Mein Salman Hun(Episode 8)

(HuKhan, Karachi)

Ajh Din Ki Opening Achee Naa Thee Wesay Asee Subhun Ki Amadun Say Uss Ki Zindeghi Bhuree Hui Thee Magar Apnu Kay Zakham Bahut Gahray Aur Insaan Ko Tor Deatay Hein ,,,Kici Ghaier Se Kia Shikwa Karein,,,,,,,,Jabh Apnay Zayda Khoonkhaar Hun,,,Ye Bahi Hay Tumhara Mein Nay Koi Saray Zamany Ka Thikaa Nahi Liya Apnay Bachun Ko Sambhaloun Ya Tumhray Iss Nikamay Kay Naz Uthaown Meri Shadi Tum Say Hui Hay Poray Jahan Say Nahi,,,,Salman Kay Baray Bahi Nay Bebasi Say Salman Ko Dekha,,,Salman Nay Bazahir Asay Behave Kia Jasay Kher Hay Huta Hay,,Wo Apnay Bahi Ko Sharminda Nahi Dekh Sakta Tha Isi Liye Kamray Say Baher Nikal Gia,,Dekh Laina Iss Kay Naseeb Mein Serf Dahkay Or Gaalian Hee Hein,,,,Gaaalian Hee Hein,,,,Gaalian,,,,,,,,,,,Salman Wapis Haal Mein Aa Gia Baher Say Ubh Bee Bambaari Jaree Thee Bahbhi Sahi Kahtee Thee Meray Naseeb Mein Gaalian Hee Hein,,,Salman Ka Kaan Aur Pora Chahray Par Jalan See Hu Rahee Thee ,,,,Ghar Kay Andrroni Darwazay Ko Isay Makhssos Timings Kay Elawa Andar Se Kundi Laghanay Ki Ijazat Naa Thee Koi Bee Ghar Ki Andar Ki Janib Say Uss Kay Kamray Mein Any Time Ghuss Sakta Tha Yaa Dosaray Alfaaz Mein Uss Kay Room Par Police Ki Tra Raid Mari Jaa Saktee Thee ,,Salman Nay Darwaza Khulnay Ki Awaaz Suni ,,Salman ,Salman,,,,Salman ,,Salman Nay Tesree Dafa Nida Ki Pukaarnay Par Chahray Se Purnay Se Blanket Ko Huta Diya Salman Kay Chahray Par Nazar Partay Hee Nida Kay Chahray Par Fiqar Mandi Kay Asaar Zahir Huay Salman Ko Hairat Hui Nida Kay Expressions Asay Qun Huay,,,,Khairiyat Hay Ap Ko Bukhaar Hay Shaied,,,,Uss Ka Chahra Bukhaar Mein Bilkul Red Hu Jata Tha Asa Red Jis Mein Peelahat Ahista Ahista Shamil Hu Rahee Hu,,,Salman Ko Samajh Aa Gai Qun Us Ka Chahra Aur Kaan Jal Rahay Thay ,,Kal Ki Sardee Aur Mayusi Nay Uss Kay Jisam Ko Halki See Aagh Ki Anch De Dee Thee ........Nida Wapis Palat Gai Maa Uss Ko Bukhaar Hay,,,Maa Nay Asay Nida Ko Dekha Jasay Wo Koi Mout Ki Khabar Denay Wala Farishta Hu Ya Pher Nida Ka Janam Hee Un Ki Ghurbat Ki Waja Hu,,,,Nida 32 Salaa Larki Thee Kam Khuraak Aur Zamany Bhar Ki Tensions Nay Us Kay Dubhlay Patlay Jisam Nay Parwaan Charnaa Hee Chore Diya Tha Wo Apni Dilkashi Kay Bjaye Kamzzori Ki Waja Say Larki Nazar Aty Thee,,,Baita Ambulance Bulwao Shaer Kay Behtreen Doctor Ko Phone Karo Itna Bara Admi Beemar Hua Hay Asay Logh Tu Kabi Kabi Beemar Partay Hein Uss Ki Maa Ki Teer Andazi Usi Speed Se Jaree Thee,,,,Amma Wo Zayda Beemaar Hay ,,,,,Han Tu Maa Sadqay Waree Jaye Uss Kay ,,,Yahan Aur Museebatein Kia Kam Hein Ju Iss Kaa Bee Elajh Hum Karwaein,,,,,,Tuu Uss Ki Fiqar Mein Aur Dubhli Na Hu Jana ,,,,,Amaa Kon Keh Raha Hay Uss Ka Elajh Karwao Mein Tu Bata Rahee Hun Tum Janu Tumhara Karayedaar Janay Mujhay Kiya,,,Salman Nay Himat Ki Aur Bed Say Uthh Kay Maidaan E Jang Ka Rukh Kia(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1195870 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.