Add Poetry

USS Say Marasim Huaye Fasaanay Ki Tarah

Poet: S Sadia Amber Jilani By: Syeda Sadia Amber Jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan.

Uss Say Marasim Huaye Fasaanay Ki Tarah
Qissa Jaisay Kisi Dour Puraanay Ki Tarah

Woh Mera Tha Mera Tha Kabhi Youn
Mata-E-Jaa'n, Kisi Khazaanay Ki Tarah

Ro Baro Bhi Raha Meray Woh Sada
Qurbato'n Mein Bhi Mujhay Ganwanay Ki Tarah

Uss Say Furkat Bhi Gawara Thi Mujhay Kab
Routhna Bhi Uss Say Tha Manaanay Ki Tarah

Hum Nay Laybada Bhoolanay Ka Charrha Rakha Hai
Khud Ko Khud Hi Azmaanay Ki Tarah

Imkaan-E-Tajdeed-E-Wafaa Sambhalay Hain Abhi
Khuab Jaisay Kisi Muflis K Sajanay Ki Tarah

Haal Logo'n Ki Wafao'n Ka Naa Pocho Hum Say
Likhtay Hain Muhabat Bhi Mittaanay Ki Tarah

Juram-E-Muhabat Ki Saza Bhi Ajab Thi
Turak-E-Tualuk Bhi Raha Uss Say Nibhanay Ki Tarah

Aao Aaj Karen Mill K Phir Tajdeed-E-Wafaa
Bujhtay Huaye Charago'n Ko Jalanay Ki Tarah

Dill Chahta Hai Kisi Rozz K Amber
Hum Bhi Ho Jaen Zamaanay Ki Tarah

Rate it:
Views: 564
05 Apr, 2016
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets