Add Poetry

Sar Hi Ab Phodiye Nadamat Mein

Poet: Jaun Elia By: Aslam, attock

Sar hi ab phodiye nadamat mein,
Neend aane lagi hai furqat mein..

Hain daleelein tere khilaaf magar,
Sochta hun teri himayat mein..

Rooh ne ishq ka fareb diya,
Jism ko jism ki adawat mein..

Ab faqat aadato'n ki warzish hai,
Rooh shaamil nahin shikayat mein..

Ishq ko darmiyan na lao ke main,
Cheekhta hun badan ki usrat mein..

Ye kuchh aasan to nahin hai ke hum,
Roothte ab bhi hain murawwat mein..

Wo jo tameer hone waali thi,
Lag gayi aag us imarat mein..

Zindagi kis tarah basar hogi,
Dil nahin lag raha mohabbat mein..

Haasil-e-kun hai ye jahaan-e-kharaab,
Yahi mumkin tha itni ujlat mein..

Phir banaya khuda ne aadam ko,
Apni surat pe aisi surat mein..

Aur phir aadmi ne ghaur kiya,
Chhipkili ki lateef san'at mein..

Ai KHuda jo kahin nahin maujood,
Kya likha hai humari qismat mein.!!

Rate it:
Views: 1606
22 Dec, 2020
Related Tags on Jaun Elia Poetry
Load More Tags
More Jaun Elia Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets