Aabaadiyon Men Dasht Ka Manzar Bhi Aaega
Guzroge Shahr Se To Mera Ghar Bhi Aaega
Dair O Haram Men Khak Udate Chale Chalo
Sarshaar Ho Ke Ja Chuke Yaran-E-Mai-Kada
Sairab Ho Ke Shad Na Hon Rah-Rawan-E-Shauq
Jis Din Ki Muddaton Se Hai Naushad Justuju
Baitha Hun Kab Se Kucha-E-Qatil Men Sar-Nigun
Itni Bhi Yaad Khub Nahin Ahd-E-Ishq Ki
Nazron Men Tark-E-Ishq Ka Manzar Bhi Aaega
Shisha Agar Banoge To Patthar Bhi Aaega
Rudad-E-Ishq Is Liye Ab Tak Na Ki Bayan
Is Waste Uthate Hain Kanton Ke Naz Hum
Kya Jaane Din Hamen Wo Mayassar Bhi Aaega
Raste Men Tishnagi Ka Samundar Bhi Aaega
Qatil Ke Hath Men Kabhi Khanjar Bhi Aaega
Ek Din To Apne Hath Gul-E-Tar Bhi Aaega
Tum Jis Ki Justuju Men Ho Wo Dar Bhi Aaega
Dil Men Jo Dard Hai Wo Zaban Par Bhi Aaega
Achchhi Nahin Nazakat-E-Ehsas Is Qadar
Saqi Hamare Nam Ka Saghar Bhi Aaega