Add Poetry

Nusrat Fateh Ali Khan Ghazal, Songs, Qawwali Lyrics & List

Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics is best way to express your words and emotion. Check out the amazing Nusrat "NFAK" lyrics collection of express your feeling in words. This section is based on a huge data of all the latest Nusrat Fateh Ali Khan Ghazals Qawwali that can be dedicated to your family, friends and love ones. Convey the inner feelings of heart with this world’s largest Nusrat Fateh Ali Khan Songs Lyrics compilation that offers an individual to show the sentiments through words.

Inj Vichre Mur Nai Aye Lyrics vichchad gaya mere dil da jaani
ke main kakhan waangar rul gayi
phulan naalon naazuk jindri
meri vich kandeyan de rul gayi
gham sajna de maar mukaaya
te main athru ban ke dul gayi
ik maahiya teri yaad na bhuldi
baaki har shai jag di bhul gayi
inj vichchde mud nahi aaye
mud nahi aaye jaani door gaye
jaawo ni koi mod lehyaawo
mud nahi aaye jaani door gaye
mere sakhiyo dard wandaawo ni
koi lagda chaara laawo ni
mere maahi nu mod lehyawo ni
koi jaldi mod lehyaawe
jaani door gaye
agg hijr di baldi seene
vichchde guzre saal mahine
vichchad gayan di yaad sataawe
neend ankhan chon ud di jaawe
tussi saariyan jaawo ni
mere maahi di khabar lehyaawo ni
pal vich maahi ho gaya ohle
nain mila ke kar gaya rogi
reh gayi jindri hokeyan jogi
raas na pyar diyan ghadiyan aayiyaan
chcheti payiyaan aan judaayiyaan
pal vich maahi ho gaya ohle
na koi bai ke dukh sukh khole
na dil de haal sunaaye
jaani door gaye
ankhiyan takdiyan rehndiyan raahwaan
bharne pai gaye hoke haawan
assan ro ro waqt vihaaye
jani door gaye
hijr tere vich uthdiyan hookan
maahi maahi har dam kookan
ankhan bhukhiyan daras deedar diyan
aaja maahi waajan maardiyan
aasan de din mukde jaande
hanju vi hun sukde jaande
sochan de vich waqt vihaaye
jani dil de kyun nahi aaye
mandre haal judaayiyaan keete
guzri umar zamaane beete
mere dard wandaawe kehda
soonja soonja lagda vehda
pal pal tera hijr sataawe
jag di koi cheez na bhaawe
waajan maaran waang shudaayiyaan
mukiyan hajje yaar judaayiyaan
jeona ohde baajon aukha
jeon dendi ni judaayi
ek yaar baajon sanu
sooni lagdi khudaayi
hijr tere vich uthdiyan hookan
maahi maahi har dam kookan
kite ik pal chain na aaye
jani door gaye
main dardan ton aajiz aayi
jogi goodi preet kyun laayi
kanu bhul ke nain milaaye
jani door gaye
Aqib
Aisa Banna Sawarna Lyrics aisa banna sanwarna mubarik tumhein
kamse kam itna kehna hamaara karo
wo kya sanwar gaye
meri kisat sanwar gayi
wo agar ban sanwar gaye honge
dekhne wale marr gaye honge
hazaaron wada e shab usne is soorat se taale hain
kabhi mehdi lagayi hai kabhi gesu sambhale hain
mareezon ka dam ankhon mein hai
wo hain mehve aaraish
wahaan hoton ki laali hai
yahaan jaanon ke laale hai
haaron fariaad kar rahe hain
magar kisi par nazar nahi hai
wo mehv hain aaeene mein aise
unko apni khabar nahi hai
aaeene mein har ada ko dekh kar kehte hain wo
aaj ye dekhenge hum kis kis ki hai aayi hui
sajne kle wat ye bhi zara dekhte nahin
aaeena dekhta hai unhein kis nigah se
unhe aaraish e gesu se matlab
koi deewana ho jaye bala se
chand sharmaayega chandni raat mein
yun na zulfon ko apni sanwara karo
ye tabassum ye ariz ye roshan jabeen
ye ada ye nigahein ye zulf e haseen
aeene ki nazar lag na jaaye kahin
jaane jaan apna sadka utaara karo
dil toh kya cheez hai jaan se jaayenge
maut aane se pehle hi marr jaayenge
ye ada dekhne wale lut jaayenge
yun na hasn hasn kar dilbar ishaara karo
ye ada hai ye ada kya qayamat
har ada mastaana sar se paaon tak chchaayi hui
uf teri kaafir jawaani josh par aayi hui
bismil ka khuda hafiz
kaatil ka khuda hafiz
tum jis pe nazar dalo
us dil ka khuda hafiz
andaaz apne dekhte hainaaeene mein wo
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho
dil churane ki ada khaas hua karti hai'
dekh lete hain wo duzdeeda nazar se pehle
zara unki shokhi to dekhiye
lye zulf e kham shuda haath mein
mere pass aake dabe dabe
mujhe saamp keh kar dara diya
dil mere lekar ye zaalim ne keha
jaao rasta lo tumhara kuch nahi
angrai lekar usne mujhpar khumaar daala
zaalim ki is ada ne bas mujhko maar daala
angrai bhi wo lene na paye utha ke haath
dekha mujhe to chchor diye muskura ke haath
fikr e ukba ki masti utar jayegi
tauba tooti toh kismat sanwar jayegi
tum ko duniya mein jannat nazar aayegi
sheikh ji maikade ka nazaara karo
kaam na mushkil mein koi yahaan
matlabi dost hain matlabi yaar hain
iss jahan mein nahi koi ehle wafa
ae fana iss jahaan se kinaara karo
Asher
Mast Nazron Se Allah Bachaye Lyrics Koi dil mein liye armaan chala jaata hai
Koi khoye huay ausaar chala jaata hai
Husn walon se yeh keh do ke na niklein bahir
Dekhne walon ka eimaan chala jaata hai
Mast nazron se Allah bachaye
Mahjamalon se Allah bachaye
Mast nazron se Allah bachaye
Mahjamalon se Allah bachaye
Har bala sar pe aa jaye lekin
Husn walon se Allah bachaye
Inki maasoomiyat par na jaana
Inke dhoke mein har giz na aana
Loot lete hain yeh muskura kar
In ki chalon se Allah bachaye
Inki maasoomiyat par na jaana
Inke dhoke mein har giz na aana
Loot lete hain yeh muskura kar
Inki chalon se Allah bachaye
Loot lete hain yeh muskura kar
Inki chalon se Allah bachaye
Loot lete hain ye, loot lete hain
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Jalakrukhi dikha kar, muskura kar loot lete hain
Nigao se nigao ko mila kar loot lete hain
Ye atchi pardadaadi hain, ye atchi dilnawazi hain
Hasa kar loot lete hain, rula kar loot lete hain
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Husn waale wafa nahi karte
Ishq waale dagha nahi karte
Zulm karna to inki aadat hain
Ye kisi ka bhala nahi karte
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Amir is raaste se jo guzrte hain woh kehte hain
Muhalla hain haseeno ka, ke ki basti hain
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Loot lete hain yeh muskura kar
Inki chalon se Allah bachaye
Inki fitrat mein hain be-wafaai
Jaanti hain ye saari khudaaee
Atche-atcho ko dete hain dhoka
Bhole-bhalo se Allah bachaye
Atche-atcho ko dete hain dhoka
Bhole-bhalo se Allah bachaye
Mast nazron se Allah bachaye
Mahjamalon se Allah bachaye
Asher
Ankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li Lyrics Ankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda huya chandi raat mein
Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya
Loot gaye hum to pehli mulaqat mein
Dil lout liya iman lout liya
Khud Tarap kar on ke janib dil gaya
Sharab seekh pay dali kabab sheeshay main
Hum pa assa jadoo kiya Unki nazroo nay
Zindagi Doob Gai on ke Hasin ankhon main
Youn mera piyar ka afsanay ko anjam mila
Kafiyat-e-chasam oski mujha yaad hai Souda
Sagir ko mera hath sa lana ka chala main
Hum hosh bhi apne bhul gaye
Imaan bhi apna bhul gaye
Ik dil hi nahi us bas mein
Hum na jaane kiya kiya bhul gaye

Jo baat thi unko kehne ki
Wo baat hi kehna bhul gaye
Gairon ke fasane yaad rahe
Hum apna fasana bhul gaye
Wo akkay ajj samnay is shaan sa gaya
Hum dekhta he dekhtay Imaan sa gaya
Kya kya nigah e yaar me taseer ho gayi
Bijli kbhii bani kabhi shamsheer ho gayi
Bigri tu aa bani Dil-e-Ishq ke jan per
Dil mian outar gai tu nazar teer ho gayi
Mehfil mein baar baar uni par nazar gayi
Humne bachai lakh magar phir udar gayi
Unki nigah mein koi jadoo zaroor
Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi
Wo muskar ka dekhna on tu thi adda
Hum ba taray tarap outha aur jan sa gayi
Attay he onkay bazam kuch is tarhay howa
Seesha say rind Shiekh bhi Quran sa gayi
Oun ankhoo ka liya dil pa assar jatay hain
Mainkday hath bharhatay hai jidhar jatayian hain
Bhoolte he nahi dil ko mera mastana nigha
Sath jata hai ye Mainkhana jidhar jatayian hain
On ka andaz nay mujha ko bakhuda lout liya
Dai ka majboor ko paighame-e-wafa lout liya
Samna hota he jo kuch mila lout liya
Kya batoon kay nazar miltay he kya lout liya
Nargasi ankhon na Iman mera lout liya
Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain
Khoye khoye se hum reh gaye hain
Bant li sabne aapas mein khushiyaan
Mere hisse mein ghum reh gaye hain
Ab na uthna sarhane se mere
Ab to ginti ke dum reh gaye hain
Din kata jiss tarhay katta
Lakin raat katti nazar nahi atti
Dil zindgai sa tang hai jeena say Sair hai
Pemana bhar chuka hai chalknay ke dair hai
Qaafila chal ke maanzil pe pahuncha
Thehro thehro mein hum reh gaye hain
Dekh kar un k mangto ki ghairat
Dang ehal-e-karam reh gaye hain
Un ki sattariyan kuch na pucho
Aasiyun k bharam rah gaye hain
Ae sabaa ik zehmat zara phir
Unki zulfon mein hum reh gaye hain
Qayenaten jafaawon wafaaon mein
Eik tum eik hum reh gaye hain
Aaj saqi pila shaikh ko bhi
Ek ye mohtaram reh gaye hain
Dour-e-Mazi ke tasveer akhir
Aya naseeb ek hum raah gaya hain
Nazar mila ka meray pass akay lout liya
Khuda ka liya apni nazron ko rouko mera dil lout liya
Jis taraf uth gai he aahain hain
Chashm e baddoor kya nigahain hain
Dil ko oulat poulat ka dikhanay sa faida
Keh tou diya kay bus lout liya lout liya
Hai dosti tu janib-e-dushman na dekhna
Jadu bhara howa hai tumhari nigha main
Karon tareef kya teri nazar ke dil lout liya
Nazar mila ka meray pass akay lout liya
Nazar hati thi ka phir muskra ka lout liya
Koi ya lout tu dekho ka osnay jab chaha
Mujha main rah ker muje main saman ka lout liya
Na louta hum agar on must ankhiyun na jigar
Nazar bachatay howay doob doba ka lout liya
Saath apna wafa main na Chootay kabhi
Piyar ke dour ban kar na tootay kabhi
Chout jaya zamana koi ghum nahi
Hath tera rahay bus mera hath main
Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo
Yeh Sulakti sham yeh tanhaiyan
Badlon ka sath hum bhi rou diya
Jahan ankhen barsti rahti hoon barsat se pehlay
Waha barsat main badal baras janay sa kya hoga
Yeh beghi rat aur barast ke hawain
Jitna bhola raha outna yaad aa rahain hain
Yeh badal jhoom kar aya tou hain shen-e-gulstan per
Kahin pani na phar jaya kisi ke ehad-o-Painman per
Loug Barast main sou jatain hain khush khush laikn
Mujh ko in ankhon ke barsat nay sona na diya
Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo
Raat andheri hai badaal hain chhaye huye
Ruk bi jao sanam tum ko meri qasam
Ab kahan jaoge aisi barsaat mein
Jiss tarha chaya wo azma la humain
Muntazir hain bus un ka isharay pa hum
Muskara kar fanaa wo talab tou karain
Jaan bhi apni da dain ga sougat main
Ankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda huya chandi raat mein
Rabi
ایسا دیکھا نہیں خوبصورت کوئی ایسا دیکھا نہیں خوبصورت کوئی
جسم جیسے اجنتا کی مورت کوئی
جسم جیسے نگاہوں پہ جادو کوئی
جسم نغمہ کوئی
جسم خوشبو کوئی
جسم جیسے مہکتی ہوئی چاندنی
جسم جیسے مچلتی ہوئی راگنی
جسم جیسے کہ کھلتا ہوا اک چمن
جسم جیسے کہ سورج کی پہلی کرن
جسم ترشا ہوا، دلکش و دلنشیں
صندلیں صندلیں
مرمریں مرمریں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
آفریں آفریں
آفریں آفریں
تو بھی دیکھے اگر تو کہے ہمنشیں
آفریں آفریں
آفریں آفریں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
جانے کیسے باندھے تو نے اکھیوں کے ڈور
من میرا کھنچا چلا آیا تیری اور
میرے چہرے کی صبح زلفوں کی شام
میرا سب کچھ ہے پیا اب سے تیرے نام
نظروں نے تیری چھوا
تو ہے یہ جادو ہوا
ہونے لگی ہوں میں حسیں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
چہرہ اک پھول کی طرح شاداب ہے
چہرہ اسکا ہے یا کوئی مہتاب ہے
چہرہ جیسے غزل چہرہ جانِ غزل
چہرہ جیسے کلی چہرہ جیسے کنول
چہرہ جیسے تصور بھی تصویر بھی
چہرہ اک خواب بھی چہرہ تعبیر بھی
چہرہ کوئی الف لیلوی داستاں
چہرہ اک پل یقیں چہرہ اک پل گماں
چہرہ جیسا کہ چہرہ کہیں بھی نہیں
ماہ رو ماہ رو، مہ جبیں مہ جبیں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
آفریں آفریں
آفریں آفریں
تو بھی دیکھے اگر تو کہے ہمنشیں
آفریں آفریں
آفریں آفریں
حسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
آفریں آفریں آفریں
Adnan
Kehna Ghalat Ghalat Lyrics Tanhai Mein Faryaad To Kar Sakta Hoon
Veranay Ko Aabad To Kar Sakta Hoon
Jab Chahoon Tumhein Mil Nahi Sakta Laikin
Jab Chahoon Tumhein Yaad To Kar Sakta Hoon
Aaa... Koi Hanse To Tujhe Gham Lage Hansi Na Lage
K Dillagi Bhi Tere Dil Ko Dillagi Na Lage
Tu Roz Roya Kare Uth K Chaand Raaton Mein
Khuda Karay Tera Mere Baghair Ji Na Lage
Achi Surat Ko Sanwarne Ki Zaroorat Kia Hai
Sadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Hoti Hai
Tum Jo Aa Jaate Ho Masjid Mein Adaa Karne Namaz
Tumko Maalom Hai Kitno Ki Qazaa Hoti Hai
Yeh Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Aate Hain
In Mein Kuch Sahib-E-Asraar Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jaate Hain
Warna Yeh Log To Be(z?)daar Nazar Aate Hain
Mere Daaman Mein To Kaanton Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap Phoolon K Kharidaar Nazar Aate Hain
Hashr Mein Kaun Gawaahi Meri Daiga Sagar
Sub Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain
Qasid Payaam-E-Khat Ko Dena Bohot Na Tool
Bas Mukhtasir Yeh Kehna K Aankhein Taras Gayi Hain
Kehnaa Ghalat Ghalat To Chupaana Sahi Sahi
Qasid Kaha Jo Usne Bataana Sahi Sahi
Yeh Subhu Subhu Chehre Ki Rangat Uree Howi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Yeh Subhu Subhu Chehre Ki Rangat Uree Howi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Maine Poocha Ke Kal Shab Kahan Thay
Pehle Sharmaaye Phir Hans Ke Bolay
Baat Kyun Tum Aisi Poochte Ho
Jo Bataane Ke Qabil Nahi Hai
Yeh Uree Uree Si Rangat, Yeh Khule Khule Se Gesu
Teri Subah Keh Rahi Hai, Teri Shaam Ka Fasaana
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Na Hum Samjhay Na Tum Aaye Kahin Se
Paseena Poochiye Apni Jabeen Se
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Dil Lay K Mera Haath Mein Kehte Hain Mujh Say Woh
Kya Loge Iske Daam Bataana Sahi Sahi
Aankhein Milaao Ghair Se, Do Hum Ko Jaam-E-Mai
Saaqi Tumhein Qasam Hai Pilaana Sahi Sahi
Nasha Pila Kar Giraana To Sabko Aata Hai
Maza To Tab Hai Jab Girtoon Ko Thaam Le Saaqi
Aaa... Nasha Imaan Hota Hai, Suraahi Deen Hoti Hai
Jawaani Ki Ibadat Kis Qadar Rangeen Hoti Hai
Sharab-E-Naab Ko Do Aatisha Bana Kar Pila
Sharaab Kam Hai To Saaqi Nazar Mila Kar Pila
Sharaab Ka Koi Apna Sarih-E-Rang Nahin
Sharaab Tajzia-E-Ehtesaab Karti Hai
Jo Ahl-E-Dil Hain Barhaati Hai Aabroo Unki
Jo Be-Shaoor Hain Unko Kharaab Karti Hai
Saaqi Tumhein Qasam Hai Pilaana Sahi Sahi
Saaqi Tumhein Qasam Hai Pilaana Sahi Sahi
Ay Mai-Farosh Bheerh Hai Teri Dukaan Per
Gaahag Hain Hum Be, Maal Dikhaana Sahi Sahi
Sajid To Jaan-O-Dil Se Faqat Aapka Hai Bus
Kya Aap Bhi Hain Us Ke, Bataana Sahi Sahi
Kehnaa Ghalat Ghalat To Chupaana Sahi Sahi...
Adnan
Na Rukte Hain Aansoo Lyrics Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai
Mohbbat Mouj Hai, Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Peh Hanse Wale
Tere Pehlo Mein Shayad Dil Nahi Hai
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Aaa
Na Rukte Hain Aansoo
Koi Un Say Ja Ke Zara Itna Keh Day
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Aaa
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Aaa
Qasid Payyam E Khat Ko Daina Bohot Na Tool
Bus Mukhtasir Yeh Kehna K Ub
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Kaho Koi Kaisay Mohabbat Chupa Lay
Kaho Koi Kaisay Mohabbat... Aaa
Kaho Koi Kaisay Mohabbat Chupa Lay
Kaho Koi Kaisay Mohabbat Chupa Lay
Kaho Koi Kaisay Mohabbat Chupa Lay
Kare Kya Koi Woh Jo Aaein Yakayak
Ey Karay Kya Koiii... Karay Kya Koi Woh Jo Aaein Yakayak
Nigaahon Ko Rokay Ya Dil Ko Sambhalay
Nigaahon Ko Rokay Ya Dil Ko ... Aaa
Nigaahon Ko Rokay Ya Dil Ko Sambhalay
Chaman Walay Bijli Say Bolaein Na Chalein
Chaman Walay Bijli Say Bolaein Na... Aaa
Chaman Walay Bijli Say... Ga Re Ga Re ...(Vocables)
Aaa (Chants) (Vocables)
Aaa (Chants) And (More Vocables)
Chaman Walay Bijli Say Bolein Na Chalein
Ghareebon K Ghar Be-Khata Phoonk Dalein
Ghareebon K Ghar Be-Khata Phoonk Dalein... Aaa
Ghareebon K Ghar Be-Khata Phoonk Dalein
Qayamat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein
Qayamat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein... Aaa
Qayamat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein
Aaa
Qayamat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein
Ey Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein,
Zaalim Ki Neechi Nigahein... Aaa
Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Zaalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Qayamat Hein Qayamat Hai Qayamat Hein Qayamat Hai
Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Aaa
Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Hilna Kam Kam Kali Ne Seekha Hai, Meer Un Neembaaz Aankhon Say
Zalim Ki Neechi Nigahein, Zaalim Ki Neechi Nigahein
Aaa
Un Ki Neechi Nigahein, Zalim Ki Neechi Nigahein
Qamayat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein
Khuda Janay Kya Ho Jo Nazrein Utha Lein
Khuda Janay Kya Ho Jo Nazrein Utha Lein
Khuda Janay Kya Ho Jo Nazrein Utha... Aaa
Khuda Janay Kya Ho Jo Nazrein Utha Lein
Karoon Aisa Sajda Woh Ghabra K Keh De
Khuda K Liyeh Ub To Sir Ko Utha Lay... Aaa
Khuda K Liyeh Ub To Sir Ko Utha Lay
Tumhein Banda Parwar Ham He Jantay Hein
Tumhein Banda Parwar Ham He Jantay ... Aaa
Tumhein Banda Parwar Ham He Jantay Hein
Tum Ko Hame Jaantay Hein, Tum Ko Hame Jaantay Hein
Tum Ko Hame Jaantay Hein, Tum Ko Hame Jaan... Aaa
Tum Ko Hame Jaantay Hein, Tum Ko Hame Jaantay Hein
Tum Ko Hame Jaantay Hame Jaantay Jaantay Jaantay Hein
Tum Ko Hame Jaantay Hein, Tum Ko Hame Jaan... Aaa
Tum Ko Hame Jaantay Hein
Kabhi Hum Say Kabhi Ghairoon Say Shanasaai Hai
Baat Kehnay Ki Nahi Tu Bhi To Harjaai Hai
Bus!
Tum Ko Hame Jaantay Hein, Tum Ko Hame Jaantay... Aaa
Tum Ko Hame Jaantay Hein, Tum Ko..
Her Aik Baat Peh Kehtay Ho K Tu Kia Hai
Tumhe Bataoo Yeh Andaaz E Guftugu Kya Hai
Tum Ko Hame Jaantey Hein, Tumko Hame Jaan... Aaa
Hame Jaantay Hein, Tumko Hame Jaantay Hein
Tumhein Banda Parwar Hame Jaantay Hein
Baray Seedhay Saaadhay, Baray Bholay Bhalaay
Baray Seedhay Saaadhay, Baray Bholay Bhalaay
Bus Itni Si Doori, Yeh Mein Hoon Ya Manzil
Bus Itni Si Doori, Yeh Mein Hoon Ya Man... Aaa
Bus Itni Si Doori, Yeh Mein Hoon Ya Manzil
Kahan Aake Phootay Hein Paaon K Chaalay
Kahan Aake Phootay Hein Paaon K Chaalay
Qamar Mein Hoon Mukhtaar Tanzeem E Shab Ka
Qamar Mein Hoon Mukhtaar Tanzeem E Shab Ka
Qamar Mein Hoon Mukhtaar Tanzeem E Shab Ka
Hai Mere Hee Bus Mein Andhare Ujalay
Hai Mere Hee Bus Mein Andhare Ujalay
Na Rukte Hain Aanso Na Thamte Hein Naale
Aaa...
Rabi
Chaap Tilak Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics Khusrau rain suhaag ki, jo main jaagi pi ke sang,
Tan mora man piya ka, jo dono ek hi rang.
Khusrau dariya prem ka, jo ulti waah ki dhaar,
Jo ubhra, so doob gaya, jo dooba so paar.
Apni chab banaai ke, jo main pi ke paas gayi,
Chab dekhi jab piya ki, mohey apni bhool gayi.
Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke (x3)
Moh se naina milayee ke...
Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.
Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.
Baat agham keh deeni re moh se naina milayke.

