Poetries by Asif
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar HotaKisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota
Gham-o-ranj Aashiqana Nahin Calculator’aana
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota
Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota Rizwan

Maan Achi Tarah Tyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai Maan Achi Tarah Tyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Bohat Sa Pyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje Hi Ko Dey Do
Dil-O-Jaan Nisaar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Abbu Ha Ammi Ha Behan Bhai Ha Saray
Muj Ko Na Shumar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Tumhay Staya Tumhay Rulaya Bohat Dukh Diye Hai Tum Ko
Mujhe Maaf Meray Yaar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Mai Chala Khuda Hafiz Phir Milay Gey Jannat Ma
Maa Akhri Baar Pyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Kashif

Umeedon Ka Garam Aur Meetha Chashma Behne Do Garmi Sardi Ka Ehsaas Badan Per Rehne Do
Apne Mann Ko Tann Ki Sab Takleefain Sehne Do
Apne Kaanon Ko Sab Shor Sharaba Sun’ne Do
Apni Zubaan Ko Saari Sachi Batain Kehne Do
Apni Aankh Ke Chashme Mein Sab Manzar Behne Do
Palkon Ki Is Raah Ke Sarey Kaantey Chun’ne Do
Apni Zaat Ke Pathreeley Aur Banjar-Pan Mein Saad
Umeedon Ka Garam Aur Meetha Chashma Behne Do
Asif

Agar Yon Hi Ye Dil Satata Rahega Agar Yon Hi Ye Dil Satata Rahega
To Ik Din Mera Ji Hi Jata Rahega
Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore
Meri Yad Tujhko Dilata Rahega
Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun
Main Pahunchunga Jab Tak Ye Ata Rahega
Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron
Khabar Kal Ki Hamko Sunata Rahega
Khafa Ho K Ai ?Dard? Mar To Chala Tu
Kahan Tak Gam Apna Chupata Rahega
Kamran
To Ik Din Mera Ji Hi Jata Rahega
Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore
Meri Yad Tujhko Dilata Rahega
Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun
Main Pahunchunga Jab Tak Ye Ata Rahega
Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron
Khabar Kal Ki Hamko Sunata Rahega
Khafa Ho K Ai ?Dard? Mar To Chala Tu
Kahan Tak Gam Apna Chupata Rahega
Kamran
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Ik Bar Apne Aap Mein Aaon To Aaon Main
Dil Se Sitam Ki Be’saro Kaari Hawaa Ko Hai
Woh Gard Urraa Rahi Hai Ke Khud Ko Ganwaaon Main
Naadim Hoon Woh Ke Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin
Woh Kaam Hain Ke Apni Judai Kamaaon Main
Kyon’kar Ho Apne Khawab Ki Aankhon Mein Wapsi
Kis Taur Apne Dil Ke Zamamon Mein Jaaon Main
Ik Rang Si Kamaa’n Ho Khushbu Sa Ik Teer
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaon Main
Shikwa Sa Aik Dareecha Ho Nasha Sa Ik Sakoot
Ho Shaam Aik Sharab Si Aur Larr’khraon Main
Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaon Main
Mohammad Asif

Darwaza Khula Rakhna Dil Dard Ki Shiddat Se Khoon-Gashta-O-See Paara
Is Sheher Mein Phirta Hai Ek Wehshee-O-Awara
Shayar Hai Ke Aashiq Hai Jogi Hai Ke Banjara
Darwaza Khula Rakhna
Seene Se Ghata Uthe Aankhon Se Jhari Barse
Phaagan Ke Nahi Badal Jo Chaar Ghadi Barse
Barkha Hai Ye Bhaado Ki Barse To Badi Barse
Darwaza Khula Rakhna
Aankhon Mein Ek Alam Aankhon Mein To Duniya Hai
Honthon Pe Magar Mohrein Munh Se Nahi Kehta Hai
Kis Chiz Ko Kho Baitha Hai Kya Dhundne Nikla Hai
Darwaza Khula Rakhna
Haan Thaam Mohabbat Ki Gar Thaam Sake Dori
Sajan Hai Tera Sajana Ab Tujhse To Kya Chori
Yeh Jis Ki Manaadi Hai Basti Mein Teri Gori
Darwaza Khula Rakhna
Shikwon Ko Utha Rakhna Aankhon Ko Bichha Rakhna
Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna
Mayoos Na Phir Jaaye Haan Paas-E-Wafa Rakhna
Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna
Fauzia

Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye
Ek Hi Lamhe Mein Jaise Umr Bhar Dekha Kiye
Dil Agar Betab Hai Dil Ka Muqaddar Hai Yahi
Jis Qadar Thi Ham Ko Taufiq-E-Nazar Dekha Kiye
Khudfaroshana Ada Thi Meri Surat Dekhna
Apne Hi Jalwe Ba-Andaz-E-Digar Dekha Kiye
Nashanas-E-Gam Faqat Dad-E-Hunar Dete Rahe
Ham Mata-E-Gam Ko Ruswa-E-Hunar Dekha Kiye
Dekhne Ka Ab Ye Alam Hai Koi Ho Ya Na Ho
Ham Jidhar Dekha Kiye Pehron Udhar Dekha Kiye
Husn Ko Dekha Hai Main Ne Husn Ki Khatir ?Hafeez?
Warna Sab Apna Hi Mear-E-Nazar Dekha Kiyea

Toot Jaonga, Bikhar Jaonga Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ?
Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga
Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala
Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga
Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein
Toot Jaonga, Bikhar Jaonga
Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun
Apni Awaaz Se Dar Jaonga
Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun
Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga
Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas”
Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga Hamza
Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga
Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala
Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga
Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein
Toot Jaonga, Bikhar Jaonga
Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun
Apni Awaaz Se Dar Jaonga
Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun
Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga
Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas”
Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga Hamza
Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi
Chahye Paighambar Dono Taraf
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi
Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi
Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi
Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi
“Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi Hamad
Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi
Chahye Paighambar Dono Taraf
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi
Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi
Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi
Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi
“Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi Hamad
Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Ham
Ab Bhagte Hain Saya-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Asman Se Ham
Hanste Hain Us K Giriya-E-Beikhtiyar Par
Bhule Hain Bat Kah K Koi Razadan Se Ham
Ab Shauq Se Bigar K Baten Kiya Karo
Kuch Pa Gaye Hain Ap Ki Tarz-E-Bayan Se Ham
Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-E-Teg-E-Ishq
Badlenge Tujhko Zindagi-E-Jawidan Se Ham

Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq
Jaan Ka Rog Hai Bala Hai Ishq
Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq
Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq
Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Taeen
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq
Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq
Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka
Tu Kahe Jins-E-Narawa Hai Ishq
Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq
Kashif
Jaan Ka Rog Hai Bala Hai Ishq
Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq
Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq
Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Taeen
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq
Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq
Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka
Tu Kahe Jins-E-Narawa Hai Ishq
Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq
Kashif
Ab K Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkili Hai Ab K Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkili Hai
Jism Se Ag Nikalti Hai, Qaba Gili Hai
Sochta Hun K Ab Anjam-E-Safar Kya Hoga
Log Bhi Kanch K Hain, Rah Bhi Pathrili Hai
Shiddat-E-Karb Main To Hansna Karb Hai Mera
Hath Hi Sakht Hain Zanjir Kahan Dhili Hai
Gard Ankhon Main Sahi Dag To Chehre Pe Nahi
Lafz Dhundhale Hain Magar Fikr To Chamkili Hai
Ghol Deta Hai Samaat Main Wo Mitha Lahja
Kis Ko Malum K Ye Qind Bhi Zahrili Hai
Pahle Rag-Rag Se Meri Khun Nichora Us Ne
Ab Ye Kahata Hai K Rangat Hi Meri Pili Hai
Mujhko Be-Rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fiza Nili Hai
Meri Parwaz Kisi Ko Nahi Bhati To Na Bhaye
Kya Karun Zehan ?Muzaffar? Mera Jibraili Hai Kashif

Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi
Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi
Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi
Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi
Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir”
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi Kamran

Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya
Afsurdgi Ka Roop Taraano’n Ne Le Liya
Jin Ko Bhari Bahaar Mein Ghunchay Na Keh Sake
Woh Waaqeyaa Bhi Mere Fasaanon Ne Liya
Shayed Milay Ga Qaryaa Mehtaab Mein Sakoon
Ehl-E-Fard Ko Aese Gumaano’n Ne Le Liya
Yazwaa’n Se Bacha Raha Tha Jalalat Ka Ek Lafz
Us Ko Haram Ke Shokh Beyaano’n Ne Le Liya
Teri Adaa Se Ho Na Saka Jis Ka Faisla
Woh Zindagi Ka Raaz Fashaano’n Ne Le Liya
Afsaana Hayaat Ki Takmeel Ho Gayi
Apno’n Ne Le Liya Ke Begaano’n Ne Liya
Bholi Nahin Woh Qos-E-Qazaah Ki Si Surtain
Saghir Tumhain To Mast Dheyaano’n Ne Le Liya Hamad