Noor Jehan Ghazals Lyrics
Noor Jehan Ghazals Lyrics is best way to express your words and emotion. Check out the amazing collection of express your feeling in words. This section is based on a huge data of all the latest Noor Jehan Ghazals Lyrics that can be dedicated to your family, friends and love ones. Convey the inner feelings of heart with this world’s largest Noor Jehan Ghazals Lyrics compilation that offers an individual to show the sentiments through words.
Koi To Ho Jo Meri Wehshaton Ka Sathi Ho
Main Uss Se Jhot Bhi Bolon To Mujh Se Such Boly
Mery Mizaj K Sub Mosmon Ka Sathi Ho
Main Uss K Haath Na Aaon, Woh Mera Ho K Rahy
Main Gir Parron To Meri Pastiyon Ka Sathi Ho
Woh Khawab Daikhy To Daikhy Mery Hawaly Se
Mery Khayalon K Sub Manzaron Ka Sathi Ho
Woh Teri Yaad Thi, Ab Yaad Aaya
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aya
Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ae Dost
Tu Museebat Mai Ajab Yaad Aaya
Woh Teeri Yaad Thi, Ab Yaad Aaya
Dil Dhadhknay Ka Sabab Yaad Aaya
Din Guzara Tha Badhi Mushkil Se
Phir Tera Wadah E Sham Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aya
Haal E Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jub Woh Rukhsat Huwa Tab Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aya
Beht Ker Saya E Gul May Nasir
Hum Bohut Ro Aye Woh Jub Yaad Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aya
Woh Teri Yaad Thi, Ab Yaad Aaya
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aya
Jis Ne Iss Dil Ko Parikhana Bana Rakha Tha
Jis Ki Ulfat Main Bhula Rakhi Thi Duniya Hum Ne
Dehar Ko Dehar Ka Afsana Bana Rakha Tha
Ashna Hain Teray Qadmon Se Wo Rahain Jin Per
Usski Madhosh Jawani Ne Inayat Ki Hai
Karwaan Guzray Hain Ji Se Ussi Raanai Ke
Jis Ki Inn Aankhon Ne Besood Ibaadat Ki Hai
Tujh Se Kheli Hain Wo Mehboob Hawain Jin Main
Uske Malboos Ki Afsurda Behak Baaqi Hai
Tujh Pe Bhi Barsa Hai Uss Baam Se Mehtaab Ka Noor
Jis Main Beeti Hui Raaton Ki Kasak Baaqi Hai
Tu Ne Dekhi Hai Wo Peshaani,Wo Rukhsaar,Wo Hont
Zindgi Jin Ke Tasawwar Main Luta Di Hum Ne
Tujh Pe Uthi Hain Wo Khoi Hui Saahar Aankhain
Tujh Ko Maaloom Hai Kiyoon Umr Luta Di Hum Ne
Hum Pe Mushtarka Hain Ahsaan Gham E Ulfat Ke
Itnay Ahsaan Ke Ginwaoon Tu Ginwaa Na Sakoon
Hum Ne Iss Ishq Main Kya Khoya Hai,Kya Seekha Hai
Juz Teray Aur Ko Samjhaoon Tu Samjha Na Sakoon
Aajzi Seekhi,Ghareebon Ki Himaya Seekhi
Yaas O Harmaan Ke,Dukh Dard Ke Maani Seekhay
Zer Daston Ke Musaaib Ko Samjhna Seekha
Sard Aahon Ke,Rukh E Zard Ke Maani Seekhay
Jab Kahin Baith Ke Rotay Hain Wo Bekas ,Jin Ke
Ashk Aankhon Main Bilaktay Huway So Jaatay Hain
Natwaanon Ke Nawaalon Pe Jhaptatay Hain Uqaab
Baazoo Tolay Huway ,Mundhlaatay Huway Aatay Hain
Jab Kabhi Bikta Hai Bazaar Main Mazdoor Ka Gosht
Shahraahon Pe Ghareebon Ka Lahoo Behta Hai
Aag Si Seenay Main Reh Reh Ke Ubalti Hai Naa Poochh
Apnay Dil Per Mujhay Qaboo Hi Nhin Rehta Hai
Ham Ne Muqabil Us K Tera Nam Rakh Diya
Ik Khas Had Pe A Gai Jab Teri Berukhi
Nam Us Ka Ham Ne Gardish-E-Ayyam Rakh Diya
Main Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh-Dekh Kar
Tune To Mere Samne Ik Jam Rakh Diya
Kitna Sitamzarif Hai Wo Sahib-E-Jamal
Us Ne Diya Jala K Lab-E-Bam Rakh Diya
Insan Aur Dekhe Bagair Us Ko Man Le
Ik Khauf Ka Bashar Ne Khuda Nam Rakh Diya
Ab Jis K Ji Mein Aye Wahi Paye Raushani
Ham Ne To Dil Jala K Sar-E-Am Rakh Diya
Kya Maslahatshanas Tha Wo Adami 'Qateel'
Majburiyon Ka Jis Ne Wafa Nam Rakh Diya
Noor Jahan Ghazal Lyrics
People who love Pakistani or Indian classical music are aware of the Noor Jahan Ghazal lyrics. Malika Taranum Noor Jahan was born in the year 1926 in Kasur and died in 2000 at the age of 74 years in Karachi. The real name of Noor Jehan was Allah Rakhi Wasai. She is widely acknowledged for her singing and acting skills. However, she sang several songs and worked in several films. The main thing to notice here is that she sang songs in both Urdu and Punjabi languages. This quality made her popular among both Punjabi and Urdu poetry lovers. A large number of people enjoy Noor Jahan Ghazal lyrics and prefer to share them with their friends and family members. When talking about Noor Jehan Ghazals, there is a long Noor Jahan Ghazal List. Below, you can view names of some popular ones.
• Dil E Nadan Tujhe Hua Kya Hai
• Dil Hi To Hai
• Gayegi Duniya Geet
• Hum Na Nikhat Hain Na Gul
• Ja Ja We Tenun Dil
• Jadon Holi Jai
• Koi Umeed Bar Nahi
• Sanun Nahar Wale Pul
• Taskeen Ko Hum Na Royen
Noor Jahan Punjabi Songs List
There is a vast collection of Malika Taranum Noor Jahan Punjabi songs list. She perfectly delivered those songs in her melodious voice. We can say that the Punjabi music seems incomplete without the contribution of Noor Jahan. The Noor Jahan Punjabi songs list is too long but below you can find some of them.
• Aya blausam Tere Mere Pyar Da
• Dachi Waliya Mor Mor Moharan
• Das Mein Ki Pyar Wichon Khatiya
• Dildaar Sadqey
• Jhanjhar Di Pawan Chankar
• Jhanjharia Pehna Do Bindia We
• Mera Pyar Na Dilon Phulavien
• Phiki Pai Gai Chan Tariyan Di Lo
• Saada Ki Aye Allah E Allah
• Sajna Door Diya
• Sohneeya Bullian Aj Bol Paiyaan
• Sun Ve Balori Akh Waaliya
• Tere Khwab Te Khayal Rehnde
• Tu Je Mere Hamesha Kol
Noor Jahan Songs List
Malika Taranum Noor Jahan along with Ahmed Rushdi possesses record for singing the highest number of filmi songs in the Pakistani film history. According to some estimates, she sang thousands of songs in her career. Here is the Noor Jahan songs list.
• Chaandani Raaten
• Dil Dharakne Ka Sabab
• Humari Saanson Main Aaj Tak Woh
• Ja Apni Hasraton Per Aansoon Baha
• Jo Bacha Tha Wo Lutanay
• Jo Na Milsakay Wohi Bewafa
• Kahan Tak Suno Gae
• Khuda Karay Ke Mohabbat
• Kis Tarha Bhoolega
• Kisne Bajayi Hai Yeh
Urdu ghazals are beautifully written and easily available online. Their emotional depth makes them a favorite for poetry lovers.
- yasir , kohat
- Wed 02 Jul, 2025
I truly love ghazals the most, And Urdu ghazals are my absolute favorite. Their depth and beauty touch my heart like nothing else.
- Areeba , islamabad
- Mon 30 Jun, 2025
Urdu ghazals are my favorite form of poetry. I absolutely love reading them on this page. They always touch my heart and soul deeply.
- Amir , Lahore
- Thu 19 Jun, 2025
