Hai Bulandi Se Fallak Bose Nashiman Mera
Abr Kuhsaar Hon Gul Paash Hai Daman Mera
Kabhi Sehraa, Kabhi Gulzaar Hai Maskan Mera
Shehar O Virana Mra, Behar Mra, Ban Mera
Kisi Waadi Mein Jo Manzoor Ho Sona Mujh Ko
Sabza Koh Hai Makhmal Ka Bichona Mujh Ko
Mujh Ko Qudrat Ne Sikhaya Hai Durfishan Hona
Naqa Shahid Rehmat Ka Haddy Khwan Hona
Gham Zadaye Dil Afsurdah D_Hqan Hona
Ronaqe Bazm Jawanan Gulisitan Hona
Ban Ke Gaisu Rukh Hasti Pay Bikhar Jata Hon
Shana Mojah Sar Sar Se Sanwar Jata Hon
Daur Se Deedaa Umeed Ko Tarsata Hon
Kisi Bastii Se Jo Khamosh Guzar Jata Hon
Sair Karta Howa Jis Dam Lab Jo Aata Hon
Balian Neher Ko Gardaab Ki Pehnata Hon
Sabza Mazra Nokhaiz Ki Umeed Hon Mein
Zaadah Behar Hon Parwardah Khurshid Hon Mein
Chashma Koh Ko Di Shorish Qalzum Mein Ne
Aur Parindon Ko Kya Mehv Tarannum Mein Ne
Sir Pay Sabzay Ke Kharray Ho Ke Kaha Qm Mein Ne
Ghuncha Gul Ko Diya Zouq Tabassum Mein Ne
Faiz Se Mere Namoonay Hain Shabistaanon Ke
Jhonparey Daman Kuhsaar Mein Dehqanon Kea