar Isay
Rokti Hain. Bachay Ko Yeh Pani Pila Kar Allah Ka Shukar Baja Lati Hain. Mendh
Bandhi Ja Chuki Hai. Pani Ko Rok Lia Gia Hai. Tairan-E-Qabilah Jur Hum Parindon
Ko Urta Hua Deikh Kar Aakar Yahin Qiyam Pazeer Ho Jata Hai. Yeh Qabilah Shayad
Isi Liye Aaya Tha Keh In Maa Batay Ki Nigahdasht Karay.
Maa Ki Muhabbat, Esar Aur Qurbani Ka Yeh Waqiyah Tareekh Kay Seinkron Safhaat
Mein Is Tarah Phaila Hua Hai Keh Har Safhay Say Maa Ka Tasawwor Is Tarah Ubhar
Ta Hai Keh Aadmi Maa Kay Elawah Aur Kuch Nahi Sonch Pata.