Add Poetry

Zabt Karke Hansi Ko Bhool Gaya

Poet: Jaun Elia By: Rabi, Sialkot

Zabt kar ke hansi ko bhool geya,
Main to us zakhm hi ko bhool geya,

Zaat–dar-zaat hamsafar reh kar,
Ajnabi ajnabi ko bhool geya,

Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat,
Main usay shaam hi ko bhool geya,

Ehd-e-vabastagi guzaar ke main,
Vajh-e-wabastagi ko bhool geya,

Sab daleelen to mujh ko yaad rahin,
Behss kya thi ussi ko bhool geya main,

Kyun na ho naaz is zehaanat par,
Ek main har kisi ko bhool geya,

Sab se pur-amn waaqiya hai yeh,
Aadmi aadmi ko bhool geya,

Qehqaha maartay hi deewana,
Har gham-e-zindagi ko bhool geya,

Kya qayamat hui agar ik shakhss,
Apni khush-qismati ko bhool geya,

Sab buray mujh ko yaad rehte hain,
Jo bhalaa tha usii ko bhool geya,

Un se vaada to kar liya lekin,
Apni kam-fursati ko bhool geya,

Khawb-ha-khawb jis ko chaha tha,
Rang-ha-rang ussi ko bhool geya,

Bastiyo ab to rasta dedo,
Ab to main us gali ko bhool geya,

Us ne goya mujhi ko yaad rakha,
Main bhi goya usi ko bhool geya,

Yaani tum woh ho waqeyi ? Hadh hai,
Main to sach-much sabhi ko bhool geya,

Ab to har baat yaad rehti hai,
Ghaliban main kisi ko bhool geya,

Us ki khushiyon se jalne wala Jaun,
Apni eeza-dahi ko bhool geya..

Rate it:
Views: 1634
22 Dec, 2020
Related Tags on Jaun Elia Poetry
Load More Tags
More Jaun Elia Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets