Husna (epi 6)

(Zeena, Lahore)

Maham Ke Ankhain Bhi Ansoun Se Bheeg Gai "ALLAH Ke Har Kaam Main Behtari Hoti Hai Mere Beti Ba Bus Yee Baat Yaad Rakhna...Mer..Ee Beti "Lafez Bari Mushkil Se Adaa Karte Howe Wo Bas Itna Hi Keh Pai Or Jhatke Khane Lagi Wo Apni Mama Ki Ye Halat Dekh Ker Jaldi Se Dr Ko Bulane Bhag Gai Dr Ne Atey Hi Usey Kamre Se Bahir Nikal Dia Usy Lag Raha Tha Jesy Aaj Wo Apni Bohat Hi Qeemati Cheez Kho Day Gi Bahir Aker Wo Aik Jaga Khare Sakte Ke Alam Main Dil He Dil Main ALLAH Se Apni Mama Ke Liye Duayen Mangte Rahi Kabhi I.C.U Main Dr Or Nurse Ko Dekhti Jo Uski Mama Ko Nai Zindage Dene Ki Koshish Ker Rahy Thy Edhr Se Udher Bhagti Nurses Our Kabhi Sohail Ko Dekhte Jo Sub Se Alag Betha Aik Kone Main Ansu Baha Raha Tha Husna Chote Chote Qadam Uthati Sohail Ke Pass Aa Ker Beth Gai Kuch Lamhey Khamoshi Main He Guzar Gaye "Api Mama Thek Tou Ho Jaye Gi Na"Sohail Khamoshi Ko Torta Howa Us Se Pochta Hai Husna Jawab Dene Ke Bajaye Sohail Ke Gale Lag Ker Phoot Phoot Ker Rone Lagti Phir Ro Lene Ke Bad Uth Ker Hathelioun Se Ankhe Rager Ker Asbat Main Zor Zor Se Ser Ko Halati Hai "Api Ap Roye Tou Nahi...Main Nahi Rouoon Ge Kiu Ke Mama Kehti Hai Main Bohat Bahadur Hun Or Muskurane Lagti Hai"I.C.U Ka Derwaza Khulte Hi Dono Dr Ke Pass Jatey Hai" Doctor Mere Mama Kesi Hai Ab,She Is No More"Husna Ye Sunte Hi Whi Bethti Chali Jati Hai.....Ghar Ke Sehan Mains Safeed Chader Bechaye Muhaley Ke Aourtaye Quran Khuwani Main Masroof Thi Husna Sub Se Alag Bethi Taziat Ke Liye Ati Aourtin Or Rishtedaro Ko Dekh Rahi The,"Bari He Achi Khatoon Thi Maham "Dor Ke Koi Rishte Ki Phupu Ne Hamsaion Se Ai Aurto Se Kaha Kuch Itne Rishte Dar Thy Nahi Husna Ke Baba Aklote Thy Or Maham Ne Kabhi Apne Behan Bhaio Ka Ziker Nahi Kia "Huunn Han Dekho Zara En 2 Bacho Ka Kia Hoga Ab Husna Tou Akeli Reh Gai Bechari Huunnn Hai Bhi Akeli Or Khubsurat Bhi"Dosri Khatoon Ne Lukma Dia "Bhai Tou Abhi Chota Hai Bari Mushkil Ho Jaye Ge En Bacho Ke Zindagi Bhai ALLAH Reham Kary Zamana Bara Zalim Hai "Door Ki Phupu Ne Kano Ko Hath Lagate Howe Kaha Husna En Aurtoon Ke Baty Sun Ker Apne Kamre Main Agai Wo Achy Se Janti Thi Log Tasali Dene Ke Bajaye Esk Zakhmo Per Namak Hi Chirkey Gay "ALLAH Ne Reham Karna Hota Tou Mujh Se Mere Mama Na Leta ALLAH Ne Mujhe Or Mere Bhai Ko Es Bereham Zamane Main Tanha Chor Dia ,Mane Kitne Dua Ke Thi Mane Kabhi Kuch Nahi Manga Bus Mama Ki Zindagi Mangi Thi Apne Mujh Per Reham Kiu Nahi Kia Mane Reham Manga Tha"Wo Phot Phoot Ker Rone Lag Gai Or Apne Mama Ki Picture Hath Main Paker Ker Sawal Karne Lag Gai Es Waqat Wo Khud Tarsi Ka Shikar Ho Rahi Thi Apne ALLAH Se Gilah Ker Rahi Thi(Jaree Hai)

Zeena
About the Author: Zeena Read More Articles by Zeena: 92 Articles with 201383 views I Am ZeeNa
https://zeenastories456.blogspot.com
.. View More