Nafs e Zakia 33

(Kishwer Baqar, Karachi)

Mia Hairat O Hasrat Ka Maara Khamoosh Kharha Ho Sahil Par
Darya-E- Mohabbat Kehta Hai, Aa Kuch B Nahi Payab Hai Hum

Majdi Ka Zehen Maoof Ho Chukka Tha. Aik Lamhay Ko To Usay Youn Laga Jaisay Us Ki Jaan Hi Nikal Jaye Gi… Us Par Aik Haibat Tari Thi… Us Hasti Ka Roob… Or Us Ki Hebat… Vo Jalal… Vo Halka Halka Kapkapanay Laga. Us Par Aik Vajd Ki C Kaifiat Taari Ho Gai… Vaisay Hi Jo Khoofnaak Manzar Yak Shub Qabal Vo Mushahida Kar Chukka Tha Us Ki Vaja Say Vo Khubti Sa Ho Gaya Tha…
Majdi Nai Ghair Iradi Toor Par Aik Qadam Samandar Ki Taraf Barhhaya. Jaisay Usay Koi Cheez Khainch Rahi Ho… Samander Shoor Macha Raha Tha… Us Nai Aik Or Qadam Agay Barhhaya… Shayad Vo Us Hasti K Seher Mai Giriftar Tha… Vo Usi K Pass Jana Chahta Tha… Usay Choona Chahta Tha… Us Ka Zehen Mauuf Ho Chukka Tha… Aik Barhi Lehr Aai Or Us K Ghutnoo Say Upper Tak Usay Cho Lia… Majdi Nai Pani K Dabao Say Aik Jhatka Khaya…
“Hah.. Hah…” Majdi Nai Do Teem Qadam Samander Ki Taraf Or Barhhaye… Vo Vahi Jana Chahta Tha Jaha Vo Roohani Zaat Gum Ho Gai Thi. Vo Jaldi Jaldi Qadam Barhhanay Laga… Yaha Tak K Samander Ka Pani Us K Pait Say Upper Chala Gaya… Magar Majdi Kisi Deewanay Ki Tarha Khicha Chala Jar Aha Tha… Vo Be Khud Sa Pagaloo Ki Tarha Or Ander Janay Laga… Akhir Kar Aik Barhi Lehr Aai Or Majdi Ko Apnay Sath Vahi Lay Gai Jaha Vo Jana Chahta Tha.

Kai Dino Say Majdi Ka Kuch Pata Na Tha. Hum Sab Deewano Ki Tarha Usay Dhond Rahay Thay. Jo Jo Jaga, Naam Pata, Phone Number Meray Hath Laga Mai Nai Voha Us Ki Khooj Lagai Magar Besood.
Majdi K Ghar Mai Aik Matam Bicha Tha. Vaisay Hi Un Ka Koi Na Tha. Ab Majdi Ko Kia Ho Gaya Tha Kisi Ko Kiya Khabar Thi? Vo Sab To Ab Majdi Say Bohut Khush Thay K Kitna Acha Set Ho Gaya Hai. Ghar K Halaat Kitnay Achay Ho Gaye Hain. Aamdni Mai Izafa Ho Gaya Hai. Mayar E Zindagi Behtar Ho Gaya Hai. Magar Koi Nahi Janta Tha K In Sab Aasaisho K Peechay Kia Kia Awamil Kar Farma Thay Siwaye Meray…
Mujhy Kabhi Majdi Nai Us Jaga K Baray Mai Nahi Bataya Tha Jaha Vo Call Center Ka Bahana Kar K Jaya Karta Tha. Vo Hamesha Us Jagah To Aik Raaz Rakhta Tha. Mai Nai Majdi K Ghar Valo Say Ijazat Mangi K Us K Kamray Ki Talaashi Lay Sakon. Mai Chahta Tha Kisi Tarha Us Jaga Ka Ata Pata Chalay To Shayad Majdi Ka Koi Suraagh Mil Sakay. Ab Sirf Aik Vohi Jagah Reh Gai Thi Jis K Baray Mai Sab Ko Hi Shak Tha. Mai Nai Na Chahtay Hoaye B Majdi K Ghar Valo Ko Us Ka Asal Kaam Bata Dia. Zahir Hai Meri Baat Sun Kar Kuch Ko To Yaqeen Hi Na Aya Or Kuch Hairat Mai Doob Gaye.
Baharhal Mai Nai Majdi K Kamray Ka Pata Pata Ulat Palat Kar Daikh Liya. Aik Aik Kaghaz Chan Mara. Magar Mujhy Koi Soraagh Na Mila K Vo Kaha Jata Tha. Itna To Vo Keh Deta Tha K Vo Jaga Defence Mai Hai. Magar Defence Mai Kaha??? Pata Nahi!
Hum Sab Nai Apnay Apnai Contacts Istamaal Kar K Usay Dhondnay Ki Koshish Ki Police Mai Army Mai Hospitals Mai News Mai. Kuch B Aisa Na Tha K Hum Nai Chorha Ho. Achanak Baithay Baithay Mujhy Koi Khayal Aa Jata Or Mai Apna Sara Kam Dham Chorh Kar Majdi Ki Talaash Mai Nikal Parhta K Shayad Ab Ki Bar Us Ka Kuch Pata Chal Jaye… Par Usay To Janay Zameen Kha Gai Thi K Aasman Nigal Gaya Tha!
Gee Maar Kar Mai Nai Edhi Center , Murda Khano Ka B Chakar Laga Lia. Mujhy Bohut Say Murda Logo Ki Tasveeray Dikhai Gai Jo Kisi Hadsay Mai Ya La Varis Faut Ho Gaye Thay. Magar Us Ki Soorat Kisi Ki Soorat Say Nahi Milti Thi… Akhir Kar Mai Har Jaga Say Thuk Har Kar Vapis Aa Gaya. Or Usay Yaad Kar Kar K Roota Raha!
Dhondo Gai Agar Mulko Mulko Milnai K Nahi Nayaab Hain Hum
Tabeer Ho Jis Ki Hasrat O Ghum, Aye Hum-Nafaso Vo Khaaab Hain Hum
Dhondo Gai Agar Mulko Mulko Milnay K Nahi Nayaab Hai Hum


Aye Dard Bata Kuch Tu Hi Pata, Ab Tak Ye Mo’ama Hal Na Hoa
Hum Mai Hain Dil-E-Betaab Niha, Ya Aap Dil-E-Betaab Hai Hum

Samander Ki Maojo Ko Majdi Pay Taras Aya Or Majdi Balochistan K Aik Veeran Sahil Par Phaink Dia Gaya! Vohi Kisi Paharhi Silsilay Mai Majdi Ja Baitha… Kisi Ghaaar Mai Do Barhay Barhay Deyo Haikal Patharo K Darmiyan… Aas Pass Jangli Phool Poodo K Beech, Jagli Bair Bootiyo Say Apni Bhook Mitata Hoa…
Phir Vo Kisi Sehra Ki Khaak Chaan Raha Tha… Androonay Sindh Mai, Vohin Kuch Khana Badoosh Logo K Sath … Be Saaz O Saman… Kisi Malang, Aik Faqeer Ki Tarha…
Choorh Kar Aabadiya Rehta Hai To Sehra Naward
Zindagi Teri Hai Be Roz-O-Shab-O-Farda-O-Dosh
Rait Ke Teele Pe Woh Aaho Ka Be Parwa Kharaam
Woh Hazar Bebarg-O-Saman, Woh Safar Be Sang-O-Meel
Taaza Veeranay Ki Saudaye Mohabbat Ko Talaash
Or Aabadi Mai Tu Zanjeeriye Kisht O Nakheel

