Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka

Poet: Javed Akhtar By: Kashif, Khanewal

Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka

tha jo diwana mar gaya kab ka

Dhundhta tha jo ek nai duniya

lut ke apne ghar gaya kab ka

wo jo laya tha hum ko dariya tak

par akele utar gaya kab ka

us ka jo haal hai wahi jaane

apna to zakhm bhar gaya kab ka

khwab-dar-khwab tha jo shiraaza

ab kahan hai bikhar gaya kab ka

Rate it:
Views: 1972
19 Jan, 2021
More Javed Akhtar Poetry