Ali Zaryoun Poetry, Ghazals & Shayari

Ali Zaryoun Poetry allows readers to express their inner feelings with the help of beautiful poetry. Ali Zaryoun shayari and ghazals is popular among people who love to read good poems. You can read 2 and 4 lines Poetry and download Ali Zaryoun poetry images can easily share it with your loved ones including your friends and family members. Up till, several books have been written on Ali Zaryoun Shayari. Urdu Ghazal readers have their own choice or preference and here you can read Ali Zaryoun poetry in Urdu & English from different categories.
Most Famous Ali Zaryoun Poetry
- LATEST POETRY
 - اردو
 
Dekho! Aise ho jate hain
Khwabon ka dhanda karti ho
Kitne Paise ho jate hain
Dunya se hona bohat Mushkil hai
Tere jaise ho jate hain
Wo mere sab kaam Khuda karta hai
Tere wese ho jate hain
Ye phool dekh rahe hoYe uska lehja tha
Wo jheel dekh rahe ho Yaha wo aati thi
Munafiqon ko mera naam zeher lagta tha
Wo jaan boojh kar gussa unhe dilati thi
Usay kisi se Mohabat thi
Aur wo mai nahi tha
Ye baat..!!!
Mujhse zyada usay rolati thi Ali Lyrics in urdu
mujhe laga main kisi moajize se mil raha tha
main jagta tha ki jab log so chuke the tamam
charagh mujh se mere tajarbe se mil raha tha
hawas se hota hua aa gaya main ishq ki samt
ye silsila bhi usi raste se mil raha tha
KHuda se pahli mulaqat ho rahi thi meri
main apne aap ko jab samne se mil raha tha
ajib lai thi jo tasir de rahi thi mujhe
ajib lams tha har zawiye se mil raha tha
main us ke sina-e-shaffaf ki hari lau se
dahak raha tha so pure maze se mil raha tha
sawab-o-taat-o-taqwa fazilat-o-alqab
pare hue the kahin main nashe se mil raha tha
tere jamal ka bujhna to lazmi tha ki tu
baghair ishq kiye aaine se mil raha tha
zamin bhi mere aaghosh-e-surkh mein thi 'ali'
falak bhi mujh se hare zaiqe se mil raha tha ALi
koi bain sune darwazon ka
zakariyya peron ki mat sun
ye jangal hai khamyazon ka
tere sar mein soz nahin pyare
tu ahl nahi mere sazon ka
auron ko salahen deta hai
koi dasa hua andazon ka
mera nakhra karna banta hai
main ghazi hun tere ghazon ka
ek redhi wala munkir hai
teri topon aur jahazon ka Zaid
Khud apne sath hun yani Khuda ke sath hun main
mujawaran-e-hawas tang hain ki yun kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke sath hun main
safar shurua to hone de apne sath mera
tu Khud kahega ye kaisi bala ke sath hun main
main chu gaya to tera rang kat dalunga
so apne aap se tujh ko bacha ke sath hun main
durud-bar-dil-e-wahshi salam-bar-tap-e-ishq
Khud apni hamd Khud apni sana ke sath hun main
yahi to farq hai mere aur un ke hal ke beech
shikayaten hain unhen aur raza ke sath hun main
main awwalin ki izzat mein aakhirin ka noor
wo intiha hun ki har ibtida ke sath hun main
dikhai dun bhi to kaise sunai dun bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hun fana ke sath hun main
ba-hukm-e-yar lawen qabz karne aati hai
bujha rahi hai? bujhae hawa ke sath hun main
ye sabirin-e-mohabbat ye kashifin-e-junun
inhi ke sang inhin auliya ke sath hun main
kisi ke sath nahin hun magar jamal-e-ilaha
teri qism tere har mubtala ke sath hun main
zamane bhar ko pata hai main kis tariq pe hun
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke sath hun main
munafiqin-e-tasawwuf ki maut hun main 'ali'
har ek asil har ek be-riya ke sath hun main Faizan
jab ishq dekh lenge to sar par bithaenge
tu to phir apni jaan hai tera to zikr kya
hum tere doston ke bhi nakhre uthaenge
'ghaalib' ne ishq ko jo dimaghi khalal kaha
chhoren ye ramz ap nahi jaan paenge
parkhenge ek ek ko le kar tumhara nam
dushman hai kaun dost hai pahchan jaenge
qibla kabhi to taza-sukhan bhi karen ata
ye chaar-panch ghazlen hi kab tak sunaenge
aage to aane dijiye rasta to chhoriye
hum kaun hain ye samne aa kar bataenge
ye ehtimam aur kisi ke liye nahi
tane tumhaare nam ke hum par hi aaenge Rehbar
wo bilkul mujh sa hota hai
aankhen hans kar puch rahi hain
nind ane se kya hota hai
mitti ki izzat hoti hai
pani ka charcha hota hai
janta hun mansur ko bhi main
apne hi ghar ka hota hai
achi larki zid nahi karte
dekho ishq bura hota hai
wahshat ka ek gur hai jis mein
qais apna bacha hota hai
baz-auqat mujhe duniya par
duniya ka bhi shubh hota hai
tum mujh ko apna kahte ho
kah lene se kya hota hai Ghani
kitni achi larki ho
baat nahi sunti ho kyun
ghazlen bhi to sunti ho
kya rishta hai shamon se
suraj ki kya lagti ho
log nahi darte Rab se
tum logon se darti ho
main to jita hun tum mein
tum kyun mujh pe marti ho
aadam aur sudhar jae
tum bhi had hi karti ho
kis ne jeans kari mamnua
pahno achi lagti ho Zain
Khayal main bhi use be-ridaa nahin kiya hai,
Main aik shakhs ko imaan janta hoon to kya,
Khuda ke naam pe logon ne kya nahin kiya hai,
Isi liye to main roya nahin bichaRrte samay,
Tujhe rawana kiya hai juda nahin kiya hai,
Yeh badtameez agar tujh se Ddar rahe hain to phir,
Tujhe bigaRr kar maine bura nahin kiya hai.. Tooba
Main khush nahin hoon tujhe khud main mubtila kar ke,
Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaye,
TaRrap utha hoon tere haq main baddua kar ke,
Main jootiyon main bhi betha hoon puray maan ke sath,
Kisi ne mujh ko bulaya hai iltijaa kar ke,
To phir woh rote huye manatain bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,
Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar–andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe khuda kar ke,
Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafa kar ke.. Sohaim
جان لینا یہ زرِ عشق کی تابانی ہے
میرے شبدوں میں اگر اپنا سراپا دیکھو
سوچ لینا یہ نمِ ہجر کی حیرانی ہے
کسی دربار کی آمین بھری خلوت میں
عین ممکن ہے تمھیں میرا پتا مل جائے
یہ بھی ہو سکتا ہے میں تم کو ملوں یا نہ ملوں
لیکن اس کھوج میں خود تم کو خدا مل جائے
اپنے ٹیرس سے نظر کرنا کبھی مشرقی سمت
نفس گم کردہ نظاروں میں ملوں گا تم کو
اور شبِ قدر تلاشو تو مجھے بھی تکنا
طاق راتوں کے ستاروں میں ملوں گا تم کو
سخت بزدل ہیں کہ جو عشق میں تھک جاتے ہیں
میں تو ہاں ! تم سے بچھڑ کر بھی تمھارا رہوں گا
سانس بن جاوں گا ہر گھٹتے ہوئے سینے کی
ہر دُکھے دل کے لئے ایک سہارا رہوں گا
کیا کلیمی سے بھلا عشق کلامی کم ہے ؟
بادشاہی نہ سہی ! دل کی غلامی کم ہے ؟
کیا یہ کم ہے؟ کہ تمھیں دیکھوں، دِکھے کُل دنیا
کیا یہ کم ہے ؟ کہ لکھوں عشق ! پڑھے کل دنیا
یارِ من عشق طلب عشق میں سب عشق سند
جذبِ من عشق ازل عشق ابد عشق احد !
عشق دربار بھی سُن کار بھی سرکار بھی عشق
عشق تلوار بھی آزار بھی دلدار بھی عشق
عشق ہو جائے تو کچھ اور کہاں ہوتا ہے !
کچھ نہیں ہوتا وہاں ! عشق جہاں ہوتا ہے ! عبدالغنی
Ali Zaryoun Poetry in Urdu
Ali Zaryoun poetry – The name of Ali Zaryoun does not need any introduction. He is not just a multi-lingual poet but also a thinker and lyricist. He is such versatile written poetry in different languages including Urdu, Persian, English, Hindi, and Punjabi. However, Ali Zaryoun poetry in Urdu is based on a huge variety of poems. His ghazals and several couplets are receiving a lot of praise. Ali Zaryoun father name is Jaun Elia, he learned to read and write poetry from his father Jaun Elia. If you want to read John Elia poetry, click on this link Jaun Elia Poetry.
He is among the popular poets of the modern generation and has gained millions of followers on social media or otherwise. Ali Zaryoun has performed in numerous institutions, mushairas, and events since 1999 in Pakistan and won several awards as well as the hearts.
Ali Zaryoun shayari has a bold and distinctive narrative. He utilizes his poetry as an effective medium to challenge stereotypes present in society and offers a true sense of realization to readers. His poetry promotes respect, tolerance, love, and harmony in society via his writings. On the other side, Ali Zaryoun sad poetry also attracts a large number of readers. He also operates a publishing initiative with the name Maktaba Zaryoun. He has set a benchmark for emerging poets in a similar style as his Poetry, be it Ali Zaryoun Sad poetry, Ali Zaryoun Romantic poetry even Ali Zaryoun Punjabi poetry has taken the hearts of poetry lovers. He also has a separate fan base for Ali Zaryoun shayari in Urdu especially the following poetry.
Ali Zaryoun Famous Proses
 Baat Bhi Kijiye Dekh Bhi Lijiye
 Dekh Bhi Lijiye Baat Bhi Kijiye
 
 Asr Ke Waqt Mere Paas Na Baith
 Mujh Pe Ik Sanvli Ka Saaya Hai
Which are the famous poetries by Ali Zaryoun?
 Names of some famous poetries by Ali Zaryoun are mentioned below:
 • Man jis ka maula hota hai
 • Khwab ka Khwab haqiqat ki haqiqat samjhen
 • Ek hijrat ki aawazon ka
 • Tum sarwat ko padhti ho
Ali Zaryoun shayari in urdu is very famous in Pakistan and around the world. If you are searching for the entire Ali Zaryoun poetry collection then you can read all the latest Ali Zaryoun poetry in Urdu here.
User Reviews
Ali zaryoun and tehzaeeb hai I love you
- Saeed Ahmad , Lahore
 
Ali Zaryoun's poetry touches the heart with its deep and meaningful words. His verses beautifully express emotions and reality.
- Hina , Kohata
 
Ali Zaryoun's poetry is a powerful blend of intellect, emotion, and contemporary thought. His words speak to the heart with clarity and depth, addressing social realities, love, and inner conflicts.
- Basit , Peshawar
 






