Mein Salman Hun(Episode 11)

(HuKhan, Karachi)

Nida Ruk Gai Pechay Nahi Dekha Bas Uss Ki Awaaz Ayee Jasay Kici Gahray Kanwein Say Koi Bol Raha Hu,,Agar Mein Badsorat Nahi Tu Ju Logh Mujhay Dekhnay Aya Kartay Thay ,,,,,,Wo Wapis Lout Kay Qun Nahi Aye,,,,Koi Tu Waja Batatay Kay Wo Aye Qun Thay Aur Aa Hee Gaye Thay Pher Jurm Ki Saza Tu Sunaa Jatay,,,,,Kia Mein Iss Qabil Bee Nahi Kay Mujay Mera Jurm Hee Bata Diya Jata,,,,,Mein Larki Say Ek Qadam Agay Barh Gai Hun Ubh Aurat Banty Jaa Rahee Hun,,,,,Iss Kay Baad Ki Sehree Jis Par Mein Nay Paon Rakhna Hay Wo ,,,,Sehree,,,Bahut Taklif Deh Hay,,,Magar Jabh Tak Saans Hay Mujhay Seerhiaan Tu Charna Hee Hay,,,,Ubh Bee Kuch Logh,,,Baji Bolna Shuro Hu Gaye Hein Pher Aunty ,,Aur,,,Pher,,,,Uss Ki Awaaz Bhuraa Gai,,,,,Wo Ek Asay Shakhs Kay Samnay Apna Dukh Biaan Kar Thee Jis Ki Apni Kashtee Mein Bahut Say Sooraakh Thay,,,Ju Khud Tofaani Mojhun Kay Reham O Karam Par Thaa,,,,,,,,,,Bilkul Pagal Hu Tum,,,,,,,,,,Salman Nay Himat Kar Kay Bolna Shuro Kia,,Rehnay Du Salman,,,,,,Tum Bee Serf Sorat Achi Lay Kar Paida Huay Hu,,,,,,,,,,Baqi Hath Ki Lakeerun Mein Hum Dono Ki Kuch Zayda Farq Nahi,,,,,Meray Paas Shaied Chath Hay Tumharay Sar Par Tu Wo Bee Nahi,,,,Erray Nida ,,,,,,,,,,,Uss Manhoos Ko Dafnaa Kar Hee Ao Gee,,,,,,Maa Ki Awaaz Nay Iss Dukh Bhray Lamhun Ko Kuch Waqt Kay Liye Taal Dia Nida Tezi Se Kamray Say Nikal Kar Nazrun Say Oujhal Hu Gai,,,,,,,,,Salman Nay Ek Lambhee Saans Li,,,,,,,,,,,,,Kis Kis Kay Dukhun Par Marham Laghaown,,,Har Shakhs Mujh Sey Zayda Ghaeil Hay.Shaied Shaher Ki In Kachi Abadion Mein Zindeghi Asay Hee Sisak Sisak Kar Guzaree Jatee Hay,,,Yahan Kay Insaan Serf Dukhun Ki Potli Uthanay Kay Liye Paida Huay Hein,,,,Baher Duniya Naraaz Ghar Mein Ghar Walay Naraaz Oper Neelay ASMAAN WALA Naraaz,,,,,Ek Mushkil Khatam Nahi Hutee Dosree Azamaish Sar Par Aan Kharee Hutee Hay Ghar Kay Kitchen Ko Dekhu Tu Kapray Kam Par Jatay Hein Kapray Poray Karu Tu Sar Aur Paon Nanghay Hu Jatay Hein,,Dawaiee Kahreedu Tu School Ki Fees Ka Maslaa,,Fees Jama Kara Du Stationary Short Hu Jatee Hay,,,Bacha 5 Class Kay Baad Motor Cycle Ki Mehnic Ki Dukaan Par Baith Jata Hay,,,,,,,,Choto Iss Umar Mein Apnay Nanahay Say Demaagh Say Baray Baray Khabh Dekhta Hay,,Jis Mein Wo Serf Ye Dekhta Hay Uss Nay Pait Bhar Kay Gosht Wala Salan Khaya Aur Dosray Bachun Ki Tra Wo Cricket Khel Raha Hay Patang Uraa Hay,,,,,,,,Nanhi Ankhun Kay Nanhay Say Khabh,,,Janay Kaha Hay Iqbal Ka Shaheen(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1199689 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.