Mein Soyi Jo Ek Shab To Dekha Ye Khawab
Barha Aur Jis Se Mera Iztarab
Ye Dekha Ke Mein Ja Rahi Hun Kahin
Andhera Hai Aur Rah Milti Nahin
Larazta Tha Der Se Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se Uthna Mahal
Jo Kuch Hosla Pa Ke Aagay Berhi
To Dekha Qitar Aik Larkon Ki Thi
Zumurad Si Poshak Pehne Huay
Diye Sub Ke Hathon Mein Jalte Huay
Woh Chup Chap Thay Agay Peche Rawan
Khuda Jane Jana Tha Un Ko Kahan
Iss Soch Mein Thi Ke Mera Pisar
Mujhe Uss Jamat Mein Aya Nazar
Woh Peche Tha Aur Taez Chalta Na Tha
Diya Uss Ke Hathon Mein Jalta Na Tha
Kaha Mein Ne Pehchan Ker, Meri Jaan!
Mujhe Chor Ker Aa Gye Tum Kahan?
Judai Mein Rehti Hun Main Be-Qarar
Paroti Hun Her Rouz Ashkon Ke Haar
Na Perwa Humari Zara Tum Ne Ki
Gye Chor, Achi Wafa Tum Ne Ki!
Jo Bache Ne Dekha Mera Peach O Taab
Diya Uss Ne Munh Phair Ker Yun Jawab
Rulati Hai Tujh Ko Juddai Meri
Nahin Uss Mein Kuch Bhi Bhalai Meri
Ye Keh Ker Vo Kuch Dair Tak Chup Raha
Diya Phir Dikha Ker Ye Kehne Laga
Samajhti Hai Tu Ho Gaya Kya Issay?
Tere Aanasuon Ne Bhujaya Issay!