Bas-Ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona
Poet: MIRZA GHALIB By: Khawaja Mussadiq Rafiq, KarachiBas-Ki Dushvar Hai Har Kaam Ka Asan Hona 
 Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahin Insan Hona 
 
 Girya Chahe Hai kharabi Mire Kashane Ki 
 Dar O Divar Se Tapke Hai Bayaban Hona 
 
 Va-E-Divangi-E-Shauq Ki Har Dam Mujh Ko 
 Aap Jaana Udhar Aur Aap Hi Hairan Hona 
 
 Jalva Az-Bas-Ki Taqaza-E-Nigah Karta Hai 
 Jauhar-E-A.Ina Bhi Chahe Hai Mizhgan Hona 
 
 Ishrat-E-Qatl-Gah-E-Ahl-E-Tamanna Mat Puchh 
 Id-E-Nazzara Hai Shamshir Ka Uryan Hona 
 
 Le Ga.E khaak Men Ham Dagh-E-Tamanna-E-Nashat 
 Tu Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-E-Gulistan Hona 
 
 Ishrat-E-Para-E-Dil Zakhm-E-Tamanna Khana 
 Lazzat-E-Rish-E-Jigar Gharq-E-Namak-Dan Hona 
 
 Ki Mire Qatl Ke Ba.Ad Us Ne Jafa Se Tauba 
 Haa.E Us Zud-Pashiman Ka Pasheman Hona 
 
 Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib' 
 Jis Ki Qismat Men Ho Ashiq Ka Gareban Hona
 
 
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 