Add Poetry

Bukhaar

Poet: khamosh aansu By: Silent Tears, karachi

Yeh Gham Dekh Ke Ashk Baar Hua
Yeh Dard Bhi Dil Ke Par Paar Hua
Lafz Ki Duhaai Ya Mukaddar Ka Khel
Main Jo Aaj Buri Trha Se Bimaaar Hua

Dr Ko Dikhaya To Usne Jeena Mushkil Hai
Usne Aesi Dawa Di Jise Peena Mushkil Hai
Wakt Qayamat Ka Tha Mujhpe Kya Kahu Main
Wo Teeka Jo Mere Baazu Main Zor Daar Hua

Dr Ne Kaha Thik To Hojao Ge Ye Aiz Karo
Tm Khaane Peene Main Ab Zara Parhaiz Karo
Haaye Samosa Biryaani Paratha Or Cold Drink
Is Saare Samaan Se Main Ab Be Kinaar Hua

Main Mar Jata Itna Dard Tha Seene Main
Sar Dukhta Tha Kara Wakt Tha Jeene Main
Khamosh Moat Se Koi Dushamni Hai Shayad
Ye Jeena Meri Zindagi Pe Aik Bar Phir Sawaar Hua
 

Rate it:
Views: 3369
10 Jul, 2014
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets