Donon Jahaan Teri Mohabbat Mein

PoetFaiz Ahmed Faiz Submitted byShahid Mansoor
Text size

Donon Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke
Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-E-Gham Guzaar Ke

Viraan Hai Maikada Khum-O-Saaghar Udaas Hain
Tum Kya Gaye Ke Ruth Gaye Din Bahaar Ke

Ek Fursat-E-Gunah Mili Woh Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Hum Ne Hausle Parwardigaar Ke

Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dilfreb Hain Gham Rozgaar Ke

Bhule Se Muskra Ke Diye Woh Aaj Faiz
Mat Puchh Walwale Dil-E-Nakarda Kaar Ke
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

More Faiz Ahmed Faiz Poetry

Copied