“Faraz” Ab Koi Souda Koi Junoon Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahe Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftugu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuon Bhi Nahi
Na Jaane Kyun Meri Aankhain Barasnae Lagti Hain
Jo Sach Kahun To Kuch Aisa Udas Hon Bhi Nahi
Meri Zabaan Ki Luknat Se Badguman Na Ho
Jo Tu Kahe To Tujhe Umer Bhar Miluon Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagey Hain Ke Log Baithe Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaise Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahe
Wo Paas Aae Tou Mumkin Hai Mein Rahuon Bhi Nahi