Add Poetry

Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai

Poet: Wasi Shah By: bilal, khi

Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai
Nus Nus Mein Zehar Utarta Hai

Jab Chand Ki Kirnein Tezi Se
Uss Dil Ko Cheer Ke Ati Hain

Jab Ankh Ke Andar Hi Ansoo
Zanjeron Mein Bandh Jate Hain

Sab Jazbon Pe Cha Jate Hain
Tab Yaad Bohat Tum Aate Ho

Jab Dard Ki Jhan-Jar Bajti Hai
Jab Raqs Ghamon Ka Hota Hai

Khawabon Ki Taal Pe Sare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hain

Gate Hain Khawahish Ki Ley Me
Masti Me Jhomte Jate Hain

Sab Jazbon Par Cha Jate Hain
Tab Yaad Bohat Tum Ate Ho

Rate it:
Views: 2238
24 Oct, 2016
Related Tags on Wasi Shah Poetry
Load More Tags
More Wasi Shah Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets