Ik Din Kisi Makhi Se Yeh Kehnay Laga Mkrha
Is Raah Se Hota Hai Guzar Roz Tumahra
Lekin Meri Kutia Ki Nah Jaagi Kabhi Qismat
Bhoolay Se Kabhi Tum Ne Yahan Paon Nah Rakha
Gheiron Se Nah Maliye To Koi Baat Nahi Hai
Apnon Se Magar Chahiye Yun Khnch Ke Nah Rehna
Aaoo Jo Marey Ghar Mein To Izzat Hai Yeh Meri
Woh Samnay Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Aana
Makhi Ne Suni Baat Jo Mkrhe Ki To Boli
Hazrat! Kisi Nadaan Ko Deejiay Ga Yeh Dhoka
Is Jaal Mein Makhi Kabhi Anay Ki Nahi Hai
Jo Aap Ki Seerhi Pay Charha, Phir Nahi Itra
Mkrhe Ne Kaha Wah! Farebi Mujhe Samjhay
Tum Sa Koi Nadaan Zamane Mein Nah Ho Ga
Manzoor Tumhari Mujhe Khatir Thi Wagerna
Kuch Faida Apna To Mra Is Mein Nahi Tha
Oodati Hui Aayi Ho Khuda Jane Kahan Se
Thehro Jo Marey Ghar Mein To Hai Is Mein Bura Kya !
Is Ghar Mein Kayi Tum Ko Dikhaane Ki Hain Cheeze
Bahar Se Nazar Aata Hai Choti Si Yeh Kutia
Latkay Hue Darwazon Pay Bareek Hain Parday
Dewaron Ko Aa_Iinon Se Hai Mein Ne Sajaya
Mehmanon Ke Aaraam Ko Haazir Hain Bichonay
Har Shakhs Ko Saman Yeh Muyassar Nahi Hota
Makhi Ne Kaha Kher, Yeh Sab Theek Hai Lekin
Mein Aap Ke Ghar Aun, Yeh Umeed Nah Rakhna
Un Naram بچھونوں Se Khuda Mujh Ko Bachaaye
So Jaye Koi Un Pay To Phir Uth Nahi Sakta
Mkrhe Ne Kaha Dil Mein Suni Baat Jo Is Ki
پھانسوں Usay Kis Terhan Yeh Kam Bakht Hai Dana
So Kaam Khoshamad Se Nikaltay Hain Jahan Mein
Dekho Jisay Duniya Mein Khoshamad Ka Hai Bunda
Yeh Soch Ke Makhi Se Kaha Is Ne Barri Bi !
Allah Ne Bakhsha Hai Bara Aap Ko رتبا
Hoti Hai Usay Aap Ki Soorat Se Mohabbat
Ho Jis Ne Kabhi Aik Nazar Aap Ko Dekha
Ankhen Hain Ke Heere Ki Chamakti Hui کنیاں
Sir Aap Ka Allah Ne Kalghi Se Sajaya
Yeh Husn, Yeh Poshak, Yeh Khoobi, Yeh Safai
Phir Is Pay Qayamat Hai Yeh Urrtay Hue Gana
Makhi Ne Suni Jab Yeh Khoshamad To پسیجی
Boli Ke Nahi Aap Se Mujh Ko Koi Khatka
Inkaar Ki Aadat Ko Samjhti Hon Bura Mein
Sach Yeh Hai Ke Dil Torna Acha Nahi Hota
Yeh Baat Kahi Aur Udi Apni Jagah Se
Paas Aayi To Mkrhe Ne Uchhal Kar Usay Pakra
Bhooka Tha Kayi Roz Se Ab Haath Jo Aayi
Aaraam Se Ghar Baith Ke Makhi Ko Uraya