Us Din Vo Aik Veeran Masjid K Ahatay Mai Baitha Kuch Likh Raha Tha… Ounchi Ounchi Uljhi Uljhi Jharhiya Har Taraf Ugi Hoi Thi Or Chund Ghunay Ghunay Darkht B Lagay Thay… Aik Darakht Ki Geeli Chaal Utar Kar, Aik Sookhay Kantay Ko Qalam Bana Kar Vo Kuch Likhnay Laga. Jab Vo Us Geeli Chal Par Vo Kanta Chobhota To Aik Nuqta Sa Ban Jata. Na Banda Na Banday Ki Zaaat. Door Door Tak Veerana Tha… Shayad Kisi Zamanay Mai Yaha Koi Aabadi Rahi Ho Gi. Magar Ab Sab Kuch Khundar Or Sunsaan Tha… Or Vo Qadeem Masjid B Aik Zamanay K Sard O Garam Ki Dastan Suna Rahi Thi… Jo Badaltay Mausamo Ki Shiddat Sehtay Sehtay Surmai Rang Ki Ho Gai Thi…
Faraib-E-Nazar Hai Sakoon O Sabaat , Majdi Likhta Ja Raha Tha…
Faraib E Nazar Hai Sakoon O Sabaat
Tarhapta Hai Har Zara-E-Kainaat
Samajhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi
Faqat Zauq E Parwaz Hai Zindagi
Bartar Az Andesha E Sood O Zaya Hai Zindagi

Hai Kabhi Jan Or Kabhi Tasleem E Jan Hai Zindagi
Tu Isay Paimana-E-Amrooz O Farda Say Na Naap
Javaida Paihum Davan Har Dum Jawa Hai Zindagi
Zindagani Ki Haqeeqat Kohkan K Dil Say Pooch
Joaye Sheer O Teesha O Sang E Girah Hai Zindagi
Bandgi Mai Ghat K Reh Jati Hai Ik Joaye Kam Aab
Or Aazadi Mai Behr E Beqaraa Hai Zindagi
Aashkara Hai Ye Apni Qoowat E Taskheer Say
Garcheh Ik Mitti K Paikar Mai Niha Hai Zindagi
Khaam Hai Jab Tak K Hai Mitti Ka Ik Ambar Tu
Pukhta Ho Jaye To Hai Shamsheer E Be-Zunhar Tu

Majdi Ko Chain Tha Na Sakoon. Janay Vo Deewana Kis Cheez Ka Mutalashi Tha.
Har Tamana Dil Say Rukhsat Ho Gai
Ab To Aa Ja Ab To Khalwat Ho Gai

Vo Duniya O Mafia Say Beniaz … Sab Bhool Bhaal Chukka Tha K Vo Kon Hai, Kia Hai, Kaha Say Aya Hai, Kaha Jaye Ga. Kia Us Ka Koi Hai Ya Vo Kisi Ka Ban Sakta Hai. Nahi! Vo To Bus Kisi Shaakh Say Tootay Pattay Ki Manind Tha… Jis Ka Koi Pursan E Haal Na Ho… Hawa Jaha Chahay Usay Urhati Phiray… Na Koi Agay Na Peechay … Na Koi Umeed Na Sahara… Bus Khuda Nai Takhleeq Kia, Shakh Say Bicharh Gaya, Ab Matti Ho Kar Phir Vapis Usi K Pass Chala Jaye Ga Jo Us Ka Khaliq Hai…
Aik Waqt Aya Jabvo Buland O Bala, Aasman Ko Cheertay Paharho Mai Gum Tha. Aik Ghunay Jungle Mai Kisi Janwar Ki Khaal Lapaytay Jungli Shehed Kha Raha Tha. Hathon Mai Aik Lakrhi Ko Apni Lathi Banaye Hoaye… Barhay Barhay Bal Bikhrai Hoaye, Apnay Aap Say Bekhabar, Haqeqat Ki Talaash Mai…Kisi K Jawab Ka Muntazir… Ta-Hayat Aik Raaz Faash Karnay K Liye…
Usay Aashkar Karnay K Liye Jo Parday K Peechay Hai…!
Isi Talaash O Tajssus Mai Kho Chukka Hon Mai!!!
K Mai Nahi Hon To Kio Hon? Jo Hon To Kia Hon Mai?
 

Kishwer Baqar
About the Author: Kishwer Baqar Read More Articles by Kishwer Baqar: 70 Articles with 78466 views I am a Control Systems Engineer, working in Saudi Arabia.

Apart from work, I am interested in religion, society, history and politics.

I am an
.. View More