Mein Salman Hun(Episode 12)

(HuKhan, Karachi)

Salman Nida Ki Maa Ki Bambaari Ko Bhool Gia ,,,,Uss Ki Sochein Nida Kay Gerd Ghoomnay Laghein Thein,,Humaree Society Nay Zindeghi Mushkil Bana Dee Thee ,,,,Jis Ghar Mein Charun Taraf Ghurbat,Mayusee Aur Roz Ek Nai Azmaish Kay Dairay Thay Wahan Apni Chothee(4th Decay) Dehaaiee Mein Dakhil Hu Janay Wali Larki Ju Bahut Jald Aurat Ban Janay Wali Thee Wahan Shaadi Ek Bahut Bara Masla Bana Dee Gai Thee Iss Mein Zayda Hath Bee Aurat Zaat Ka Tha Jabh Maa Huty Hay Tu Chand See Bahu Chaiye Behan Ko Bahi Kay Liye Chand See Magar Bama Jahaiz Larki Chaiye Dewaraani Jithaani Ko Farman Bardaar Kisam Ki Ghulaam Chaiye Hutee Hay Kha Wo Jahaiz Laye Na Laye Ju Un Sey Zayda Khubsorat Naa Hu,,,Ju Serf Ji Ji Kay Alfaaz Jantee Hu Uss Ki Gardan Right Left Kabi Harkat Naa Kartee Hu Ye Sab In Hee Aurtoun Kay Kamalaat Thay Shikaar Bee Aurat Aur Shikaari Bee Aurat,,,,Wo Nida Ko Kiya Jawab Deta Loghun Nay Khaa Pee Kay Uss Ki Ankhun Ko Khabhun Kay Hawalay Kar Kay Palat Kay Khabar Bee Naa Li Kay Jin Ankhun Ko Khabh Dekhnay Ki Adat Hu Gai Hay Wo Kiss Haal Mein Hay,Pher Dosra Waar Pher Teesra Waar Pher Baras Kay Baras Beet Jaein Apni Sahelion Aur Reshtadarun Ki Shadion Mein Ja Ja Kay Ajeeb Ajeeb Batein Sun Kay Larki Ko Yaqeen Hu Jata Hay Uss Mein Hee Koi Baree Kami Hay Werna Kasay Kasay Logh Shadi Kar Kay Abaad Hu Gaye Pher Kabi Wo Sorat Kabi Seerat Kabi Ghurbat Kabi Maa Baap Aur Pher Qismat Ko Dosh Denay Laghty Hay Magar Uss Ki Dourtee Hui Umar Nahi Ruk Kay Detee Har Raat Har Subah Har Shaam Bas Ek Anjaan Saa Khuf Uss Kay Sath Chimat Jata Hay Ju Uss Ki Ankhun Kay Gerd Halqay Balun Mein Safaedee Pichkay Huay Zard Gaal De Kar Asa Bana Deta Hay Jsay Jawani Husan Dilkashi Naam Ki Cheseun Ka Uss Ki Zindeghi Mein Guzar Hee Nahi Hua,,,,Pora Mashraa Asee Larkion Ka Mujrim Tha Aur Iss Jurm Ko Haq,Lazmi,Zarori Aur Danaiee Samajh Lia Gia Tha.Nida Ka Har Shikwa Baja Tha Iss Mein Koi Shaq Nahi Ghurbat Qismat Uss Ki Mamoli See Shakal Ka Koi Qasoor Na Tha Bas Ye Sara Mashraa Hee Uss Ka Mujrim Tha Uss Ka Serf Ek Hee Jurm Tha Wo Apni Marzee Kay Begher Hee Iss Mashray Mein Paida Hu Gai Thee Magar Ye Bee Ek Haqiqat Hay Ek Piar Karnay Wala Shohar Chota Saa Ghar Ulaadh Aur Kuch Maali Asodghi Uss Ko Qabool Sorat Say Ek Purkashish Larki Ya Aurat Mein Badal Saktee Thee Iss Mein Koi Shaq Nahi Kay Agar Shohar Apni Saree Muhabat Bv Par Nichawar Kar De Tu Wo Khud Ko Ghar Aur Ulaad Par Lutaa Detee Hay Uss Ka Sakoon Shohar Ki Khidmat Mein Badal Jata Hay Uss Ki Mamta Bachun Par Bahaar Ki Barsaat Ki Tra Barastee Hay,,,,,,,,,,,,Mein Khul Kay Jeena Chahtee Hun,,,,,,,,,,Bas Ek Naram See Muhabat Mera Khabh Hay.(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1194897 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.