Mein Salman Hun(Episode 10)

(HuKhan, Karachi)

Nida Nay Kici Sagay Reshtay Ki Tra Usay Dawaiee Aur Nashta Diya Salman Sar Jhukaye Uss Ki Meharbani Aur Apni Maa Say Ki Gai Jang Ka Sochnay Laga Ek Hee Ghar Mein Bahut Sey Alagh Alagh Soch Aur Fitrat Kay Afraad Rehtay Hein Duniya Ki Tra Har Tara Kay Logh Changaiz Khan Sikandar Azam Jasay Khoon Aloda Soch Kay Logh Jinhein Apni Khahishaat Ya Junnon Ki Takmeel Kay Liye Insanu Ki Khoprion Say Banay Huay Menaar Chaiye Thay Pher Isi Duniya Mein Mother Taressa, Abdul Satar Edhi Jasay Logh Bee Thay Jin Ki Ankhein Hamesha Dosrun Kay Gham Aur Dukhun Par Bheek Jaatein Hein,,,,Iss Mein Kia Shaq Duniya Mein Har Tra Ka Rangh Mojhudh Hain Bilkul Har Mosam Ki Tra Insani Zindeghi Bee Har Tra Kay Mosam ,Rangh Aur Mood Say Bhuree Hui Thee Zindeghi Kabi Jaray Ki Naram Aur Ujhli Dhoop Ki Tra Hu Jatee Thee Kabi Piar Mein Surmaiee Shaam Jeci Kabi Maa Kay Piar Ki Tra Naram Aur Khalis,,, Han Magar Jabh Ye Siaah Raat Ya Taptay Huay Raghistaan Ki Dhoop Ki Tra Jhulsaa Denay Wali Ban Jaty Hay Tu Insan Ko Serf ALLAH Say Panah Mil Sakty Hay Pher Ye Kici Insaan Kay Bas Ki Baat Nahi Hutee Kay Wp Ap Ko Bacha Sakay Insaan Beemari Mein Bahut Kamzor Or Sensitive Hu Jata Hay Wo In Hee Khyalaat Mein Gum Tha ,,,Nida Ki Awaz Nay Usay Chonkaa Diya,,,Kia Mein Bahut Badsorat Hun,,Salman Nay Hairat Aur Dukh Say Sar Utha Kay Nida Ko Dekha,,,Duniya Jahan Ka Dard Uss Larki Ki Ankhun Mein Tha,,,,Guzartee Umar Kay Sath Kahien Kahein Say Safaedi Uss Kay Sar Kay Balon Mein Jaahnk Rahee Thee,,Shaied Ubh Wo Khud Sey Bay Parwa See Rehnay Laghi Thee,,,,,,,,,Salman Kay Pas Jawab Mein Kuch Na Tha Magar Kuch Tu Kehna Hee Tha,,,,,Ap Nay Asa Qun Kaha,,,Mein Kafi Deir Say Ap Kay Samnay Baithee Hun Ek Dafa Tu Mera Haq Banta Hay,,,,,Salman Bilkul Anjaan Saa Ban Gia ,,,,,,,,,Mein Samjha Nahi,,,,Salman Nay Baat Mein Sachaiee Paida Karnay Ki Bharpoor Acting Ki,,,,Ju Insaan Zindeghi Say Larta Hu,,Poetry Karta Hu,,,,Jisay Qalam Kay Istemaal Ki Tameez Hu ,,,Ju Alfaaz Ko Toulnay Aur Bolnay Ka Fun Janta Hu,,,,,,,,,Wo Iss Qadar Beywaqoof Nahi Hu Sakta,,,,,Ya Jhoot Bolnay Kaa Koi Time Lay Rahay Hu Jabh Tak Mein Apni Baat Ki Wazahaat Karun Gee Jabh Tak Salman Sahibh Acha Saa Jhoot Taraash Chuckay Hun Gay,,,,Uss Kaa Dukh Tanz Mein Badal Raha Tha,,,,Lijye Mein Ap Ki Mushkil Asaan Kar Detee Hun Mein Kafee Dier Say Aap Kay Samnay Baithee Hun Aap Nay Ek Dafa Bee Mujhay Nahi Dekha,,,Qun Kay Mein Ek Badsorat Larki Hun ,Hay Na,,,,,,,,,Nida Ji Bilkul Bee Asa Nahi Hay,,,Mein Bas Shareef Ban Janay Ki Acting Kar Raha Hun,,,,Aap Mein Kia Kami Hay,,,,,Kuch Bee Tu Nahi,,Har Chese Mukamal Hay ,,,Qabool Sorat,,,Naik,,,Hamdard,,,Meri Malkan Bee Hein Aap,,,,Magar By Heart Ap Mein Koi Kami Nahi,,,,,,Aap Meri Nigah Say Kahein Zayda Anmol See Look Ko Deserve Kartee Hein,,,Mein Kia Meri Nigah Ki Kia Ouqaat,,,,Nida Nay Uss Ki Batun Ko Zara Bee Lift Nahi Dee,, Wo Uth Kay Darwazay Ki Janib Janay Laghee,,Pher Yakdam Ruk Gai (Jaree Hay)A

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1193794 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.