Aaj Aaraish-E-Gesu-E-Dota Hoti Hai
Phir Meri Jaan Giraftar-E-Bala Hoti Hai
Hun Fareb-E-Sitam-E-Yar Ka Qail Akbar
Ruh To Ek Taraf Hoti Hai Rukhsat Tan Se
Jaan Kyun-Kar Hadaf-E-Tir-E-Qaza Hoti Hai
Shauq-E-Pa-Bosi-E-Jaanan Mujhe Baqi Hai Hanuz
Ghas Jo Ugti Hai Turbat Pe Hina Hoti Hai
Marte Marte Na Khula Ye Ki Jafa Hoti Hai
Khub Tauqir-E-Mazar-E-Shohada Hoti Hai
Sach To Ye Hai Ki Mohabbat Bhi Bala Hoti Hai
Ruh Kya Jaane Kidhar Jati Hai Kya Hoti Hai
Khud Samajhta Hun Ki Rone Se Bhala Kya Hasil
Nala Kar Lene Den Lillah Na Chheden Ahbab
Phir Kisi Kaam Ka Baqi Nahin Rahta Insan
Murgh-E-Bismil Ki Tarah Lot Gaya Dil Mera
Raundte Phirte Hain Wo Majma-E-Aghyar Ke Sath
Jism To Khak Men Mil Jate Hue Dekhte Hain
Hai Wo Saat Ki Qayamat Se Siwa Hoti Hai
Jo Zamin Kucha-E-Qatil Men Nikalti Hai Nai
Naza Ka Waqt Bura Waqt Hai Khaaliq Ki Panah
Waqf Wo Bahr-E-Mazar-E-Shohada Hoti Hai
Zabt Karta Hun To Taklif Siwa Hoti Hai
Par Karun Kya Yunhi Taskin Zara Hoti Hai
Aarzu Ek Taraf Dil Se Juda Hoti Hai
Jis Ne Dekhi Ho Wo Chitwan Koi Us Se Puchhe
Nigah-E-Naz Ki Tasir Bhi Kya Hoti Hai