Sehat Ke Liye Pani Pina Kiun 
Zaruri Hai? Ji Han! Pani Hamare Jism Mein Oxigen Ke Baad Dusri Ahum Juz Hai. 
Jism Khane Ke Beghair Kuch Dinon Tak Ghuzar Sakta Hai Lekin Pani Ke Beghair Nahi. 
Haqiqat Mein Pani Jism Ke Har Kaam Sar Anjam Deta Hai. Yeh Dekhne Mein Khubsurat 
Aur Pine Mein Faida Mand Hai.
Khane Se Pehle Pani Zaruri:
Wazan Ghatane Chahte Hai To Khane Se Pehle Pani Pi Lain, Yeh Mashwarah Virginia 
Ke Sciencetist Ne Dia Hai Keh Din Mein Teen Martabah Har Khane Se Pehle Pani Key 
Do Glass Pi Kar Osatan 5 Pound Wazan Kam Kia Ja Sakta Hai. Iss Nazarye Ko 48 
Muammar Afrad Par Aazmaya Gia. Pehle Inhain Kam Hararon Wali Ghiza Di Gai Aur 
Izafi Pani Nahi Pilaya Gia Jabkeh Dusre Grup Ko Agrche Kam Hararon Wale Khane 
Khelaye Gaye Lekin Har Khane Se Pehle Do Glass Pani Pilaya Gia , 12 Hafte Ki 
Mashq Key Baad Jin Afrad Ne Khane Se Pehle Pani Pia Tha In Ka Wazan 11 Pound Tak 
Ghat Chukka Tha. Iss Tahqiq Ki Qaaid Professor Brand Adivi Ne Kaha Hai Keh Khane 
Se Pehle Pani Pina Yon Mufeed Rahta Hai Keh Aap Ka Maday Sial Maade Se Bhar Jata 
Hai Jis Mein Koi Celorry Nahi Hoti. Albattah Jo Log Khane Key Hamrah Mithey 
Mashrubaat Lete Hain Wo 10 Spoon Ke Barabar Sugar Istemaal Kar Rahe Hote Hain 
Lehaza Behtar Yahi Hai Keh Khane Key Sath Bhi Sada Pani Hi Istemaal Kia Jaye 
Warna Khua Aap Kum Hararon Wali Ghia Le Rahe Hon Natija Ulat Hi Hai.
Pani Ka Moqdar:
Pani Ki Zaroori Moqdar Ghiza, Jismani Sargarmi, Mosam Nami, Sehat Aur Jisam Se 
Kharij Hone Wale Pani(Pasine, Pishab, Fazle Aur Sans Key Zariye) Ki Moqdar Par 
Munhasir Hoti Hai. Osatan Jism Rozanah 2 ½ Letter Pani Kharij Karta Hai Jis Mein 
Kam Az Kam ½ Se 1 Liter Pani Urine Ki Surat Mein Kharij Hota Hai. Har Insan 
Mukhtalif Moqdar Mein Jism Se Pani Kharij Karta Hai Is Liye Sab Ke Liye Aik Hi 
Moqdar Mukhtas Karna Mumkin Nahi. Behar Haal Jismani Nizam Ki Bahali Ke Liye 
Pani Ki Itni Moqdar Zaroori Hai Jo Jism Se Niklne Wale Pani Ko Lota Sake. Is 
Liye Aalmi Sehat Key Adaron Ne Kam Az Kam 8-10 Glass Pani Rozanah Istemaal Karna 
Sehatmand Zindagi Ke Liye Lazim Qarra Dia Hai. Yeh Bhi Yaad Rakhein Keh Be 
Tahashah Caffeine Ke Mashroobat (Tea, Coffee, Cola) Ka Istemaal, Sakht Garmi, 
Kari Warzish Aur Bimaari (Fever, Cold, Vomiting, Dehydration ) Ki Halat Pani Ki 
Zaroorat Ko Barha Deti Hai Caffeine Wale Mashroobat Aur Ashya Ka Pishab Aawar 
Asrat Hota Hai. Is Liye Tea/Coffee Ke Aik Cup Key Asar Ko Zayal Karne Ke Liye 
Aik Cup Pani Ka Izafi Istemaal Darker Hoga.
Pani K Faidy :
1-Pani Ghiza Ko Hazam Karne Ke Liye Zaruri Hai.
2-Pani Ka Jism Ke Temperature Ko Tarteeb Dene Aur Bood Circulate Karne Mein 
Zarurat Hota Hai.
3-Pani Bloodstream Nutrients Aur Oxygen Ko Cells Mein Punhchata Hai.
4-Pani Kidneys Ko Saf Rakhne Ke Liye Zaruri Hai. 
5-Burape Key Asraat Ko Kam Karne Mein Pani Ahum Hota Hai. Yeh Asrat Sab Se Pehle 
Jild Par Ronuma Hote Hain. Natijatan Jild Rookhi, Sookhi Aur Jhurriyon Ka Ghar 
Ban Jati Hai. Pani Ka Munasib Moqdar Mein Istemaal Kisi Had Tak In Asrat Ko 
Zahir Hone Se Rokta Hai Aur Jism Ko Andarooni Aur Berooni Shafafyat Bakhshta Hai.
6-Jism Ka Sab Se Bara Azoo Hone Ki Wajah Se Jild Mein Pani Ka Hajam Ziadah Hota 
Hai Aur Is Se Pasine Ki Surat Mein Pani K Akhraj Se Is Ko Rehydration Ki 
Zaroorat Hoti Hai, Mehgay Aur Behtareen Moisture Ka Istemaal Bhi Pani Ke 
Istemaal Ke Beghair Bekar Hai. Kam Pani Pine Ki Wajah Se Jild Sookhi, Be Jaan 
Sakht Aur Be Ronaq Ho Jati Hai. Is Liye Agar Aap Hameshah Pur Ronaq Aur Jawan 
Dekhna Chahti Hain To Khoob Pani Piyein.
Pani Ki Kami Se Naqras ( Gout) Lahaq Hota Hai:
Naqras (Gout) Yani Chote Joron Key Dard Aur Warm Ki Shikayat, Ghizayi Be 
Aitdalyon Key Elawa Garmi Aur Nami Ki Wajah Se, Jism Mein Pani Ki Kami Ki Wajah 
Se Bhi Lahaq Hoti Hai. Iss Silsile Mein Hone Wali Tahqeeq Key Mutabiq 3.5 
Centigrade Se Ziada Garmi Aur Hawa Mein 17 Degree Nami Ki Waja Se Naqrs Ki 
Takleef Mein Izafa Hojata Hai.
Boston University School Of Medicine Key Mahir Amraaz Uking Rahang Ne Iss 
Tahqeeq Key Baad Mashwara Dia Keh Naqras Key Marizon Ko Ziadah Pani Pine Se 
Faidah Hota Hai. Iss Tarah Dard Aur Takleef Ki Shiddat Kam Ho Jati Hai.