Is Waqt Pakistan mein Energy ka
shaded Crises hay, Jis Mein Govt. ko shaded Mushkilaat ka samna hay aur is
Crises se nikalne mein Abhi Rawan Saal Pakistan ki awam ko Shadeed Mushkilaat ka
samna karma hoga. Govt. Bar Bar Keh rahi hay ye Buhran December-2009 tak khatam
ho jaey ga lekin Aisa March-2010 tak mumkin nahi hay. Pakistan ki Energy ziyada
tar Petrolium Masnooat pe chalti rahi hain jo ke Mehengi tareen Sanat hay. Govt.
ko Sasti energy paida karney ke projects bananey hon gey aur un par jald se jald
kaam start karma hoga.Aj Duniya, Wind, Coal, Aur Atomic Energy pe ziyada tawaja
de rahi hay lekin aj bhi hamarey mulk mein Gas, Petrolium, aur Hydro electric pe
Zar-e-Mubadla Kharch kiya jar aha hay, aur Bijli to Nayab ho gayee hay ab GAS ki
bhi load sheding hone lagi hay. Jo Awam Ke Liyey Azaab Bani huwee Hay.
China Ki Energy ka 70% Hisa Coal ki Plants se ata hay. Jab ke Pakistan mein Coal
ke Asia ke sab se barey Reservs hain, jin ki Maliyat billions dollors mein hay,
ek andazey ke mutabique Hamarey Coal ke sirf thar mein jo zakhair hain wo
Maliyat ke aitbar se Iran aur Saudi Arab ke Tail ke zakhar se ziyada hain. Ye
Zakhair 1995-96 mein Dariyaft kiye gaye the aur Physibility ka kam start kar
diya gaya tha ta ke jald az jald physibility bana kar Doosre mamalik ko
investment ke liye razi kiya ja sakey. Lekin hamare mulk ki badkisamti ye huwee
ke 1996-97 mein PPP ki Govt. khatam ho gayee aur Ye Project Iltwa main chala
gaya. 1997 se lekar-199 tak Miyyan Nawaz Shareef aur 1999 se 200 tak Parvez
Musharaf, aur 2002 se Q-league ki Hukumat kissi ne is janib koi tawaja nahi di.
Halan ke, Sind Ke chief Minister ke Halkey mein ye zakhair Majood they, Aur
Prime Minister ne bhi Thar se Election Lara lekin Is project ko sard khaney mein
hi rehne diya, Ek Muhtat Andazey ke mutabiq agar is wat ki bijli ke zaroorat ke
mutabiq Plant lagaya jaey to Poorey mulk ko ye plant 80 saal tak sasti bijli
faraham kar sakta hay. Ek Baar Pir PPP ki Government ne Is Project par Kaam
start kar diya hay aur in Zakhair ki Sindh province milkiyat bhi tasleem kar li
hay, jis se Provinces ki Autonmy ko bhi tawasat kasil hoga.
Wind Power ek aisa Zareea hay jo ke sasti bijli ke liyey France aur Germany
jaisey mamalik mein kasrat se maujood hay, Hawa se bijli paida karne ke liyey
Govt, ko Germany aur Frnace se bat karni hogi. Beshak Pakistan ke Sahili Areas
mein wo hawaen maujood Hain jin se bijli ke project banayey ja saktey hain.
Atomic Energy. Is waqt Hamarey mulk mein sirf do Atomic Re actors hain aur sirf
1200 Megga watt Bijli Banayee ja rahi hay. Aur Maujooda Hukumat ne 1200 Mega
watt bijli ke liyey mazeed do reactor bananey ke liyey China se agreement kiya
hay Aur bahut jald un par bhi kaam start kar diya jaey ga.
Hyderro Energy.
Ye Aisa Tareeqa hay power produce karne ka jo yaqeenan Sastta bhi hay aur Wasail
Pakistan mein maujood Hain. 1970 se le kar Pakistan mein koi Bara DAM nahi ban
saka, Siyasi rang diyey gaye. Barey DAMS par National consensus ka fuqdan paya
gaya, Lekin Chotey DAMS aur Diyameer Bhasha DAM jin pe Consensus maujood Tha un
ko Nazar Andaz Kiya gaya, Pehli Baar General Musharaf ne Bhasha DAM ko Start
karwaya aur tezi se us ka kaam ho raha hay aur ye 2016 tak mukamal ho jaey ga.
Jab k eek aur bara DAM Kala Bagh DAM, consensus na hone ki waja se Iltiwa mein
para raha aur Maujooda Hukumat ne us ko Sarey se khatam karne ka ailan kar diya,
hay. Is Mamley ko debate karney ke liye main ek alag article likhoon ga, jis
main tamam issues jo is DAM ke barey main hain sab ko Qareen tak pahonchauoon ga.
IPP's Ye Private Companies invest karke projects lagati hay aur un se Govt.
Bijli Khareed Karti hay, Ye IPP's se agreements 1996 Mein Muhtarma Benazeer
Bhutto ne Kiyey they aur Mehengi bijli ka tasur de kar 1999 mein Nawaz Shareef
aur pir President Musharaf ne Ye agreement khatam kar diyey aur ye baat wazih
hay ke Jis rate mein Muhtarma ne ye agreement kiye the wo us wat sach mein bahut
mehngi thi, lekin aj us se bhi ziyada mehengi bijli bhi ham ko mayasar nahi. Bat
Hoti hay Availability ki. Agar Mehengi Mayasar ho to bhi kam chal jata hay lekin
agar sasti ke chakar mein ab Mehengi bhi ghayeb hay.
Ye jo ooper maine sab likha hay ye to Long Term policies hain in mein se koi bhi
project is Saal takmeel ko nahi pahonch sakta to Load shedding kaise Khatam ho
sakti hay. Govt. ne Short term policy ke taur pe IPP's ko promote kiya jar aha
hay ke wo bijli paida Karen, aur un ko wasail provide kiyey ja rahey hain, 1000
Megawatt bijli China Se Rent pe hasil ki gayee hain, wo Bijli Punjab Aur NWFP ki
load shedding khatam karne ke liye use ki jaey gi. Aur IPP's se Jo bijli mile gi
wo Punjab ke Industrial areas ko supply ki jaey gi Aur, 1100 Megawatt bijli IRAN
se rent pe li gayee hay jo Gawadar aur Balochistan ko provide ki jaey gi, Mangla,
Tarbela hi Hydro Bijli Ki Paidawari salahiyat barhaney ke liyey china se
agreement kiya gaya hay jis se Bahawalpur Division aur Sind ko Bijli ki supply
ki Jaey gi, Aur Posrt Qasim unit Thermal Power aur Lkhra Thermal power ki
Paidawari Salahiyat barhakar Karachi ko Bijli ki supply barha di jaey gi, Ye
tamam projects pe kaam tezi se Jari hay aur umeed ki ja sakti hay ke
December-2009 tak Loadshedding mein numayan kami ho jaey gi aur March-20010 tak
Load shedding ka mukamal khatma ho sake ga. Aur 2016 tak Atomic rre-actor aur
Bhasha DAM ki production start hone ke baad Pakistan Bijli mein khud kafeel ban
jaey ga aur rent ki bijli ki zaroorat ham ko nahi rahey gi. Specialy Agar Thar
coal 3 saal mein operational ho jata hay to ham Bijli export kar ke Forien
reserves kama saktey hain.