Add Poetry

'DUA'

Poet: Shehzad "Saahil" Sadaruddin By: Saahil Shehzad, Houston

   Ya Rab, Matah e Hayat Se, Bari e Umang Kar De
Siyaa Salsaal Hoon, Hathoon Se Apne Rang Kar De


Jis Tarah Chand O Suraj Chalte Hain, Waqt e Maqarrar Per
Siraat e Mustaqeem Ka Mujhko Paband Kar De 

Jahan Jabee(n) Jhuka Doon Wahan Kabah Kar De
Mere Sajdoon Ko Itna To Mohtaber Kar De

Bhatak Raha Hoon Dar Ba Dar Teri Talash Mein Mawla
Meri Is Khoj e Kamil Ko Muqammal Kar De

Manind E Zandan Hai, Duniya Momin Ke Liye
Tu Mere Safar e Hayat Ko Mukhtassar Kar De 

Na Ho  Khof e Jahannum, Na Lalach Jannat Ki
Meri Ibadat  Sirf Tere Liye Muqarrar Kar De

Yeh Munasib Nahi Naist Ho Jao Ek Sanam Ke Liye
La Zawaal Ho Jaye, Nafs Jo Fanaa Karde

Ker Khairaat, Roz e Hashar Zer e Saaya Hoga
Kisi Miskeen Ko Do Roti Ata Kar De

Apna Darjah, Sufioo(n) Se Buland Kar 
Dars e Qura(n) Ko Aml e Roz Marrah Kar De

Na Ho Ga Jahan Mein Koi Hasid Tera
Apni Khushiyaan Zamane Pe Nichawar Karde

Tera Saaya Bhi Jag Magaye Ga Saahil 
Lo e Furqan Se  Khud Ko Munawar Kar De

Rate it:
Views: 1341
11 Dec, 2019
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets