Pakistan Jahan Bijli, Pan,
Gass Jaise Buhran Ka Shikar Hai Wahan Aik Bohut Bara Masla Hamare Taleemi
Nizam Ka Bhi Hai. Hairat Ki Bat Yeh Hai K Jab Bhi Hukamran Badalte Hein Toh
Bohut Saray Nahi Par Kuch Masaile Ka Sidd E Bab Karne K Liye Kuch Iqdamaat
Kiye Jate Hen Budget Bhi Rakha Jata Ha Lekin Shyed Taleem Hamare Lye Itni
Koi Zaruri Cheez Nahi Samjhi Jati Issliye Isk Behatri K Liye Koi Khas
Iqdamaat Nahi Kiye Jate Hein. Aik Arssay Se Ham Aik Hi Ghissay Pittay
Taleemi Nizaam Ko Lay Kar Chal Rahe Hein Jissay Badalna Toh Door Ki Bat
Uskay Masaile Par Bat Karna B Zaruri Samjha Jata Hai. Apne Bachon Ko Jadeed
Aloom Se Araasta Karne Aur Unki Tehleeki Salaahiyton Ko Ujaagar Karne K Liye
Zaruri Hai K Ham Apna Nizaam E Taleem B Badlaien. Ismay Koi Shak Nahi K
Hamari Nojawan Nassl Zehani Slaahyton Se Mala Maal Hai Par Uphsosnak Bat Yeh
Hai K In Slahiyton Se Faida Uthane K Liye Wasaile Ki Kami Hai.Shayed Hi Koi
Aisa Nojawan Ho Jisnay Kuch Tehleek Kia Ho Jiski Aik Bohut Bari Wajjah Hmara
Nasaab Aur Nizam E Taleem Hai. Apni Sola Sala Taleem Mein Ham Theory Ka
Ratta Lagany K Elawa Kuch Nahi Seekhte. Hamara Taleemi Nizaam Aur Nasaab Aik
Arsay Se Wohi Chala Aa Raha Hai Jis Se Ham Practcaly Ko Faida Nah Utha Rahe.
Aur Sochne Ki Bat Yeh Ha K Ham Apn Nojwan Nasal Ko Aisi Taleem Dy Rahe Jiska
Infraadi Aur Mulki Taraqqi Mein Koi Khas Amal Dakhl Nahi Hai Jo Kuch Parhaya
Jata Hai Woh Bogus Theory K Elawa Kuch Nahi Ha. Bohut Sara Aisa Nasaab B
Shamil Hai Jismay Koi Information Nahi Di Jaa Rahi Yaha Tak K Insan Parhne K
Bad Sochne Pe Majbur Hojata Hai Ismay Kya Sikhane Ki Koshish Ki Gae Hai.
Iski Aik Misaal Ap Intermediate K English K Nasab Mein Parhaiye Jane Walay
Novel " Mr Chpis " Se Lay Sakte Hein. Mazhaka Heiz Bat Yeh Ha K Aj Se 30
Saal Pehle Hmare Waldain Ko Bhi Yahi Novel Parhaya Gyaa Aur Aj Ham B Yahi
Parh Rahe Hein. Aur Agar Hmara Taleemi Nizaam Aur Nasaab Issi Hassta Khalat
Ka Shikar Raha Toh Shyed Hamse Agli Nasal Bhi Yahi Nasaab Parh Rahi Hogi.
Zarurat Is Bat Ki Ha K Aisa Nasaab Shamil Kia Jaiye Jis Se Insan Ko Kuch
Seekhne Ko Milay Aur Ismay Koi Nai Information Shamil Ho. Lekn Uphsosnak Bat
Yeh Ha K Ministry Mein Bethe Huwe Logu Ko Nahi Pata K Nai Information Konsi
Hai. Bey Mani Cheezein Parha Kar Ham Apne Bachon Ko Kya Skhana Chah Rahe
Hein? Hamari Government Ko Chahiye K Taleemi Nizam Mein Behtari Lanay K Liye
Iqdamat Kary Aur Isk Sath Sath Jo Purany Issatza Hein Jin Mein Bohut Sari
Tadaad Matric Pas Krne K Bad Abi Tak Teaching K Fraize Sar Anjam Dy Rahi Hai
, Ab Waqt Agya Hai K Unko Retirement Dy Kar Aise Logu Ko Agay Laya Jaiye Jo
Masters Degrees Hath Mein Lay Kar Nokari Ki Talash Mein Jotiyan Chitha Rahe
Hein. Taa K Bachon Ko Behtar Tareekay Se Taleem Di Jaa Saky Iss Se Na Sirf
Hamre Taleem Mein Behtari Aiy Gee Balke Be Rozgaar Dill Bardashta Afrad Ko B
Afaaqa Hoga. Parhi Likhi Ba-Shaur Aqwam Mein Shamil Honay K Liye Zaruri Hai
K Ham Apne Nasaab Mein Se Theory Ki Pecheedgiyun Ko Nikal Kar Malumaati Aur
Tehleeki Nasaab Shamil Karein Taa K Taleem Se Farigh Honay K Bad Ham Apni
Tehleeki Slahiyton Ko Broye Kaar Laa Kar Apne Liye Khud Cheezein Bana Sakein
Naa K Dosron Ki Banae Hue Cheezon Pe Enhasar Karein.