Jahez 1 Laanat Hai..

(junaid Ellahi, multan)

ASSLAM.O.ALAIKUM All Members & Hamariweb Staff..

Jahez K Topic Per Mene Kuch Mawaaad Jamah Kiya Hai.. Umeed Hai K Yeh Mawaad Ap Ki Rehnumai Kare Ga... Or Jahez Ki Rasm Se Related Ap Ki Galat'fehmiyaa'n Door Karey Ga.. Agar Iss Mein Ap Ko Kisi Kism Ki Koi Galati Nazar Aaye Tou Uss K Liye Mein Ap Sub Se Muaafi Ka Talabgaar Hun Because Yeh 1 Bohat Sensitive Topic Hai Or 1 Khatarnaak Rasm Bhi Hai Jis Ki Waja Se Roz Kisi Gareeb Ki Beti Khud'kushi Karti Hai. Ya Koi Baap Uss Jahez K Qarz Taley Dabb K Mar Jata Hai..

Aap Log Sochte Honge Ki Ham Jahez Ko Itna Bahayanak Kyun Bata Rahe Hain To Aise Sochne Wale Bohot Kam Hi Haqeeqat Ko Jante Honge Unhone Ye To News Kabhi Kabhar Suna Hoga Ya Kisi Dost Se K Jahez Ki Wajhe Se Ye Hadsa Hua Wo Hadsa Hua Kabhi Ankhon Se Nahi Dekha Hoga Na Kabhi Khud Par Beeti Hogi

Mene Jahan Tak Dekha Hai Is Site Me Ya Aur Bhi Dusri Sites Par Zyadatar Loog Wo Hi Aate Hain Jo Upper Middle Class K Hote Ya To Phir Paise Wale Ya Kamse Kam Aise Loog Hote Hain Jinko Aap Gareeb Nahi Kehsakte To Aise Logon Ko Duniya Ki Mushkilat Masaib Ka Samna Kuch Kam Hi Milta Hai Haan Unki Bhi Pareshaniya Hoti Hain Lekin Jo Gareeb Ek Aam Aadmi Jhelta Hai Usko Ham Tasawwur Bhi Nahi Karsakte Hain....

Ab Ahem Muazu Ki Taraf Aate Hain Islam Me Jahez Ki Kya Haqeeqat Hai Kya Allah K Rasul Sallellahu Alayhiwasallam Hamare Nabi Hain Rausl Hain Rehnuma Hain Qudwa Hain Ideal Hain Unki Pairvi Se Hi Jannat Milsakti Hai Unki Itaat Se Hi Allah Razi Hota Hai To Kya Unhone Jahez Liya Allah K Rasul Sallellahu Alayhiwasallam Ne 11 Shadian Ki Kisi Ek Se Bhi Apne Jahez Liye Gaur Karen Doston Agar Kisi K Paas Koi Daleel Hai To Pesh Karen Aur Apke Baad Apke Sahaba Khulafaye Rashideen Ne Bhi Ek Se Zyada Shadian Ki Kisi Ne Dahej Liye Nahi Aap Puri Tareeq Utha Kar Dekhen Aur Unhone Apni Betion Ki Bhi Shadian Ki Ya Kisi Ko Jahez Diye Allah K Liye Gaur Karen Sochen Apni Islah Karen Muashre Ki Islah Kare

Allah Ki Kitab Kya Kehti Hai.
An-Nisaa (4) Ayat (Verse) No.: 4
وَآتُواْ النَّسَاء صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً فَإِن طِبْنَ لَكُمْ عَن شَيْءٍ مِّنْهُ نَفْساً فَكُلُوهُ هَنِيئاً مَّرِيئاً

And Give Unto The Women (On Marriage) Their Dower (Mahr), ( Whom Ye Marry ) Free Gift Of Their Marriage Portions ; But If They Of Their Own Accord Remit Unto You A Part Thereof , Then Ye Are Welcome To Absorb It ( In Your Wealth ) .

An-Nisaa (4) Ayat (Verse) No.: 24

وَالْمُحْصَنَاتُ مِنَ النِّسَاء إِلاَّ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ كِتَابَ اللّهِ عَلَيْكُمْ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَاء ذَلِكُمْ أَن تَبْتَغُواْ بِأَمْوَالِكُم مُّحْصِنِينَ غَيْرَ مُسَافِحِينَ فَمَا اسْتَمْتَعْتُم بِهِ مِنْهُنَّ فَآتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةً وَلاَ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ فِيمَا تَرَاضَيْتُم بِهِ مِن بَعْدِ الْفَرِيضَةِ إِنَّ اللّهَ كَانَ عَلِيماً حَكِيماً

Also (Prohibited Are) Women Already Married, Except Those Whom Your Right Hands Possess: Thus Hath Allah Ordained (Prohibitions) Against You: Except For These, All Others Are Lawful, Provided Ye Seek (Them In Marriage) With Mahr (Dower, A Bridal Money Given By The Husband To His Wife At The Time Of Marriage) From Your Property,- Desiring Chastity, Not Lust, Seeing That Ye Derive Benefit From Them, Give Them Their Dowers (At Least) As Prescribed; But If, After A Dower Is Prescribed, Agree Mutually (To Vary It), There Is No Blame On You, And Allah Is All-Knowing, All-Wise

Hadeeson Par Nazar Dalte Hain

In The First Era Of Islam Marriage Was A Simple Affair, Without Pomp Or Ceremony. Any Expenditure Incurred In Its Performance Was Quite Minimal, And Not A Burden On Either Family. Indeed, The Prophet Stated: 'The Most Blessed Marriage Is One In Which The Marriage Partners Place The Least Burden On Each Other.' (Al-Haythami, Kitab Ab-Nikah, 4:255).