Bal bal jaaun main, tore rang rejava,
Bal bal jaaun main...
Bal bal jaaun main....
Aisi rang do ke rang naahin chhutey, Dhobiya dhoye chaahe saari umariya
Bal bal jaaun main....
Bal bal jaaun main....
Bal bal jaaun main, tore rang rejava,
Apni si rang deeni re, moh se naina milayke.
Prem bhati ka madhva pilayke
Pa ni sag a ma ga sa...(ragas by Khan saab)
Prem bhati ka madhva pilayke,
Matwari kar deeni re, moh se naina milayke.
Gori gori gori baiyaan, hari hari chudiyaan,
Bahiyaan pakad har leeni re, moh se naina milayke.
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan ...
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan ...
Har qaum raast raahay, deen-e wa qibla gaahay,
Mun qibla raast kardam, bar samt kajkulaahay.
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan ...
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan ...
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan ...
Mohe suhagan keeni re, moh se naina milayke
Bahut Kathin hai dagar panghat ki,
Kaisay main bhar laaun madhva say matki?
Khwaja Nijaamoddin, Khwaja Nijaamoddin,
Laaj rakho moray ghoonghat pat ki.
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan ...
Mohe suhagan keeni re, moh se naina milayke
Adnan
Tumhe Dillagi Bhool Jani Paray Gi Lyrics Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho
Honton ke paas aye hansi, kya majaal hai
Dil ka muamla hai koi dillagi nahin
Zakhm pe zakhm kha ke ji
Apne lahoo ke ghont pi
Aah na kar labon ko si
Ishq hai dillagi nahin
Dil laga kar pata chaley ga tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti
Kuch khel nahin hai ishq ki laag
Paani na samajh ye aag hai aag
Khoon rulaye gi ye lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki
Yeh ishq nahin aasaan
Bas itna samajh leejay
Ik aag ka darya hai
Aur doob ke jaana hai
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho
Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Zamanay ko apna bana kar to dekha
Humein bhi tum apna bana kar to dekho
Khuda ke liya chor do ab yeh parda...
Rukh se naqab utha, ke bari der ho gayi
Mahol ko tilaawat-e-quraan kiye hoye
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
Kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kya hai
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Jan-e-jan hum se uljhan nahin dekhi jaati
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Khuda ke liya chor do ab yeh parda
Keh hain aaj hum tum nahin ghair koi
Shab-e-wasl bhi hai hijaab iss kadar kyon
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho
Jafaaein buhat kien buhat zulm dhaye
Kabhi ik nigah-e-karam iss taraf bhi
Humesha huay dekh kar mujh ko barham
Kissi din zara muskura kar to dekho
Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tum se warna
Satate ho din raat jiss tarha mujh ko
Kissi ghair ko youn sata kar to dekho
Agarche kissi baat par woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni si kar lo
Woh maanein na mannein yeh marzi hai unki
Magar un ko pur-nam mana kar to dekho
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Adnan
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Lyrics Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha
Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha
Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin
Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha
Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho
Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai
Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta
Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum
Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi
Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera
Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai
Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai
Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai
Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai
Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai
Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho
Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa
Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi
Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna
Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood
Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum
Dair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum
Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum
Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai
Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai
Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai
Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai
Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai
La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai
Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai
Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha Hai
Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai
Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho
Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho
Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho
Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho
Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho
Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho
Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho
Jazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho
Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho
Apni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith'ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho
Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho
Justujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho
Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho
Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho
Khudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Aap Hi Apna Pardah Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa
Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa
Kiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa
Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa
Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa
Kal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa
Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Hairat Ki Ik Dunya Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom
Tumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dil Say Armaan Jo Nikal Ja'ay To Jugnu Ho Ja'ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa'ay To Aanso Ho Ja'ay
Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja'ay
Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja'ay
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi
Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban Daikhoon
Bana Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon
Aik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Daikhoon
Kahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon
Kahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan Daikhoon
Khoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon
Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan Daikhon
Kahin Murjha'ay Howe Phool Hein Sach'chaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon
Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan Daikhoon
Raat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai
Mein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Daikhnay Wala Tujhay Kia Dekhta
Tu Nai Her Rung Say Pardah Kia
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Masjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Sub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Ik Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail Hai
Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta Hai
Hein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam Ke
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu
Jiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe Tu
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Her Ik Rung Mein Yakta Ho (x2)
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Markaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su
Hu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru
Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzo
Aankh Nay Ker Lia Aanso'on Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu
Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu
Naaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Tanveer
Akhiyan Udeek Diyan Lyrics Mahi ve tere bajoN
Dil deya meharma ve
Sada jeuuna kere chaj da ay
Meri looN looN vich meri nas nas wich
Teri yaad da tumpbaa vaj ay
Akhiyan udeek diya dil vajaa mar da
Akhiyan udeek diya dil vajaa mar da
Aja pardesiya vaasta ii pyaar da
Aaja tenu akhiyan udeek diya
Sajnaa tenu akhiyan udeek diya
Dholnaa tenu akhiyan udeek diya
Akhiyan udeek diya dil vajaa mar da
Akhiyan udeek diya dil vajaa mar da
Aja pardesiya vaasta ii pyaar da
Aaja tenu akhiyan udeek diya
Sajnaa tenu akhiyan udeek diya
Jado da tu rus giya sade nal dholnaa
Jado da tu rus giya sade nal dholnaa
-Jado da tu rus giya sade nal dholnaa
Pul gaya kawaaN nu banairay utte bolna
Aaja sajnaa tenu akhiyan udeek diya
Sajnaa tenu akhiyan udeek diya-
Sajnaa tenu akhiyan udeek diya
Sajnaa tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
KaliaN naii ji lagda tu chetti aja dholna
tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Bahar aa ke lang chali ay tu chetti aja dholna
tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Panchi murr gharaN nu aa gaye tu vi aaja dholna
tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Tere do takkiaN di naukari mere lakhaN da sawan janda ii
nere aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Arriaa na kar beparwaiaaN ve rutaaN pyaar karan diyaN aayiaN
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya (Chants)
Uth uth jaan namazi masjid menu tatti nu teriyaN tangaN
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya (Chants)
AmbiyaaN nu boor peyaa ve kanu tur door gaya
chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
//chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
PiplaaN te peengaaN payiaaN ral mil geet de gaundiaN sayiaN
//chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
//chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya (Chants)
Ghar aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti ghar aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
//chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
//chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Dholna, dholna ooooo
Dholna, dholna ooooo (Chants)
Dholna, dholna aaja dholna
Hun ghar aaja dholna, hun aaja dholna
Hun murr ghar aaja dholna, hun aaja dholna
Chetti ghar aaja dholna, ghar aaja dholna
Dholna dholna dholna dholna
-RawaN tak tak thakh gayi aaN meiN
KaliaN reh reh ak gayi aaN meiN
Ik ik pal dil gin ke guzaar da
Aaja pardesiya vasta ii pyaar da
Aaja tenu akhiyan udeek diya-
Aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
-Pul gayiaaN te rus gaye chaa ve
Aj pata laga ay vichora ki bala ae
Aaja tenu akhiyan udeek diya-
Aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya (Chants)
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Tu chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Poore di hawa chale dil mera dolda
Poore di hawa chale dil mera dolda
-Poore di hawa chale dil mera dolda
Kamb kamb jawa jadoN kaaN kitte bolda
AawaiN te sunawaN meiN vichora kiwe marda
Aaja pardesiya vasta ii pyaar da
Aaja tenu akhiyan udeek diya-
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
-Tere waloN puchde ne galiaN de baal ve
Gum sum howaN jedoN karde sawaal ve
Marda ay taanay menu mausam bahaar da
Aaja pardesiya vasta ii pyaar da
Aaja tenu akhiyan udeek diya-
Aaja tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
-Sajna ve tere bajoN lagda na jee ve
Jithe jaa ke beh gaya uthe tera kii ve
Aaja tenu akhiyan udeek diya-
Aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Ghar aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Chetti aaja dholna tenu akhiyan udeek diya
Rabi
Yaadan Vichre Sajan Diyan Lyrics Lakhai Da Nalo Changa Sanu Ik Deedar Kise Da
Onu Saadi Qadr Ki Howe Jerra Nai Beemar Kise Da
Sade Dil Da Haal O Jaane Jenu Howe Pyar Kise Da
Sajna Ro Ro Manga Duaawi Shala Vichre Na Yaar Kise Da
Se Se Jorr Sangat De Dithe Te Vaili
Jina Sajna Vaaj Ik Pal Na Jeewa Oda Shaklan Yaad Na Raiaa
Vichar Gaya Di Ki O Nishani Jiwi (Deegar) Rang O Shariyaa
Yaar Farid Ik Sajjan Bajo Meri Hanjoo Jaari Raiaa
Eid Mubarak Main Kis Nu Aakhan Jis Eid Ch Pai Judai
Eid Saeed Shaheed Ja Keeta Kai Gujrri Ramz Chalai
Eid Ona Jena Deed Sajjan Di Bina Deed O Eid Nakaai
Yaar Farid Loki Eid Monasan Jedu Vichre Milsan Mahi
Yaadan Vichre
Yaadan Vichre
Yaadan Vichre
Yaadan Vichre Sajjan Diya Aaiaan Aakhian Cho Meen Vasda
Yaadan Vichre Sajjan Diya Aaiaan Aakhian Cho Meen Vasda
Yaadan Vichre Sajjan Diya Aaiaan Aakhian Cho Meen Vasda
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Kise Da Yaar Na Pardes Jaawe
Vichora Na Kise De Pesh Aawe
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Uchia Lambian Sabz Khajuran Qadr Jinna De Saawe
Jis Dam Nal Akhan Jia Saadi Sanu O Dam Nazar Na Aawe
Galian Sunj Ujjar Disan Sanu Verra Khawan Aawe
Yaar Farid Ne Ki Vasna Jithe Yaar Nazar Na Aawe
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Tere Gham Lag Jaawan Menu Te Tera Vaal Vika Na Howe
Duniya Chaari Hasda Haan Main Dil Chori Chori Rowe
Aashiq Da Dil Sheeshe Warga Lage Thes Te Tut Khalowe
Manzoor Mian Oda Jeena Ki Ae Jida Galto Koi Na Howe

Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Nusrat Raag
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda

Sassi Khoj Shukar De Vele Te Kendhi Khan Kunan Nu Taana
Inh Lajpaal Kare De Nahi Jiwe Tu Kiti Hai Khana
Ik Tu Na Udo Sassi Na Ruldi Mere Kaa Paya Dhol Jawaana
Sardar Kunan Aa Vekh Thalaa Vich Mera Rulda Phook Jahana
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Vichar Gaya Sajna Diya Taanga Mere Allrre Zakhm Jagaye
Palak Palak Pardesia Karan Meri Akhia De Saawan Aaye
Allah Jaane Kaia Daira Paiya Lang Saal Gaye Nai Aaye
Yaar Farid Aawaz Howan Wa Jokaan Rab Pher Wi Raan Machaawai
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Kon Aan Da Vaada Kar Ke Pul Gayo Yaar Tabeeta
Aina Pyar Vada Ke Pehlu Hun Ishq Nu Laia Leekan
Kuj Taane Dete Sakhian Ne Kuj Mare Pol Shareekan
Sawan Rutan Kai Lang Gayian Jo Vi Rakhian Asa Udeekan
Shaala Muk Jaan Jag To Judaaian Aakhian Cho Meen Vasda
Yaadan Vichre Sajjan Diya Aaiaan Aakhian Cho Meen Vasda
Yaadan Aaian
YaadanAaian
Yaadan Aaian
Loki Panj Wele
Sanu Har Wele
Yaadan Aaian
Yaadan Aaian
Ki Puchde Ho Mera Armaan Ki Ae
Je O Aa Jawe Te Nuqsaan Ki Ae
Yaadan Aaian
(Seth Sunni Tankhach Bahi) Aur Sar Ke Bikre Baal
Aao Sakhi Ral Vekh Lawo (Ye Vi Vichran Kahania)
Yaadan Aaian
Yaadan Aaian
Mera Lut Laia Chain Vachoray Ne
Akhan Ro Ro Neel Vahondia Ne
Loki Yaad Khuda Nu Karde Ne
Sanu Yaadan Teria Aundia Ne
Yaadan Aaian
Yaadan Aaian
Raat Akhan Vicho Langi Ae Sawer Ho Gayi
Aena Akhian Di Dunya Haner Ho Gayi
Jind Ode Baju Mitti Wala Dher Ho Gayi
Khawre Sajna Nu Keri Galu Dair Ho Gai
Yaadan Aaian
Yaadan Aaian
Baju Sajna De Waqt Lagawa Kiwe Main
Hanju Sukhde Nai Mere Ankh Lawa Kiwe Main
Dil Kamle Nu Daso Samjawa Kiwi Main
Mahi Pulda Nai Mahi Nu Pulawa Kiwi Main
Yaadan Aaian
Yaadan Aaian
Yaadan Vichre Sajjan Diya Aaiaan Aakhian Cho Meen Vasda
Dukh Ais Gal Da Ae Yaad Gus Chali Hai Rus Jaan Waliya Raati Rus Chali Ae
Saawan Aakhri Vi Tere Naa Main Laayiaa Akhiaa Cho Meen Vasda
Kithi Jaa Ge Luk Gaya Laikan Diya Taaria Teri O Judai Sanu Jiundi Jani Maria
Ro Ro Sadra Dain Duhaaia Akhiaa Cho Meen Vasda
Mahi De Pyara Wala Cheta Jado Aunda Ae Darda De Badlaka Dil Gabraunda Ae
Gal Pe Gaya Ne Gham Di Phaaiaa Akhiaa Cho Meen Vasda
Aasa Te Umeedan Ne Teria Ne Taalia Aukhain Howa Teria Seene Laa Liya
Aes Rog Diya Nai Koi Dawaaia Akhiaa Cho Meen Vasda
Loko Chan Aiho Jaye Vichoria Charhai Ne Rab Jaan Saa Kadhe Sukh De Na Aaye Ne
Laa Ke Pashe Nal Torna Nibaaia Akhiaa Cho Meen Vasda
Akhiaa Cho Meen Vasda
Akhiaa Cho Meen Vasda
Akhiaa Cho Meen Vasda
Shaman
Dam Mast Qalandar Mast Mast Lyrics Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Iko vird hai dam dam Ali Ali
(Iko vird hai dam dam Ali Ali)
Sakhi Lal Qalandar mast mast
(Sakhi Lal Qalandar mast mast)
Jhoole Lal Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast
Rab ne kinne shaan banaye
(Rab ne kinne shaan banaye)
Be karma Te karm kamaye
(Be karma Te karm kamaye)
Jeda vi Tere dar Te Aaye
O na kaddivi khaali jaye
Iko vird hai dam dam Ali Ali
(Iko vird hai dam dam Ali Ali)
Sakhi Lal Qalandar mast mast
(Sakhi Lal Qalandar mast mast)
Jhoole Lal Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast
Shana uchiyaan teria Peera
(Shana uchiyaan teria Peera)
Hovan door haneriyaan Peera
(Hovan door haneriyaan Peera)
Aasan he ba teriya Peera
Soon arzaa aj meeriya Peera
Iko vird hai dam dam Ali Ali
(Iko vird hai dam dam Ali Ali)
Sakhi Lal Qalandar mast mast
(Sakhi Lal Qalandar mast mast)
Jhoole Lal Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast
Akhi ja malanga tu Ali Ali Ali akhi ja malanga
Akhi ja malanga sach ape mun len ge
(Akhi ja malanga sach ape mun len ge)
Aj ne te kal saray Ali Ali can ge
Mast mast mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast mast
Dam mast Qalandar mast
Aqib
Ye Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics Ye jo halka halka suroor hai
Ye teri nazar ka qasoor hai
Ke sharab pena sikha diya
Tere pyar ne teri chaah ne
Tteri behki behki nigaah ne
Mujhe ek sharabi bana diyaa
Sharab kaisi, Khumaar kaisa
Ye sab tumhari navazishen hain
Pilayi hai kis nazar se tu ne
Ke mujh ko apni khabar nahin hai
Sara Jahan mast, Jahan ka nizam mast
Din mast, Raat mast, Seher mast, Shaam mast
Mast shisha, Mast subu, Mast jaam mast
Hai teri chashm-e-mast se har Khas-o-am mast
Ye jo saaqi har tarah ki tere may-khane main hai
Wo bhi thorri si jo in ankhon ke paimane main hai
Sab samajhta hun teri ish nazar ai saaqi
Kaam karti hai nazar, naam hai paimane ka
Teraa pyar hai bas meri zindagi
Na namaz ati hai mujhko na vuzu ata hai
Sajdaa kar leta hun jab samne tu ata hai
Main azal se banda-e-ishq hun
Mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin
Mere sar ko dar tera mil gayaa
Mujhe ab talash-e-haram nahin
Meri bandagi hai vo bandagi
Jo baqaid-e-dair-o-haram nahin
Mera ek nazar tumhain dekhna
Ba-Khuda namaz se kam nahin
Tera pyar hai bas meri zindagi
Qayamat main tera dagh-e-muhabat lekar uthaungaa
Teri tasvir us dam bhi kaleje se lagi hogi
... Kyunkey,
Tera pyar hai bas meri zindagi
Teri yaad hai meri bandagi
Jo teri khushi, wo meri khushi
Ye mere junoon ka hai mojizaa
Jahaan apne sar ko jhuka diyaa
Vahan main ne Kaaba bana diyaa
Mere baad kisko sataaoge?
Dil jalon se dil lagi achi nahin
Rrone Walon se hansi achi nahin
Dil lagi hi dil lagi main dil gaya
O mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa
Khuda ke liye apni nazron ko roko warna
Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa
Meri tarah Khuda kare tera kisi pe aye dil
Tu bhi kaleja tham ke kahta phire ke haye dil
Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa
Dil lagi hi dil lagi main dil gayaa
Dil lagane ka nateja mil gayaa
Main to rota hoon ke mera dil gayaa
Tum kyun hanste ho tumhain kya mil gayaa?
... Achaa phir
Mere baad kisko sataogey?
Mujhe kis tarah se mitaogey?
Kahaan jaa kar teer chalaaogey?
Meri dosti ki balayain lo
Mujhe hath utha kar duaain do
Tumhain ek qatil bana diyaa
Nusrat
Kali Kali Zulfon Lyrics in Urdu Kali Kali zulfon ke phande na dalo
Hamain Zinda Rehny Do Ay Husan Walo
Ap Is Tarah to Hosh Uraya Na Kijiay
Youn Ban Sanwar K Samnay Aya Na Kigeay
Na Chero Hamain Ham Satay Huey Hain
Bohat Zakham Seeny Py Khay Huey Hain
Sitam Gar Ho tum Khoob Pehchanty Hain
Tumhari Adaon Ko Ham Janty Hain
Daghabaaz Ho Tum Sitam Dhane Waly
Fareeb-e-Muhabbat main Uljane Waly
Yeh Rangeen Kahani Tumhe ko Mubarak
Tumhari Jawani Tumhe Ko Mubarak
Hamari taraf sy nigahain hata lo
Hamain Zinda Rehny Do Ay Husn Walo
Mast Nigahon Ki baat chalti hai
Meh-kashi karwatain badalti hai
Ban sanwar kar wo jab nikalty hain
Dil kashi sath sath chalti hai
haar jate hain jeetney waly
wo nazar aisi chaal chalti hai
jab hatate hain rukh se zulfon ko
chand hansta hai raat dhalti hai
wada kash jaam tor dety hain
jab nazar se sharaab dhalti hai
Kya qayamat hai un ki angrae
kich k goya kamaan chalti hai
youn haseeno ki zulf lehray
jesy nagan koi machalti hai
Sambhalo zara apna anchal ghulabi
Dikhao na hans hans k ankhen sharabi
Sulook in ka dunya main acha nahi hai
haseeno pay ham ko bharosa nahi hai
Uthate hain nazrain to girte hai bijli
Ada jo b nikle qayamat he nikli
jahan tum ny chehry se anchal hataya
waheen ahl-e-dil ko tamasha banaya
khuda k liye ham pe dory na dalo
Hamain zinda rehny do ay husan waloo
Sada waar karty ho tegh-e-jawan ka
Bahaty ho khoon tum ahl-e-wafa ka
Yeh nagan c zulfain yeh zehreli nazrain
Wo pani na mangy yeh jis ko bhi das lain
Wo lut jaye jo tum sy dil ko laga le
Phiry hasraton ka janaaza uthay
Hai maloom hum ko tumhari haqeeqat
Muhabbat k pardy main karty ho nafrat
Kaheen aur ja k Adaeen uchalo
Hamain Zinda rehny do Ay husan Walooo.
In Urdu
کالی کالی زلفوں کے پھندے نہ ڈالو
ہمیں زندہ رہنے دو اے حسن والو
آپ اس طرح تو ہوش اڑایا نہ کیجیے
یوں بن سنور کے سامنے آیا نہ کیجیے
نہ چھیڑو ہمیں ہم ستاۓ ہوۓ ہیں
بہت زخم سینے پہ کھائے ہوئے ہیں
ستم گر ہو تم خوب پہچانتے ہیں
تمہاری اداوں کو ہم جانتے ہیں
دغا باز ہو تم ستم ڈھانے والے
فریب محبت میں الجھانے والے
یہ رنگین کہانی تمھی کو مبارک
تمہاری جوانی تمھی کو مبارک
ہماری طرف سے نگاہیں ہٹا لو
ہمیں زندہ رہنے دو اے حسن والو
مست نگاہوں کی بات چلتی ہے
مہکشی کروٹیں بدلتی ہے
بن سنور کر وہ جب نکلتے ہیں
دلکشی ساتھ ساتھ چلتی ہے
ہار جاتے ہیں جیتنے والے
وہ نظر کیسی چال چلتی ہے
جب ہٹاتے ہیں رخ سے زولفوں کو
چاند ہنستا ہے رات ڈھلتی ہے
بڑا کاش جام توڑ دیتے ہیں
جب نظر سے شراب بدلتی ہے
کیا قیامت ہے ان کی انگڑائی
کھینچ کے گویا کمان چلتی ہے
یو حسینوں کی زولف لہرائے
جیسے ناگن کوئ مچلتی ہے
سنبھالو ذرا اپنا آنچل گلابی
دیکھاو نہ ہنس ہنس کے آنکھیں شرابی
سلوک ان کا دنیا میں اچھا نہیں ہے
حسینوں پہ ہم کو بھروسہ نہیں ہے
اٹھاتے ہیں نظریں تو گرتی ہے بجلی
ادا جو بھی نکلی قیامت ہی نکلی
جہاں تم نے چہرے سے آنچل ہٹایا
وہی اہل دل کو تماشہ بنایا
خدا کے لیے ہم پر ڈورے نہ ڈالو
ہمیں زندہ رہنے دو اے حسن والو
صدا وار کرتے ہو تیغی جوان کا
بہاتے ہو تم خون اہل وفا کا
یہ ناگن سی زلفیں یہ ذہریلی نظریں
وہ پانی نہ مانگے یہ جس کو بھی کاٹ لیں
وہ لٹ جائے جو تم سے دل کو لگا لیں
پھرے حسرتوں کا جنازہ اٹھائے
ہے معلوم ہم کو تمھاری حقیقت
محبت کے پردے میں کرتے ہو نفرت
کہیں اور جا کے ادایئں اچھالو
ہمیں زندہ رہنے دو اے حسن والو
Jamshed Ali
Poetry Videos
Famous Poets
View More Poets

Nusrat Fateh Ali Khan Ghazal Lyrics

The discussion of classical music seems incomplete without NFAK or Nusrat Fateh Ali Khan ghazal lyrics. Besides them, Nusrat Fateh Ali Khan qawwali Lyrics are also popular among fans. The Shahenshah-e-Qawwali was born at Faisalabad in the year 1948. He is associated with Qawwal Bacchon Gharana (Delhi gharana) and sang several songs. A large number of people still love to hear the Nusrat Fateh Ali Khan ghazal lyrics. However, the best part about Nusrat Fateh Ali Khan qawwaliyan lyrics is the level of intensity that they provide to the listener. On our website, there is a vast collection of Nusrat Fateh Ali Khan ghazal lyrics and Nusrat Fateh Ali Khan qawwali lyrics. The option of Nusrat Fateh Ali Khan ghazal collection download is also available.

Nusrat Fateh Ali Khan Ghazal Lyrics

There is a long Nusrat Fateh Ali Khan ghazals list as he was considered as a king of music. He ruled the music industry for several years and delivered some great masterpieces. He released albums with different sort of soundtracks. Below, you can find some of them that are based on the Nusrat Fateh Ali Khan ghazal lyrics.

• Mere Rashke Qamar Lyrics
• Mera Piya Ghar Aaya Lyrics
• Yeh Jo Halka Halka Lyrics
• Allah Hoo Allah Hoo Lyrics
• Afreen Afreen Lyrics

Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali Lyrics

Qawwali is a popular form of music and NFAK further enhanced its popularity. He added a new touch to it and took it to a new height that no one can imagine. When a person listen to Nusrat Fateh Ali Khan qawwali lyrics, he gets the deep understanding of different topics related to our lives. Below, you can view the Nusrat Fateh Ali Khan qawwali list.

• Alif Allah Chambe Di Booti
• Tumhe Dillagi
• Sanson Ki Mala Pey
• Piya Re Piya Re
• Sanu Aik Pal Chain Na
• Dam Mast Qalandar
• Mann Kunto Maula
• Dam Hama Dam Ali Ali
• Tum Ek Gorakh Dhandha Ho
• Tu Mera Dil Tu Meri Jaan

Nusrat Fateh Ali Khan Songs Lyrics

Lyrics of any song, ghazal, or qawali are its crucial part. One of the reasons of the popularity of NFAK is the beautiful Nusrat Fateh Ali Khan songs lyrics that always gain the attention of listener. It is a reason that people also post and share Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali status over the social media. The popular Nusrat Fateh Ali Khan songs list is provided below.

• Kinna Sona
• Akhian udeek diyan
• Ali Da malang
• Chaap Tilak
• Must Nazron Se Allah Bachaye
• Kali Kali Zulfon Ke Phande

User Reviews

Urdu ghazals are beautifully written and easily available online. Their emotional depth makes them a favorite for poetry lovers.

  • yasir , kohat
  • Wed 02 Jul, 2025

I truly love ghazals the most, And Urdu ghazals are my absolute favorite. Their depth and beauty touch my heart like nothing else.

  • Areeba , islamabad
  • Mon 30 Jun, 2025

Urdu ghazals are my favorite form of poetry. I absolutely love reading them on this page. They always touch my heart and soul deeply.

  • Amir , Lahore
  • Thu 19 Jun, 2025