Ghar Insaan Kai Liya Aaram,Dili
Saakun Aor Dunya Ki Kadhee Dhup Sai Bachny Ka Waahid Markaz Hota Hai.Ghar Insaan
Kai Liya Aik Umeed Ki Tarha Hai.Ghar Woo Jagha Kai Jub Insaan Is Kai Apnaiyat
Aor Sukum Bhary Maahol Sai Nikal Kar Dunya Kai Sakht Maidaan Mai Qadam Rakhta
Hai Aor Bohot Dhoodh Dhup Kai Baad Apny Hissy Ka Rizq Haasil Karky Din Bhar Ki
Zindagi Sai Mili Hue Talkhiyon Ko Jhail Kar Aor Dunya Ki Sakh Garmi Ka Saamna
Karky Apny Ghr Kai Chaau Bhary Maahool Mai Qadam Rakhta Hai Tu Us Ki Maa Kai
Umeedon Bhari Duayan,Apny Baap Kay Chahry Pai Saajhe Tasallibakhsh Muskurahatain
Aor In Dono Azeem Rishton Sai Munsalik Allah Ki Rehmaty Aor Barkaty Us Ki
Muntazir Hoti Hain Jin Ko Haasil Karky Usky Din Bhar Ki Sakhtiyon Sai Dochaar
Thakan Sai Bhary Jisim Mai Aik Saakun Ka Ahsaas Paida Hojata Hai Aor Phr Sath Hi
Sath Apny Bahan Bhaiyon Kai Hansi Aor Muskurahaton Sai Bharpur Nok Jhok Aor
Chaaid Chaad Us Kai Chanry Pai Sai Pury Din Ki Uljhanon Aor Sakhtiyon Kai Aasaar
Ko Khatam Kaky Apny Ghar Ka Sub Sai Alag Ahsaas Us Kai Chahry Pai Aik Tassali
Bashsh Muskurahat Paida Kardaita Hai.Ghar Baaqi Sabhe Dunya Mai Moujud Amaarton
Aor Makanon Ki Tarha Chaar Diwari Aor Chaat Pai Mubni Wo Maqaan Jo Insaan Kai
Dil Mai Khaas Ahmiyat Rakhta Hai. Jis Ki Haisiyat Dunya Mai Moujud Aalishan
Mehlon Aor Asmaan Ko Chutii Bulando Baala Amarton Sai Ziyada Hoti Hai.Jis Tarha
Kuch Naimaton Ka Koe Naimul Badal Nhi Isi Tarha Ghr Bhe Allah Ki Un Naimaton Mai
Sai Aik Naimat Hai Jis Ka Koe Raddul Badal Nhi.Ghar Ki Ahmiyat Ka Andaza Un
Logon Ko Dakh Kar Lagaya Jasakta Hai Jo Is Naimat Sai Mehrum Hain.Balki Insaan
Tu Kya Janwaron Ko Dakh Kar Bhe Laga Sakty Hain,Jasay Ak Parinda Kasy Apna
Ashiyana Banany Kai Liya Kabhe Idhar Tu Kabhe Udhar Udhta Hua Hazarhan Tinkon
Mai Sai Apny Ghr Ki Ahmiyat Aor Is Ki Khususiyaat Ko Saamny Rakhty Huay Sub Sai
Alag Khas Tinka Chunta Hai Jasy Aik Maahir Sunaar Ko Dur Sai Hi Sony Ki Pehchaan
Hojati Hai Aor Wo Bht Chaant Kar Asal Sony Ko Alag Karta Hai Isi Tarha Yai
Parinda Bhe Apny Dil Kai Qareeb Sub Sai Qeemti Ghr Ka Liya Sub Sai Khaas Aor
Aala Meeyar Ka Tinka Chunta Hai.Ghar Insaan Ka Wo Aashiana Jahan Wo Apny Umar
Kai Kae Adwaar Dakhta Hai.Apny Bachpan Ka Sub Sai Kubsurat Dor Aor Us Dor Sai
Judhe Hazarhan Yaady Usy Apny Ghr Kai Har Dar O Deewar Sai Mehsus Hoti Hain.Phir
Bachpan Kai Khubsurat Aor Masumiat Sai Bharpur Zamany Kai Dhahleez Ko Paar Kar
Kay Jub Jawani Kai Chokhat Pai Qadam Rakhta Hai Tu Is Josheely Dor Sai Mutaliq
Phr Naye Yaadain Ghaar Ki Har Dewaar Pai Naqsh Hony Lagty Hain.Isi Liya Ghar
Insaan Ki Yaadon Sai Bhara Hua Lagta Hai.Ghar Kai Aik Aik Kony Sai Insaan Ki Aik
Na Aik Yaad Zarur Wabasta Hoti Hai.Insaan Ko Apny Zindagi Sai Mily Huay Tamaam
Khushiyan Aor Gham Aor In Lamhon Sai Mutaliq Tammam Yaadain Usi Ghar Sai Judi
Hue Hoti Hain.Ghar Ko Ghar Banany Mai Insaan Ko Bohot Waqat Lagta Hai.Ghar Tu Us
Pody Ki Tarha Hota Hai Jis Ki Negehdast Mohobbat ,Apnaiyat,Izzat Aor Ahtiraam
Sai Ki Jati Hai Warna Yai Bohot Jald Murjha Jata Hai.Jub Is Pody Ko Rishton Ka
Khalus Milta Hai Tu Yai Khubsurat,Hara Bhara Aor Mazbut Jadon Par Mushtamil
Darakht Ban Jata Hai Jis Kai Andar Zamany Ki Sakht Dhup,Taiz Hawaon Aor Yahan
Tak Kai Andhi ,Tufaan Sai Nipadhny Ki Bhe Salahiyat Hoti Hai.Lakin Aksar Asa Bhe
Hota Hai Ka Waqt Kai Sath Ghar Sai Judi Rishton Ka Ak Dosry Ka Liya
Izzat,Ahtiraam Aor Khalum Mai Kami Mehsus Hoti Hai Jis Ki Waja Sai Is Ghany
Darakht Par Sai Pattay Murjany Lagty Hain.Tanny Ahista Ahista Sukhny Lagti
Hain,Jady Kamzor Hony Lagty Hain Aor Phr Akhir Mai Pura Darakh Baijaan Aor Sukhe
Hue Lakdi Kai Ilawa Kuch Nhi Rahta.Aor Phir Ghar Sai Munsalik Yaadaain Sukhay
Huay Pattaon Ki Tarha Kabhe Idhar Tu Kabhe Udhar Zamany Ki Gehma Gehmi Mai Kho
Jati Hai.Aor Akhir Mai Ghar Sirf Chardiwari Aor Chat Par Mubni Aik Amarat Kai
Ilawa Kuch Nhi Rahta .Jahan Log Tu Hoty Hain Magar Ristain Nhi Hoty Aor Agar
Rishtian Ho Bhe Gayan Tu Un Rishton Kai Darmiyaan Mohobbat,Khaloos Aor Apnaaiat
Nhi Rehta.