The Prophet Gave Each Of His Wives A Payment Of Mahr, Ranging From Token Sums, The Granting Of Freedom From Slavery When Being Made A Wife, To The Payment Of 400-500 Dirhams. His Wife Umm Habibah's Mahr Consisted Of 4000 Dirhams, This Sum Having Been Fixed By Najashi, The Negus (A Christian Ruler) Of Abyssinia. (Abu Dawud, Kitab An-Nikah, 2:235).

In Tamaam Qurani Aayat Aur Ahadees Se Wazeh Hota Hai K Shadi Ek Sadgi Ka Naam Hai Shadi Se Muashra Sudharta Hai Do Khandan Aabad Hote Hain Nayi Nasl Ki Shuruat Hoti Hai Aur Aisi Koi Aayat Nahi Na Hi Hadees Hai Jisme Hai K Ladki Ko Dahej Dena Chahiye Sare Dalail Cheekh Cheekh Kar Keh Rahe Hain Ki Ladke Ko Mahr Dena Chahiye Allah K Farman Bhi Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ka Qaul Bhi Aur Sahaba Ikram Ki Jamat Bhi.

Ham Kahan Hain Kya Sach Me Ham Musalman Hain Kya Sach Me Ham Islam Ko Manne Wale Hain Har Mamle Me Hamne Islam Ki Taleemat Ko Chor Rakha Hai...

Ab Aayiye Us Baat Ki Taraf Jo Ye Jhoota Dawa Karte Hain Aur Isse Hi Samaj Me Bigad Phaila Jahez Ka…. Wo Ye K Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ne Hazrat Fatima R.A Ko Jahez Diya, Ye Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Par Tohmat Hai Aur Isko Darr Na Chahiye Allah Se Uske Azaab Se Aur Loog Jo Is Wahem Me Mubtila Hain Unko Tahqeeq Karna Chahiye Adhi Taqleed Gumrahi Hai, Is Haqeeqat Par Nazar Dalte Hain...

Hadees Is Tarah Se Hai:
Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam K Paas Abu Bakar Siddiqe R.A, Umar Farooq R.A, Usman Gani R.A Aate Hain Aur Ali R.A K Nikah K Bare Me Baat Rakhte Hain Aur Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Puchte Hain Kya Ali Razi Hain To Kehte Hain Haan Wo Razi Hain To Phir Baat Tai Huyi Jab Hazrat Ali R.A Samne Aaye To Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ne Pucha Ali Apke Paas Fatima Ko Dene Maher Me Kya Hai To Ali R.A Kehte Hain Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Main To Bachpan Se Apke Paas Raha Hun Mere Paas To Kuch Bhi Nahi Haan Jung E Badar Me Ye Zira Mujhe Mili Thi Ek Talwar Aur Dhal To Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Kaha Talwar Aur Dhal To Kaam Aayegi Isko Rakhlo Aur Ye Zira Bech Kar Iski Keemat Leke Aau Yehi Apka Maher Hoga Aur Ussi Se Apka Nikah Hoga, Phir Ali R.A Gaye Bechne Usman R.A K Paas Wo Us Zira Ko Khareed Liye 400 Dinar Me Phir Unse Kaha Kya Ab Main Is Zira Ko Kise Bhi Dedun Ali R.A Ne Kaha Ab Ye Apka Hai Aap Jo Chahen Karen To Usman R.A Ne Ali Ko Hi Wo Tohfeh Me Dedi Phir Ali R.A Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam Jakar Sab Bayan Kiye Phir Aapne Unse Wo Paise Lekar Unka Maher Tai Kiya Aur Ussi Paison Se Do Chakhiyan Lin, Ek Chatai Li, Aur Ek Sahabi K Makan Me Apka Intezam Kiya Aur Kuch Khane Pakane Ki Cheezon Ko Bhi Apne Kharid Kar Diya Wo Isliye K Ali R.A Shuru Se Hi Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam K Paas Rehte The To Unke Paas Koi Saman Nahi Tha To Inhi Ki Zira Bech Kar Inhe K Paison Me Se Liya Gaya Hai….Subhan Allah

Referrence : Tabqat Ibn Saad, Al Jalalain, Tariq Ul Tabri, Ibn Hisham, Sahi Muslim Aur Sahi Bukhari (Baab Al Nikah Me Puri Tafseel Maujood Hai )
To Iski Asal Shakal Ye Hain Jisko Zalimon Ne Badha Chara Kar Todh Madhod Kar Aaj Pure Samajh Ko Bigad Diya Hai Hinduon Ki Rasmo Ko Apne Zindagion Me Utar Liye Hain.

Yeh Rasm Ab Hamein Hi Khatam Karni Ho Gi....

ALLAH Hame Deen Ki Sahi Samajh Aata Farmaye Aameen -
 

junaid Ellahi
About the Author: junaid Ellahi Read More Articles by junaid Ellahi: 13 Articles with 62678 views I am junaid Ellahi from Multan Pakistan. I am a DAE DIPLOMA Holder.. I am Shy. BY Nature,
a True pers0n. N its My Passi0n. Inn0cent By Mistake. Well
.. View More