✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Zeeshan
Search
Add Poetry
Poetries by Zeeshan
Hum Ne Bhi Duaein Mangi Thein
Kuch Meethey Lamhey Mangey They
Kuch Sard Hawaein Mangi Thein
Hum Ne To Zamaney Walon Se
Do Char Wafaein Mangi Thein
Bersat K Her Ik Badal Ne
Jee Bhr K Hum Ko Tersaya Tha
Hum Bheeg Sakein Yeh Socha Tha
Aur Kali Ghatayein Mangi Thein
Nakam Huwey Jo Ulfat Mein
Majboor Huwey Jo Milney Se
Kuch Unkey Liye Kuch Apney Liye
Hum Ne Bhi Duaein Mangi Thein
Zeeshan
Copy
Sari Needain Urha Kar Chala Gaya
Sari Needain Urha Kar Chala Gaya
Mujh Se Hi Mujh Ko Chura Kar Chala Gaya
Muhabbat Ki Intiha Kuch Is Tarhan Ki Usne
Apni Khushboo Mere Jism Mai Chupa Kar Chala Gaya
Ek Pal Ko Hansanay Aaya Tha
Her Pal K Lye Rola Kar Chala Gaya
Keh Kar Gaya Tha Mai Abhi Laut Aaonga
Kitne Pyar Se Behla Kar Chala Gaya
Zeeshan
Copy
Hum Jese Tanha Logon Ka
Hum Jese Tanha Logon Ka Rona Kia Muskurana Kia
Jab Chahne Wala Hi Koi Nai, To Jeena Kia Mar Jana Kia
So Rang Mai Jis Ko Chahta Tha, So Roop Mai Jisko Socha Tha
Wo Janay Ghazal To Rooth Gaya,Ab Uska Haal Sunana Kia
Awaz Kisi Ko Dain Lakin Ek Naam Tumhara Hothon Per
Her Shakal Mai Ubhro Tu Hi Tum Per Dil Ko Ab Behlana Kia
Raton Ka Safar Hai Dino K Lye, Din Ko Tamanna Raton Ki
Jab Paon Mai Manzil Kho Jaye, Phir Rukna Kia Gher Jana Kia
Zeeshan
Copy
Tham Na Jaye Meri Saans Kash Tum Ajatea
Aj Kuch Waqt K Liye Pass Mere Tum Ajate
Buhat Tanha Hun Mai Aj Kash Tum Ajate
Kabhi Khud Ko Itna Kamzor Na Hone Diya Maine
Par Aj Bikhar Gaya Hun Mai Kash Tum Ajate
Tumse Hi Milta Hai Hosla Her Pal Mujhey
Chahiye Aj Baahon Ka Sahara Kash Tum Ajate
Barson Se Jee Raha Hun Bin Tere Janaa
Aj Nai Guzar Raha Hai Ik Pal Kash Tum Ajate
Waqt Ki Raftaar B Kuch Tham C Gai Hai
Tham Na Jaye Meri Saans Kash Tum Ajatea
Zeeshan
Copy
Koi Aata Hai Yaad Bohat Soney Se Pehle
Koi Aata Hai Yaad Bohat Soney Se Pehle
Jo Cheen Leta Hai Aansu Mere Roney Se Pehle
Phir Rehta Hai Raat Bhr Woh Aesey Samney
Main Akser Chal Perta Hoon Uska Haath Thamney Se Pehle
Ab Neend Bhi Aaye To Main Sona Nahi Chahta
Kisi Qeemat Pe Bhi Main Usey Khona Nahi Chahta
Ho Jaye Woh Kash Mera Mujhe Khoney Se Pehle
Jo Aata Hai Yaad Bohat Soney Se Pehley
Zeeshan
Copy
Koi Dhoondh Aesa Hamsafer
Koi Dhoondh Aesa Hamsafer
Jisey Tu Apna Bana Sakey
Tu Kahey K Raat Hai
Aur Woh Chandni Louta Sakey
Tere Aansuon Ko Woh Samait Le
K Koi Na Tujh Ko Rula Sakey
Teri Rah Mein Ho Jo Mushkilein
Apni Palkon Se Hata Sakey
Tujhe Rakh Le Apney Hassar Mein
K Tujh Ko Na Koi Chura Sakey
Woh Ho Tere Itna Qareeb K
Kisi Ki Yaad Bhi Na Tujhe Aa Sakeya
Zeeshan
Copy
Yun Tanha Safer Kabhi Kat'ta Nahi
Koi Suraj Jagey Meri Dharti Pe
Kuch Aesa Ho Yeh Raat Dhaley
Koi Haath Mein Thamey Haath Mera
Koi Le Ker Mujhko Sath Chale
Koi Bethey Mere Pehlu Mein
Mere Haath Pe Apna Haath Dharey
Aansu Ponch K Meri Aankhon Se
Rukey Rukey Lehjey Mein Kahey
Yun Tanha Safer Kabhi Kat'ta Nahi
Chalo Hum Tumhare Sath Chalein
Zeeshan
Copy
Bichrey Huwey Logon Ki Sadayein
Bichrey Huwey Logon Ki Sadayein Maar Deti Hein
Kuch Parda Nashheno Ki Aadayein Maar Deti Hain
Kisi Ko Raas Aa Jati Hai Bad'dua Dosto
Aur Kisi Ko Apno Ki Duaein Maar Deti Hein
Woh Shajer Se Tootey Huwey Badnaseeb Patey
Jinhein Her Mousam Mein Hawaein Maar Deti Hein
Kisi Ko Dosh Na Do Uski Bewafai Ka
Chahney Walon Ko Apni Khatayein Maar Deti Hein
Her Ik Sitam Seh Ker Bhi Jo Rehtey Hein Wafa Per Qaeim
Wafa Shuar Logon Ko Wafaein Aae Deti Hein
Zeeshan
Copy
Bohat Bechain Rehti Hai
Bohat Bechain Rehti Hai Tabiat Aik Mudat Se
Dil O Jaan Ko Nahi Mill Pai Rahat Aik Mudat Se
Mujhe Bhi Rok Rakha Hai Meri Masroofiat Ne Aur
Nahi Ki Tum Ne Bhi Milney Ki Zehmat Aik Mudat Se
Bohat Majboor Hoon Werna Bohat Mehsoos Kerta Hoon
Tum Se Milney Ki Zaroorat Aik Mudat Se
Kisi Din Aa K Mill Jao K Apna Li Hai Aankhon Ne
Tumhari Yaad Mein Roney Ki Aadat Aik Mudat Se
Zeeshan
Copy
Teri Bevafayi Ka Sukriya
Teri Bevafayi Ka Sukriya
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya
Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya
Tere Dard Ne Vo Maza Diya
Ye Bahar Kaisi Bahar Hai
Na Chain Hai Na Karar Hai
Ye Chaman Main Kaisi Hawa Chali
Ki Chirag Dil Ka Bujha Diya
Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya
Na Khushi Rahi Na Vo Gham Raha
Na Vo Tu Rahi Na Vo Dil Raha
Tune Kya Ye Mujh Pe Sitam Kiya
Tune Khub Dil Ko Sila Diya
Tere Gham Main Chain Sa Mil Gaya
Vo Mile To Kehna Aye Dost
Ki Tumharay Gham Main Udas Tha
Teri Bevafayi Ka Sukriya
Tune Usahe Jeena Sikha Diya
Vo Tujhe Na Dil Se Bhula Saka
Jise Tune Dil Se Bhula Diya
Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya
Tere Dard Ne Vo Maza Diya
Teri Bevafayi Ka Sukriya
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya
Zeeshan
Copy
Yeh Zara Zara Si Baat Per
Yeh Zara Zara Si Baat Per Tarah Tarah Ka Azaz Kyun?
Jo Kisi Se Bhi Khafa Na Ho, Mujhe Us Khuda Ki Talash Hai
Mujhe Lagzishon Per Her Ghari, Koi Tokta Hai Baar Baar
Jisey Kar K Dil Ko Dukh Na Ho Mujhe Us Gunaah Ki Talash Hai
Bina Hamsafar K Kab Talak, Koi Musafaton Mai Laga Rahey
Jahan Koi Kisi Se Juda Na Ho, Mujhe Us Raah Ki Talash Hai
Mujhe Dekh Ker Jo Ek Nazar, Mere Saarey Dard Samjh Sake
Jo Is Qadar Ho Chaara-Gar, Mujhe Us Nigaah Ki Talash Hai
Zeeshan
Copy
Izhar Nahin Karta
Main Lafzon Mein Kuch Bhi Izhar Nahin Karta
Iska Matlab Ye Nahin K Main Tuj Sai Pyar Nahi Karta
Chahta Hoon Main Tujhe Aaj Bhi Par
Teri Soch Mein Apna Waqt Baikar Nahi Karta
Tamasha Naa Ban Jaaye Kahin Mohabbat Meri
Isi Liye Apne Dard Ko Namoodaar Nahi Karta
Jo Kuch Mila Hai Usi Mein Khush Hoon Main
Tere Liye Khuda Se Taqraar Nahi Karta
Par Kuch Tou Baat Hai Teri Fitrat Mein Zalim
Warna Mein Tujhe Chahne Ki Khtaa Bar Bar Nahi Karta
Zeeshan
Copy
Her Simt Gham E Hijr K Tufan Hein Mohsin
Her Simt Gham E Hijr K Tufan Hein Mohsin
Mat Pooch K Hum Kitney Preshan Hein Mohsin
Her Chehra Nazer Aata Hai Tasveer Ki Soorat
Hum Sheher K Logon Se Bhi Anjan Hein Mohsin
Jis Sheher E Mohabbat Ne Hamein Loot Liya Hai
Us Sheher Se Ab Kooch K Imkan Hein Ab Mohsin
Kashti Abhi Umeed Ki Doobi To Nahi Hai
Phir Kyun Teri Aankhon Mein Yeh Tufan Hein Mohsin
Ker Inka Adab Rakh Inhein Seeney Se Laga Ker
Yeh Dard Yeh Tanhaiyan Mehman Hein Mohsin
Zeeshan
Copy
Hijr Ka Tara Doob Chala Hai
Hijr Ka Tara Doob Chala Hai
Dhalney Lagi Hai Raat
Qatra Qatra Baras Rahi Hai
Ashkon Ki Bersat
Tere Baad Yeh Duniya Waley
Mujh Ko Pagal Ker Dein Ge
Khusbu K Dais Mein Mujhko
Le Chal Apney Sath
Yunhi Chup Ki Moher Laga Ker
Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut'ta Hai
Chero Koi Baat
Aaj To Yaar Ka Chehra Bhi Kuch
Badla Badla Sa Lagta Hai
Mousam Badla Duniya Badli
Badal Gaye Halaat
Mere Ghar Khushbu Ka Yeh Raqs
Ussi K Dam Se Hai
Us K Sath Chali Jaye Gi
Phoolon Ki Bersat
Chor Ab Us Ki Yaadein
Tujh Ko Pagal Ker Dein Gi
Tu Qatra Hai Woh Dreya Hai
Dekh Apni Aoukat
Zeeshan
Copy
Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi
Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They
Jo Pyar Ki Baatein Kertey They
Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha
Aur Phool Pyar K Khiltey They
Mast Nasheeli Shamon Mein
Pyar Se Do Dil Miltey They
Ik Roz Woh Basti Ujer Gai
Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai
Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga
Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga
Deewaney Phirtey Rehtey Hein
Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein
Iqrar Kisi Se Na Kerna
Pyar Kisi Se Na Kerna
Zeeshan
Copy
Ik Roz Tum Ne Thama Tha Haath Mera
Ik Roz Tum Ne Thama Tha Haath Mera
Mere Haath Se Tere Haath Ki Khushbu Nahi Jati
Tum Bohat Pyar Se Pukartey They Naam Mera
Mere Kaano Se Tumhari Woh Aawaz Nahi Jati
Main Bulata Bhi Na Tha Aur Tum Aa Jatey They
Ab Bulaney Per Bhi Meri Aawaz Tum Tak Nahi Jati
Bus Chukey Ho Meri Nus Nus Mein Tum Lahu Ki Terha
Meri Ulfat Tumhari Rooh Mein Uter Kyun Nahi Jati
Main Janta Hoon Yeh Sheher Yeh Rastey Tumhare Nahi
Phir Bhi Meri Aankhon Se Intizar Ki Aadat Nahi Jati
Zeeshan
Copy
Is Be Naam Se Rishtey Ko Nibhao Kisi Din
Is Be Naam Se Rishtey Ko Nibhao Kisi Din
Jo Mil Jaye Kabhi Fursat To Paas Aa Jao Kisi Din
Milta Hai Sabhi Kuch Sabhi Ko Yeh Suna Hai
Mujh Ko To Faqt Tum Hi Mil Jao Kisi Din
Barson Se Yeh Dil Mera Khali Hi Para Hai
Tum Apney Naam Ki Takhti Hi Laga Jao Kisi Din
Zeeshan
Copy
Jab Raat K Tanha Lamho Mein
Jab Raat K Tanha Lamho Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Paas Se Guzrey To
Koi Baat Halak Se Nikley To
Main Khud Se Uljhney Lagta Hoon
Phir Janey Keya Keya Kehta Hoon
Phir Yaad Tumhari Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Saans Meri Ruk Jati Hai
Ik Shola Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Seher Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Zeeshan
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets