Add Poetry

Meri Ankh Se Tera Gham Chalak To Nahi Gaya

Poet: Tehzeeb Hafi By: Aqeel, Islamabad

Meri Ankh Se Tera Gham Chalak To Nahi Gaya
Tujhy Dhondh Kar Kahin Main Bhtak To Nahi Gaya

Teri bad dua ka asar hoa bhi tu faaida
Meray maand parnay se too chamak to nhi Gaya

Bara pur fraib hai shehd o sheer ka zaiqa
Magar in labon se tera namak to nahi Gaya

Teray jism se meri guftgu rahi raat bhar
Main kaheen nashay me ziada bak to nahi Gaya

Yeh jo itnay pyar se daikhta hai too aj kal
Meray dost too kaheen mujh se thak tu nhi Gaya

Rate it:
Views: 1901
13 Jan, 2022
Related Tags on Tahzeeb Hafi Poetry
Load More Tags
More Tahzeeb Hafi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets